Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, January 31, 2019

❗Only-Quran-Hadith Quiz 677❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 677❗

✦ *Sawal : RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab fateh makka ke din kaba sharif ke darwaze se andar dakhil huye to kis taraf rukh karke namaz ada ki ?*

A. Darwaze ki taraf Aap ﷺ ki peeth mubarak thi 
B. Darwaze ki taraf Aap ﷺ ka chehra mubarak tha
C. Darwaza Aap ﷺ ke dahini taraf tha
D. Darwaza Aap ﷺ ke bahini taraf tha
E. Charo taraf do-do rakat ada ki
F. Aap ﷺ ne kaba ke andar namaz ada nahi ki thi
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

✦ *Quiz : On the conquest of makka when the RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam entered inside the kaba, at which direction he prayed inside ?*

A. The door of the kaba was at his back
B. The door of the kaba was at his front
C. The door of the kaba was at the right side
D. The door of the kaba was at the left side
E.  He ﷺ prayee in all direction two rakah
F.  He ﷺ did not pray inside the kaba
G. None of the above
H. I want to know



 ✅ *Sahi jawab A* 🌹
----------
✦ Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai Fateh Makkah ke din  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Tashreef laaye Aap Sallallahu Alahai Wasallam ki Qaswa Oontni par peechay Hazrat Usama Radi Allahu Anhu baithe hue thay aur Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke sath Hazrat Bilal Radi Allahu Anhu aur Usman bin Talha Radi Allahu Anhu bhi thay Aap Sallallahu Alahai Wasallam ne Kaaba ke paas apni Oontni bitha di aur Usman Radi Allahu Anhu se farmaya ke Kaaba ki Kunji Lao wo Kunji laaye aur darwaza Khola. 

✦ Aap Sallallahu Alahai Wasallam andar dakhil huye to Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke sath Usama ,Bilal aur Usman Radi Allahu Anhuma bhi andar Gaye phir darwaza andar se band Kar liya aur Der tak andar ( Namaz aur duaon Mai mashgul) rahe jab Aap Sallallahu Alahai Wasallam bahr tashreef laaye to log andar jaane ke liye ek dusre se aagye badhne lage aur mein Sabse aagye badh Gaya Meine Dekha ke Bilal Radi Allahu Anhu darwaze ke peeche khade huye hain meine unse pucha ke Nabi Sallallahu Alahai Wasallam ne Namaz Kaha padi thi Unhone bataya ke khana-e-Kaaba Mein  Chay (6) Sutoon thay do qataroh Mai 

✦ *Aap Sallallahu Alahai Wasallam ne aage ki Qatar ke do sutonoh ke darmiyan Namaz padhi thi Kaaba Ka darwaza Aap Sallallahu Alahai Wasallam ki peeth mubarak ki tarf tha* aur Chehara mubarak us taraf tha jaha darwaze se andar jaate hue Chehra Karna padta Hain Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke aur deewar ke darmiyan( Teen hath Ka fasla tha) Ibn Umar Radi Allahu Anhu ne bayan Kiya ke ye puchna Mai bhul Gaya ke Nabi Sallallahu Alahai Wasallam ne kitni rakat namaz padhi thi jis jagha Aap Sallallahu Alahai Wasallam Namaz padi thi waha Surkh Sang marmar bichaa hua tha
Sahi bukhari, Jild 6, 4400
----------
Arabic & English text
https://www.sunnah.com/bukhari/64/423

 ✅ *Answer A* 💐
---------
Narrated (Abdullah) bin `Umar Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) arrived (at Mecca) in the year of the Conquest (of Mecca) while Usama was riding behind him on (his she-camel)'. Al-Qaswa.' Bilal and `Uthman bin Talha were accompanying him. When he made his she-camel kneel down near the Ka`ba, he said to `Uthman, 
"Get us the key (of the Ka`ba). He brought the key to him and opened the gate (of the Ka`ba), for him. The Prophet, Usama, Bilal and `Uthman (bin Talha) entered the Ka`ba and then closed the gate behind them (from inside). The Prophet (ﷺ) stayed there for a long period and then came out. The people rushed to get in, but I went in before them and found Bilal standing behind the gate, and I said to him, "Where did the Prophet (ﷺ) pray?" He said, "He prayed between those two front pillars." The Ka`ba was built on six pillars, arranged in two rows, and *he prayed between the two pillars of the front row leaving the gate of the Kaba at his back* and facing (in prayer) the wall which faces one when one enters the Kaba. Between him and that wall (was the distance of about three cubits). But I forgot to ask Bilal about the number of rak`at the Prophet (ﷺ) had prayed. There was a red piece of marble at the place where he (i.e. the Prophet) had offered the prayer.
Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 683

No comments:

Post a Comment