Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, August 29, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 937❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  937❗

Zaid radi allahu anhu ne Quran ke saeefo (Aayato) ko jama karke Abu Bakr Radi Allahu anhu ko de diye to aur unki wafat ke baad wo umar radi allahu anhu ke pass rahe

Sawal : Umar radi allahu anhu ki wafat ke baad wo Quran ke saeefe kiske paas rahe ?

A. Ali Radi Allahu Anhu 
B. Aisha Radi Allahu Anha
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Hafsha Radi Allahu Anha
F. Fatima Radi Allahu Anha
G. Inme se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Zaid radi allahu anhu collected the all Quranic verses as a complete manuscript and gave it to Abu Bakr radi allahu anhu , it remained with Abu Bakr Radi Allahu Anhu till 
he died, then with Umar Radi Allahu Anhu till the end of his life.

Sawal : After the death Umar radi allahu anhu who kept that menuscript of the Quran  ?

A. Ali Radi Allahu Anhu 
B. Aisha Radi Allahu Anha
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Hafsha Radi Allahu Anha
F. Fatima Radi Allahu Anha
G. None of the above
H. I want to know

✅Sahi Jawab: D💐
----
✦ Zaid bin thabit Radi Allahu Anhu se riwayat hai Jang e Yamama mai Ashab Radi Allahu Anhuma ki badi tadad ke shaheed ho jane ke baad Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne mujhe bulaya us waqt Umar Radi Allahu Anhu bhi unke paas wahi mojud they Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kaha ki Umar Radi Allahu Anhu mere pass aaye aur unhone kaha ke Yamama ki jang mai bahut badi tadad mai Quran ke qariyon ki Shahadat ho gayee hain aur mujhe darr hain ke issi taraha kaffar ke Sath dusri jango mein bhi Qura e Quran (Quran ke Qari) badi tadad mai qatl ho jaenge aur aise Quran ke janane walo ki bahut badi tadad khatam ho jayegi isliye mera khayal hain ke aap Quran majid ko baqaida kitabi shakl mai jama karne ka hukum dein maine Umar Radi Allahu Anhu se kaha ke aap ek aisa kaam kis taraha karenge jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni zindagi mein nahi kiya Umar Radi Allahu Anhu ne iss Ka Jawab ye diya ke Allah ki kasam ye to ek khair ka kaam hai Umar Radi Allahu Anhu ye baat mujhse bar bar kehte rahe akhir Allah Subhanahu ne iss masle mein mera seena khol diya aur ab meri bhi wahi raye ho gayee hain jo umar radi allahu anhu ki thi 

✦ Zaid Radi Allahu Anhu ne bayan kiya Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne farmaya Aap ( Zaid Radi Allahu Anhu) Jawan aur aqalmand hain aur aap ke mamale mai shak bhi nahi kiya jaa sakta aur aap Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki wahi likhte bhi they islye aap Quran Majid ko Puri talash aur mehnat ke sath ek jagha jama karen Allah ki qasam agar ye log mujhe kisi pahad ko bhi uski jagha se dusri jagha hatane ke liye kehte toh mere liye ye kaam utna mushkil nahi tha ke unka ye hukum ke mein Quran Majid jama Kar du

 ✦ Main ne us par kaha ke Aap log ek aise kaam ko Karne ki himmat kaise Karte hain jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne khud nahi Kiya tha Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne Kaha Allah ki kasam ye ek aamal Khair hain Abu Bakr Radi Allahu Anhu ye jumla barabr duharate rahe Yaha tak Allah Subhanahu ne mera bhi unki aur umar ki taraha seena khol diya islye meine Quran Majid( jo mukhtalif cheezon par likha hua mojud tha ) ki talash shuru Kar di  aur Quran majid ko Khajur ki cheeli huye shakhon patle pattaron se ( jin par Quran likha gaya tha) aur logo ke seeno ki madad se jama Karne laga Surah Tauba ki akhri aayatein mujhe Abu khuzaima Radi Allahu Anhu ke paas likhi huyee mili ye kuch aayat maktab shakal mai unke siwa aur kisi ke paas nahi thi Surah Tauba ke khatma tak jama ke baad Quran majid ke ye suhfeh Abu Bakr Radi Allahu Anhu ke paas mehfuz they phir unke wafat ke baad Umar Radi Allahu Anhu ne jab tak wo zinda rahe apne paas rakha phir wo Ummul Momeenen Hafsa Radi Allahu Anhu ke paas mehfuz raha
Sahih Bukhari, 4986

Answer D
---------
Narrated Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu Abu Bakr As-Siddiq sent for me when the people of Yamama had been killed (i.e., a number of the Prophet's Companions who fought against Musailima). (I went to him) and found `Umar bin Al- Khattab sitting with him. Abu Bakr then said (to me), "`Umar has come to me and said: "Casualties were heavy among the Qurra' of the Qur'an (i.e. those who knew the Qur'an by heart) on the day of the Battle of Yamama, and I am afraid that more heavy casualties may take place among the Qurra' on other battlefields, whereby a large part of the Qur'an may be lost. Therefore I suggest, you (Abu Bakr) order that the Qur'an be collected." I said to `Umar, "How can you do something which Allah's Apostle did not do?" `Umar said, "By Allah, that is a good project." `Umar kept on urging me to accept his proposal till Allah opened my chest for it and I began to realize the good in the idea which `Umar had realized." Then Abu Bakr said (to me). 'You are a wise young man and we do not have any suspicion about you, and you used to write the Divine Inspiration for Allah's Messenger (ﷺ). So you should search for (the fragmentary scripts of) the Qur'an and collect it in one book." By Allah If they had ordered me to shift one of the mountains, it would not have been heavier for me than 
this ordering me to collect the Qur'an. 

Then I said to Abu Bakr, "How will you do something which Allah's Messenger (ﷺ) did not do?" Abu Bakr replied, "By Allah, it is a good project." Abu Bakr kept on urging me to accept his idea until Allah opened my chest for what He had opened the chests of Abu Bakr and `Umar. So I started looking for the Qur'an and collecting it from (what was written on) palme stalks, thin white stones and also from the men who knew it by heart, till I found the last Verse of Surat at-Tauba (Repentance) with Abi Khuzaima Al-Ansari, and I did not find it with anybody other than him. The Verse is: 'Verily there has come unto you an Apostle (Muhammad) from amongst yourselves. It grieves him that you should receive any injury or difficulty..(till the end of Surat-Baraa' (at-Tauba) (9.128-129). Then the complete manuscripts (copy) of the Qur'an remained with Abu Bakr Radi Allahu Anhu till he died, then with Umar Radi Allahu Anhu till the end of his life, and then with Hafsa Radi Allahu Anha , the daughter of 
`Umar.
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 509

No comments:

Post a Comment