Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 8, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 619❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 619❗

*Al Quran : (Momeeno tum) Neki mein us waqt tak kamaal hasil nahi kar sakte jab tak ki apni pyari cheez mein se kharch na karo - 3:92*

*Sawal : Wo kaunse ansari sahabi they jinhone iss aayat ko sunkar apna sabse zyada pasandeeda baag sadqa kar diya ?*

A. Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu
B. Uthman Radi Allahu Anhu
C. Saad bin maaz Radi Allahu Anhu
D. Abu bakr Radi Allahu Anhu
E. Zaid bin Sahal Radi Allahu Anhu
F. Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Al Quran : By no means shall you attain righteousness, unless you spend (in charity) of that which you love - 3:92*

*Quiz : After hearing this verse , a Ansari Sahabi gave his most beloved garden in charity, who was he ?*

A. Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu
B. Uthman Radi Allahu Anhu
C. Saad bin maaz Radi Allahu Anhu
D. Abu bakr Radi Allahu Anhu
E. Zaid bin Sahal Radi Allahu Anhu
F. Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know

 ✅ *Sahi jawab E* 💐
-------------
Hazrat Abu Talha ( Zaid bin Sahal) Radi Allahu Anhu madinah mein Ansar mein sab se ziyada maldaar they apne khajoor ke baagaat ki wajah se. aur apne baagaat mein sab se zyada pasand unhen Bairuha ka baag tha. yeh baag masjid e nabwi ke bilkul samne tha. Aur Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  is mein tashreef le jaya
karte aur is ka meetha pani piya karte thay Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kya ke jab yeh aayat nazil hui

*لَنۡ تَنَالُوا الۡبِرَّ حَتّٰی تُنۡفِقُوۡا مِمَّا تُحِبُّوۡنَ*
(Momeeno tum) Neki mein us waqt tak kamaal hasil nahi kar sakte jab tak ki apni pyari cheez mein se kharch na karo - 3:92

Yeh sun kar Abu Talha Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir huye aur arz kiya ke YA Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Allah subhanahu farmata hai ki (Momeeno tum) Neki mein us waqt tak kamaal hasil nahi kar sakte jab tak ki apni pyari cheez mein se kharch na karo  aur mujhe Bairuha ka baagh sab se ziyada pyara hai. is liye mein usko Allah Subhanahu ke liye sadqa karta hu aur iski neki aur is ke zakheera akhirat hone ka ummeed waar hon. Allah ke hukum se jaha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam munasib samjhain usko istemaal kijiye. 
Ye sun kar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  bahut khoob, yeh to bada hi aamdani ka maal hai. yeh to bahut hi naffa bakhash hai. aur jo baat tum ne kahi mein ne woh sun li. aur mein munasib samjhta hu ke tum usko apne nazdeeki rishtedaron ko de do. Abu Talha Radi Allahu Anhu ne kaha. ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam mein aisa hi karoon ga. chunancha unhon ne usko apne rishtedaron aur chacha ke ladkon ko de diya
Sahih Bukhari Jild 2, 1461

*Abu Dawud kahte hain ki mujhe Muhammed bin Abdullah Ansari se ye bata malum huyee ki Abu talha ka naam Zaid bin Sahal Radi Allahu Anhu hai*
Sunan Abi Dawud,  Book 9, Hadith 1685

 ✅ *Answer E* 💐
------------
Narrated by Anas bin Malik radi allahu anhu  Abu Talha (Zaid bin Sahal Radi Allahu Anhu) had more property of date-palm trees gardens than any other amongst the Ansar in Medina and the most beloved of them to him was Bairuha garden, and it was in front of the Mosque of the Prophet (ﷺ) . Allah's Messenger (ﷺ) used to go there and used to drink its nice water." Anas added, "When these verses were revealed:--'By no means shall you Attain righteousness unless You spend (in charity) of that Which you love. ' (3.92) Abu Talha said to Allah's Messenger (ﷺ) 'O Allah's Messenger (ﷺ)! Allah, the Blessed, the Superior says: By no means shall you attain righteousness, unless you spend (in charity) of that which you love. And no doubt, Bairuha' garden is the most beloved of all my property to me. So I want to give it in charity in Allah's Cause. I expect its reward from Allah. O Allah's Messenger (ﷺ)! Spend it where Allah makes you think it feasible.' On that Allah's Apostle said, 'Bravo! It is useful property. I have heard what you have said (O Abu Talha), and I think it would be proper if you gave it to your Kith and kin.' Abu Talha said, I will do so, O Allah's Apostle.' Then Abu Talha distributed that garden amongst his relatives and his cousins."
Sahih Bukhari, Book 24, Hadith 540

*Abu Dawud said I have been told by an Ansari Muhammad bin Abdallah that the name of Abu Talhah is Zaid bin Sahal radi allahu anhu*
Sunan Abi Dawud,  Book 9, Hadith 1685

No comments:

Post a Comment