Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, January 31, 2019

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 688❗

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 688❗

*Do Sawal hain*

*Sawal 1 : Dajjal  ko kaun Qatl karega ?*

*Sawal 2 : Yajuj Majuj ko kaun Qatl karega ?*

A. Mahdi Alaihi Salam
B. Jibril Alaihi Salam
C. Isa Alaihi Salam
D. Israfil Alaihi Salam
E. Zulqarnain Alaihi Salam
F. Wo zinda Aasmano par utha liye jayenge
G. Innme se Koi nahi
H. Sahi Jawab Ka intezar

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

*There are two questions*

*Quiz 1 : Who will Kill Dajjal ?*

*Quiz 2 : Who will Kill Yajuj Majuj (Gog and Magog)?*

A. Mahdi Alaihi Salam
B. Jibril Alaihi Salam
C. Isa Alaihi Salam
D. Israfil Alaihi Salam
E. Zulqarnain Alaihi Salam
F. They will be raised alive on the sky
G. None of the above
H. I want to know

 ‎You deleted this message.

 *✅Sahi Jawab CG*
---------
 Bismillahirrahmanirraheem

★ :  Qayamat ki Nishaniyan - Dajjal , Isalaihi Salam ka Nujul, Yajuj Majuj aur Suraj ka Maghrib se nikalna
----------------
*✦ : Nawas Bin samaan radhi Allahu Subhanahu se rivat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallm ne ek subah dajjal ka zikr kiya to kabhi is ko ghataya aur kabhi badaya ( yani kabhi is ki tahqeer ki aur kabhi iske fitne ko bada kaha kabhi buland aawaz se guftagu ki aur kabhi kam aawaz se ) yahan tak ki humne gumaan kiya ki dajjal khajooron ki darakhton ke jhoond mein hai , jab shaam ke waqt aap ke paas gaye to to aap ne hamare chehron par iska asar maloom kiya  (Yani khauff aur darr ) aap ne farmaya ke tumhara kya haal hai hum ne arz kiya ke ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallm aap ne dajjal ka zikr kiya aur us ko ghataya aur badaya,yahan tak ke humko ye guman ho gaya ke dajjal in khajoor ke darakhton main mojood hai (yani is ka aana bahut Qareeb hai).

☆ : Dajjal ki Nishaniya : Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke mujhe dajjal ke siwa aur baaton ka tum par khauff zyada hai ( yani fitnoh ka aapas ki ladaaiiyon ka) agar dajjal nikla aur main tum logon main mojud huaa to tum se pahle main uska muqabil hoonga ( is se ladii karoonga) aur tumhe iski burayee ( mischief) se bachaoonga aur agar wo nikla aur main tum logon main mojudna hua to her mard ( musalman) apni taraf se is se muqabla karega aur allah subhanahu har musalman par mera khalifa aur nigahban hoga. Albatta dajjal to jawan aur ghunghrale balon ( curly hair) wala hai is ki aankh ubhri hui hain jaisey ke main is ki mushabehat ( comparision) abdul azaa bin Qatan ke saath deta hun phir tum main se jo shakhsh dajjal ko paye is ko chahiye ki surah kahaf ki shooru ki aaytain us par padey yakinan wo shaam aur iraq ke darmyaan ki rah se niklega to apney dayein ( right side) aur bayen(Left ) fasad failayega , Eh Allah ke bando Iman par qayam rahna.

★ : Dajjal ka fitna : Sahaba ne poocha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam wo zameen par kitni muddat rahega aap ne farmaya ki 40 din tak ,in mein se ek din ek saal ke barabar hoga, ek din ek mahine ke barabar , ek din ek haftey(week) ke barabar aur baqi din jaise tumhare ye din hain ( yani tumhare dino ke hisab se dajjal 1 baras,2 mahiney aur 14 din tak rahega yani 439 din ) Sahaba ne arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam jo din saal bhar ke barabar hoga us din humko ek hi din ki namazin kaafi hongi ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi bulki us din tum andaza karkey namaz pad lena jaisey ki in dino padtey ho , Sahaba ne arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam us ki chaal zameen par kaisee hogi AAP Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke us badal ki tarah jis ko hawa peechey se udati hai phir woh ek qaum ke pass aayega aur un ko Dawat dega wo us par imaan layenge aur us ki baat manege phir wo aasman ko huqm karega to wo panee barsayega aur zameen ko huqm karega to wo ghaas ( grass) aur anaaj uga degi sham ko unke janwar aayenge to unke kohan pahle se jyada lambe honge, than kushda honge aur kukhein tani hui ( yani moti). Phir dajjal dusri qaum ke paas jayega un ko bhi dawat dega lekin wo us ki baat nahi manegi to un ki taraf se dur chala jayega to un par qahat aur khuski hogi ( yani Akaal pad jayega ) un ke hathon main maal nahi rahenge.

*✦ : Dajjal veeran zameen par niklega to un se kahega ki eh zameen apne khazane nikal de to wahan ke maal aur khazane nikal kar uske paas aisey jama ho jayenge jaise shahad ki makhkhiyan sardar makhkhi ke paas jama ho jati hain phir dajjal ek jawan mard ko bulayega aur usko talwar maar kar do tukde kar dega jaise nishaana do tukde ho jata hai phir usko zinda karne ke liye pukarega to wo jawan damakte huye (fresh) chehrey ke saath hansta hua saamne aayega .

✦ : *Eesa Alaihi Salam ka Nujul aur Dajjal ka Qatl : Jab dajal is haal main hoga ki Allah Subhanahu sayyedna Eesa ( jesus) bin mariyam Alaihi Salam ko bhejega Eesa Alaihi salam damishq ke shahar main mashriq ki taraf safed meenar ke paas utrenge wo zard rang ka joda pahne huye honge aur apne dono haath do farishto ke baajoo par rakhe huye honge jab eesa Alaihi salam apna sir jhukayenge to paseena tapkega aur jab apna sir uthayenge to moti ki tarah boondey bahegi. Jis kafir tak eesa Alaihi salam ke saans ( breath) ki khushboo pahunchegi wo mar jayega unke saans (breath) ka asar wahan tak pahunchega jahan tak unki nazar pahunchegi phir eesa Alaihi salam dajjal ko talash karenge yahan tak ke us ko bab-e-lud ( ye ek pahad hai jo shaam main hai) par mojud pakar usko qatl kar denge. Phir eesa Alaihi salam ke paas wo log aayenge jinko Allah Subhanahu ne dajjal ki burayee se bachaya hoga phir wo shafqat se unke cheherey ko sahlayenege aur unko unke darjon ki khabar denge jo jannat mein un ke liye rakhen hain.

★ : Yajuj Majuj ka nikalna : Wo isi haal main honge ki Allah Subhanahu eesa Alaihi salam par wahee(Message by Allah) bhejega ki main ne apne aise bande nikale hain ki kisi ko un se ladne ki takat nahi tum mere musalman bandoh ko tur ( a Mountain) ki taraf panah main le jao aur phir Allah Subhanahu Yajooj aur majooj ko bhejega. aur wo har ek unchan se nikal padenge un ke pahle log ( yani unqi qatar ke sabse aage wale log) tabristan ( A sea ) ke dariya par guzrenge aur us ka saara pani pee lenge phir un main se peechley log ( yani unki qatar ke sabse aakhir wale log) us dariya par se guzrenge to kahenge ki kabhi is driya main pani bhi hua karta tha ( phir chal kar us pahad tk pahunchenge jahan darakht jyada hain yani baitul muqaddas ka pahad to wo kahenge ke hum zameen walon ko qatl kar chuke hain ab aao Aasman walon ko qatl kare ( Astagfairullah) to apne teer aasman ki taraf chlayenege Allah Subhanahu un teero ko khoon main bhar kar lauta dega wo ye samjhenege ki aasman ke log bhi mare gaye hain (ye mazmun iski baad ki rivayat se liya gaya hai)

