Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 8, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 614❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 614❗

✦ *Jab Rasool-Allah ﷺ ko mushriko ne kaha ki tum hamare mabudo ki ibadat karo hum tumharae RABB ki ibadat karenge to Allah subanahu ko ye baat pasand nahi aayee aur Allah subhanahu ne unke jawab mein Quran ki kuch aayatein nazil farma di*

✦ *Sawal : Wo aayatein inmein se kaunsi surah ki thi ?*

A. Surah Az-Zumar
B. Surah Al-Munafiqoon
C. Surah Al-Hijr
D. Surah As-Saffat
E. Surah Al-Aaraf
F. Surah Al-Hajj
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai


 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz*❗

✦ *When the the idolators said to the Rasool-Allah ﷺ  that you worship our gods we will worship your god in their response  Allah subhanahu revealed some verses to reply them* 

*Quiz : Those verses belong to which surah ?*

A. Surah Az-Zumar
B. Surah Al-Munafiqoon
C. Surah Al-Hijr
D. Surah As-Saffat
E. Surah Al-Aaraf
F. Surah Al-Hajj
G.None of the above
H. I want to know

 ✅ *Sahi Jawab A* 💐
----------
✦ Ibn Abbas Radi allahu ahhu se rivayat hai ki Jab mushriko ne Rasool-Allah ﷺ se kaha ki tum hamare maabudo ki ibadat karo hum tumhara RABB ki ibadat karenge us waqt Allah subhanahu ne (Surah Az Zumar ki) ye aayatein nazil farmayee 
----------
*قُلْ أَفَغَيْرَ اللَّهِ تَأْمُرُونِّي أَعْبُدُ أَيُّهَا الْجَاهِلُونَ*
*وَلَقَدْ أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ*
----------
Al Quran : Kah do ki Eh jahilo tum mujh se kahte ho ki main Allah ke siwa koi aur mabud ki ibadat karne lag jauu, Aur (Eh Muhammed ﷺ) aapki taraf aur un ki taraf jo aapse pahle (Nabee) guzar chuke hain un sabki taraf ye wahi bheji gayee hai ki agar tumne shirk kiya to tumhare aamal barbad ho jayenge aur tum nuqsan uthane walo mein se ho jaoge
*Tafsir Ibn Kathir: Surah Az Zumar (39) , 64-65*
----------
Note : Ek aur muqam par jab mushriko ne Rasool-Allah ﷺ se kaha tha ki ek saal aap hamare mabuddo ki ibadt karo aur ek saal hum aapke mabudo ki ibadat karenge to us waqt Allah subhanahu ne Surah Al-kafirun nazil farmayee thi , agar upar ke option mein Surah Az-Zumar nahi hota to phir G jawab yani inmein se koi nahi sahi hota magar yaha alreay jawab mojud tha isliye inmein se koi nahi kahna galat jawab hoga.

 ✅ *Answer A* 💐
----------
Ibn Abbas, may Allah be pleased with him said that the idolators in their ignorance called the Messenger of Allah to worship their gods, then they would worship his God with him. Then these Verses (of Surah Az-Zumar) were revealed
Surah Az Zumar (39) , 64-65
----------
*قُلْ أَفَغَيْرَ اللَّهِ تَأْمُرُونِّي أَعْبُدُ أَيُّهَا الْجَاهِلُونَ*
*وَلَقَدْ أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ*
----------
Say (O Muhammad صلى الله عليه وسلم to the polytheists): "Do you order me to worship other than Allah? O you fools!"
And indeed it has been revealed to you (O Muhammad ﷺ ), as it was to those (Allah's Messengers) before you: "If you join others in worship with Allah, (then) surely (all) your deeds will be in vain, and you will certainly be among the losers."
Tafsir Ibn Kathir: Surah Az Zumar (39) , 64-65
----------
Note : One more place when the idolaters of Makka said to the Rasool-Allah ﷺ  that one year you worship our god and next year we will worship your , on their response Allah subhanahu revealed Surah Al-Kafiroon, if in above options Surah Az-Zumar was not given then the answer G - none of the above would correct but here already correct option was given,  so saying none of the above will wrong.
----------
Jazakallahu Khairan

No comments:

Post a Comment