Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, January 21, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 644 ❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 644❗

*Do sawal hain*

*Sawal 1 : Wo kaunse sahabi hain jinhone darakhto ki aawaz ko RasoolAllah  ﷺ par salam bhejte huye suna ?*

*Sawal 2 :  Wo kaunse sahabi hain jinhone RasoolAllah  ﷺ ke saath khate waqt khane ki tasbeeh padhne ki aawaz ko suna ?*

A. Abu Bakr Siddiq
B. Umar bin khattab
C. Uthman bin Affan
D. Ali ibn Abu Talib
E. Abdullah bin masood
F.  Abu Hurairah
G. Jafer ibn abu talib
*Radi Allahu Anhuma*
H. Inmein se koi nahi
I. Sahi Jawab ka intezar hai

 *❗Only-Quran-Hadith Quiz❗*

*There are two question in the quiz*

*Sawal 1 : Name the sahabi who heard the voice of the trees sending salute on  RasoolAllah  ﷺ  ?*

*Sawal 2 :  Name the sahabi who heard the voice of the meals glorifying Allah,  while eating with  RasoolAllah  ﷺ ?*

A. Abu Bakr Siddiq
B. Umar bin khattab
C. Uthman bin Affan
D. Ali ibn Abu Talib
E. Abdullah bin masood
F.  Abu Hurairah
G. Jafer ibn abu talib
*Radi Allahu Anhuma*
H. None of the above
I. I want to know

 ✅ *Sahi Jawab DE* 💐
--------------
✦ Ali Ibn Talib Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Makka mein main Nabee SallAllahu Alaihi Wasallam ke saath tha , hum kisi bhi janib se nikalte aur Aap  SallAllahu Alaihi Wasallam ke samne koi pahad ya darakht aata to wo kahta As Salamu Alaika Ya RasoolAllah (Eh Allah ke Rasool aap par salamati ho)
Al-Silsila As-Sahiha Hadees # 3544

✦ Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke saath ek safar mein they aur pani taqreeban khatam ho gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo kuch bhi pani bach gaya hai usey talash karo , phir log ek bartan  mein thoda sa pani laye , aapney apna haath bartan mein daal diya aur farmaya barkat wala pani le lo aur barkat to Allah subhanahu ki taraf se hoti hai maine dekha ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallamki ungliyon ke darmiyan se pani fawwarey ( fountain) ki tarah phoot raha tha aur hum Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein khate waqt khane ki tasbeeh (padhne ki aawaz) bhi suna karte they.
Sahih Bukhari, Jild 5, 3579

 ✅ *Answer DE* 💐
--------------
Narrated by Ali ibn talib Radi Allahu Anhu  , I was with the Nabee SallAllahu Alaihi Wasallam in the makka and whenever we pass by any mountain or tree they used to send salam on Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam by saying As Salamu Alaika Ya RasoolAllah (Peace and Mercy be upon you Oh Messenger of the Allah)
Al-Silsila As-Sahiha Hadees # 3544

Narrated by Abdullah Radi Allahu Anhu  Once we were with Propeht Sallallahu Alaihi Wasallam   on a journey, and we ran short of water. He said, "Bring the water remaining with you." The people brought a utensil containing a little water. He placed his hand in it and said, "Come to the blessed water, and the Blessing is from Allah." I saw the water flowing from among the fingers of Propeht Sallallahu Alaihi Wasallam , and no doubt, we heard the meal glorifying Allah, when it was being eaten (by him).
Sahih Bukhari, Book 56, Hadith 779

No comments:

Post a Comment