Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, August 15, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 753 ❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 753 ❗ 

*Jawab ek se zyada hain*

*Agar saaton aasman aur zameen ek palde main rakhein jaye aur La ilaha illAllah dusre palde mein ho to La ilaha illAllah ka palda bhari ho jayega*

*Sawal : Ye alfaz kisne kis se kahe they ?*

A. Musa Alaihi Salam ne Allah Subhanahu se
B. RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne Abu Bakr radi allahu anhu se 
C. Luqman Alaihi Salam ne Apne bete se
D. Ibrahim Alaihi Salam ne Ismeel Alaihi Salam se
E. Nooh Alaihi Salam ne apne bete se
F. Allah subhanahu ne Musa Alaihi salam se
G.  RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne Umar radi allahu anhu se 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗*Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*Quiz : Who said these words to whom ?*

*if the seven heavens and the seven earths were placed upon a scale and  La ilaha illAllah was placed on the other, then  La ilaha illAllah would be heavier*

A. Musa Alaihi Salam said to Allah Subhanahu
B. RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam said to Abu bakr radi allahu anhu 
C. Luqman Alaihi Salam said to his son
D. Ibrahim Alaihi Salam said to ismael alaihi salam
E. Nooh Alaihi Salam said to his son
F. Allah Subhanahu said to Musa Alaihi salam
G. RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam said to Umar radi allahu anhu 
H. I want to know

*✅ Sahi Jawab EF 💐*
----------
✦: Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaye ek baar Musa Alaihi salam ne Allah subhanahu se kaha Ya RABB mujhe koi aise Cheez seekha dijiye jiske zariye tera Zikr Karu aur tujhe pukaru Allah Subhanahu ne farmaya Ya Musa  kaho Laa ilaha illAllah , Musa Alaihi salam ne Kaha tere Sare bande yehi kahte hai to Allah Subhanahu ne farmaye kaho Laa illaha illallaha to Musa Alaihi salam ne Kaha,  Ya RABB la ilaha illAllah , tere Siwa Koi mabud Nahi, magar main kuch aisa chahata hu Jo sirf mere liye ho Allah Subhanahu ne farmaye Ya Musa agar mere alawa Saato Asman aur Saato Zameen aur unke darmiyan Sab ke Sab ek palde mein ho aur dusre palde Mai Laa illaha illAllah ka kalma ho to ye Kalme wala palda phir bhi bhari hoga
Sahih Ibn Hibbaan , 6353
Al-Hakim , 1936-Sahih

✦  Abdullah ibn Amru Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah ke Nabee Nooh Alahih Salam ki wafat Ka waqt Aaya to unhone apne bete se kaha main tumhein waseeyat karta hu, main tumehin do baaton Ka hukm deta hu aur do baaton se mana karta Hu, Mein tumehin La ilaha illAllah ka hukm deta hu kyuki agar saaton  aasman aur zameen ek palde main rakhein jaye aur La ilaha illAllah dusre palde mein to La ilaha illAllah Ka palda bhari ho jayega aur agar saaton zameen aur saaton aasman ek mazbut daayra ban Jaye to La ilaha illAllah inhe bhi tod dega aur main tumhein Subhan Allahi Wa bihamdihi Ka hukm deta hu kyuki ye har makhluq ki dua hai aur esse ke zariye sabko rizq diya jata hai aur mein tumhein shirk aur takabbur se mana karta hu
Al-Silsila-As-Sahiha 3130

*✅ Answer EF 💐*
-------------
✦ Narrated by Abdullah ibn Amru Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said When death was approaching the Prophet Nooh Alaihi salam, he said to his son: I will narrate to you my bequest; I command you with two things and prohibit you from two things. I command you with La ilaha illAllah (‘There is none worthy of worship in truth except Allaah) if the seven heavens and the seven earths were placed upon a scale and  La ilaha illAllah was placed on the other, then  La ilaha illAllah would be heavier.If the seven heavens and the seven earths were a closed off circle then  La ilaha illAllah would be able to break it.The second thing I command you with is Subhana Allaahi wa bihamdihi because it is a supplication for everything, and by it the creation is given its provision , And I prohibit you from shirk and pride.
Al Silsila As Sahiha, 3130

✦:It was narrated from Abu Sa‘eed al-Khudri Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Once Moosa Alaihi salam said: O Lord, teach me something by which I may remember You and call upon You.’ Allah subhanahu  said: ‘Say: Laa ilaha illAllah ’ He said: ‘O Lord, all Your slaves say that.’ Allah subhanahu  said: ‘Say: Laa ilaha illAllah.’  He said:  La ilaha illah - There is no god but You, my Lord, but I wanted something that is only for me.’ Allah subhanahu said: ‘O Musa, if the seven heavens and all their inhabitants except Me, and the seven earths, were (placed) in one pan (of the Balance) and Laa ilaaha ill-Allah was placed in the other pan, Laa ilaha illAllah would be heavier than all.
Sahih Ibn Hibbaan , 6353
Al-Hakim , 1936-Sahih

No comments:

Post a Comment