Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, January 31, 2019

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 688❗

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 688❗

*Do Sawal hain*

*Sawal 1 : Dajjal  ko kaun Qatl karega ?*

*Sawal 2 : Yajuj Majuj ko kaun Qatl karega ?*

A. Mahdi Alaihi Salam
B. Jibril Alaihi Salam
C. Isa Alaihi Salam
D. Israfil Alaihi Salam
E. Zulqarnain Alaihi Salam
F. Wo zinda Aasmano par utha liye jayenge
G. Innme se Koi nahi
H. Sahi Jawab Ka intezar

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

*There are two questions*

*Quiz 1 : Who will Kill Dajjal ?*

*Quiz 2 : Who will Kill Yajuj Majuj (Gog and Magog)?*

A. Mahdi Alaihi Salam
B. Jibril Alaihi Salam
C. Isa Alaihi Salam
D. Israfil Alaihi Salam
E. Zulqarnain Alaihi Salam
F. They will be raised alive on the sky
G. None of the above
H. I want to know

 ‎You deleted this message.

 *✅Sahi Jawab CG*
---------
 Bismillahirrahmanirraheem

★ :  Qayamat ki Nishaniyan - Dajjal , Isalaihi Salam ka Nujul, Yajuj Majuj aur Suraj ka Maghrib se nikalna
----------------
*✦ : Nawas Bin samaan radhi Allahu Subhanahu se rivat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallm ne ek subah dajjal ka zikr kiya to kabhi is ko ghataya aur kabhi badaya ( yani kabhi is ki tahqeer ki aur kabhi iske fitne ko bada kaha kabhi buland aawaz se guftagu ki aur kabhi kam aawaz se ) yahan tak ki humne gumaan kiya ki dajjal khajooron ki darakhton ke jhoond mein hai , jab shaam ke waqt aap ke paas gaye to to aap ne hamare chehron par iska asar maloom kiya  (Yani khauff aur darr ) aap ne farmaya ke tumhara kya haal hai hum ne arz kiya ke ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallm aap ne dajjal ka zikr kiya aur us ko ghataya aur badaya,yahan tak ke humko ye guman ho gaya ke dajjal in khajoor ke darakhton main mojood hai (yani is ka aana bahut Qareeb hai).

☆ : Dajjal ki Nishaniya : Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke mujhe dajjal ke siwa aur baaton ka tum par khauff zyada hai ( yani fitnoh ka aapas ki ladaaiiyon ka) agar dajjal nikla aur main tum logon main mojud huaa to tum se pahle main uska muqabil hoonga ( is se ladii karoonga) aur tumhe iski burayee ( mischief) se bachaoonga aur agar wo nikla aur main tum logon main mojudna hua to her mard ( musalman) apni taraf se is se muqabla karega aur allah subhanahu har musalman par mera khalifa aur nigahban hoga. Albatta dajjal to jawan aur ghunghrale balon ( curly hair) wala hai is ki aankh ubhri hui hain jaisey ke main is ki mushabehat ( comparision) abdul azaa bin Qatan ke saath deta hun phir tum main se jo shakhsh dajjal ko paye is ko chahiye ki surah kahaf ki shooru ki aaytain us par padey yakinan wo shaam aur iraq ke darmyaan ki rah se niklega to apney dayein ( right side) aur bayen(Left ) fasad failayega , Eh Allah ke bando Iman par qayam rahna.

★ : Dajjal ka fitna : Sahaba ne poocha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam wo zameen par kitni muddat rahega aap ne farmaya ki 40 din tak ,in mein se ek din ek saal ke barabar hoga, ek din ek mahine ke barabar , ek din ek haftey(week) ke barabar aur baqi din jaise tumhare ye din hain ( yani tumhare dino ke hisab se dajjal 1 baras,2 mahiney aur 14 din tak rahega yani 439 din ) Sahaba ne arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam jo din saal bhar ke barabar hoga us din humko ek hi din ki namazin kaafi hongi ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi bulki us din tum andaza karkey namaz pad lena jaisey ki in dino padtey ho , Sahaba ne arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam us ki chaal zameen par kaisee hogi AAP Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke us badal ki tarah jis ko hawa peechey se udati hai phir woh ek qaum ke pass aayega aur un ko Dawat dega wo us par imaan layenge aur us ki baat manege phir wo aasman ko huqm karega to wo panee barsayega aur zameen ko huqm karega to wo ghaas ( grass) aur anaaj uga degi sham ko unke janwar aayenge to unke kohan pahle se jyada lambe honge, than kushda honge aur kukhein tani hui ( yani moti). Phir dajjal dusri qaum ke paas jayega un ko bhi dawat dega lekin wo us ki baat nahi manegi to un ki taraf se dur chala jayega to un par qahat aur khuski hogi ( yani Akaal pad jayega ) un ke hathon main maal nahi rahenge.

*✦ : Dajjal veeran zameen par niklega to un se kahega ki eh zameen apne khazane nikal de to wahan ke maal aur khazane nikal kar uske paas aisey jama ho jayenge jaise shahad ki makhkhiyan sardar makhkhi ke paas jama ho jati hain phir dajjal ek jawan mard ko bulayega aur usko talwar maar kar do tukde kar dega jaise nishaana do tukde ho jata hai phir usko zinda karne ke liye pukarega to wo jawan damakte huye (fresh) chehrey ke saath hansta hua saamne aayega .

✦ : *Eesa Alaihi Salam ka Nujul aur Dajjal ka Qatl : Jab dajal is haal main hoga ki Allah Subhanahu sayyedna Eesa ( jesus) bin mariyam Alaihi Salam ko bhejega Eesa Alaihi salam damishq ke shahar main mashriq ki taraf safed meenar ke paas utrenge wo zard rang ka joda pahne huye honge aur apne dono haath do farishto ke baajoo par rakhe huye honge jab eesa Alaihi salam apna sir jhukayenge to paseena tapkega aur jab apna sir uthayenge to moti ki tarah boondey bahegi. Jis kafir tak eesa Alaihi salam ke saans ( breath) ki khushboo pahunchegi wo mar jayega unke saans (breath) ka asar wahan tak pahunchega jahan tak unki nazar pahunchegi phir eesa Alaihi salam dajjal ko talash karenge yahan tak ke us ko bab-e-lud ( ye ek pahad hai jo shaam main hai) par mojud pakar usko qatl kar denge. Phir eesa Alaihi salam ke paas wo log aayenge jinko Allah Subhanahu ne dajjal ki burayee se bachaya hoga phir wo shafqat se unke cheherey ko sahlayenege aur unko unke darjon ki khabar denge jo jannat mein un ke liye rakhen hain.

★ : Yajuj Majuj ka nikalna : Wo isi haal main honge ki Allah Subhanahu eesa Alaihi salam par wahee(Message by Allah) bhejega ki main ne apne aise bande nikale hain ki kisi ko un se ladne ki takat nahi tum mere musalman bandoh ko tur ( a Mountain) ki taraf panah main le jao aur phir Allah Subhanahu Yajooj aur majooj ko bhejega. aur wo har ek unchan se nikal padenge un ke pahle log ( yani unqi qatar ke sabse aage wale log) tabristan ( A sea ) ke dariya par guzrenge aur us ka saara pani pee lenge phir un main se peechley log ( yani unki qatar ke sabse aakhir wale log) us dariya par se guzrenge to kahenge ki kabhi is driya main pani bhi hua karta tha ( phir chal kar us pahad tk pahunchenge jahan darakht jyada hain yani baitul muqaddas ka pahad to wo kahenge ke hum zameen walon ko qatl kar chuke hain ab aao Aasman walon ko qatl kare ( Astagfairullah) to apne teer aasman ki taraf chlayenege Allah Subhanahu un teero ko khoon main bhar kar lauta dega wo ye samjhenege ki aasman ke log bhi mare gaye hain (ye mazmun iski baad ki rivayat se liya gaya hai)

