Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 8, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 608 ❗

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 608 ❗

*Jawab ek se ziyada hai*

*Sawal : Bichchu ke kaatne par kya padhna sunnat hai?*

A. Surah Al-Ikhlas
B. Surah Al-Fatiha 
C. Surah Al-Falaq
D. Surah An-Nas
E. Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq
F. Aauzu bikalimatIllahi-tammatti min kulli shaytaanin wa hammat
G.Surah Al-Kafirun
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Answers are more than one*

*Quiz : What a person should recite if he is stung by a scorpion?*

A. Surah Al-Ikhlas
B. Surah Al-Fatiha 
C. Surah Al-Falaq
D. Surah An-Nas
E. Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq
F. Aauzu bikalimatIllahi-tammatti min kulli shaytaanin wa hammat
G.Surah Al-Kafirun
H. I want to know


 Sahi jawab ABCG
-----------
Ali Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ko namaz ki halat mein ek bichchu ne kaat liya , jab aap namaz se farig huye to farmaya Allah subhanahu bichchu par laanat kare ye namazi aur gair namazi ka lihaz bhi nahi karta phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne pani aur namak mangwaya aur zakhm par malna shuru kar diya aur Qul ya ayyuhal-kafirun (Surah Al-Kafirun), Qul Huwa Allahu ahad (Surah Al-Ikhlas) aur  Qul Aa'udhu bi-Rabbil-falaq (Surah Al-Falaq) padhne lage
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2337
--------------------
عن علي قال: لَدَغَتِ النَّبِيَّ  صلی اللہ علیہ وسلم عَقْرَبٌ وَهُوَ يُصَلِّي ، فَلَمَا فَرَغَ قَالَ: لَعَنَ اللهُ الْعَقْرَبَ ، لَا تَدَعُ مُصَلِّيًا ، وَلَا غَيْره ، ثم دَعَا بِمَاءٍ وَمِلْحٍ ، وَجَعَل يَمْسَحُ عَلَيْهَا ، وَيَقْرَأُ: قُلۡ یٰۤاَیُّہَا الۡکٰفِرُوۡنَ ۙ قُلۡ اَعُوۡذُ  بِرَبِّ الۡفَلَقِ ۙ قُلۡ ہُوَ  اللّٰہُ  اَحَدٌ  ۚ.
--------------------
Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Kuch Sahaba Radi Allahu Anhuma safar ke dauran arab ke ek Qabiley par se guzrey , Qabiley walon ne unki ziyafat (mehman nawazi) nahi ki kuch der baad us Qabiley ke sardar ko bichchu ne kaat liya un Qabiley walon ne sahaba se kaha ki Aap logon ke pass koi dawa ya jhaadney wala hai, sahaba ne kaha ki tum logo ne humein mehman nahi banaya aur ab hum us waqt tak dum nahi karenge jab tak tum hamare liye iski mazduri muqarrar na kar do so un logon ne kuch bakriyan deni manzur kar li phir ( Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu ) surah fatiha parhne lage aur usko dam karte huye munh ka lua’ab ( thuk) bhi us jagah lagane lage is sey wo shaksh achcha ho gaya iske baad Qabiley waley bakriyan lekar aaye lekin sahaba ne kaha jab tak Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se na puch lenge ye bakriyan nahi le saktey phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko malum chala to muskuraye aur farmaya ki tumhey kaisey malum ho gaya tha ki surah fatiha se dum bhi kiya ja sakta hai , in bakriyon ko le lo aur unmein mera hissa bhi lagao (nikalo). 
Sahih Bukhari, Vol7, 5736 
--------------------
Note:

1. Tabrani ki jis hadith mein surah Ikhlas ki jagah surah Naas ka zikr hai wo shadid zaeef hai
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=476&hid=832&pid=281037

2. Aur Option E mein jo dua hai wo zahreele jaanwaro se bachne ke liye yani kaatne se pahle padhne ka hukm hai kaatne ke baad nahi

*Jazakallahu Khairan*

 Answer ABCG
-----------
Narrated by Ali Radi allahu anhu that Once RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam was stung by a scorpion during the Prayer. When the Prayer was over, he remarked: Allah's curse be on the scorpion: it neither spares a praying one, nor any other. Then he called for water and salt, and started rubbing the place where the scorpion had stung with salt water and reciting Qul ya ayyuhal-kafirun, Qul Huwa Allahu ahad, Qul Aa'udhu bi-Rabbil-falaq along with it."
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2337
-----------
عن علي قال: لَدَغَتِ النَّبِيَّ  صلی اللہ علیہ وسلم عَقْرَبٌ وَهُوَ يُصَلِّي ، فَلَمَا فَرَغَ قَالَ: لَعَنَ اللهُ الْعَقْرَبَ ، لَا تَدَعُ مُصَلِّيًا ، وَلَا غَيْره ، ثم دَعَا بِمَاءٍ وَمِلْحٍ ، وَجَعَل يَمْسَحُ عَلَيْهَا ، وَيَقْرَأُ: قُلۡ یٰۤاَیُّہَا الۡکٰفِرُوۡنَ ۙ(۱)  قُلۡ اَعُوۡذُ  بِرَبِّ الۡفَلَقِ ۙ(۱) قُلۡ ہُوَ  اللّٰہُ  اَحَدٌ  ۚ(۱).
-----------
Narrated Abu Said Al-Khudri: Some of the companions of the Prophet came across a tribe amongst the tribes of the Arabs, and that tribe did not entertain them. While they were in that state, the chief of that tribe was bitten by a snake or stung by a scorpion. They said, (to the companions of the Prophet ), "Have you got any medicine with you or anybody who can treat with Ruqya?" The Prophet's companions said, "You refuse to entertain us, so we will not treat (your chief) unless you pay us for it." So they agreed to pay them a flock of sheep. One of them (the Prophet's companions) started reciting Surat-al-Fatiha and gathering his saliva and spitting it (at the place of bitten). The patient got cured and his people presented the sheep to them, but they said, "We will not take it unless we ask the Prophet (whether it is lawful)." When they asked him, he smiled and said, "How do you know that Surat-al-Fatiha is a Ruqya? Take it (flock of sheep) and assign a share for me." 
Sahih Bukhari, Book #71, Hadith #632 
-------------------------
Note :
1.The Hadith of Tabrani in which surah An nas is also mentioned is very week
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=476&hid=832&pid=281037

2. The dua mentined in option E should be recited to be protected from poisonous pests means we should recite before stung not after stung.

*Jazakallahu Khairan*

1 comment: