Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, August 31, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 938❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz  938❗

Sawal : Inmein se aisa kaunsa gunah hai jisko karne par ek aurat ki namaz us waqt tak qubul nahi hoti jab tak wo gusal na kar le?

A. Kisi Nujumi ke pass mustaqbil (future) ki baat  malum karne jana
B. Khushbu lagakar Masjid mein jana
C. Jadu karwana
D. Bina mahram ke 3 din se zyada ka safar karna
E. Gair mahram ke Janaze mein sharik hona
F. Gair mahram ke saath tanhayee mein baithna
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Quiz : What is that sin, if a woman do, her prayer will not be accpted untill she takes Bath?

A. Going to an astronomer to know about future
B. The one who puts on perfume then goes out to the mosque
C. The one who perform magic
D. The one who travel for more than 3 days without any mahram
E. The one who go with the Funerel of non mahram
F. The one who sit with non mahram in alone
G. None of the above
H. I want to know

✅: Sahi Jawab B
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo aurat Masjid jaane ke liye khushbu lagati hai , Allah subhanahu uski Namaz us waqt tak qubul nahi farmate jab tak wo laut kar Gusal-e-Janabat ki tarah Gusal na kar le
-----
 قَالَ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ‏‏‏‏ یُّمَا امْرَأَۃٍ خَرَجَتْ مِنْ بَیْتِہَا مُتطَیِّبَۃً تُرِیْدُ الْمَسْجِدَ لَمْ یَقْبَلِ اللّٰہُ عَزَّوَجَلَّ 
لَھَا صَلَاۃً حَتَّی تَرْجِعَ فَتَغْتَسِلَ مِنْہُ غُسْلَہَا مِنَ الْجَنَابَۃِ۔
Musnad Ahmed - 2501-Sahih

✅Answer B
-----
I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: ‘Any woman who puts on perfume then goes out to the mosque, no prayer will be accepted from her until she takes a bath.
-----
 قَالَ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ‏‏‏‏ یُّمَا امْرَأَۃٍ خَرَجَتْ مِنْ بَیْتِہَا مُتطَیِّبَۃً تُرِیْدُ الْمَسْجِدَ لَمْ یَقْبَلِ اللّٰہُ عَزَّوَجَلَّ 
لَھَا صَلَاۃً حَتَّی تَرْجِعَ فَتَغْتَسِلَ مِنْہُ غُسْلَہَا مِنَ الْجَنَابَۃِ۔
Musnad Ahmed - 2501-Sahih

Thursday, August 29, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 937❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz  937❗

Zaid radi allahu anhu ne Quran ke saeefo (Aayato) ko jama karke Abu Bakr Radi Allahu anhu ko de diye to aur unki wafat ke baad wo umar radi allahu anhu ke pass rahe

Sawal : Umar radi allahu anhu ki wafat ke baad wo Quran ke saeefe kiske paas rahe ?

A. Ali Radi Allahu Anhu 
B. Aisha Radi Allahu Anha
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Hafsha Radi Allahu Anha
F. Fatima Radi Allahu Anha
G. Inme se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Zaid radi allahu anhu collected the all Quranic verses as a complete manuscript and gave it to Abu Bakr radi allahu anhu , it remained with Abu Bakr Radi Allahu Anhu till 
he died, then with Umar Radi Allahu Anhu till the end of his life.

Sawal : After the death Umar radi allahu anhu who kept that menuscript of the Quran  ?

A. Ali Radi Allahu Anhu 
B. Aisha Radi Allahu Anha
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Hafsha Radi Allahu Anha
F. Fatima Radi Allahu Anha
G. None of the above
H. I want to know

✅Sahi Jawab: D💐
----
✦ Zaid bin thabit Radi Allahu Anhu se riwayat hai Jang e Yamama mai Ashab Radi Allahu Anhuma ki badi tadad ke shaheed ho jane ke baad Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne mujhe bulaya us waqt Umar Radi Allahu Anhu bhi unke paas wahi mojud they Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kaha ki Umar Radi Allahu Anhu mere pass aaye aur unhone kaha ke Yamama ki jang mai bahut badi tadad mai Quran ke qariyon ki Shahadat ho gayee hain aur mujhe darr hain ke issi taraha kaffar ke Sath dusri jango mein bhi Qura e Quran (Quran ke Qari) badi tadad mai qatl ho jaenge aur aise Quran ke janane walo ki bahut badi tadad khatam ho jayegi isliye mera khayal hain ke aap Quran majid ko baqaida kitabi shakl mai jama karne ka hukum dein maine Umar Radi Allahu Anhu se kaha ke aap ek aisa kaam kis taraha karenge jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni zindagi mein nahi kiya Umar Radi Allahu Anhu ne iss Ka Jawab ye diya ke Allah ki kasam ye to ek khair ka kaam hai Umar Radi Allahu Anhu ye baat mujhse bar bar kehte rahe akhir Allah Subhanahu ne iss masle mein mera seena khol diya aur ab meri bhi wahi raye ho gayee hain jo umar radi allahu anhu ki thi 

✦ Zaid Radi Allahu Anhu ne bayan kiya Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne farmaya Aap ( Zaid Radi Allahu Anhu) Jawan aur aqalmand hain aur aap ke mamale mai shak bhi nahi kiya jaa sakta aur aap Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki wahi likhte bhi they islye aap Quran Majid ko Puri talash aur mehnat ke sath ek jagha jama karen Allah ki qasam agar ye log mujhe kisi pahad ko bhi uski jagha se dusri jagha hatane ke liye kehte toh mere liye ye kaam utna mushkil nahi tha ke unka ye hukum ke mein Quran Majid jama Kar du

 ✦ Main ne us par kaha ke Aap log ek aise kaam ko Karne ki himmat kaise Karte hain jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne khud nahi Kiya tha Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne Kaha Allah ki kasam ye ek aamal Khair hain Abu Bakr Radi Allahu Anhu ye jumla barabr duharate rahe Yaha tak Allah Subhanahu ne mera bhi unki aur umar ki taraha seena khol diya islye meine Quran Majid( jo mukhtalif cheezon par likha hua mojud tha ) ki talash shuru Kar di  aur Quran majid ko Khajur ki cheeli huye shakhon patle pattaron se ( jin par Quran likha gaya tha) aur logo ke seeno ki madad se jama Karne laga Surah Tauba ki akhri aayatein mujhe Abu khuzaima Radi Allahu Anhu ke paas likhi huyee mili ye kuch aayat maktab shakal mai unke siwa aur kisi ke paas nahi thi Surah Tauba ke khatma tak jama ke baad Quran majid ke ye suhfeh Abu Bakr Radi Allahu Anhu ke paas mehfuz they phir unke wafat ke baad Umar Radi Allahu Anhu ne jab tak wo zinda rahe apne paas rakha phir wo Ummul Momeenen Hafsa Radi Allahu Anhu ke paas mehfuz raha
Sahih Bukhari, 4986