✦ : Yajuj majuj ki maut :  Phir Allah ke paigambar eesa Alaihi salam aur unke saathi dua kareneg to Allah Subhanahu Yajooj Majooj ke logo par azab bhejega to unki gardanon main keeda paida hoga to subah tak sab mar jayenge jaise ek aadmee marta hai phir eesa Alaihi salam aur un ke( pahad se ) zameen par utrenege to zameen par ek balisht bhi jagah aisee nahi hogi jahan par unki ( yajooj majooj) sadand aur gandagi na hogi ( yani tamam zameen par unki sadi huyee death bodies hongi)Phir Allah ke Rasool Eesa Alaihi salam aur unke saathi Allah se dua kareneg to Allah  Subhanahu bade oonton(camels) ki gardan ke barabar parinde bhejega wo un ko utha le jayenege aur wahan phenk denge jahan Allah Subhanahu ka huqm hoga phir Allah Subhanahu aisa pani barsayega ki phir zameen ko huqm hoga ki apne fal( fruits) jama aur aur apni barkat pher de aur oos din ek anar ( pom granate) ko ek giroh ( group) kha sakegaaur uske chilkey( skin) bangla sa bana kar oos ke saye mein baithega ddodh main itni barkat hogi ke doodh wali oontni aadmiyon ke bade giroh ko kafi ho jayegi aur doodh wali gaay (cow) ek biradari ke sare logo ko kafi hogi aur doodh wali bakri ek purey khandan ko kafi hogi , jab log es haal main hoge tabhi achanak Allah Subhanahu ek paak hawa bhejega wo unke baglon (arm pit) ke neechey lagegi aur asar kar jayegi to har momeen aur muslim ki rooh Qabj ho jayegi (yani wo mar jayengey) aur badjaat log baki rah jayenge jo ghadhon ki tarah ( Like Donkey) sarey aam aaurton se jamaah (sex) karenge aur un par Qayamat qayam hogi. (Yani Qayamat Musalmano par qayam nahi hogi)
Sahih Muslim 7373


✦ :  *Suraj ka Maghrib se nikalna :  Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya hijrat ka silsila tab tak khatam nahi hoga jab tak ki tauba ka darwaza band na ho jaye aur tauba ka darwaza tab tak band nahi hoga jab tak ki suraj magrib se na nikle
Sunan Abu Dawud 2473-Sahih

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jaise hi Suraj Maghrib yani paschim se tulu hoga aur log dekh lenge to sab log Imaan le aaayenge lekin ye wo waqt hoga jab kisi aise shaksh ko iska imaan lana fayda na dega jo pahle se imaan na laya hoga aur usne apne imaan ke saath achche kaam na kiye hongeAur Qayamat achanak is tarah qayam ho jayegi ki do aadmiyon ne apne darmiyan kapda phaila rakha hoga ise abhi bech bhi na paaye honge aur na hi lapet paye honge, aur qayamat is tarah aa jayegi ki ek shaksh apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua hoga aur abhi use pi bhi nahi paya hoga, aur qayamat is tarah qayam ho jayegi ki koi apne hauz ko durast kar raha hoga aur abhi usmein se paani bhi nahi pi sakega aur Qayamat is tarah qayam ho jayegi ki kisi ne apna luqma munh ki taraf uthaya hoga aur abhi usey khaya bhi nahi hoga
Sahih Bukhari 7121



 *✅ Answer:CG*
-----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam Said Allah would send Christ, son of Mary, and he will descend at the white minaret in the eastern side of Damscus wearing two garments lightly dyed with saffron and placing his hands on the wings of two Angels. When he would lower his head, there would fall beads of perspiration from his head, and when he would raise it up, beads like pearls would scatter from it. Every non-believer who would smell the odour of his self would die and his breath would reach as far as he would be able to see. He would then search for him (Dajjal) until he would catch hold of him at the gate of Ludd and would kill him. Then a people whom Allah had protected would come to Jesus, son of Mary, and he would wipe their faces and would inform them of their ranks in Paradise and it would be under such conditions that Allah would reveal to Jesus these words: I have brought forth from amongst My servants such people against whom none would be able to fight;

you take these people safely to Tur, and then Allah would send Gog and Magog and they would swarm down from every slope. The first of them would pass the lake of Tibering and drink out of it. And when the last of them would pass, he would say: There was once water there. Jesus and his companions would then be besieged here (at Tur, and they would be so much hard pressed) that the head of the ox would be dearer to them than one hundred dinirs and Allah's Apostle, Jesus, and his companions would supplicate Allah, Who would send to them insects (which would attack their necks) and in the morning they would perish like one single person.

Allah's Apostle, Jesus, and his companions would then come down to the earth and they would not find in the earth as much space as a single span which is not filled with their putrefaction and stench. Allah's Apostle, Jesus, and his companions would then again beseech Allah, Who would send birds whose necks would be like those of bactrin camels and they would carry them and throw them where Allah would will
Sahih Muslim Book 41, Hadith 7015(Part)

❗Only-Quran-Hadith Quiz 687❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 687❗

*Sawal : Wo kaunse sahabi they jinhone apni maut se ek din pahle hi apne bete ko waseeyat karke ye khabar de di thi ki wo kal jung mein shaheed ho jayenge ?*

A. Jabir Radi Allahu Anhu
B. Jafar radi Allahu Anhu
C. Uthman radi Allahu Anhu
D. Abdullah radi Allahu Anhu
E. Zaid bin harith radi Allahu Anhu
F. Talha Radi Allahu Anhu
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Quiz : What is the name of that companion who preinforme to his son that he will be martyr on next day in the battle ?*

A. Jabir Radi Allahu Anhu
B. Jafar radi Allahu Anhu
C. Uthman radi Allahu Anhu
D. Abdullah radi Allahu Anhu
E. Zaid bin harith radi Allahu Anhu
F. Talha Radi Allahu Anhu
G. None of the above
H. I want to know

 ✅ *Sahi Jawab D*  💐
---------
Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai jab Jang e Uhad Ka waqt Qareeb aa gya to mujhe mere Walid Abdullah Radi Allahu Anhu ne raat ko bula Kar Kaha ke mujhe aisa dikhayee deta Hain ke RasoolAllah Sallallahu Alahai Wasallam Ke Ashab Mai se sabse pahle mujhe shaheed kiya jayega aur dekho RasoolAllah Sallallahu Alahai Wasallam ke siwa dusre koi mujhe (Apne azeez aur wareesoh mai) tumse zyada azeez Nahi Hain, mere upar karz hai , tum mera qarz adaa Kar dena aur apni (9) behnoh se achcha suluk Karna, jab subah huyee to sabse pahle mere Walid (Abdullah Radi Allahu Anhu) hi Shahid huye
Sahih Bukhari , 1351
---------
Narrated Jabir Radi Allahu Anhu when the time of the Battle of Uhud approached, my father (Abdullah Radi Allahu Anhu) called me at night and said, "I think that I will be the first amongst the companions of the Prophet (ﷺ) to be martyred. I do not leave anyone after me dearer to me than you, except Allah's Messenger (ﷺ)'s soul and I owe some debt and you should repay it and treat your sisters favorably (nicely and politely)." So in the morning he was the first to be martyred and was buried along with another (martyr). 
Sahih Bukhari,Book 23, Hadith 434
--

 ✅ *Answer D* 💐
---------
Narrated Jabir Radi Allahu Anhu when the time of the Battle of Uhud approached, my father (Abdullah Radi Allahu Anhu) called me at night and said, "I think that I will be the first amongst the companions of the Prophet (ﷺ) to be martyred. I do not leave anyone after me dearer to me than you, except Allah's Messenger (ﷺ)'s soul and I owe some debt and you should repay it and treat your sisters favorably (nicely and politely)." So in the morning he was the first to be martyred and was buried along with another (martyr). 
Sahih Bukhari,Book 23, Hadith 434
---------

❗Only-Quran-Hadith Quiz 686 ❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 686❗

*Sawal : Wo kaunse nabee hain jinhone apne mukhalifo ke liye ye baddua ki thi ki unhe tab tak iman hasil na ho jab tak wo Azab na dekh le ?*

A. Nooh Alaihi salam
B. Ibrahim Alaihi salam
C. Yunus Alaihi Salam
D. Musa Alaihi salam
E. Saleh Alaihi Salam
F. Muhammed SallAllahu alaihi wasallam
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Quiz : Which prophet supplicated against their enemy that they should not believe until they see the torment of Allah ?*

A. Nooh Alaihi salam
B. Ibrahim Alaihi salam
C. Yunus Alaihi Salam
D. Musa Alaihi salam
E. Saleh Alaihi Salam
F. Muhammed SallAllahu alaihi wasallam
G. None of the above
H. I want to know


 💐 *Sahi Jawab D* 💐
---------
Bismillahirrahmanirrahim


وَقَالَ مُوسَىٰ رَبَّنَا إِنَّكَ آتَيْتَ فِرْعَوْنَ وَمَلَأَهُ زِينَةً وَأَمْوَالًا فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا رَبَّنَا لِيُضِلُّوا عَن سَبِيلِكَ ۖ رَبَّنَا اطْمِسْ عَلَىٰ أَمْوَالِهِمْ وَاشْدُدْ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ فَلَا يُؤْمِنُوا حَتَّىٰ يَرَوُا الْعَذَابَ الْأَلِيمَ
---------
Al Quran : Aur Musa Alaihi Salam ne kaha Eh hamare RABB tune firaun aur uske sardaroh ko duniya ki zindagi mein aarayeesh aur har tarah ka maal diya hai Eh RABB hamare yaha tak ki unhone tere raaste se gumrah kar diya hai , Eh hamare RABB unke maalon ko barbad kar de aur unke dilo ko sakht kar de ki (wo tab tak) imaan na laye Jab tak Azab-e-Aleem na dekh le
Surah Yunus (10), Aayat 88
---------
اورموسیٰ علیه سلام  نے کہا اے رب ہمارے تو نے فرعون اوراس کے سرداروں کو دنیا کی زندگی میں آرائش اور ہر طرح کا مال دیا ہے اے رب ہمارے یہاں تک کہ انہوں نے تیرے راستہ سے گمراہ کر دیا اے رب ہمارے ان کے مالوں کو برباد کر دے اور ان کے دلوں کو سخت کردے کہ ایمان نہ لائیں جب تک عذاب الیم نہ دیکھ لیں
 القرآن  : سوره یونس ، آیت ٨٨ 
---------
Al Quran : And Musa Alaihi Salam said: Our Lord! You have indeed bestowed on Fir'aun (Pharaoh) and his chiefs splendour and wealth in the life of this world, our Lord! that they may lead men astray from Your Path. Our Lord, Destroy their wealth, and harden their hearts, so that they will not believe until they see the painful torment.
Surah Yunus (10), Verse 88
----
 💐 *Answer D* 💐
---------
وَقَالَ مُوسَىٰ رَبَّنَا إِنَّكَ آتَيْتَ فِرْعَوْنَ وَمَلَأَهُ زِينَةً وَأَمْوَالًا فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا رَبَّنَا لِيُضِلُّوا عَن سَبِيلِكَ 
رَبَّنَا اطْمِسْ عَلَىٰ أَمْوَالِهِمْ وَاشْدُدْ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ فَلَا يُؤْمِنُوا حَتَّىٰ يَرَوُا الْعَذَابَ الْأَلِيمَ
---------
Al Quran : And Musa Alaihi Salam said: Our Lord! You have indeed bestowed on Fir'aun (Pharaoh) and his chiefs splendour and wealth in the life of this world, our Lord! that they may lead men astray from Your Path. Our Lord, Destroy their wealth, and harden their hearts, so that they will not believe until they see the painful torment
Surah Yunus (10), Verse 88

❗Only-Quran-Hadith Quiz 685❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 685❗

*Sawal : Inmein se wo kaunsa kaam hai jiska sawab utna hai jitna kisi rozedar ko milta hai ?*

A. Allah ki raah mein pahra dena 
B. Kisi mazlum musalman ki madad ke liye jana
C. Khana Kha kar Allah ka shukr ada karna
D. Allah ki raha mein jihad karna
E. Kisi Miskeen ko do waqt achcha khana khilana
F. Karzdar ko mohlat dena
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawba ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Sawal : What is that deed  , if a person does he will get the reward like the fasting person ?*

A. Patrolling in the way of Allah
B. Helping the oppressed muslim
C. The one who praise Allah after eating
D. The one who fight in the way of Allah
E. The one who feed poor two times
F. The one who give extra time to the debtor
G. None of the above
H. I want to know


 ✅ *Sahi jawab C*  💐
--------
✦ Sinan Al-Aslami Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya khana kha kar (Allah ka) Shukr ada karne walo ko roza rakhkar sabr karne 
walo ke barabar sawab milta hai
Sunan Ibn maja , Jild 1, 1765-Hasan
--------
✦ It was narrated from Sinan Al-Aslami Radi allahu anhu that RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said 
A grateful eater ( the one who praise Allah after eating) will have a reward like that of a fasting person who have patience.
Sunan Ibn maja , Book 7, 1765-Hasan


 ✅ *Answer C*  💐
--------
✦ It was narrated from Sinan Al-Aslami Radi allahu anhu that RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said 
A grateful eater ( the one who praise Allah after eating) will have a reward like that of a fasting person who have patience.
Sunan Ibn maja , Book 7, 1765-Hasan

❗Only-Quran-Hadith Quiz 684❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 684❗

*Pahle sawal mein jawab ek se zyada hai*

*RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek baar apne haatho mein kuch liya aur usko ............ke liye haram farma diya*

*Sawal1 : Us waqt RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke haath mein kya kya tha ?*

A. Sharab 
B. Sadqe ka gosht
C. Sona
D. Sadqe ki khajurein
E. Boot (idol)
F. Resham
G. Sahi jawab ka intezar hai

*Sawal 2 : Aur wo kiske liye haram farma diya ?*

A. Ahl-e-Bait ke liye
B. Ummat ke Aurto ke liye
C. Ummat ke Mardo ke liye
D. Ummat ke liye
E. Shadi Shuda ke liye
F. Maaldaro ke liye
G. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*The first Question has more than one answer*

*Once RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam hold something in his hand and said that these are the forbidden for ...............*

*Quiz 1 : What were those things in the hand of RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ?*

A. Wine 
B. Meat of charity
C. Gold
D. Date of charity
E. Idols
F. Silk
G. I want to know

*Quiz 2 : And for whom , he declared forbidden those things?*

A. Ahl-e-Bait (The People of his family)
B. For the women of this ummah
C. For the men of this ummah
D. For this Ummah
E. For the married people
F. For the Rich
G. I want to know

 ✅ *Sahi Jawab CF / C* 💐
------------
Hazrat Ali Radi Alahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne dahine haath mein sona aur bahine haath mein resham pakda aur farmaya ki ye dono cheeze meri ummat ke mardo par haram hain
Sunan Nasaii,Jild 3, 1445
------------
حضرت علی رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ ایک مرتبہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنے دائیں ہاتھ میں سونا اور بائیں ہاتھ میں ریشم پکڑا اور فرمایا کہ یہ دونوں چیزیں میری امت کے مردوں پر حرام ہیں ۔
------------
Ali bin Abi Talib Radi Allahu Anhu said RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam took hold of some silk in his right hand and some gold in his left, then he said: These two are forbidden for the males of my Ummah.
Sunan Nasaii,Book 48, 5147-Sahih

 ✅ *Answer CF / C* 💐
------------
Ali bin Abi Talib Radi Allahu Anhu said RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam took hold of some silk in his right hand and some gold in his left, then he said: These two are forbidden for the males of my Ummah.
Sunan Nasaii,Book 48, 5147-Sahih

