Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, August 16, 2019

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 895* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 895* ❗

Sawal : Jab Musa Alaihi salam ne BaitulMuqaddas fateh karne ke liye apni qaum se ladne ko kaha to kitne logo ne unka saath diya ?

A. 2
B. 3
C. 5
D. 7
E. 10
F. 70
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Inmein se wo kaun kaun they jo unke saath ladne ko tayyar huye they ?

A. Yusha bin noon
B. Ikramah bin Rabi
C. Bahirah Ar Rabi
D. Kaleb bin yufna
E. Harun Alaihi salam
F. Diya bin Qalbi
G. Khizr Alaihi salam
H. Sahi Jawab ka intezar hai


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗

Quiz : When the Musa Alaihi salam said to the Children of Israel to perform Jihad and enter Jerusalem how many people got ready to fight ?

A. 2
B. 3
C. 5
D. 7
E. 10
F. 70
G. None of the above
H. I want to know

Sahi jawab B
------------
Jab musa alaihi salam ne Baitul muqaddas fateh karne ke liye jihad karne ko kaha to sirf 3 logo ne unka saath diya

1. Harun Alaihi Salam
2. Yusha bin Noon Alaihi salam
3. Kaleb bin Yufna
------------
Al Quran : Wo kahne lage ki Musa waha to bade zabardast log rahte hain aur jab tak wo us sarzameen se nikal na jayenge hum waha nahi ja sakte, agar wo yaha s enikal jayenge to hum dakhil ho jayenge, unmein s edo shakhs jo Allah se darte aur jin par Allah subhanahu ki inayat bhi thi wo kahne lage ki un logo par darwaze ke raaste se hamla kar do , jab tum darwaze se dakhil honge to fateh tumhari hai aur Allah par bharosa rakho agar tum iman wale ho
wo (Bani israeel) bole ke Musa jab tak wo log waha hain hum kabhi nahi jayenge , agar ladna jaruri hai to tum aur tumhara RABB jao aur lado hum to yahi baithe rahenge.Musa Alaihi salam ne Allah se kaha ki Ya RABB main apne aur apne bhai (Hrun Alaihi salam) ke siwa aur kisi par ikhtiyar nahi rakhta to tu hum mein aur in nafarman logo mein judayee farma de
Surah maeda (5), Ayat 22-25

Tafsir Ibn kathir : Jo log paldne ko tayyar huye unmein se ek ka naam  *Hazrat Yusha bin Noon Alaihi salam tha dusre Ka naam Kaleb bin Yufna* tha innhone Kaha agar tum Allah Subhanahu par bharosa rakhoge Uske Rasool ki ita'at karoge to Allah Subhanahu tumhein un dushmano par galib kar dega aur tumari madad aur taaid karega aur iss Shehar main galbe ke sath ponch jaoge tum darwaze tak to chale chalo Yaqeen Mano galba tumara hi Hain lakin bani israeel ne apna pehla Jawab aur mazbut Kar Diya aur Kaha ke iss jabbar Qoum ki mojudgi main Hamara ek Qadam badhana bhi namumkin hai *Hazrat Musa aur Haroon Alahai Salam ne Dekh Kar bahut samjhaya Yaha tak ke unke samne badi aajazi ki lakin wo na mane* 
Surah maeda (5), Ayat 22-25

Answer B
------------
When the Musa Alaihi salam said to the Children of Israel to perform Jihad and enter Jerusalem three  people got ready to fight 

1. Harun Alaihi Salam
2. Yusha bin noon Alaihi Salam
3. Kaleb bin Yufna
------------
Al Quran : O my people! Enter the holy land (Palestine) which Allah has assigned to you and turn not back (in flight); for then you will be returned as losers."
They said: "O Musa (Moses)! In it (this holy land) are a people of great strength, and we shall never enter it till they leave it; when they leave, then we will enter Two men of those who feared (Allah and) on whom Allah had bestowed His Grace (they were يوشع وكالب Yusha' and Kalab) said: "Assault them through the gate; for when you are in, victory will be yours; and put your trust in Allah if you are believers indeed. They said: "O Musa (Moses)! We shall never enter it as long as they are there. So go you and your Lord and fight you two, we are sitting right here.He [Musa (Moses)] said: "O my Lord! I have power only over myself and my brother (Harun), so separate us from the people who are the Fasiqun (rebellious and disobedient to Allah)!"
Surah maeda (5), Ayat 22-25

No comments:

Post a Comment