Answer D
---------
Narrated Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu Abu Bakr As-Siddiq sent for me when the people of Yamama had been killed (i.e., a number of the Prophet's Companions who fought against Musailima). (I went to him) and found `Umar bin Al- Khattab sitting with him. Abu Bakr then said (to me), "`Umar has come to me and said: "Casualties were heavy among the Qurra' of the Qur'an (i.e. those who knew the Qur'an by heart) on the day of the Battle of Yamama, and I am afraid that more heavy casualties may take place among the Qurra' on other battlefields, whereby a large part of the Qur'an may be lost. Therefore I suggest, you (Abu Bakr) order that the Qur'an be collected." I said to `Umar, "How can you do something which Allah's Apostle did not do?" `Umar said, "By Allah, that is a good project." `Umar kept on urging me to accept his proposal till Allah opened my chest for it and I began to realize the good in the idea which `Umar had realized." Then Abu Bakr said (to me). 'You are a wise young man and we do not have any suspicion about you, and you used to write the Divine Inspiration for Allah's Messenger (ﷺ). So you should search for (the fragmentary scripts of) the Qur'an and collect it in one book." By Allah If they had ordered me to shift one of the mountains, it would not have been heavier for me than 
this ordering me to collect the Qur'an. 

Then I said to Abu Bakr, "How will you do something which Allah's Messenger (ﷺ) did not do?" Abu Bakr replied, "By Allah, it is a good project." Abu Bakr kept on urging me to accept his idea until Allah opened my chest for what He had opened the chests of Abu Bakr and `Umar. So I started looking for the Qur'an and collecting it from (what was written on) palme stalks, thin white stones and also from the men who knew it by heart, till I found the last Verse of Surat at-Tauba (Repentance) with Abi Khuzaima Al-Ansari, and I did not find it with anybody other than him. The Verse is: 'Verily there has come unto you an Apostle (Muhammad) from amongst yourselves. It grieves him that you should receive any injury or difficulty..(till the end of Surat-Baraa' (at-Tauba) (9.128-129). Then the complete manuscripts (copy) of the Qur'an remained with Abu Bakr Radi Allahu Anhu till he died, then with Umar Radi Allahu Anhu till the end of his life, and then with Hafsa Radi Allahu Anha , the daughter of 
`Umar.
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 509

Wednesday, August 28, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 936 ❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 936 ❗

Sawal : Ek Yateem bachcha kab tak yateem rahta hai ?

A. Jab tak wo kamane na lag jaye
B.  Pahli maa ke wafat ke baad jab tak uske walid dusri shadi na kar le
C. Jab tak usko ehatlam na ho jaye
D. Jab tak wo 10 saal ka na ho jaye
E. Jab tak uski zimmedari koi le na le
F. Jab tak wo 7 saal ka na ho jaye
G. Inme se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Quiz : How long there will be orphanhood  for an orphan ?

A. Untill he start earing
B. Untill his ather get another marry
C. Untill puberty
D. Untill he become ten year old
E. Untill somebody take responsibility of him
F. Untill he become ten year old
G. None of the above
H. I want to know

✅: Sahi Jawab C
---
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ehatlaam (wet dream) hone ke baad koi yateemi nahi  (yani jab bachcha balig ho jata hai to wo yateme nahi rahta) aur jab bachchi haiza ho jaye to us par bhi yateemi jari nahi rahegi
Al-Silsila-As-Sahiha, 195

✅Answer C
---------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said that There is no orphanhood after puberty and as soon as the girl got her period of menses she will not be consider as an orphan any more.
Al-Silsila-tus-Sahiha , 195

Tuesday, August 27, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 935 ❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz  935 ❗

Sawal : Wo kaunse sahabi hain jo ek jung mein shaheed huye aur unke liye RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye ye mujhse hain aur main unse hu ? 

A. Jabir Radi Allahu Anhu
B. Zaid Radi Allahu Anhu
C. Musaib Radi Allahu Anhu
D. Julaibib Radi Allahu Anhu
E. Hanzala Radi Allahu Anhu
F. Hamza Radi Allahu Anhu
G. Inme se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

! Only-Quran-Hadith Quiz !

Quiz : There was a sahabi who got martyr in a battlefield and for him RasoolAllalh  Sallallahu Alaihi Wasallam said He is mine and I am his ,what's his name ?

A. Jabir Radi Allahu Anhu
B. Zaid Radi Allahu Anhu
C. Musaib Radi Allahu Anhu
D. Julaibib Radi Allahu Anhu
E. Hanzala Radi Allahu Anhu
F. Hamza Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know

✅ Sahi Jawab : D 💐
-----
Abu Barza Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam apni ek jang mai they Allah Subhanahu ne Aap Sallallahu Alahih Wasallam ko ( fateh ke sath) maal ganimat diya Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne apne logo se farmaya ke tum mein se koi gayab to nahi hai logo ne arz kiya ke haan falah , falah shaks gayab hain phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne pucha koi aur toh gayab nahi hai logo ne kaha ke falah falah shaks gayab hai phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya aur to koi gayab nahi hai logo ne arz Kiya ke koi nahi Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke mein Julaibib Radi Allahu Anhu ko nahi dekhta logo ne unko murdo mai dhunda toh unki lash saat (7) lasho ke paas payee gayee jinko Julaibib Radi Allahu Anhu ne mara tha wo saath ko mar kar shaheed ho gaye they.Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam unke paas aaye aur waha khade ho kar phir farmaya innhone Saath admeeyon ko mara Uske baad khud mare gaye ye mujh se hai aur mein inse hu
Sahih Muslim Jild6, 6358

Answer D
------------
Abu Barza reported that Allah's Apostle (ﷺ) was there in a battlefield that Allah conferred upon him the spoils of war. He said to his Companions:Is anyone missing amongst you? They said: So and so and so. He again said: Is there anyone missing amongst you? They said: So and so and so. He then said: Is there anyone missing amongst you? They said: No. Thereupon he (the Holy Prophet) said: But I am missing Julaibib. They (his Companions) searched him amongst those who had been killed and they found him by the side of seven (dead bodies) whom he had killed and he had been killed (by the oppoments). Allah's Apostle (ﷺ) came there and stood (by his side) and said: He killed seven (persons). Then (his opponents) killed him. He is mine and I am his. He then placed him upon his hands and there was none else to lift but Allah's Apostle (ﷺ). Then the grave was dug for him and he was placed in the grave and no mention is made of a bath.
Sahi Muslim, Book 31, 6045

Monday, August 26, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 934 ❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 934 ❗

Sawal : Dajjal ko kaunsi jagah Qatl kiya jayega ?

A. Koh-e-toor
B. Wadi-e-tuwa 
C. Baab-e-Ludd
D. Isfahan
E. Khurasan
F. Madina
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Sawal : At which place Dajjal will be killed ?

A. Koh-e-toor
B. Wadi-e-tuwa 
C. Baab-e-Ludd
D. Isfahan
E. Khurasan
F. Madina
G. None of the above
H. I want to know

✅: Sahi Jawab C
-----
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Eesa Alaihi salam dajjal ko talash karenge yahan tak ke us ko Baab-e-lud (Tel Aviv, israel) par pakad kar usko qatl kar denge. 
Sahih Muslim, Vol 6, 7373

✅:Answer C
------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi wasalam Eesa Alaihi Salam would search for Dajjal until he would catch hold of him at the gate of Ludd (Tel Aviv, israel) and would kill him
Sahih Muslim, Book 41, Hadith 7015

✦: Allahumma Dua


Bismillahirrahmanirraheem

✦: Allahumma Dua
------
اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي ‌‏ وَآمِنْ رَوْعَاتِي
✦:Allahummastur 'awrati, wa amin raw'ati
--
✦  Eh Allah mere aibo ko chupa de aur mere dil ko mutmayeen kar de
-
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَارْزُقْنِي
✦:Allahummagfirli, Wa Arhamni , Wa Arzuqni

✦:Eh Allah mujhe baksh de aur mujh par raham farma aur mujhe Rizq ata farma
----
اللَّهُـمّ إنِّي أَسْأَلُكَ الْجَنَّة الْفِرْدَوْسَ
✦:Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus 

✦:Ya Allah main tujhse Jannat Al-firdaus ka sawal karta hu
---
اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ
✦:Allahumma Ajirni Minan Naar
---
✦: Ya Allah mujhe Dozakh ki aag se Mehfuz farma
--
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

✦ Allahumma Salli Ala Muhammed
----
✦ Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par
--
-
اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي ‌‏ وَآمِنْ رَوْعَاتِي

✦:Allahummastur 'awrati, wa amin raw'ati
--
✦:O Allah, conceal my faults, keep me safe from the things which I fear.
---
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَارْزُقْنِي
✦ :Allahummagfirli, Wa Arhamni  Wa Arzuqni
--
✦:O Allah, forgive me and have mercy on me and provide (Rizq) for me.
---
اللَّهُـمّ إنِّي أَسْأَلُكَ الْجَنَّة الْفِرْدَوْسَ
✦:Allahumma inni Asaluka 
Al-Jannat-Al-Firdaus 
---
✦:Oh Allah I Ask you for Jannat Al-Firdaus
--
اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ
✦:Allahumma Ajirni Minan Naar
----
✦:Oh Allah protect me from the hell fire
--
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed
---
✦ Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Sunday, August 25, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 933 ❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 933 ❗

Ek baar ek aurat ne khwab mein dekha ki Ek Nabee ke  jism se ek tukda kaat diya gaya aur uski gaud me rakh diya gaya

Sawal 1 : Us khwab ki tabir kaunse nabee ne batayee thi ?

A. Musa Alaihi Salam
B. Yusuf Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Yaqub Alaihi Salam
E. Saleh Alaihi Salam
F. Muhammed SallAlalahu Alaihi Wasallam
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai 

Sawal 2 : Us khwab ki tabeer mein inmein  se kis baat ki taraf ishara tha  ?

A. Hussain Radi Allahu Anhu ki shahadat
B. Yusuf Alaihi Salam ka Qaid hona
C. Hamza Radi Allahu Anhu ka Shaheed hona 
D. Hussain Radi Allahu anhu ka paida hona
E. Ismaeel Alaih salam ka zabah hona 
F. RasoolAlllah Sallallaahu Alaihi Wasallam ke bete ki wafat
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Once a woman saw a a dream that a part of a Prophet body has been cut and placed in her lap

Quiz 1 : Who explaines the interpretation of that dream ?

A. Musa Alaihi Salam
B. Yusuf Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Yaqub Alaihi Salam
E. Saleh Alaihi Salam
F. Muhammed SallAlalahu Alaihi Wasallam
G. None of the above
H. I want to know

Quiz 2 : What was the interpretation of that dream ?

A. The martyrdom of Hussain Radi Allahu Anhu
B. imprisonment of Yusuf Alaihi salam
C. The martyrdom of Hamza Radi Allahu anhu 
D. The Birth of Hussain Radi Allahu Anhu
E. Slaughtering of Islamil Alaihi salam
F. The death of the son of RasoolAlllah ﷺ 
G. None of the above
H. I want to know

✅   Sahi Jawab FD🌷
-------------
Umme Fadhl bint Haris radi allahu anha se rivayat hai ki unhone RasoolAllah ﷺ se farmaya ,  Ya RasoolAllah ﷺ maine aaj raat ek darane wala khwab dekha Aap ﷺ ne farmaya aapne kya khwab dekha ? Unhone kaha bahut he pareshan karne wala tha ? Aap ﷺ ne phir se farmaya aapne kya khwab dekha Arz karne lagi ke maine dekha aapke jism mubarak se ek tukda kaat diya gaya aur meri gaud me rakh diya gaya, RasoolAllah ﷺ ne irshad farmya tumne bahut accha khwab dekha he  (iski tabir ye hai ki) in sha ALLAH Fatima Radi Allahu anha ke ghar ek bete ki paidayeesh hogi aur wo aap ki gaud me ayege aur huva bhi aesa hi Hazrat Fatima Radi Allahu Anha ke ghar Hazrat Hussain Radi Allahu Anhu ki Paidayeesh huyee aur wo meri gaud me aaye jaisa ke RasoolAllah  ﷺ ne basharat di thi.

