Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, August 24, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 932❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 932❗

Ek baar ek sahabi ko kisi kaam ke karne ka hukm diya gaya to unhone kaha Allah ki kasam mujhe kisi pahad ko ek jagah se dusri jagah hatane ke liye kaha jata to ye kaam mujhe utna mushkil nahi lagta jitna ki ye hukm

Sawal 1 : Ye Alfaz kaunse sahabi ne kahe they ?

A. Zaid bin thabit Radi allahu anhu
B. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi allahu anhu
D. Umar Radi allahu anhu
E. Jabir Radi allahu anhu
F. Abu Hurairah Radi allahu anhu
G.  Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Unko kya kaam karne ka hukm diya gaya tha ?

A. Rasool-Allah  ﷺ ko Gaar e saur mein Khabre pahuchane ka
B. Makka se Habsha hijrat karne ka
C. Quran ko ek jagah jama karne ka
D. Hjrat ki raat Rasool-Allah  ﷺ ke bistar par sone ka
E. HIjrat ki raat Rasool-Allah  ﷺ  ki hifazat karne ka
F. Banu Quraiza ka muhasra karne ka
G.  Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Once a sahabi was ordered to do some task after hearing this he said "By Allah If I was ordered to shift one of the mountains, it would not have been heavier for me than this order"

Quiz 1 : Who said this words ?

A. Zaid bin thabit Radi allahu anhu
B. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi allahu anhu
D. Umar Radi allahu anhu
E. Jabir Radi allahu anhu
F. Abu Hurairah Radi allahu anhu
G. None of the above
H. I want to know

Quiz 2 :  Which Order he was given to do ?

A. To give the news about the disbelivers of makka to the Rasool-Allah  ﷺ in the cave 
B. To Migrate from makka to Habsha(Ethiopia)
C.  The Qur'an be collected on one place
D.  To sleep on the bed of Rasool-Allah  ﷺ  at the night of migration
E.  To protect the Rasool-Allah  ﷺ  at the night of migration
F.  To besiege the Banu Quraiza untill their surrender
G. None of the above
H. I want to know

---
✅Sahi Jawab: AC💐
----
✦ Zaid bin thabit Radi Allahu Anhu se riwayat hai Jang e Yamama mai Ashab Radi Allahu Anhuma ki badi tadad ke shaheed ho jane ke baad Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne mujhe bulaya us waqt Umar Radi Allahu Anhu bhi unke paas wahi mojud they Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kaha ki Umar Radi Allahu Anhu mere pass aaye aur 
unhone kaha ke Yamama ki jang mai bahut badi tadad mai Quran ke qariyon ki Shahadat ho gayee hain aur mujhe darr hain ke issi taraha kaffar ke Sath dusri jango mein bhi Qura e Quran (Quran ke Qari) badi tadad mai qatl ho jaenge aur aise Quran ke janane walo ki bahut badi tadad khatam ho jayegi isliye mera khayal hain ke aap Quran majid ko baqaida kitabi shakl mai jama karne ka hukum dein maine Umar Radi Allahu Anhu se kaha ke aap ek aisa kaam kis taraha karenge jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni zindagi mein nahi kiya Umar Radi Allahu Anhu ne iss Ka Jawab ye diya ke Allah ki kasam ye to ek khair ka kaam hai Umar Radi Allahu Anhu ye baat mujhse bar bar kehte rahe akhir Allah Subhanahu ne iss masle mein mera seena khol diya aur ab meri bhi wahi raye ho gayee hain jo umar radi allahu anhu ki thi 

✦ Zaid Radi Allahu Anhu ne bayan kiya Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne farmaya Aap ( Zaid Radi Allahu Anhu) Jawan aur aqalmand hain aur aap ke mamale mai shak bhi nahi kiya jaa sakta aur aap Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki wahi likhte bhi they islye aap Quran Majid ko Puri talash aur mehnat ke sath ek jagha jama karen Allah ki qasam agar ye log mujhe kisi pahad ko bhi uski jagha se dusri jagha hatane ke liye kehte toh mere liye ye kaam utna mushkil nahi tha ke unka ye hukum ke mein Quran Majid jama Kar du
Sahih Bukhari, 4986

Answer AC
---------
Narrated Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu Abu Bakr As-Siddiq sent for me when the people of Yamama had been killed (i.e., a number of the Prophet's Companions who fought against Musailima). (I went to him) and found `Umar bin Al- Khattab sitting with him. Abu Bakr then said (to me), "`Umar has come to me and said: "Casualties were heavy among the Qurra' of the Qur'an (i.e. those who knew the Qur'an by heart) on the day of the Battle of Yamama, and I am afraid that more heavy casualties may take place among the Qurra' on other battlefields, whereby a large part of the Qur'an may be lost. Therefore I suggest, you (Abu Bakr) order that the Qur'an be collected." I said to `Umar, "How can you do something which Allah's Apostle did not do?" `Umar said, "By Allah, that is a good project." `Umar kept on urging me to accept his proposal till Allah opened my chest for it and I began to realize the good in the idea which `Umar had realized." Then Abu Bakr said (to me). 'You are a wise young man and we do not have any suspicion about you, and you used to write the Divine Inspiration for Allah's Messenger (ﷺ). So you should search for (the fragmentary scripts of) the Qur'an and collect it in one book." By Allah If they had ordered me to shift one of the mountains, it would not have been heavier for me than this ordering me to collect the Qur'an. 
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 509

No comments:

Post a Comment