Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, August 25, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 933 ❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 933 ❗

Ek baar ek aurat ne khwab mein dekha ki Ek Nabee ke  jism se ek tukda kaat diya gaya aur uski gaud me rakh diya gaya

Sawal 1 : Us khwab ki tabir kaunse nabee ne batayee thi ?

A. Musa Alaihi Salam
B. Yusuf Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Yaqub Alaihi Salam
E. Saleh Alaihi Salam
F. Muhammed SallAlalahu Alaihi Wasallam
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai 

Sawal 2 : Us khwab ki tabeer mein inmein  se kis baat ki taraf ishara tha  ?

A. Hussain Radi Allahu Anhu ki shahadat
B. Yusuf Alaihi Salam ka Qaid hona
C. Hamza Radi Allahu Anhu ka Shaheed hona 
D. Hussain Radi Allahu anhu ka paida hona
E. Ismaeel Alaih salam ka zabah hona 
F. RasoolAlllah Sallallaahu Alaihi Wasallam ke bete ki wafat
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Once a woman saw a a dream that a part of a Prophet body has been cut and placed in her lap

Quiz 1 : Who explaines the interpretation of that dream ?

A. Musa Alaihi Salam
B. Yusuf Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Yaqub Alaihi Salam
E. Saleh Alaihi Salam
F. Muhammed SallAlalahu Alaihi Wasallam
G. None of the above
H. I want to know

Quiz 2 : What was the interpretation of that dream ?

A. The martyrdom of Hussain Radi Allahu Anhu
B. imprisonment of Yusuf Alaihi salam
C. The martyrdom of Hamza Radi Allahu anhu 
D. The Birth of Hussain Radi Allahu Anhu
E. Slaughtering of Islamil Alaihi salam
F. The death of the son of RasoolAlllah ﷺ 
G. None of the above
H. I want to know

✅   Sahi Jawab FD🌷
-------------
Umme Fadhl bint Haris radi allahu anha se rivayat hai ki unhone RasoolAllah ﷺ se farmaya ,  Ya RasoolAllah ﷺ maine aaj raat ek darane wala khwab dekha Aap ﷺ ne farmaya aapne kya khwab dekha ? Unhone kaha bahut he pareshan karne wala tha ? Aap ﷺ ne phir se farmaya aapne kya khwab dekha Arz karne lagi ke maine dekha aapke jism mubarak se ek tukda kaat diya gaya aur meri gaud me rakh diya gaya, RasoolAllah ﷺ ne irshad farmya tumne bahut accha khwab dekha he  (iski tabir ye hai ki) in sha ALLAH Fatima Radi Allahu anha ke ghar ek bete ki paidayeesh hogi aur wo aap ki gaud me ayege aur huva bhi aesa hi Hazrat Fatima Radi Allahu Anha ke ghar Hazrat Hussain Radi Allahu Anhu ki Paidayeesh huyee aur wo meri gaud me aaye jaisa ke RasoolAllah  ﷺ ne basharat di thi.

Phir ek din main RasoolAllah  ﷺ ki bargah me hazir huyee aur  hazrat Hussian radi Allahu anhu ko aapki gaud me diya aur uske baad kya dekhti hu ke Huzur ﷺ ki aankho se aansoo jari ho gaye yeh dekh kar maine farmaya Ya RasoolALLAH ﷺ mere maa baap aap par qurban ho kya baat he? Aap ﷺ ne farmaya: Jibril alaihi salam ne mujhse farmaya hai ki meri ummat ke kuch log mere is bete ko qatl kar denge, maine kaha kya inhe qatl kar denge ? RasoolAllah ﷺ ne  farmaya haa aur Jibraeel Alaihi salam ne 
us sarzmeen ki surkh mitti bhi mujhe di he
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2508

✅ Answer FD
-------------
Umme Fadhl bint Haris Radi Allahu Anha Narrated that she went to the RasoolAllah  ﷺ  and said: Ya RasoolAllah ﷺ This night I saw a horrifying dream.  RasoolAllah ﷺasked her What dream did you see?  She said: I saw as if a part of your body has been cut and placed in my lap. RasoolAllah  ﷺ  said: You saw a good dream.  In sha Allah, Fatimah will have a son and he will be placed in your lap.It happened as the RasoolAllah  ﷺ   had said. Fatima Radi Allahu Anha was blessed with Hussain Radi Allahu Anhu and he was placed in my lap.

Then one day, I went to the RasoolAllah  ﷺ   and placed Hussain Radi Allahu anhu  before Him.  What I saw! That the RasoolAllah  ﷺ   eyes were full of tears.  Upon seeing this, I asked: Ya RasoolAllah  ﷺ  , May my mother and father be sacrificed for your sake, what is the reason of your crying?  RasoolAllah  ﷺ  said: Jibril came to me and said 
that very soon, some people from my Ummah will martyr this son of mine.  I asked: O Prophet, will they martyr him ?  RasoolAllah  ﷺ   said: Yes and Jibril gave me the red sand of that place.
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2508

No comments:

Post a Comment