❗Only-Quran-Hadith Quiz 683❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 683❗

*Sawal : Inmein se wo kaun hai ya kya hai Jinki tadad RasoolAllah  Sallallahu alaihi waslalam se jab puchi gayee to Aapne farmaya unki taadad to mera RABB hi behtar janta hai ?*

A. Yajuj Majuz
B. Farishte 
C. Jinn
D. Masjid e Aqsa ke darwaze aur khidkiya
E. Aasman ke sitare 
G  Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

*When RasoolAllah  Sallallahu alaihi waslalam was asked about their numbers , He said My RABB knows best their number.*
*About whom He was asked ?*

A. Yajuj Majuz
B. Angels
C. Jinn
D. The doors and window of the masjid e Aqsa
E. The stars of the sky
G  None of the above
H. I want to know

Sahi Jawab G
---------
Al Quran - (Baaz log) , Atkal pachchu (guess karne wale) kahenge ki wo ( Ashab Al kahaf) teen they (aur) chotha unka kutta tha aur (baaz) kahenge ki wo paanch they aur chatha unka kutta tha aur (baaz) kahenge ki wo saat they aur aanthwa unka kutta tha, kah do ki - *رَّبِّي أَعْلَمُ بِعِدَّتِهِم مَّا يَعْلَمُهُمْ إِلَّا قَلِيلٌ* - unki taadad to mera RABB hi behtar janta hai aur unko jante bhi hain to thode log, to tum unke muamale mein guftgu mat karna magar thodi see guftgu,  aur unke baare mein unmein se (Yahud o nasara se) kisi se kuch daryaft mat karna 
Surah Al-kahaf (18), Aayat 22
---------
(بعض لوگ) اٹکل پچو- کہیں گے کہ وہ (اصحاب الکھف) تین تھے (اور) چوتھا ان کا کتّا تھا۔ اور (بعض) کہیں گے کہ وہ پانچ تھے اور چھٹا ان کا کتّا تھا۔ اور (بعض) کہیں گے کہ وہ سات تھے اور آٹھواں ان کا کتّا تھا ۔ کہہ دو کی ان کی  تعداد  تو میرا رب ہی  بہتر جانتا ہے , ان کو جانتے بھی ہیں تو تھوڑے ہی لوگ (جانتے ہیں) تو تم ان (کے معاملے) میں گفتگو نہ کرنا مگر سرسری سی گفتگو۔ اور نہ ان کے بارے میں ان میں کسی سے کچھ دریافت ہی کرنا
---------
Al Quran : (Some) say they (Ashab Al kahaf -The people of Cave) were three, the dog being the fourth among them; and (others) say they were five, the dog being the sixth, - guessing at the unseen; (yet others) say they were seven, and the dog being the eighth. Say (O Muhammad SallAllahu Alaihi Wasallam): 
- *رَّبِّي أَعْلَمُ بِعِدَّتِهِم مَّا يَعْلَمُهُمْ إِلَّا قَلِيلٌ* - My Lord knows best their number; none knows them but a few." So debate not (about their number) except with the clear proof (which We have revealed to you). And consult not any of them (people of the Scripture - Jews and Christians) about (the affair of) the people of the Cave.
Surah Al-Kahaf (18), Verse 22
---------
Al Quran : (Some) say they (Ashab Al kahaf -The people of Cave) were three, the dog being the fourth among them; and (others) say they were five, the dog being the sixth, - guessing at the unseen; (yet others) say they were seven, and the dog being the eighth. Say (O Muhammad SallAllahu Alaihi Wasallam): 
- *رَّبِّي أَعْلَمُ بِعِدَّتِهِم مَّا يَعْلَمُهُمْ إِلَّا قَلِيلٌ* - My Lord knows best their number; none knows them but a few." So debate not (about their number) except with the clear proof (which We have revealed to you). And consult not any of them (people of the Scripture - Jews and Christians) about (the affair of) the people of the Cave.
Surah Al-Kahaf (18), Verse 22

 ✅ *Answer G* 💐
---------
Al Quran : (Some) say they (Ashab Al kahaf -The people of Cave) were three, the dog being the fourth among them; and (others) say they were five, the dog being the sixth, - guessing at the unseen; (yet others) say they were seven, and the dog being the eighth. Say (O Muhammad SallAllahu Alaihi Wasallam): 
- *رَّبِّي أَعْلَمُ بِعِدَّتِهِم مَّا يَعْلَمُهُمْ إِلَّا قَلِيلٌ* - My Lord knows best their number; none knows them but a few." So debate not (about their number) except with the clear proof (which We have revealed to you). And consult not any of them (people of the Scripture - Jews and Christians) about (the affair of) the people of the Cave.
Surah Al-Kahaf (18), Verse 22

❗Only-Quran-Hadith Quiz 682 ❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 682 ❗


Sawal 1 : Agar kisi ke shohar ki wafat ho jaye aur uske koi aulad na ho to biwi ko uski wirasat mein se kitna hissa milega ?

Sawal 2 : Agar kisi ki biwi ki wafat ho jaye aur uske aulad bhi ho to shohar ko uski wirasat mein se kitna hissa milega ?*

A. Ek tihayee (1/3)
B. Teen chotahyee ( 3/4)
C. Ek choathayee (1/4)
D. Aanthwa hissa (1/8)
E. Aadha (1/2)
F. Pura (100%)
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai


*Quiz 1 : If any man dies and leaves a wife behind him and there is no children , then how much share his wife will get from his property ?*

*Quiz 2 : If any woman dies and leaves a husband and children behind her , then how much share her husband will get from her property ?*

A. One-third (1/3)
B. three fourth(3/4)
C. One fourth (1/4)
D. One Eight (1/8)
E. Half (1/2)
F. Full (100%)
G. None of the above
H. I want to know


 ✅ *Sahi Jawab CC* 💐
---------
✦ Al Quran : Aur Jo Maal tumari aurtein (biwiya) chorh Kar mar Jaye agar unke Aulad na ho to us Mai aadha hissa (1/2) tumara (yani shohar ka) aur agar Aulad ho to tarke Mai tumara hissa Choathayee (1/4) hoga, (lekin ye taqseem) waseeat (ki tamil) ke bad Jo unhone ki ho ya Qarz ke (adaa hone ke bad Jo unke Zimme ho ki jaegi) 

✦ Aur Jo Maal tumhare Mard chorh Kar mar Jaye agar tumare Aulad na ho to tumari aurton (biwiyon) ka us mein Chotha hissa (1/4) aur agar Aulad ho to unka (biwiyo ka) aanthwa hissa (1/8) (ye hissay) tumari waseeat (ki Tamil) ke bad Jo tumne ki ho aur Qarz adaa ke taqseem kiye janenge 

