Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 8, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 622 ❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 622 ❗


*Quiz mein do sawal hain*

✦ Ek baar kuch mushrik Kashti mein ja rahe they aur achanak tufan aa gaya to musrikin Allah Wahid ko pukarne lage tab unmein se ek shaksh ne kaha ki Allah jab samundar mein museebat ko dur kar sakta hai to zameen par bhi museebato ko dur karne wala wahi ek RABB hai aur ye kahkar usne Islam Qubul karne ka irada kar liya.

*Sawal 1 : Inmein se wo kaun they jinhone is waqye ke baad Islam kar liya ?*

A. Dihyah Al-Kalbi
B. Musaib ibn Umair 
C. Hanzala Ibn Abi Amir
D. Zaid ibn Al-Arqam
E. Ammar bin Yasir
F. Suraqa bin Malik
*(Radi Allahu Anhuma)*
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai


*Sawal 2 : Is waqye ka zikr Quran ki kaunsi surah ki tafsir mein hai ?*

A. Surah Yunus
B. Surah Hud
C. Surah Ankaboot
D. Surah naml
E. Surah Anam
F. Surah Taha
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

✦ Once few Polytheist were in the ship for a journey , because of the high tide ship started to rock , polytheist start asking help from Allah alone , after seeing this one of them said if Allah alone can help in the sea then definitely he alone can help on the land and he intended to accept Islam.

*Quiz 1 : Who was that person who accepted Islam after this incident?*

A. Dihyah Al-Kalbi
B. Musaib ibn Umair 
C. Hanzala Ibn Abi Amir
D. Zaid ibn Al-Arqam
E. Ammar bin Yasir
F. Suraqa bin Malik
*(Radi Allahu Anhuma)*
G. None of the above
H. I want to know

*Quiz 2 : In which Surah's Tafsir this incidet has been Quoted ?*

A. Surah Yunus
B. Surah Hud
C. Surah Ankaboot
D. Surah naml
E. Surah Anam
F. Surah Taha
G. None of the above
H. I want to know


 ✅ *Answer GC* 💐
--------
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ*
-----------
*فَإِذَا رَكِبُوا فِي الْفُلْكِ دَعَوُا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ فَلَمَّا نَجَّاهُمْ إِلَى الْبَرِّ إِذَا هُمْ يُشْرِكُونَ*
-----------
Al Quran : And when they (Polythiest) embark on a ship, they invoke Allah, making their Faith pure for Him only: 
but when He brings them safely to land, behold, they give a share of their worship to others .
Surah Ankaboot (29),  Aayat 65

*Explanation:*
Muhammad bin Ishaq reported from `Ikrimah bin Abi Jahl Radi Allahu anhu that when the Messenger of Allah conquered Makkah, he (Ikrimah) ran away, fleeing from him. When he was on the sea, headed for Ethiopia, the ship started to rock and the crew ( and other polythiest) said: "O people, pray sincerely to your Lord (Allah) alone, for no one can save us from this except Him.'' `Ikrimah said: "By Allah, if there is none who can save us on the sea except Him, then there is none who can save us on land except Him either, O Allah, I vow to You that if I come out of this, I will go and put my hand in the hand of Muhammad and I will find him kind and merciful.'' And this is what indeed did happen.
*Tafsir Ibn Kathir, Surah Ankaboot (29),  Aayat 65*

 ✅ *Sahi Jawab GC* 💐
--------
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ*
--------
*فَإِذَا رَكِبُوا فِي الْفُلْكِ دَعَوُا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ فَلَمَّا نَجَّاهُمْ إِلَى الْبَرِّ إِذَا هُمْ يُشْرِكُونَ*
--------
Al Quran : Phir (mushrik) jab kashti mein sawar hote hain to Allah subhanahu ko pukarte hain aur khalis usee ki ibadat karte hain lekin jab wo unko nijat dekar khushki par phauncha deta hai to foran shirk karne lag jate hain
Surah Ankaboot (29),  Aayat 65
--------
*Tafsir ibn Kathir:*
Ibn Ishaq se rivayat hai Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Makkah Fatha Kiya to Ikrama bin Abu Jahal Radi Allahu Anhu Waha se nikle aur habash jaane ke irade we kashti Mai baith gaye, Ittefaq se Sakht tufan aaya aur kashti idhar udhar hone lagi jitne Mushriqeen kashti Mai they sab kahne lage ye moqa Sirf Allah Subhanahu ko pukarne Ka hai utho aur Ikhlas ke sath Allah Subhanahu se duaein Karo iss waqt Nijat ussi ke haath hai ye sunte hi Hazrat Ikrama bin Abu Jahal Radi Allahu Anhu Kaha suno Allah Subhanahu ki Qasam agar Samandar ke iss tufan se Allah Subhanahu Ke siwa koi aur Nijat Nahi de Sakta to khushki ki musibato ko taalne wala bhi wahi hai Allah Subhanahu Main tujhse Ahad karta hu ki agar yaha se bach gaya to seedha jaa kar Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke haath mein haath rakh dunga aur Aap Ka Kalma padhunga Mujhe yaqeen hai ke Allah Subhanahu Ke Rasool Sallallahu Alahai Wasallam meri khataoh se darguzar farmaenge aur mujh par Raham aur Karam farmaenge aur yehi hua bhi (yani unhone Islam Qubul kar liya)
*Surah Ankaboot (29),  Aayat 65*


No comments:

Post a Comment