Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, August 15, 2019

Only-Quran-Hadith Quiz 747

Only-Quran-Hadith Quiz 747

Dono sawalo ke jawab saath mein dijiye

Sawal 1 : Qayamat ke din jab logo ko Allah subhanahu ko sazda karne ke liye bulaya jayega to  kuch log sazda nahi kar payenge kyu ?

A. Wo duniya mein sahi salamt they to sazda nahi karte they
B. Wo dusre logo ko Sajda karne se rokte they
C. Wo sirf apne buto ke aage hi sazda karte they
D. Wo sirf maal ke liye sazda karte they
E. Wo Allah ko nahi pahchan payenge
F. Wo duniya mein khudayee ka dawa karte they
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 :Us waqt wo kaunsi saza hogi jo unke badan ko di jayegi ?

A. Unke paanw mein aag ki jutiya pahnayee jayegi
B. Unka aadha badan zameen mein dhansa diya jayega
C. Unki kamar ko takhta bana diya jayega
D. Unke peshaniyo ko aag se daaga jayega
E. Unko Dozakh ka indhan banaya jayega
F. Unke badan par Jalta hua angara rakha jayega
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

Kindly reply both quiz together

Quiz 1 : On the day of Qayamah when All people will be called to prostrate to Allah , some people will not be able to do so, why ?

A. They refused to prostrate in this world , even though they were healthy
B. They used to prohibit to the other people from the prostration
C. They used to prostrate to their idols only
D. They used to prostrate just for money 
E. They will not be able to identify Allah
F. In this world they use to say that they are Lord
G. None of the above
H. I want to know


Quiz 2 : What kind of punishment their body will get that time ?

A. Their feet will have two shoes of fire 
B. Their half body will be sank inside the ground
C. Their backs will become one plate
D. Their forhead will be cauterized
E. They will be the fuel of hell
F. A burning coal will be put on their body
G. None of the above
H. I want to know

Sahi Jawab AC
------------
يَوْمَ يُكْشَفُ عَن سَاقٍ وَيُدْعَوْنَ إِلَى السُّجُودِ فَلَا يَسْتَطِيعُونَ

خَاشِعَةً أَبْصَارُهُمْ تَرْهَقُهُمْ ذِلَّةٌ ۖ وَقَدْ كَانُوا يُدْعَوْنَ إِلَى السُّجُودِ وَهُمْ سَالِمُونَ
------------------
Al Quran : Jis din pindli kholi jayegi aur wo sajde ke liye bulaye jayenge to sajda nahi kar sakenge unki aankhe jhuki huyee hogi aur un par zillat chaa rahi hogi, aur wo pahle (duniya mein) sazde ke liye bulaye jaate they , jabki wo sahi salamat they
Surah Qalam (68), 42-43

Tafseer :
Qayamat ke din Zalim logo ki aankhe upar ki aur na uthegi aur wo zalee ho jayenge kyunki duniya mein bade sarkash (zalim) they aur takabbur karte they , sehat aur salamati ki halat mein jab unhe sajde ke liye (yani namaz ke liye) bulaya jata tha to wo ruk jaate they jiski saza ye mili ki aaj wo sajda karna chah rahe hain magar nahi kar paa rahe, Allah subhanahu ki tajalli dekh kar sare momeen to sajde mein chale jayenge magar kafir aur munafiq sajda nahi kar sakenge unki kamar takhta ban jayegee aur jhukegi hi nahi.
Tafseer ibn kathir , Surah Qalam (68), 42-43

Answer AC
----------
يَوْمَ يُكْشَفُ عَن سَاقٍ وَيُدْعَوْنَ إِلَى السُّجُودِ فَلَا يَسْتَطِيعُونَ

خَاشِعَةً أَبْصَارُهُمْ تَرْهَقُهُمْ ذِلَّةٌ ۖ وَقَدْ كَانُوا يُدْعَوْنَ إِلَى السُّجُودِ وَهُمْ سَالِمُونَ
------------------
Al Quran : (Remember) the Day when the Shin shall be laid bare (i.e. the Day of Resurrection) and they shall be called to prostrate themselves (to Allah), but they (hypocrites) shall not be able to do so. Their eyes will be cast down and ignominy will cover them; they used to be called to prostrate themselves (offer prayers), while they were healthy and good (in the life of the world, but they did not).
Surah Qalam (68), 42-43

Explanation:
Their eyes will be cast down and ignominy will cover them; means, in the final abode, due to their crimes and arrogance in the worldly life. Thus they will be punished with the opposite of what they did. When they were called to prostrate in the worldly life, they refused to do so even though they were healthy and secure. Therefore, they will be punished with the lack of ability to do so in the Hereafter. When the Almighty Lord makes Himself visible (before the believers), then the believers will fall down in prostration to Him, but no one of the disbelievers and hypocrites will be able to prostrate. rather, their backs will become one plate. Everytime one of them attempts to prostrate, he will bow his neck but will not be able to prostrate. 
Tafseer ibn kathir,Surah Qalam (68), 42-43

No comments:

Post a Comment