✦ Aur agar aise Mard ya Aurat ki meeras ho Jiske na baap ho, na beta magar uske bhai bahan ho to un mein se har ek Ka Chattha (6th) hissa aur agar ek se zyada ho to sab ek tihayee Mai Sharik honge (ye hisse bhi waseeat aur Qarz bashart inn se Mayyat ne Kisi Ka nuqsan na Kiya ho ( taqseem kiye jaenge) Ye Allah Subhanahu Ka farman hai aur Allah Subhanahu nihayat Ilm wala aur Nihayat Hilm wala hain
Al Quran , Surah An-Nisa(4), Aayat 12
------
ور جو مال تمہاری عورتیں چھوڑ مریں۔ اگر ان کے اولاد نہ ہو تو اس میں آدھا حصہ تمہارا۔ اور اگر اولاد ہو تو ترکے میں تمہارا حصہ چوتھائی۔ (لیکن یہ تقسیم) وصیت (کی تعمیل) کے بعد جو انہوں نے کی ہو یا قرض کے (ادا ہونے کے بعد جو ان کے ذمے ہو، کی 
جائے گی) اور جو مال تم (مرد) چھوڑ مرو۔ اگر تمہارے اولاد نہ ہو تو تمہاری عورتوں کا اس میں چوتھا حصہ۔ اور اگر اولاد ہو تو ان کا آٹھواں حصہ (یہ حصے) تمہاری وصیت (کی تعمیل) کے بعد جو تم نے کی ہو اور (ادائے) قرض کے (بعد تقسیم کئے جائیں گے) اور 
اگر ایسے مرد یا عورت کی میراث ہو جس کے نہ باپ ہو نہ بیٹا مگر اس کے بھائی بہن ہو تو ان میں سے ہر ایک کا چھٹا حصہ اور اگر ایک سے زیادہ ہوں تو سب ایک تہائی میں شریک ہوں گے (یہ حصے بھی ادائے وصیت و قرض بشرطیکہ ان سے میت نے کسی کا نقصان 
نہ کیا ہو (تقسیم کئے جائیں گے) یہ خدا کا فرمان ہے۔ اور خدا نہایت علم والا (اور) نہایت حلم والا ہے
----------
Al Quran : In that which your wives leave, your share is a half if they have no child; but if they leave a child, you get a fourth of that which they leave after payment of legacies that they may have bequeathed or debts. 
In that which you leave, their (your wives) share is a fourth if you leave no child; but if you leave a child, they get an eighth of that which you leave after payment of legacies that you may have bequeathed or debts. 

If the man or woman whose inheritance is in question has left neither ascendants nor descendants, but has left a brother or a sister, each one of the two gets a sixth; but if more than two, they share in a third, after payment of legacies he (or she) may have bequeathed or debts, so that no loss is caused (to anyone). This is a Commandment from Allah; and Allah is Ever All-Knowing, Most-Forbearing.
Al Quran , Surah An-Nisa(4), Verse 12

 ✅ *Answer CC* 💐
---------------
Al Quran : In that which your wives leave, your share is a half if they have no child; but if they leave a child, you get a fourth of that which they leave after payment of legacies that they may have bequeathed or debts. 
In that which you leave, their (your wives) share is a fourth if you leave no child; but if you leave a child, they get an eighth of that which you leave after payment of legacies that you may have bequeathed or debts. 

If the man or woman whose inheritance is in question has left neither ascendants nor descendants, but has left a brother or a sister, each one of the two gets a sixth; but if more than two, they share in a third, after payment of legacies he (or she) may have bequeathed or debts, so that no loss is caused (to anyone). This is a Commandment from Allah; and Allah is Ever All-Knowing, Most-Forbearing.
Al Quran , Surah An-Nisa(4), Verse 12
--------------

❗Only-Quran-Hadith Quiz 681❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 681❗

*Do sawal hain*

*Sawal 1 : Agar kisi mard ki wafat ho jaye aur uske koi Aulad na ho aur maa baap bhi zinda na ho to uski  bahan ko uske maal mein se kitna hissa mielaga ?*

*Sawal 2 : Agar kisi aurat ki wafat ho jaye aur uske aulad na ho to uske maal mein se bhai ko kitna hissa milega ?*

A. Ek tihayee (1/3)
B. Do tihayee ( 2/3)
C. Ek choathyee (1/4)
D. Teen chaothayee (3/4)
E. Aadha (1/2)
F. Pura (100%)
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai


 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*There are two quiz*

*Quiz 1 : If any man dies who has no child (and also parents are not alive) and his sister is alive then how much share she will get from his brother's inheritance ?*

*Quiz 2 : If any woman dies who has no child and his brother is alive then how much share he will get from his sister's inheritance ?*

A. One-third (1/3)
B. Two-third ( 2/3)
C. One fourth (1/4)
D. Three fourth (3/4)
E. Half (1/2)
F. Full (100%)
G. None of the above
H. I want to know

 ‎

 ✅ *Sahi jawab EF* 💐
-----------

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Eh Nabi Sallallahu Alahai Wasallam log Aap se Kalala ke bare Mai Allah Subhanahu Ke hukum ke bare Mai puchte Hain Keh do Allah Subhanahu Kalala ke bare Mai ye hukum deta Hain ke Agar koi aisa Mard mar Jaye jiska koi Aulad na ho ( aur na Maa baap ) aur uski Behan ho to Usko Bhai ke tarke mein  se aadha (half) hissa milega aur agar Behan mar Jaye aur uski Aulad na ho to Uske tamam Maal Ka waris Bhai Hoga aur agar Marne wale Bhai ki do Behan ho to dono ko Bhai ke tarke Mai se Do tihayee aur agar Bhai aur Behan Yani mard aur auratein mile Jule waris ho to Mard Ka hissa do aurtoh ke barbr hain (Ye Ehkam) Allah Subhanahu tumse islye bayan farmata Hain ke bhatakte na phiron aur Allah Subhanahu har Cheez se waqif Hain
Surah An-Nisa(4), 176
-----------
(اے پیغمبر) لوگ تم سے (کلالہ کے بارے میں) حکم (خدا) دریافت کرتے ہیں کہہ دو کہ خدا کلالہ بارے میں یہ حکم دیتا ہے کہ اگر کوئی ایسا مرد مرجائے جس کے اولاد نہ ہو (اور نہ ماں باپ) اور اس کے بہن ہو تو اس کو بھائی کے ترکے میں سے آدھا حصہ ملے گا۔ اور اگر بہن مرجائے اور اس کے اولاد نہ ہو تو اس کے تمام مال کا وارث بھائی ہوگا اور اگر (مرنے والے بھائی کی) دو بہنیں ہوں تو دونوں کو بھائی کے ترکے میں سے دو تہائی۔ اور اگر بھائی اور بہن یعنی مرد اور عورتیں ملے جلے وارث ہوں تو مرد کا حصہ دو عورتوں کے برابر ہے۔ (یہ احکام) خدا تم سے اس لئے بیان فرماتا ہے کہ بھٹکتے نہ پھرو۔ اور خدا ہر چیز سے واقف ہے
-----------
Al Quran : They ask you for a legal verdict. Say: "Allah directs (thus) about Al-Kalalah (those who leave neither descendants nor ascendants as heirs). If it is a man that dies leaving a sister, but no child ( and also no parents) , she shall have half the inheritance. If (such a deceased was) a woman, who left no child, her brother takes her inheritance. If there are two sisters, they shall have two-thirds of the inheritance; if there are brothers and sisters, the male will have twice the share of the female. (Thus) does Allah make clear to you (His Law) lest you go astray. And Allah is the All-Knower of everything."
Surah An-Nisa(4), 176

 ✅ *Answer EF* 💐
-----------
Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : They ask you for a legal verdict. Say: "Allah directs (thus) about Al-Kalalah (those who leave neither descendants nor ascendants as heirs). If it is a man that dies leaving a sister, but no child ( and also no parents) , she shall have half the inheritance. If (such a deceased was) a woman, who left no child, her brother takes her inheritance. If there are two sisters, they shall have two-thirds of the inheritance; if there are brothers and sisters, the male will have twice the share of the female. (Thus) does Allah make clear to you (His Law) lest you go astray. And Allah is the All-Knower of everything."
Surah An-Nisa(4), 176

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 680❗


 ❗*Only-Quran-Hadith Quiz 680❗


*Sawal :  Wo kaunsa haram kaam hai jiska naam badal kar is ummat ke kuch log usko jayaz bana lenge ?*

A. Zina
B. Sood khana
C. Sharab peena
D. Juaa khelna
E. Shirk 
F. Gana Bajana
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai


❗*Only-Quran-Hadith Quiz* ❗

*Quiz :  What is that forbidden (haram) , A group of this ummah will change it permissible by changing its name ?*

A. illegal Intercourse
B. Interest (Riba)
C. Drinking Wine
D. Gambling
E. Shirk 
F. Music
G. None of the above
H. I want to know

 ✅ *Sahi jawab C* ✅
-------------
Ubadah bin Samit Radi Allahu Anhu bayan karte hain ki RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat ka ek giroh Sharab ka naam tabdeel karke usko halal kar lega
Al Silsila Sahiha , 2697
------------
قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : 
لَيَسْتَحِلَّنَّ طَائِفَةٌ مِنْ أُمَّتِي الْخَمْرَ بِاسْمٍ يُسَمُّونَهَا إِيَّاهُ 
(وفي رواية: يُسَمُّونَهَا بِغَيْرِ اسْمِهَا).
------------
Narrated by Ubadah bin Samit Radi Allahu Anhu that RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallam 
A group of my nation (ummah) will change the name of the Wine and make it halal (permissible)
Al Silsila Sahiha , 2697


❗Only-Quran-Hadith Quiz 679❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 679❗

*Jawab ek se ziyada hai*

*Sawal : Inmein se Wo kaun kaun se Nabee hain jinhone Allah subhanahu se Aulad ki dua ki aur wo dua Quran mein bhi nazil huyee hai ?*

A. Saleh Alaihi salam
B. Ishaq Alaihi salam
C. Yaqub Alaihi salam
D. Zakriya Alaihi salam
E. Nooh Alaihi salam
F. Ibrahim Alaihi salam
G. Yahya Alaihi salam
H. Sahi jawab ka intezar hai


 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Answers are more than one*

*Quiz : Give the name of the Prophets who supplicated to Allah for the child and their supplication is mentioned in Quran ?*

A. Saleh Alaihi salam
B. Ishaq Alaihi salam
C. Yaqub Alaihi salam
D. Zakriya Alaihi salam
E. Nooh Alaihi salam
F. Ibrahim Alaihi salam
G.  Yahya Alaihi salam
H. I want to know


 ✅ *Sahi jawab DF* 💐
---------
*Dua of Zakriya Alaihi salam*
---------
*قَالَ رَبِّ هَبْ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً ۖ إِنَّكَ سَمِيعُ الدُّعَاءِ*
✦ Eh mere RABB mujhe apne pass se pakiza Aaulad ata farma, Beshak tu Dua ko sunne wala hai 
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3) , 38 

*رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا وَأَنتَ خَيْرُ الْوَارِثِينَ*
✦ Eh RABB tu mujhe akela (yani be Aulad) na chorh to sabse behtar waris hai
Al Quran, Surah Al-Anbiya (21) , 89 

*رَبِّ إِنِّي وَهَنَ الْعَظْمُ مِنِّي وَاشْتَعَلَ الرَّأْسُ شَيْبًا وَلَمْ أَكُن بِدُعَائِكَ رَبِّ شَقِيًّا*
*وَإِنِّي خِفْتُ الْمَوَالِيَ مِن وَرَائِي وَكَانَتِ امْرَأَتِي عَاقِرًا فَهَبْ لِي مِن لَّدُنكَ وَلِيًّا*
✦ Eh mere RABB meri haddiya kamzor ho gayee hain aur sir mein budhpa chamakne laga hai
aur mere RABB tujhs emaang kar main kabhi mahroom nahi raha, aur beshak main apne baad apne rishtedar se darta hu aur meri biwi baanjh hai tu apne paas se ek waris ata farma
Surah Maryam (19), 4-5

*Dua of Ibrahim Alaihi Salam*
---------
*رَبِّ هَبْ لِي مِنَ الصَّالِحِينَ* 
✦ Eh mere RABB mujhe (Aulad) Ata farma jo neik logo mein se ho
Al Quran, Surah As-Saffat (33) , 100

 ✅ *Answer DF* 💐
---------
*Dua of Zakriya Alaihi salam*
---------
* رَبِّ هَبْ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً ۖ إِنَّكَ سَمِيعُ الدُّعَاءِ*
✦ O my RABB ! Grant me from You, a good offspring. You are indeed the All-Hearer of invocation. 
Surah Aal-e-Imran (3) , Verse 38 

*رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا وَأَنتَ خَيْرُ الْوَارِثِينَ*
✦ O My RABB ! Leave me not single (childless), though You are the Best of the inheritors. 
 Surah Al-Anbiya (21) ,Verse 89

*رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا وَأَنتَ خَيْرُ الْوَارِثِينَ*
✦ O My RABB ! Leave me not single (childless), though You are the Best of the inheritors. 
Surah Maryam (19), 4-5

*Dua of Ibrahim Alaihi Salam*
---------
*رَبِّ هَبْ لِي مِنَ الصَّالِحِينَ* 
My Lord! Grant me (offspring) from the righteous.
Surah As-Saffat (33) ,100

❗Only-Quran-Hadith Quiz 678❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 678❗

*Jawab ek se ziyada hain*

*Sawal : inmein se is ummat ke sabse badtar log kinhe kaha gaya hai ?*

A. Jo Logo ko ilm sikhate hain aur khud amal nahi karte
B. Jo Geebat karte hain
C. Jo dosto ke beech judayee paida karte hain
D. Jo Musalmano ko apni zuban aur haath se takleef pahuchate hain
E. Jo Apni Namaz se ghafil rahte hain
F. Jo begunah logo par ilzam lagate hain
G. Khwarij
H. Sahi jawab ka intezar hai


 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Answers are more than one*

*Sawal : Who are the worst among this ummah* ?

A. The one who teach knowledge to the people but himself dont follow
B. The Backbiters
C. The one who Seprate the friends 
D. The one who hurt belivers whith his hand and tongue
E.  The one who are ignorant with their prayers
F.  The one who blame to the innocent for the wrong action
G. Khwarij
H. I want to know

 ✅ *Sahi jawab BCFG* 💐
-------------
Abu malik ashari radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee paida karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain 
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3412

Abu Saeed Khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne ek qaum (Khawarij) ka zikr kiya jo aapki ummat mein hongi aur wo log us waqt niklenge jab logo mein phoot hogi aur unki nishani sir mundwana hogi aur Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki wo badtareen makhluq hain , unko wo log qatl karenge jo Haq ke nazdeek honge 
Sahih Muslim, Vol 3, 2457

 ✅ *Answer BCFG* 💐
----------
Abu malik ashari radi Allahu anhu said that RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam said  the best among my ummah are Those who remind you of Allah when you see them. the worst among my ummah are those who go about slandering (backbiters), causing mischief among friends (or among those who loves each other)  in order to separate them, and the one who blame to the innocent for the wrong action
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3412

Abu Sa'id al-Khudri said that RasoolAllah  sallallahu alaihi wasallam made a mention of a sect (Khawarij) that would be among his Ummah which would emerge out of the dissension of the people. Their distinctive mark would be shaven heads. They would be the worst creatures or the worst of the creatures. The group who would be nearer to the truth out of the two would kill them. 
Sahih Muslim, Book 5, Hadith 2324

❗Only-Quran-Hadith Quiz 677❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 677❗

✦ *Sawal : RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab fateh makka ke din kaba sharif ke darwaze se andar dakhil huye to kis taraf rukh karke namaz ada ki ?*

A. Darwaze ki taraf Aap ﷺ ki peeth mubarak thi 
B. Darwaze ki taraf Aap ﷺ ka chehra mubarak tha
C. Darwaza Aap ﷺ ke dahini taraf tha
D. Darwaza Aap ﷺ ke bahini taraf tha
E. Charo taraf do-do rakat ada ki
F. Aap ﷺ ne kaba ke andar namaz ada nahi ki thi
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

✦ *Quiz : On the conquest of makka when the RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam entered inside the kaba, at which direction he prayed inside ?*

A. The door of the kaba was at his back
B. The door of the kaba was at his front
C. The door of the kaba was at the right side
D. The door of the kaba was at the left side
E.  He ﷺ prayee in all direction two rakah
F.  He ﷺ did not pray inside the kaba
G. None of the above
H. I want to know



 ✅ *Sahi jawab A* 🌹
----------
✦ Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai Fateh Makkah ke din  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Tashreef laaye Aap Sallallahu Alahai Wasallam ki Qaswa Oontni par peechay Hazrat Usama Radi Allahu Anhu baithe hue thay aur Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke sath Hazrat Bilal Radi Allahu Anhu aur Usman bin Talha Radi Allahu Anhu bhi thay Aap Sallallahu Alahai Wasallam ne Kaaba ke paas apni Oontni bitha di aur Usman Radi Allahu Anhu se farmaya ke Kaaba ki Kunji Lao wo Kunji laaye aur darwaza Khola. 

✦ Aap Sallallahu Alahai Wasallam andar dakhil huye to Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke sath Usama ,Bilal aur Usman Radi Allahu Anhuma bhi andar Gaye phir darwaza andar se band Kar liya aur Der tak andar ( Namaz aur duaon Mai mashgul) rahe jab Aap Sallallahu Alahai Wasallam bahr tashreef laaye to log andar jaane ke liye ek dusre se aagye badhne lage aur mein Sabse aagye badh Gaya Meine Dekha ke Bilal Radi Allahu Anhu darwaze ke peeche khade huye hain meine unse pucha ke Nabi Sallallahu Alahai Wasallam ne Namaz Kaha padi thi Unhone bataya ke khana-e-Kaaba Mein  Chay (6) Sutoon thay do qataroh Mai 

✦ *Aap Sallallahu Alahai Wasallam ne aage ki Qatar ke do sutonoh ke darmiyan Namaz padhi thi Kaaba Ka darwaza Aap Sallallahu Alahai Wasallam ki peeth mubarak ki tarf tha* aur Chehara mubarak us taraf tha jaha darwaze se andar jaate hue Chehra Karna padta Hain Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke aur deewar ke darmiyan( Teen hath Ka fasla tha) Ibn Umar Radi Allahu Anhu ne bayan Kiya ke ye puchna Mai bhul Gaya ke Nabi Sallallahu Alahai Wasallam ne kitni rakat namaz padhi thi jis jagha Aap Sallallahu Alahai Wasallam Namaz padi thi waha Surkh Sang marmar bichaa hua tha
Sahi bukhari, Jild 6, 4400
----------
Arabic & English text
https://www.sunnah.com/bukhari/64/423

 ✅ *Answer A* 💐
---------
Narrated (Abdullah) bin `Umar Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) arrived (at Mecca) in the year of the Conquest (of Mecca) while Usama was riding behind him on (his she-camel)'. Al-Qaswa.' Bilal and `Uthman bin Talha were accompanying him. When he made his she-camel kneel down near the Ka`ba, he said to `Uthman, 
"Get us the key (of the Ka`ba). He brought the key to him and opened the gate (of the Ka`ba), for him. The Prophet, Usama, Bilal and `Uthman (bin Talha) entered the Ka`ba and then closed the gate behind them (from inside). The Prophet (ﷺ) stayed there for a long period and then came out. The people rushed to get in, but I went in before them and found Bilal standing behind the gate, and I said to him, "Where did the Prophet (ﷺ) pray?" He said, "He prayed between those two front pillars." The Ka`ba was built on six pillars, arranged in two rows, and *he prayed between the two pillars of the front row leaving the gate of the Kaba at his back* and facing (in prayer) the wall which faces one when one enters the Kaba. Between him and that wall (was the distance of about three cubits). But I forgot to ask Bilal about the number of rak`at the Prophet (ﷺ) had prayed. There was a red piece of marble at the place where he (i.e. the Prophet) had offered the prayer.
Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 683

❗Only-Quran-Hadith Quiz 676 ❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 676❗

*Do sawal hain*

*Sawal 1 : Jisne Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam ko dekha aur un par imaan laya unke liye kitni baar khuskhabri hai ?*

*Sawal 2 : Jisne Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam ko nahi dekha aur un par imaan laya unke liye kitni baar khuskhabri hai ?*

A. 7 
B. 70 
C. 50
D. 100
E. 1
F. 2
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*There are two quiz*

*Quiz 1 : How many times of glad tiding (good news) for the one who saw the Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam and believe on him ?*

*Quiz 1 : How many times of glad tiding  for the one who did not see the Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam and believe on him ?*

A. 7 
B. 70 
C. 50
D. 100
E. 1
F. 2
G. None of the above
H. I want to know


 ✅ *Sahi Jawab EA* 💐
-----------
*قَالَ رَسُولَ اللهِ ﷺ: طُوبَى لِمَنْ رَآنِي وَآمَنَ بِي وَطُوبَى سَبْعَ مَرَّاتٍ لِّمَنْ لَّمْ يَرَنِي وَآمَنَ بِي*
-----------
Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne mera deedar kiya aur mujh par iman laya uske liye ek baar khushkhabri hai aur jo mujhe dekhe bagair iman laye uske liye 7 baar khushkhabri hai
Al Silsila As sahiha , 3512
-----------
Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam  said there is one time glad tiding (good news) for the one who saw me and believe on me  and there are seven times glad tiding (good news) for the one who did not see me and yet believe on me.
Al Silsila As sahiha , 3512

 ✅ *Answer EA* 💐
-----------
*قَالَ رَسُولَ اللهِ ﷺ: طُوبَى لِمَنْ رَآنِي وَآمَنَ بِي وَطُوبَى سَبْعَ مَرَّاتٍ لِّمَنْ لَّمْ يَرَنِي وَآمَنَ بِي*
-----------
Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam  said there is one time glad tiding (good news) for the one who saw me and believe on me  and there are seven times glad tiding (good news) for the one who did not see me and yet believe on me.
Al Silsila As sahiha , 3512

❗Only-Quran-Hadith Quiz 675❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 675❗

*Jawab ek se ziyada hai*

*Sawal : Is Duniya mein wo kya hai ya kaun hain jo maluun (yani lanat kiya hua) nahi hai ?*

A. Maal
B. Allah ka zikr karne wale 
C. Aulad
D. Ilm sikhne wale
E. Aalim
F. Khamosh rahne wale
G. Akele rahne wale
H. Sahi Jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Answer are more than one*

*Sawal : What are not the cursed in this world  ?*

A. Wealth
B. The one who remember the Allah
C. Children
D. The one who acquires knowledge
E. The one who has knowledge
F. The one who keep quite
G. The one who stay alone
H. I want to know



 ✅ *Sahi jawab BDE* 💐
----------
*قَالَ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم*
*الدُّنْيَا مَلْعُونَةٌ مَلْعُونٌ مَا فِيهَا إِلاَّ ذِكْرَ اللَّهِ وَمَا وَالاَهُ أَوْ عَالِمًا أَوْ مُتَعَلِّمًا*
----------
Abu Hurairah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya duniya maloon (yani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai , siwaye Allah Subhanahu ke zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (ya jo uske zikr ke liye mufeed ho)  aur siwaye Aalim ke , aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)
Sunan Ibn majah, Jild 3, 993-Hasan
------------
✅ *Answer BDE* 💐
----------
*قَالَ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم*
*الدُّنْيَا مَلْعُونَةٌ مَلْعُونٌ مَا فِيهَا إِلاَّ ذِكْرَ اللَّهِ وَمَا وَالاَهُ أَوْ عَالِمًا أَوْ مُتَعَلِّمًا*
----------
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam  saying: This world is cursed and what is in it is cursed, except the remembrance of Allah (zikr) and the one who is liked by Allah (or what is helpful to that)  or the one who has knowledge or who acquires knowledge.
Sunan Ibn Majah,Book 37, 4112-Hasan

❗Only-Quran-Hadith Quiz 674❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 674❗

*Do sawal hain*

*Sawal 1 :  Kaunse Nabee ne ye dua farmayee thi ki mujhe aisaee hukumat ata farma jo mere baad kisi ko ata na ho ?*

*Sawal 2 : Mairaj ki raat jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ko aasmano ke upar le jaya ja raha tha to kaunse Nabee ne unhe dekhne ke baad farmaya tha ki maine socha tha ki mujhse upar kisi ko nahi le jaye jayega ?*

A. Idris Alaihi salam
B. Adam Alaihi salam
C. Isa Alaihi salam
D. Musa Alaihi Salam
E. Isa Alaihi salam
F. Sulaman Alaihi salam
G. Aisa kisi Nabee ne nahi farmaya tha
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*There are two quiz*

*Quiz 1 : Which Prophet supplicated to Allah "Grant me a kingdom which will not be given to any onther after me." ?*

*Quiz 2 : On the night of the journey (Mairaj) when the RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam was being raised up from one heaven to another, that time which Prophet said to Allah that I thought that nobody will be raised above be ?*

A. Idris Alaihi salam
B. Adam Alaihi salam
C. Isa Alaihi salam
D. Musa Alaihi Salam
E. Isa Alaihi salam
F. Sulaman Alaihi salam
G. No Porphet Said like this
H. I want to know



 ✅ *Sahi jawab FD* 💐
--------------
*قَالَ رَبِّ اغْفِرْ لِي وَهَبْ لِي مُلْكًا لَّا يَنبَغِي لِأَحَدٍ مِّن بَعْدِي ۖ إِنَّكَ أَنتَ الْوَهَّابُ*

1. Unhone (Suliamn Alaihi salam ne ) kaha Eh mere RABB mujhe maaf kar aur mujhe aisee hukumat ata farma jo mere baad kisi ko ata na ho beshak tu bada Ata farmane wala hai
Al Quran , Surah Saad (38) Aayat #35

2. Mairaj ki raat jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ko saato aasmano se bhi upar le jaya ja raha tha to us waqt ...

*فَقَالَ مُوسَى رَبِّ لَمْ أَظُنَّ أَنْ يُرْفَعَ عَلَىَّ أَحَدٌ‏*‏ ثُمَّ عَلاَ بِهِ فَوْقَ ذَلِكَ بِمَا لاَ يَعْلَمُهُ إِلاَّ اللَّهُ
حَتَّى جَاءَ سِدْرَةَ الْمُنْتَهَى وَدَنَا الْجَبَّارُ رَبُّ الْعِزَّةِ فَتَدَلَّى حَتَّى كَانَ مِنْهُ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى 

*Musa Alaihi salam ne farmaya Eh mere RABB mera khayal tha ki kisi ko mujhse upar le jaya nahi jayega* phir Jibril Alaihi salam unhe (RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam) ko lekar us jagah se bhi upar gaye jisk ilm Allah subhanahu ke siw aur kisi ko nahi 
Sahih Bukhari , Jild 8, 7517

 ✅ *Answer FD* 💐
---------
1. 
*قَالَ رَبِّ اغْفِرْ لِي وَهَبْ لِي مُلْكًا لَّا يَنبَغِي لِأَحَدٍ مِّن بَعْدِي ۖ إِنَّكَ أَنتَ الْوَهَّابُ*
He ( Sulaiman Alaihi salam) said, "My Lord, forgive me and grant me a kingdom such as will not belong to anyone after me. Indeed, You are the Bestower." 
Al Quran , Surah Saad (38) Aayat #35

2. On the night of journey when  Allah's Messenger (ﷺ) was being raised from seventh heaven , that time 

*فَقَالَ مُوسَى رَبِّ لَمْ أَظُنَّ أَنْ يُرْفَعَ عَلَىَّ أَحَدٌ‏*‏ ثُمَّ عَلاَ بِهِ فَوْقَ ذَلِكَ بِمَا لاَ يَعْلَمُهُ إِلاَّ اللَّهُ
حَتَّى جَاءَ سِدْرَةَ الْمُنْتَهَى وَدَنَا الْجَبَّارُ رَبُّ الْعِزَّةِ فَتَدَلَّى حَتَّى كَانَ مِنْهُ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى 

*Musa Alaihi salam said (to Allah), "O Lord! I thought that none would be raised up above me.* But Jibril Alaihi salam ascended with him (With Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam) for a distance above that, the distance of which only Allah knows, till he reached the Lote Tree (beyond which none may pass) 
Sahi Bukhari,Book 93, Hadith 608

❗Only-Quran-Hadith Quiz 673❗

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz 673❗

*Do sawal hain*

*Ek jung ke waqt RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ek chattan par chadne lage magar chadh nahi paye aur us waqt ek sahabi ghutno ke bal neeche baith gaye jin par paanw rakhkar Aap SallAllahu Alaihi Wasallam  upar chadh gaye aur uske baad un sahabi ko Aap SallAllahu Alaihi Wasallam ne Jannat ki khushkhabri di*

*Sawal 1 : Wo jung kaunsi thi jis waqt ye waqya pesh aaya ?*

A. Ghazwa-e-Uhad
B. Ghazwa-e-Khandaq
C. Ghazwa-e-Banu Quraiza
D. Ghazwa-e-Badr
E. Ghazwa-e-Tabuk
F. Ghazwa-e-hunain
G. In mai se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

*Sawal 2 : Wo sahabi kaun they jinko us waqt Jannat ki khukhabri di gayee ?*

A. Talha radi Allahu anhu 
B. Khalid bin waleed  radi Allahu anhu 
C. Zubair bin awwam radi Allahu anhu 
D. Musaid ibn Umair radi Allahu anhu 
E. Salman farsi radi Allahu anhu 
F. Saad bin waqqas radi Allahu anhu 
G. In mai se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

*Quiz : At the time of a battle RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam tried to climb up on a rock but he coudn't get success , so one sahabi sat down under him with his knee bent and RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam climbed up and after that he gave good news of paradise to that sahabi.*

*Sawal 1 : This incident happen in which battle ?*

A. Ghazwa-e-Uhad
B. Ghazwa-e-Khandaq
C. Ghazwa-e-Banu Quraiza
D. Ghazwa-e-Badr
E. Ghazwa-e-Tabuk
F. Ghazwa-e-hunain
G. None of the above
H. I want to know

*Sawal 2 : What is the name of that sahabi who got the news of paradise for him ?*

A. Talha radi Allahu anhu 
B. Khalid bin waleed  radi Allahu anhu 
C. Zubair bin awwam radi Allahu anhu 
D. Musaid ibn Umair radi Allahu anhu 
E. Salman farsi radi Allahu anhu 
F. Saad bin waqqas radi Allahu anhu 
G. None of the above
H. I want to know

 ✅ *Sahih Jawab AA* 💐
---------
Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ghzawa-e-Uhad mein RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ke jism-e-mubarak par Do (lohe ki) Zirahein thi , Aap SallAllahu Alaihi Wasallam ek chattan par chadne lage magar chadh na sake , phir Talha Radi Allahu Anhu (ghutno ke bal) neeche baith gaye aur un par paanw rakh kar  Aap SallAllahu Alaihi Wasallam upar chadh gaye , aur uske baad RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya unke liye (Talha Radi Allahu Anhu ke liye)  Jannat wajib ho gayee 
Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1669-Hasan
---------
Narrated Zubair Radi Allahu Anhu that On the Day of (the battle of) Uhud, the Messenger of Allah (ﷺ) wore two coats of mail. He tried to get up on a Rock , but was not able to, so Talhah Radi Allahu Anhu sat (with his knees bent) under him, lifting the Prophet (ﷺ) upon it, such that he could sit on the Rock. So he said: 'It (Paradise) has been obligatory for Talhah.
Jamia Tirmidhi, Book 46, 3738-Hasan

 ✅ *Answer AA* 💐
---------
Narrated Zubair Radi Allahu Anhu that On the Day of (the battle of) Uhud, the Messenger of Allah (ﷺ) wore two coats of mail. He tried to get up on a Rock , but was not able to, so Talhah Radi Allahu Anhu sat (with his knees bent) under him, lifting the Prophet (ﷺ) upon it, such that he could sit on the Rock. So he said: 'It (Paradise) has been obligatory for Talhah.
Jamia Tirmidhi, Book 46, 3738-Hasan