Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, August 16, 2019

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 896* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 896* ❗


*Sawal : Inmein se kaun kaun se kabira gunah hai ?*

A. Allah ki Shafqat se naummed hona
B. Apne waldein par lanat karna
C. Sharab peena
D. Juaa khelna
E. Musalman ko bina wajah takleef dena
F. Yateemo ka maal khana
G. kafir ki namaz e janaza padhana
H. Sahi Jawab ka intezar hai


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗

*Quiz : Which are the Great (kabira) sins ?* 

A. Despair of the blessing of Allah
B. Cursing the parents
C. Drink alcohol (Wine)
D. Gambling
E. Hurting any believers without any reason
F. Eating the property of orphans
G. Performing the Funeral prayer of disbeliever
H. I want to know


Sahi jawab ABCDF
---------
✦ Al Quran : Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke bare mein puchte hain kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch fayde bhi hain magar unka Gunah unke fayde se bahut bada hai 
Surah Al-Baqara, (2), Verse 219 

✦ Al Quran : Aur Yateemo ko unke maal de do aur napak ko paak se na badlo aur un ke maal apne maal ke saath mila kar kha na jaya karo , ye bada gunah hai 
Surah An-Nisa , Aayat 2

✦ Ek Admee ne kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kabira gunah (Bade gunah) kya hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Ke saath Shirk Karna, Allah Subhanahu ki Shafqat (naimat) se na ummeed hona aur Allah Subhanahu ki Rahmat se Mayus hona (kabira gunah hai).
Al-Silsila-tus-Sahiha 1050

✦ Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya yakeenan kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi apne waldein par laanat bheje (logo ne pucha) ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam koi shakhsh apne hi waldein par laanat kaise bhejega to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi shakhs dusro ke walid ko bura kahaega to dusra bhi uske walid aur maa ko bura kahega (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega)
Sahih Bukhari,Vol 7, 5973





Answer ABCDF
-------
✦ Al Quran : They ask you concerning alcoholic drink and gambling. Say: In them is a great sin, and (some) benefit for men, but the sin of them is greater than their benefit.
Al Quran, Al-Baqara (2), Verse 219

✦ Al Quran : And give unto orphans their property and do not exchange (your) bad things for (their) good ones; and devour (eat) not their substance (by adding it) to your substance. Surely, this is a great sin.
Surah An-Nisa (4), Aayat 2

✦ Narrated Abdullah bin Abas Radhi Allahu Anhu, A person asked,  Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! Which are the great sins?"
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, To join others in worship with ALLAH,  to despair of the blessing of Allah, to despair of the mercy of Allah.
Al-Silsila-tus-Sahiha 1050

✦  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said. It is one of the greatest sins that a man should curse his parents." It was asked (by the people), "O Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam ! How does a man curse his parents?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "'The man abuses the father of another man and the latter abuses the father of the former and abuses his mother."
Sahih Bukhari, Book 73, Hadith 4


No comments:

Post a Comment