Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 8, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 609 ❗


 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 609 ❗



*EK jung mein sahaba radi allahu anhuma ke dil ghabrane lage to unhone RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam se kaha ki humko koi dua sikha dijiye aur us dua ke padhte hi Allah ki madad aa gayee aur dushman tabah ho gaye.*

*Sawal : . Us waqt RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaunsi dua padhne ko kaha ?*

A.  
*اللّهُـمَّ لا سَـهْلَ إِلاّ ما جَعَلـتَهُ سَهـلاً، وَأَنْتَ تَجْـعَلُ الْحَـزَنَ إِذا شِـئْتَ سَهـْلاً*
Allahumma la sahla illa ma ja'altu sahla,wa'anta taj-alul hazna iza shiata sahla

B.
*يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ*
Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak

C.
*يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ*
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith

D.
*لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ* 
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen

E.
*اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِنَا وَآمِنْ رَوْعَاتِنَا*
✦ Allahummastur Auraatina Wa Aamin Ruaatina

F. Inmein se koi nahi

G. Sahi Jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Once, during the battle,  sahaba Radi allahu was getting fear in their hearts so they requested to the RasoolAllah ﷺ to teach them some dua , at that time RasoolAllah ﷺ taught them a dua , and after reciting that dua , enemy got defeated.*

*Quiz : What was that dua ?*

A.  
*اللّهُـمَّ لا سَـهْلَ إِلاّ ما جَعَلـتَهُ سَهـلاً، وَأَنْتَ تَجْـعَلُ الْحَـزَنَ إِذا شِـئْتَ سَهـْلاً*
Allahumma la sahla illa ma ja'altu sahla,wa'anta taj-alul hazna iza shiata sahla

B.
*يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ*
Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak

C.
*يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ*
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith

D.
*لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ*
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen

E.
*اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِنَا وَآمِنْ رَوْعَاتِنَا*
✦ Allahummastur Auraatina Wa Aamin Ruaatina

F.  None of the above

G. I want to know

 Sahi Jawab E
--------------
Huzaifa radi allahu anhu Ghzzwa e Khandaq (Ahzab) ka waqiya bayan karte huye farmate hain ki us roz humko bahar se to 10,000  kafiro ka lashkar ghere 
huye tha aur andar se banu quraiza ke 800 yahudi bigde huye they , baal bachchey aur madine ke andar they (jabki sahaba madine ke hudud par jung ki tayyari 
mein mashgul they) aur darr ye tha ki agar banu quraiza ne unke gharo ki taraf rukh kiya to ek baar mein hi aurto aur bachcho ka faisla ho jayega , Wallah us 
raat jaisee khauff ki halat hum par kabhi nahi guzri.
Sahaba radi allahu anhuma aisee ghabrat aur khauff mein RasoolAllaah ﷺ se kahne lage ki aap humein koi aisee dua sikha dijiye jis se hamara khauff dur ho jaye 
to us waqt RasoolAllah ﷺ ne sahaba se farmaya ki aap ye dua padhiye 

*اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِنَا وَآمِنْ رَوْعَاتِنَا*
✦ Allahummastur Auraatina Wa Aamin Ruaatina
Eh Allah hamari pardaposhi farma aur hamare khauff aur darr ko aman mein badal de.

Idhar musalmano ki ye duaein buland huyee aur udhar Allah subhanhu ka lashkar hawao ki shakal mein aaya (Allahu Akbar) aur kafiro ke khemo ko ukhad phenka aur unko tabah kar diya
Tafsir Ibn kathir, Surah Al Ahzab (33) Aayat 9-10

Answer E
-------------
On the day of Al-Khandaq, Sahaba Radi allahu anuma said O Messenger of Allah, is there anything we should say, for our hearts have reached our throats means we are getting fear too much,
RasoolAllaah ﷺ said:
*«نَعَمْ، قُولُوا: اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِنَا وَآمِنْ رَوْعَاتِنَا»*
(Yes, say: O Allah, cover our weak points and calm our fears.)
 Then Allahstruck the faces of the enemy with the wind, and defeated them with the wind. This was also recorded by Imam Ahmad bin Hanbal from Abu `Amir Al-`Aqadi.
Tafsir Ibn kathir, Surah Al Ahzab (33) Aayat 9-10

No comments:

Post a Comment