Phir ek din main RasoolAllah  ﷺ ki bargah me hazir huyee aur  hazrat Hussian radi Allahu anhu ko aapki gaud me diya aur uske baad kya dekhti hu ke Huzur ﷺ ki aankho se aansoo jari ho gaye yeh dekh kar maine farmaya Ya RasoolALLAH ﷺ mere maa baap aap par qurban ho kya baat he? Aap ﷺ ne farmaya: Jibril alaihi salam ne mujhse farmaya hai ki meri ummat ke kuch log mere is bete ko qatl kar denge, maine kaha kya inhe qatl kar denge ? RasoolAllah ﷺ ne  farmaya haa aur Jibraeel Alaihi salam ne 
us sarzmeen ki surkh mitti bhi mujhe di he
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2508

✅ Answer FD
-------------
Umme Fadhl bint Haris Radi Allahu Anha Narrated that she went to the RasoolAllah  ﷺ  and said: Ya RasoolAllah ﷺ This night I saw a horrifying dream.  RasoolAllah ﷺasked her What dream did you see?  She said: I saw as if a part of your body has been cut and placed in my lap. RasoolAllah  ﷺ  said: You saw a good dream.  In sha Allah, Fatimah will have a son and he will be placed in your lap.It happened as the RasoolAllah  ﷺ   had said. Fatima Radi Allahu Anha was blessed with Hussain Radi Allahu Anhu and he was placed in my lap.

Then one day, I went to the RasoolAllah  ﷺ   and placed Hussain Radi Allahu anhu  before Him.  What I saw! That the RasoolAllah  ﷺ   eyes were full of tears.  Upon seeing this, I asked: Ya RasoolAllah  ﷺ  , May my mother and father be sacrificed for your sake, what is the reason of your crying?  RasoolAllah  ﷺ  said: Jibril came to me and said 
that very soon, some people from my Ummah will martyr this son of mine.  I asked: O Prophet, will they martyr him ?  RasoolAllah  ﷺ   said: Yes and Jibril gave me the red sand of that place.
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2508

Saturday, August 24, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 932❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 932❗

Ek baar ek sahabi ko kisi kaam ke karne ka hukm diya gaya to unhone kaha Allah ki kasam mujhe kisi pahad ko ek jagah se dusri jagah hatane ke liye kaha jata to ye kaam mujhe utna mushkil nahi lagta jitna ki ye hukm

Sawal 1 : Ye Alfaz kaunse sahabi ne kahe they ?

A. Zaid bin thabit Radi allahu anhu
B. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi allahu anhu
D. Umar Radi allahu anhu
E. Jabir Radi allahu anhu
F. Abu Hurairah Radi allahu anhu
G.  Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Unko kya kaam karne ka hukm diya gaya tha ?

A. Rasool-Allah  ﷺ ko Gaar e saur mein Khabre pahuchane ka
B. Makka se Habsha hijrat karne ka
C. Quran ko ek jagah jama karne ka
D. Hjrat ki raat Rasool-Allah  ﷺ ke bistar par sone ka
E. HIjrat ki raat Rasool-Allah  ﷺ  ki hifazat karne ka
F. Banu Quraiza ka muhasra karne ka
G.  Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Once a sahabi was ordered to do some task after hearing this he said "By Allah If I was ordered to shift one of the mountains, it would not have been heavier for me than this order"

Quiz 1 : Who said this words ?

A. Zaid bin thabit Radi allahu anhu
B. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
C. Ali Radi allahu anhu
D. Umar Radi allahu anhu
E. Jabir Radi allahu anhu
F. Abu Hurairah Radi allahu anhu
G. None of the above
H. I want to know

Quiz 2 :  Which Order he was given to do ?

A. To give the news about the disbelivers of makka to the Rasool-Allah  ﷺ in the cave 
B. To Migrate from makka to Habsha(Ethiopia)
C.  The Qur'an be collected on one place
D.  To sleep on the bed of Rasool-Allah  ﷺ  at the night of migration
E.  To protect the Rasool-Allah  ﷺ  at the night of migration
F.  To besiege the Banu Quraiza untill their surrender
G. None of the above
H. I want to know

---
✅Sahi Jawab: AC💐
----
✦ Zaid bin thabit Radi Allahu Anhu se riwayat hai Jang e Yamama mai Ashab Radi Allahu Anhuma ki badi tadad ke shaheed ho jane ke baad Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne mujhe bulaya us waqt Umar Radi Allahu Anhu bhi unke paas wahi mojud they Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kaha ki Umar Radi Allahu Anhu mere pass aaye aur 
unhone kaha ke Yamama ki jang mai bahut badi tadad mai Quran ke qariyon ki Shahadat ho gayee hain aur mujhe darr hain ke issi taraha kaffar ke Sath dusri jango mein bhi Qura e Quran (Quran ke Qari) badi tadad mai qatl ho jaenge aur aise Quran ke janane walo ki bahut badi tadad khatam ho jayegi isliye mera khayal hain ke aap Quran majid ko baqaida kitabi shakl mai jama karne ka hukum dein maine Umar Radi Allahu Anhu se kaha ke aap ek aisa kaam kis taraha karenge jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni zindagi mein nahi kiya Umar Radi Allahu Anhu ne iss Ka Jawab ye diya ke Allah ki kasam ye to ek khair ka kaam hai Umar Radi Allahu Anhu ye baat mujhse bar bar kehte rahe akhir Allah Subhanahu ne iss masle mein mera seena khol diya aur ab meri bhi wahi raye ho gayee hain jo umar radi allahu anhu ki thi 

✦ Zaid Radi Allahu Anhu ne bayan kiya Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne farmaya Aap ( Zaid Radi Allahu Anhu) Jawan aur aqalmand hain aur aap ke mamale mai shak bhi nahi kiya jaa sakta aur aap Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki wahi likhte bhi they islye aap Quran Majid ko Puri talash aur mehnat ke sath ek jagha jama karen Allah ki qasam agar ye log mujhe kisi pahad ko bhi uski jagha se dusri jagha hatane ke liye kehte toh mere liye ye kaam utna mushkil nahi tha ke unka ye hukum ke mein Quran Majid jama Kar du
Sahih Bukhari, 4986

Answer AC
---------
Narrated Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu Abu Bakr As-Siddiq sent for me when the people of Yamama had been killed (i.e., a number of the Prophet's Companions who fought against Musailima). (I went to him) and found `Umar bin Al- Khattab sitting with him. Abu Bakr then said (to me), "`Umar has come to me and said: "Casualties were heavy among the Qurra' of the Qur'an (i.e. those who knew the Qur'an by heart) on the day of the Battle of Yamama, and I am afraid that more heavy casualties may take place among the Qurra' on other battlefields, whereby a large part of the Qur'an may be lost. Therefore I suggest, you (Abu Bakr) order that the Qur'an be collected." I said to `Umar, "How can you do something which Allah's Apostle did not do?" `Umar said, "By Allah, that is a good project." `Umar kept on urging me to accept his proposal till Allah opened my chest for it and I began to realize the good in the idea which `Umar had realized." Then Abu Bakr said (to me). 'You are a wise young man and we do not have any suspicion about you, and you used to write the Divine Inspiration for Allah's Messenger (ﷺ). So you should search for (the fragmentary scripts of) the Qur'an and collect it in one book." By Allah If they had ordered me to shift one of the mountains, it would not have been heavier for me than this ordering me to collect the Qur'an. 
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 509

✦ Kisi Qoum se khauff ke waqt padhne ki dua



Bismillahirrahmanirraheem

✦  Kisi Qoum se khauff ke waqt padhne ki dua
------
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko jab kisi Qaum se khauf hota to ye dua farmate

اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ، ‏‏‏‏‏‏وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ
✦  Allahumma inna naj'aluka fi nuhurihim, wa na'udhu bika min shururihim

✦ Eh Allah ham tujhe unke samne karte hain aur unki buraeeyon se teri panah mein aate hain
Sunan Abu Dawud, Jild 1,1524-Sahih
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو جب کسی قوم سے خوف ہوتا تو فرماتے:
 «اللهم إنا نجعلك في نحورهم ونعوذ بك من شرورهم‏ 
اے اللہ ہم تجھے ان کے سامنے  کرتے ہیں اور ان کی برائیوں سے تیری پناہ میں آتے  ہیں ۔ 
سنن ابو داوود ، جلد ١، ١٥٢٤ -صحیح 
------
 ✦ रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैहि वसल्लम को जब किसी क़ौम से ख़ौफ़ होता तो ये दुआ फरमाते
✦  अल्लहुम्मा इन्ना नाज़'अलुका फ़ि नुहुरिहीम , वा ना'उज़ुबिका मीन  शुरूरिहीम 
✦ एह अल्लाह हम तुझे उनके सामने करते हैं और उनकी बुराईयों से तेरी पनाह में आते हैं
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1,1524-सही
------
When the Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  feared a group of people, he would supplicate:
اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ، ‏‏‏‏‏‏وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ
O Allah, We ask You to face them, and seek Your Protection against their evils
Sunan Abu Dawud,  Book 8, 1532-Sahih

Friday, August 23, 2019

✦: Al-Quran: Aur Beshak Aap ,ﷺ Akhlaq ke bade martabe par ho





Bismillahirrahmanirraheem


وَإِنَّكَ لَعَلَىٰ خُلُقٍ عَظِيمٍ
---
✦: Al-Quran: Aur Beshak Aap ,ﷺ Akhlaq ke bade martabe par ho
---
اور بیشک آپ اخلاق کے بڑے مرتبے پر ہو
--
✦: And indeed You are of a Great Moral Character 
--
Al-Quran Surah Al-Qalam (68) : 4


Thursday, August 22, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 931❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 931❗

Sawal 1 : Insan raat mein jab sota hai to shaitan kaunsi jagah par girah (knot) laga deta hai ?

A. Dil ke upar
B. DIl ke neeche
C. Sir ke peeche
D. Aankho par 
E. Dono paanw par
F. Dono haatho par
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Phir wo jab subha bedar hokar Allah ko yaad kar ke wuzu kar le to usmein se kitni girah khul jati hain ?

A. 1
B. 2
C. 3
D. 4
E. 5
F. 6
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai
--
❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Quiz 1 : When a person sleeps,  shaitan puts the knots at a place , which place is that?

A. Dil ke upar
B. DIl ke neeche
C. Sir ke peeche
D. Aankho par 
E. Dono paanw par
F. Dono haatho par
G. None of the above
H. I want to know


Quiz 2 : When he wakes up and remembers Allah and performs ablution that time how many knot got opened ?

A. 1
B. 2
C. 3
D. 4
E. 5
F. 6
G. None of the above
H. I want to know
--
Sahi Jawab CB
-------
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah 
(gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki so ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah subhanahu ko yaad kare to ek girah khul jati hai phir jab wuzu karta hai to dusri girah khul jati hai aur phir agar namaz padhe to teesri girah bhi khul jati hai is tarahsubah ke waqt insan chust aur khush mijaz rahta hai warna sust aur badmijaz rahta hai
Sahih Bukhari,Jild 2,1142
--
✅ Answer CB
--------
llah's Messenger (ﷺ) said, Satan puts three knots at the back of the head of any of you if he is asleep. On every knot he reads and exhales the following words, 'The night is long, so stay asleep.' When one wakes up and remembers Allah, one knot is undone; and when one performs ablution, the second knot is undone, and when one prays the third knot is undone and one gets up energetic with a good heart in the morning; otherwise one gets up lazy and with a mischievous heart.
Sahih Bukhari, Book 21, 243

Wednesday, August 21, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 930❗

Only-Quran-Hadith Quiz 930❗

Sawal : Allah subhanahu ka wo kausna Wada hai jo Tauret , Injeel aur Quran teeno mein hai ?

A. Qayamat se pahle Isa Alaihi salam ka nuzul
B. Allah ki raah mein kharch karne par rizq mein barkat 
C. Allah ke Nabiyo ki madad karne par aakhirat mein kaamyabi
D. Allah ke raah mein shaheed ho jane par jannat 
E.  Rasool-Allah  ﷺ ki shafaat
F. Qayamat ke din Allah Subhanahu ka dedar
G.  Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Quiz : Allah has promised in the Taurat (Torah) and the Injeel (Gospel) and the Qur'an , what is that ?

A. The coming of Isa Alaihi salam before Qayamah
B. The increase of sustenance on the spending in Allah's way
C.  The success in aakhirah on the helping of Prophets
D.  The paradise for the one who got killed in Allah's way
E.  The intercession of Rasool-Allah SalAllahu Alaihi wasallam
F.  The appearing of Allah subhanahu in front of the people
G. None of the above
H. I want to know

Bismillahirrahmanirraheem

إِنَّ اللَّهَ اشْتَرَىٰ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ أَنفُسَهُمْ وَأَمْوَالَهُم بِأَنَّ لَهُمُ الْجَنَّةَ ۚ يُقَاتِلُونَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَيَقْتُلُونَ وَيُقْتَلُونَ ۖ 
وَعْدًا عَلَيْهِ حَقًّا فِي التَّوْرَاةِ وَالْإِنجِيلِ وَالْقُرْآنِ ۚ
 وَمَنْ أَوْفَىٰ بِعَهْدِهِ مِنَ اللَّهِ ۚ فَاسْتَبْشِرُوا بِبَيْعِكُمُ الَّذِي بَايَعْتُم بِهِ ۚ وَذَ‌ٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
-----
✅: Sahi Jawab: D 💐
-----
Allah Subhanahu ne momeeno se unki jaanein aur unke maal Jannat ke badle kharid liye hain,  Ye log Allah Subhanahu ki raah mein ladte hain aur maarte hain aur maare bhi jaate hain ( Yani Shahid hote hain) Ye tauret aur injeel aur Quran mein ek sachcha wada hai jisko usko jarur pura karna hai, aur Allah se zyada wada pura karne wala kaun hai, toh jo sauda tumne us se Kiya hain us se khush raho aur yahi badi kamyabi hain
Al-Quran Surah At-Tauba (9) : 111

✅ Answer: D 
----
Allah has purchased of the believers their lives and their properties for (the price) that theirs shall be the Paradise. They fight in Allah's Cause, so they kill (others) and are killed. It is a promise in truth which is binding on Him in the Taurat (Torah) and the Injeel (Gospel) and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah? Then rejoice in the bargain which you have concluded. That is the supreme success.

Tuesday, August 20, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 929❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 929❗

Ek Qaum aisee thi jinhone unke Nabee ko jhuthlaya aur unka inkar kiya to unke liye unke Nabee ne bad dua farmayee ki in par Qahat (Akaal) nazil ho jaye phir un par aisa qahat nazil hua ki wo log murdar aur chamde khane ko majbur ho gaye 

Sawal : Wo kaunse Nabee ki Qaum thi ?

A. Musa Alaihi Salam
B. Yusuf Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Yaqub Alaihi Salam
E. Saleh Alaihi Salam
F. Muhammed SallAlalahu Alaihi Wasallam
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Once a Prophet asked to Allah,  the punishment of dearth (famine ) for their people because they rejected him and stand against him, After that they got afflicted with famine and due to that famine they start eating bones and dead animals

Quiz : Those people belong to which prophet ?

A. Musa Alaihi Salam
B. Yusuf Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Yaqub Alaihi Salam
E. Saleh Alaihi Salam
F. Muhammed SallAlalahu Alaihi Wasallam
G. None of the above
H. I want to know

Sahih Jawab F
-----------
Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Jab Rasool Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Quraish ko islam ki dawat di to unhone aapko jhuthlaya ur sharkashi ki to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne unke liye baddua ki ke Eh Allah unke khilaf meri madad aise qehat se kar jaise Yusuf Alahih Salam ke zamane mai pada tha  uske baad Qahat nazil hua aur har cheez khatam ho gaye , log haddiyan aur chamde khaane par majbur ho gaye aur ek rivayat mein hai ki wo chamde aur murdar khaane par majbur ho gaye aur zameen se dhuwa sa nikalne laga, aakhir Abu sufiyan Radi Allahu Anhu aaye aur  Rasool Allah Sallallahu Alahih Wasallam  se kaha ki Eh Muhammad Sallallahu Alahih Wasallam aap ki Qaum halaq ho chuki hai Allah se dua kijiye ke unse qehat ko dur kar dephir  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne dua farmayee aur qahat khatam ho gaya lekin Uske baad wo phir kufr ki taraf laut gaye
Sahih Bukhari , 4823, 4824
-
Answer F
-------------
Narrated by Abdullah bin masood radi allahu anhu that  When Allah's Messenger (ﷺ) saw Quraish standing against him, he said, "O Allah! Help me against them by afflicting them with seven years of famine similar to the seven years (of famine) of Joseph. So they were afflicted with a year of drought that destroyed everything, and they ate bones and hides. (One of them said), "And they ate hides and dead animals, and (it seemed to them that) something like smoke was coming out of the earth. So Abu Sufyan came to the Prophet (ﷺ) and said, "O Muhammad SallAlalahu Alaihi Wasallam ! Your people are on the verge of destruction! Please invoke Allah to relieve them." So the Prophet (ﷺ) invoked Allah for them (and the famine disappeared).
Sahih Bukhari, Book 60, Hadith 349

Monday, August 19, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 928 ❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 928 ❗

Sawal :  Inmein se  wo kaunsa Allah ka naam hai jiska matlab hota hai zinda karne wala ?

A.  اَلْمُمِيتُ - Al-Mumeet
B.  الْقَيُّومُ - Al-Qayyoom
C. الْحَيُّ - Al-Hayy
D. الْقَابِضُ - Al-Qaabid
E.  الْمُحْيِي - Al-Muhyee
F.  الْمُحْصِي - Al-Muhsee
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Quiz : Which Allah's name has the meaning The  One Who gives life among below?

A.  اَلْمُمِيتُ - Al-Mumeet
B.  الْقَيُّومُ - Al-Qayyoom
C. الْحَيُّ - Al-Hayy
D. الْقَابِضُ - Al-Qaabid
E.  الْمُحْيِي - Al-Muhyee
F.  الْمُحْصِي - Al-Muhsee
G. None of the above
H. I want to know

Sahi Jawab E
.....
الْمُحْيِي - Al-Muhyee
.....
Zinda karne wala
.....
The  One Who gives life
--
Answer E
.....
الْمُحْيِي - Al-Muhyee
.....
The  One Who gives life

Sunday, August 18, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 927❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz  927❗



Sawal : Inmein se wo kaun hai jo Jannat ka rasta bhatak gaya ?

A. Jo Subah sham Rasool-Allah ﷺ par durud na bheje
B. Jo Hajj ya umrah ko jaye aur Madina na jaye 
C. Jo Ramzan ko paye aur roza na rakhe 
D. Jo Maidan e jung se peet pher kar bhag jaye
E. Jisne kabhi jihad na kiya ho
F. Jo apne waldein ko budhape mein paye aur unki khidmat na kare
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai



❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Quiz : Who has lost his way to paradise ?

A. The one who does not send blessing on RasoolAllah ﷺ in the morning and evening
B. The one who does not go to Madina during hajj or umrah
C. The one who does not help to widow and poor
D. The one who run away from the battle field
E. The one who never fought in the way of Allah
F. the one who find his parents in old age and does not look after them
G. None of the above
H. I want to know


Sahi Jawab G 
--------------
Rasool-Allah ﷺ ne farmaya jis shaksh ke samne mera zikr kiya jaye aur wo mujh par durud padhna bhul jaye to wo  jannat ka rasta bhatak gaya 
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2953
-----------
Rasool-Allah ﷺ said the one in whose presence I am mentioned and he does not send blessings upon me. He has lost his way to paradise.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2953


Answer G 
--------------
Rasool-Allah ﷺ said the one in whose presence I am mentioned and he does not send blessings upon me. He has lost his way to paradise.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2953

Friday, August 16, 2019

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 926* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 926* ❗

Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kiske liye ye farmaya tha ki agar iman sitare ke saath bhi latka hota to wo us tak bhi pahunch jate ?

A. Salman Farsi radi Allahu Anhu
B. Abu Bakr RAdi Allahu Anhu
C. Umar Radi Allahu Anhu 
D. Bilal Radi Allahu Anhu
E. Ali Radi Allahu anhu
F. Ammar radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗

Quiz : For whom Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said if the faith was hanging on the distant star, he / they would reach it

A. Salman Farsi radi Allahu Anhu
B. Abu Bakr Radi Allahu Anhu
C. Umar Radi Allahu Anhu 
D. Bilal Radi Allahu Anhu
E. Ali Radi Allahu anhu
F. Ammar radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know


Sahi Jawab G
----------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya maine khuwab mein Kali rang ki bahut zyada bakriya dekhein unmain badi tadad mai safeed rang ki bakriya dakhil ho gayee Sahaba Radi Allahu Anhuma ne aarz Kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam aap ne iss khwab ki kya tabir ki Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ajmi log tumare deen aur nasab mai sharik honge Unhone Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ajmi ? ( Ye Aap keh rahe hain) Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya agar Imaan sarya sitare ke Sath latka hota toh ajmi ke Kuch log us tak rasayee hasil Kar lete ( Yaad rahe ke ) wo intehayee Khush bakht log honge
Al-Silsila Sahiha 3498


Answer G
----------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said, I saw in the dream that there is a group of black sheep and then a group of white sheep mixed with the black ones, The Companion asked what is the interpration of this dream ?he said Non Arab will enter in Islam and then share with you your genealogy and your wealth.
The companions became surprised by what he said. Then one said, The non-Arab will enter our land, Oh Messenger of Allah Sallallahu Alahih Wasallam?  The Prophet Sallallahu Alahih Wasallam  then said, Yes. By He Who Has my soul in His Hand, if the faith was hanging on the distant star, men from the non-Arab would reach it and remember that they will be very cheerful people.
Al-Silsila Sahiha 3498


❗Only-Quran-Hadith Quiz 925❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 925❗

Sawal 1 : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam me ek bar khwab mein dekha ki unhone talwar hilayee to wo beech mein tut gayee is khwab ki tabir kiski taraf thi ?

Sawal  2 : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam me jab talwar dusri baar hilayee to wo pahle se achchi ho gayeeis khwab ki tabir kiski taraf thi ?

A. Ghazwa e Uhad
B. Jung e Karbala
C. Ghzwa e Badr
D. Jung e Yamama 
E. Jung  e Jamal
F. Jung e Siffin
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai


❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Quiz  1 : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam saw in his dream that he is moving a sword and its blade got broken that was the symbol of what  ?

Quiz  2 : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam saw in same dream that he moved the sword again, and it became normal as before that was the symbol of what ?

A. Battle of  Uhad
B. Battle of  Karbala
C. Battle of  Badr
D. Battle of  Yamama 
E. Battle of  Jamal
F. Battle of  Siffin
G. None of the above
H. I want to know


Sahi jawab AG
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Maine khwab mein dekha tha ke mein Makka se aise Zameen ki taraf hijrat Kar raha hu Jahan Khajur ke baagat hain us par mera zehan udhar gaya ke ye Maqam e Yamama ya hajr hoga lakin wo Yasrab (  Madina ) hai aur ussi khawab main meine ye dekha ke maine talwar hilayee toh wo beach mein se tut gayee ye us musibat ki taraf ishara tha Jo Ghzwa e Uhad mein muslmano ko uthani padi thi phir maine dusri bar usay hilaya toh wo pehle se bhi achchi Surat mein ho gayee ye us waqiya ki taraf ishara tha ke Allah Subhanahu ne Fateh makka ata farmayee aur Muslman sab ek ho gaye meine ussi khuwab mein Gaayain dekhein aur Allah Subhanahu Ka Jo kaam hai wo behtar hai un gaayaino se un musalmano ki taraf ishara tha Jo Uhad ki ladayee main Shaheed kiye gaye aur Khair wa bhalayee wo thi jo hame Allah Subhanahu ne Khair wa Sachchayee Ka badla badr ki ladayee ke baad ataa farmaya tha
Sahih Bukhari , 3622

Answer AG
---------
Narrated Abu Musa Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) said, "In a dream I saw myself migrating from Mecca to a place having plenty of date trees. I thought that it was Al-Yamama or Hajar, but it came to be Medina i.e. Yathrib. In the same dream I saw myself moving a sword and its blade got broken. It came to symbolize the defeat which the Muslims suffered from, on the Day of Uhud. I moved the sword again, and it became normal as before, and that was the symbol of the victory Allah bestowed upon Muslims and their gathering together. I saw cows in my dream, and by Allah, that was a blessing, and they symbolized the believers on the Day of Uhud. And the blessing was the good Allah bestowed upon us and the reward of true belief which Allah gave us after the day of Badr.
Sahih Bukhari, Book 56, Hadith 818

Only-Quran-Hadith Quiz 924

Only-Quran-Hadith Quiz 924

Sawal : Inmein se kaunsi cheez Allah subhanahe ke waha sabse zyada ezzat wali hai ?

A. Namaz
B. Sadqa
C. Qurbani
D. Umrah
E. Dua
F. Yateem ki kafalat
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai 

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Quiz : Which is then most Honourable thing near Allah ?  

