Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, August 16, 2019

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 870*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 870*❗

*Sawal : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Fateh makka ke roz kin logo ko aman dene ka elan kiya tha ?*

A. Jo Abu Hurairah ke ghar dakhil ho
B. Jo Abu Bakr ke ghar dakhil ho jaye
C. Jo Abu Sufyan ke ghar dakhil ho 
D. Jisko Umm Salma aman de de
E. Jisko Umm Hani aman de de
F. Jisko Fatima aman de de
*Radi Allahu Anhuma*
G. Jo Ghar ke darwaze band kar de
H. Jo Masjid mein dakhil ho jaye
I. Sahi Jawab ka intezar hai 
-


❗*Only-Quran-Hadith Quiz*❗

*Quiz : On the conquest of Makka, for whom Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam said that he is safe ?*

A. The one who enters the house of Abu Hurairah 
B. The one who enters the house of Abu Bakr
C. The one who enters the house of Abu Sufyan
D. The one who grant peace by umm salma
E. The one who grant peace by umm hani
F. The one who grant peace by Fatima
*Radi Allahu Anhuma*
G. The one who closes the door
H. The one who enters the mosque 
I. I want to know


CEGH

Narrated by Umm hani bint Abu Talib Radi Allahu Anha on the conquest of Makka I gave refuge to two of my cousine brothres and I closed the door of my house , My brother Ali radi Allahu Anhu came and willing to kill both of them , I run towards RasoolAllah  Sallallahu Alahih Wasallam but he was not present in house but fatima Radi Allahu Anha was present there and she put more presuure on me more than her husband (regarding to kill both of them), sudddenly RasoolAllah Sallallahu Alahih Wasallam came to the house , I described everything to him , He  Sallallahu Alahih Wasallam said Ya Umm hani to whome you have given refuge I too refuge and to whom you have given security I too give security.
Al-Silsila-As-Sahiha 2202

On the conquest of Makka Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said He who enters the house of AbuSufyan is safe; he who closes the door upon him is safe; and he who enters the mosque is safe. The people scattered to their houses and in the mosque.
Sunan Abu Dawud, Book 19, 3016-Hasan


CEGH
-----------
Umme Hani binte Abi talib Radi Allahu Anha se riwayat hai Fatah Makkah ke moqe par maine apne do dewaron (shohar ke bhaeeyo) ko panah di aur inn dono ko ghar main laa kar darwaza band kar diya,  Mere bhai Ali Radi Allahu Anhu aaye aur un dono par talwar rakh li, Main jaldi se Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke paas aayee to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe nahi mile , Fatima Radi Allahu Anha mil gayee wo apne Shohar se bhi zyada mujh par dabaon dalne lagee , phir Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam tashreef laye aur main Aap Sallallahu Alahih Wasallam ko sara haal bataya to Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmane lage, Umme Hani  jisko tumne panah di usko hamne bhi panah di aur jisay tumne aman di hamne bhi Aman di
Al-Silsila-As-Sahiha 2202

Fateh Makka ke din Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jo Abu Sufiyan ke ghar main dakhil ho jaye uske liye aman hai ( wo Qatl nahi Kiya jaega ) aur Jo apne Ghar main darwaza   band kar ke baithe rahe uske liye Aman hai aur jo khaane Kaba main dakhil ho jaye usko Aman hai ye sun Kar log apne apne gharon main aur Masjid main bant gaye
Sunan Abi dawud  book 19 , 3022

No comments:

Post a Comment