Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, January 21, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 659❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 659❗

*Jawab ek se ziyada hain*

*Sawal : Wo kaunse kaam hain jiske liye RasoolAllah  ﷺ ne farmaya ki usko karne wala jannat mein dakhil hoga phir bhi usko bahut kam log karte hain ?*

A. Har namaz ke baad 33 baar SubhanAllah , 
33 baar Alhamdulillah aur 34 baar Allahu Akbar kahna

B. Wuzu ke baad do rakaat namaz padhna

C. Maa baap ki budhape mein khidmat karna

D. Har namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 
10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahna

E. Raat ko sote waqt Aayat Al kursi padhna

F. Raat ko sote waqt 33 baar SubhanAllah 
33 baar Alhamdulillah aur 34 baar Allahu Akbar kahna

G. Har namaz ke baad Aayatl Kursi padhna 

H. Sahi Jawab ka intezar hai

 *❗Only-Quran-Hadith Quiz❗*

*There are two question*

*Quiz : For which deeds RasoolAllah  ﷺ said if any muslim do regularly he will enter paradise yet few people do this ?*

A. Say 33 times SubhanAllah,  33 times Alhamdulillah
 34 times Allahu Akbar after every prayer

B. Praying two rakah after Ablution (Wudhu)

C. Look after the parents in their old age

D. Say 10 times SubhanAllah,  10 times Alhamdulillah
10 times Allahu Akbar after every prayer

E. Reciting Aayat Al Kursi in the night

F. Say 33 times SubhanAllah,  33 times Alhamdulillah
34 times Allahu Akbar after every prayer

G. Reciting Aayat Al Kursi after every prayer

H. I want to know

 ✅ *Sahi Jawab DF* 💐
------------
✦ Abdullah bin Amr Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya do aadatein aisee hain ki 
agar koi musalman isko ikhtiyar kar le to wo jannat mein jayega wo dono aasan hain magar us par amal karne wale bahut kam hain, pahli 
ye ki har namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe , ravi kahte hain ki maine Rasool-
Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo zuban par 150 (Yani 5 waqt ki namaz 
ke baad 5x30=150) aur meezan par 1500 hain.

✦ Dusri aadat ye bayan farmayee ki jab tum sone ke liye jao to (33 baar) SubhanAllah , (33 baar) Alhamdulillah aur (34 baar) Allahu 
Akbar kaho.ye zuban poar to 100 hain magar meezan par 1000 hain.Aap Sal-Alalahu alaihi Wasallam ne farmaya ki tum mein se kaun hain jo 
din raat mein 2500 buraeeya karta hai? (kyunki neki burayee ko mita deti hai).

✦ Sahaba Radi allahu anhu ne farmaya hum kaise iska khayal nahi rakhenge , to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum namaz 
mein hote ho to shaitan tumhare pass aata hai aur kahta hai ki falah cheez yaad karo,falah cheez yaad karo, yahan tak ki wo (banda) 
namaz se farig ho jata hai aur us ko nahi karta , aur isse tarah jab koi sone ke liye bistar par jata hai to shaitan waha bhi aa jata 
hai aur usko sulata rahta hai yahan tak ki wo so jata hai 
Jamia Tirmizi,Jild 2,1335-Hasan

 ✅ *Answer DF* ✅
-----------
✦ Abdullah bin Amr may Allah be pleased with both of them said:
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: There are two habits , if any Muslim guards, he will enter in Paradise. 
And indeed, they are easy, and those who act upon them are few: 
He glorifies Allah at the end of every prayer 10 times (saying Subḥān Allāh) 
and praises Him 10 times saying (Al-Ḥamdulillāh)
and extols His greatness 10 times (saying Allāhu Akbar).
He said: And I have seen the Messenger of Allah counting them with his hand. 
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said said: So this is 150 (After every prayer 5 x 30 =150) with the tongue, and 1500 on the Scale. 

✦ When you go to bed, you glorify Him (Say 33 times SubhanAllah), extol His greatness (Say 33 times ALhamdulillah), and praise Him (Say 34 times Allahu Akbar) so this is 100 with the tongue and 1000 on the Scale. Which of you perform 2500 evil deeds in a single day and night? (because good deeds removes evild deeds)

✦ They said: How could we not guard over them?’ He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Shaitan comes to one of you when he is in his Salat and says: Remember such and such, remember such and such” until he turns perhaps he will not do it. And he comes to him and he is lying down and makes him sleepy until he falls asleep.’”
Jamia Tirmizi,Book 45, 3410-Hasan

No comments:

Post a Comment