A. Prayer (Salah)
B. Charity (Sadqa)
C. Sacrifice
D. Umrah
E. Supplication (Dua)
F. Look after an Orphan
G. None of the above
H. I want to know

Sahi jawab E
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah subhanahu ke nazdeek Dua se badhkar koi cheez zyada ezzat wali nahi
Musnad Ahmed - 5587
----
قَالَ رَسُوْلَ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  لَیْسَ شَیْئٌ اَکْرَمَ عَلَی اللّٰہِ مِنَ الدُّعَائِ۔

Answer E
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said there is nothing most Honourable near Allah , more than the Supplication (Dua).
Musnad Ahmed - 5587
----
قَالَ رَسُوْلَ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  لَیْسَ شَیْئٌ اَکْرَمَ عَلَی اللّٰہِ مِنَ الدُّعَائِ۔

❗Only-Quran-Hadith Quiz 923❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 923❗

*Sawal : Wo Kaunsi Quam ke log they jinhone Allah subhanahu se Namaz padh kar dua ki ke wo kisi murde ko Qabr se zinda bahar nikale taaki wo log us se maut ke baare mein puch sake ?*

A. Ashab Al Kahaf
B. Ashab Al Aykah
C. Qaum e Samud
D. Bani israeel
E. Ashab Al Madyan
F. Qaum e tubba
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai 

*Sawal 2 : Unki aisa dua par Allah subhanahu ne kya kiya ?*

A. Un par aasman se bijli bhej di
B. Un par paththaro ki barish kar di
C. Unke liye Qabr se ek murda zinda nikala gaya
D. Unko ek aawaz se tabah kar diya gaya
E. Unko zameen ne nigal liya
F. Unko 40 saal usee jagah par rahne diya
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗

*Quiz  1 : Some people offer two Rakaat Salat and supplicate Allah to revive one of the dead men and bring him out so that they may ask him about death, Those people belong to which nation?*

A. Ashab Al Kahaf
B. Ashab Al Aykah
C. Qaum e Samud
D. Bani israeel
E. Ashab Al Madyan
F. Qaum e tubba
G. None of the above
H. I want to know

*Quiz 2 : What Allah subhanahu did when they asked like this ?*

A. A lightning were send from the sky
B. The rain of stone were send 
C. A man got alive from one of the graves for them
D. A scary sound destroyed them
E. The earth swallowed them
F. They coudnt get out for 40 years from that place
G. None of the above
H. I want to know



Answer DC
-------
The Messenger of Allah SalAllahu Alaihi Wasallam said: A party of the Bani Israil set out on a journey. They came to one of their several graveyards in the course of their journey and said to one another, If we should offer two Rakaat Salat and supplicate Allah, The One Full of Glory, perhaps He will revive one of the dead men for us and bring him out that we may ask him about death.’”

They did what they had suggested. Meanwhile, from one of the graves, a man raised his head. He was wheat-coloured and between his eyes there was a mark of prostration. He addressed these people saying, ‘O you there! What do you intend with me? (Why have you gotten me revived?) I have been dead for the past one hundred years and the fever of death has not yet cooled on me. It is there till now! Pray to Allah, the Glorious, the Majestic, that He may return me to as I was.’” [Ahmad]
Masnad Ahmed , 2464

❗Only-Quran-Hadith Quiz 922❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 922❗

يَوْمَ نَحْشُرُ الْمُتَّقِينَ إِلَى الرَّحْمَـٰنِ وَفْدًا

Sawal  : Quran ki is aayat mein Allah Subhanahu ne Parhezgaro ke liye farmaya ki unko wafda (وَفْدًا) pesh kiya jayega , yaha wafda ka matlab kya hai ?

A. Jannat ka libas
B. Mehman Banakar
C. Gharwalo ke saath
D. Akele
E. Arsh ka Saya
F. Jannat ka khana
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai 


❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

يَوْمَ نَحْشُرُ الْمُتَّقِينَ إِلَى الرَّحْمَـٰنِ وَفْدًا

Sawal : In this verse of Quran , Allah says that  righteous will be gather Wafda (وَفْدًا) , what is the wafda?

A. Like the the cloth of paradise
B. As a Delegation
C. With Family
D. Alone
E. The shadow of throne
F. Like the food of paradise 
G. None of the above
H. I want to know




Bismillahirrhamanirrhaim

يَوْمَ نَحْشُرُ الْمُتَّقِينَ إِلَى الرَّحْمَـٰنِ وَفْدًا

Sahi jawab B
---------
Al Quran : Us din (Qayamat ke din) hum parhezgaro ko Allah subhanahu ke samne Mehman Banakar pesh karenge
----
On the Day We will gather the righteous to the Most Merciful as a delegation
----
Surah Maryam (19), 85

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 921* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 921* ❗

*Sawal : Qayamat ke din Jannat mein Allah ke kuch aise khas bande dakhil kiye jayenge jinko dekh kar Farishte bhi kahne lagene ki ye kaun log hain jinko tune hum par tarjeeh de di , Wo kaun log honge ?*


A. Jihad karne wale
B. Sahib-e-Quran
C. Azan dene wale
D. Sila Rahmi karne wale
E. Bewa aur miskeen ki dekhbhal karne wale
F. Raato ko utha kar Qayam karne wale
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗

Quiz : On the day of judgement there will be some special slaves of Allah who will be enter in paradise without account, after seeing him , Angels will say Oh Allah Who are those , you have given priority over us although we worship you lot .
Who will be those people ?

A. The one who fight in the way of Allah
B. The scholar of Quran
C. The Muazzin (The caller of Adhan)
D. The onw who do good with relatives
E. The one who look after the widows and poor
F. The who pray in night
G. None of the above
H. I want to know

Sahi Jawab A
-------------
Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Qayamat ke din Jannat ko bulayega to wo puri saj dhaj ke sath hazir ki jayegi , Allah Subhanahu farmayega mere wo bande kaha hain jinhein mere raste mein taklifein di gayee , aur mere raste main jihad Kiya ? Aao Jannat main dakhil ho jao wo Jannat mein bina hisab ke dakhil ho jayenge,  Farishtein aaenge aur sajde karenge aur kahenge Eh humare RABB ham raat aur din teri tasbeeh , tamheed aur taqdees bayan Karte hai ye kaun log hai jinhein aap ne ham par tarji di Allah Subhanahu farmayega ye mere wo bande hai jinhone mere raste mein Qital (Jihad) kiya aur mere raste mein unhein taklif di gayee, farishtein har darwaze se unke paas aanege  aur kahenge , tumare sabr ki wajah se tum par salam ho Akhiri anjam bahut achcha hai 
Al-Silsila-As-Sahiha # 1472



Answer A
--------
Narrated by Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said  on th day of judgement Allah subhanahu will call to paradise and it will come decorated , Allah will say where are my those  slaves who got hurt in my way , who fought in my way  , come and enter in my paradise , they will enter in paradise without account , the angles will come and prostarte to Allah and say oh Allah we used to worship you day and night by reciting takbir and tehlil and you have prefer those people over us , who are they ? Allah will say they fought in my way and got hurted or got killed for me , angels will come to them by each door and say "Peace be upon you for what you patiently endured. And excellent is the final home."
Al-Silsila-As-Sahiha # 1472