✦ : Yajuj majuj ki maut :  Phir Allah ke paigambar eesa Alaihi salam aur unke saathi dua kareneg to Allah Subhanahu Yajooj Majooj ke logo par azab bhejega to unki gardanon main keeda paida hoga to subah tak sab mar jayenge jaise ek aadmee marta hai phir eesa Alaihi salam aur un ke( pahad se ) zameen par utrenege to zameen par ek balisht bhi jagah aisee nahi hogi jahan par unki ( yajooj majooj) sadand aur gandagi na hogi ( yani tamam zameen par unki sadi huyee death bodies hongi)Phir Allah ke Rasool Eesa Alaihi salam aur unke saathi Allah se dua kareneg to Allah  Subhanahu bade oonton(camels) ki gardan ke barabar parinde bhejega wo un ko utha le jayenege aur wahan phenk denge jahan Allah Subhanahu ka huqm hoga phir Allah Subhanahu aisa pani barsayega ki phir zameen ko huqm hoga ki apne fal( fruits) jama aur aur apni barkat pher de aur oos din ek anar ( pom granate) ko ek giroh ( group) kha sakegaaur uske chilkey( skin) bangla sa bana kar oos ke saye mein baithega ddodh main itni barkat hogi ke doodh wali oontni aadmiyon ke bade giroh ko kafi ho jayegi aur doodh wali gaay (cow) ek biradari ke sare logo ko kafi hogi aur doodh wali bakri ek purey khandan ko kafi hogi , jab log es haal main hoge tabhi achanak Allah Subhanahu ek paak hawa bhejega wo unke baglon (arm pit) ke neechey lagegi aur asar kar jayegi to har momeen aur muslim ki rooh Qabj ho jayegi (yani wo mar jayengey) aur badjaat log baki rah jayenge jo ghadhon ki tarah ( Like Donkey) sarey aam aaurton se jamaah (sex) karenge aur un par Qayamat qayam hogi. (Yani Qayamat Musalmano par qayam nahi hogi)
Sahih Muslim 7373


✦ :  *Suraj ka Maghrib se nikalna :  Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya hijrat ka silsila tab tak khatam nahi hoga jab tak ki tauba ka darwaza band na ho jaye aur tauba ka darwaza tab tak band nahi hoga jab tak ki suraj magrib se na nikle
Sunan Abu Dawud 2473-Sahih

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jaise hi Suraj Maghrib yani paschim se tulu hoga aur log dekh lenge to sab log Imaan le aaayenge lekin ye wo waqt hoga jab kisi aise shaksh ko iska imaan lana fayda na dega jo pahle se imaan na laya hoga aur usne apne imaan ke saath achche kaam na kiye hongeAur Qayamat achanak is tarah qayam ho jayegi ki do aadmiyon ne apne darmiyan kapda phaila rakha hoga ise abhi bech bhi na paaye honge aur na hi lapet paye honge, aur qayamat is tarah aa jayegi ki ek shaksh apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua hoga aur abhi use pi bhi nahi paya hoga, aur qayamat is tarah qayam ho jayegi ki koi apne hauz ko durast kar raha hoga aur abhi usmein se paani bhi nahi pi sakega aur Qayamat is tarah qayam ho jayegi ki kisi ne apna luqma munh ki taraf uthaya hoga aur abhi usey khaya bhi nahi hoga
Sahih Bukhari 7121



 *✅ Answer:CG*
-----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam Said Allah would send Christ, son of Mary, and he will descend at the white minaret in the eastern side of Damscus wearing two garments lightly dyed with saffron and placing his hands on the wings of two Angels. When he would lower his head, there would fall beads of perspiration from his head, and when he would raise it up, beads like pearls would scatter from it. Every non-believer who would smell the odour of his self would die and his breath would reach as far as he would be able to see. He would then search for him (Dajjal) until he would catch hold of him at the gate of Ludd and would kill him. Then a people whom Allah had protected would come to Jesus, son of Mary, and he would wipe their faces and would inform them of their ranks in Paradise and it would be under such conditions that Allah would reveal to Jesus these words: I have brought forth from amongst My servants such people against whom none would be able to fight;

you take these people safely to Tur, and then Allah would send Gog and Magog and they would swarm down from every slope. The first of them would pass the lake of Tibering and drink out of it. And when the last of them would pass, he would say: There was once water there. Jesus and his companions would then be besieged here (at Tur, and they would be so much hard pressed) that the head of the ox would be dearer to them than one hundred dinirs and Allah's Apostle, Jesus, and his companions would supplicate Allah, Who would send to them insects (which would attack their necks) and in the morning they would perish like one single person.

Allah's Apostle, Jesus, and his companions would then come down to the earth and they would not find in the earth as much space as a single span which is not filled with their putrefaction and stench. Allah's Apostle, Jesus, and his companions would then again beseech Allah, Who would send birds whose necks would be like those of bactrin camels and they would carry them and throw them where Allah would will
Sahih Muslim Book 41, Hadith 7015(Part)

No comments:

Post a Comment