Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, August 15, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 759❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 759❗  

Sawal : Inmein se kiski paidayeesh Quba mein huyee thi ?

A. Asma bint abu bakr Radi Allahu Anha
B. Umama Radi Allahu Anha
C. Fatima Radi Allahu Anha
D. Talha Radi Allahu Anhu
E. Abdullah ibn Zubair Radi Allahu Anhu
F. Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗  

Quiz : Who got birth in Quba  ?

A. Asma bint abu bakr Radi Allahu Anha
B. Umama Radi Allahu Anha
C. Fatima Radi Allahu Anha
D. Talha Radi Allahu Anhu
E. Abdullah ibn Zubair Radi Allahu Anhu
F. Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know



Sahi Jawab E
Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Anhu
-----------
Asma Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhu unke pait main thay un dino jab Hamal ki muddat bhi Puri ho chuki thi mein madina ke liye rawana huyee yaha paunch Kar meine Quba mein padao Kiya aur yahi Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhu paida huye phir mein innehin le Kar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki khidmat main hazir huyee aur Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki goud mein usay rakh diya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Ek Khajoor talab farmayee aur usay chaba Kar Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhu ke muh mein usay rakh diya islye Sabse pahli Cheez Jo Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhu ke pait main dakhil huyee wo Huzur Sallallahu Alahih Wasallam Ka luaab e Mubarak tha Uske bad Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne unke liye dua farmayee aur Allah Subhanahu se unke liye barkat talab ki  Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhu Sabse pahle bachche hai Jinki paidash hijrat ke baad huyee
Sahih al-Bukhari 3909

Answer E
-----------
Narrated Asma Radi Allahu Anhu That she conceived Abdullah bin Az-Zubair. She added, "I migrated to Medina while I was at full term of pregnancy and alighted at Quba where I gave birth to him. Then I brought him to the Prophet (ﷺ) and put him in his lap. The Prophet (ﷺ) asked for a date, chewed it, and put some of its juice in the child's mouth. So, the first thing that entered the child's stomach was the saliva of Allah's Messenger (ﷺ). Then the Prophet rubbed the child's palate with a date and invoked for Allah's Blessings on him, and he was the first child born amongst the Emigrants in the Islamic Land (i.e. Medina).
Sahi Bukhair, Book 58, Hadith 248

No comments:

Post a Comment