Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, October 29, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 574❗


  Only-Quran-Hadith Quiz  574

*Do sawal hain

*Sawal 1 : Agar mayyat ke aulad aur maa dono ho to uski Maa ka wirasat mein se kitna hissa hoga ?*

*Sawal 2 : Agar kisi mayyat ke sirf ladkiya ho to uski wirasat mein se un ladkiyo ka kitna hissa hoga ?*

A. Aadha - 1/2
B. Ek Tihayee - 1/3
C. Do tihayee - 2/3
D. Do chothayee - 2/4
E. Ek chothayee - 1/4
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai

*Only-Quran-Hadith Quiz*

*There are two questions*

*Quiz 1 : If the deceased left children and mother , then how much share of the inheritance his mother will get ?*

*Quiz 2 : If the deceased left only daughters then how much share of the inheritance she will get ?*

A. Half- 1/2
B. One Third - 1/3
C. Two third  - 2/3
D. Two fourth - 2/4
E. One Fourth - 1/4
F.  None of the above
G. I want to know

*Sahi Jawab FC*💐
*Maa Ka Hissa 1/6 hoga*
----------
Allah subhanahu tumhari aulad ke baare mein tumko hukm deta hai ki
Ek ladke ka hissa do ladkiyo ke barabar hai
Aur agar mayyat ke sirf ladkiya ho  do ya do se zyada to kul tarke (wirasat) mein se unka do tihayee (2 /3 yani 66.66%) hissa hoga
Aur agar sirf ek ladki ho to uska hissa aadha (1/2 yani 50%) hoga ,
Aur Mayyat ke maa baap ka yani dono mein har ek ka tarkey (wirasat) mein se chatha hissa (1/6 yani 16.66%) hoga bashart ki mayyat ke aulad ho.
Aur agar aulad na ho aur sirf maa baap hi uske waris ho to maa ka hissa ek tihayee (1/3 yani 33.33%) hoga
Aur agar mayyat ke bhai bhi ho to Maa ko chata hissa (1/6 yani 16.66%) diya jayega.
Aur ye taqseem tarkey mayyat ki waseeyat (ki tameel) ke baad jo usne ki ho ya qarz (ki adayeegi) ke baad hogi.
Tumko malum nahi ki tumhare baap (dadaao) aur beton (poto) mein se kaun tumhe zyada fayda pahuchane wala hai
Ye hisse Allah Subhanahu ke muqarra kiye huye hain aur Allah sab kuch janne wala aur hikmat wala hai
Al Quran Surah An Nisa (4), 11
----------
*Note : Shohar aur Biwi ka hissa isee surah ki agli aayat (12) mein bayan kiya gaya hai.*

*Answer FC* 💐
*if the deceased left children then share of the Mother will be sixth part means 1/6* 💐
----------
Al Quran : Allah Subhanhu commands you as regards your children's (inheritance):
To the male, a portion equal to that of two females;
If (there are) only daughters, two or more, their share is two-thirds (2/3 or 66.66%) of the inheritance;
If only one, her share is a half. (1/2 or 50%)
For parents, a sixth share (1/6 or 16.66%) of inheritance to each if the deceased left children;
If no children, and the parents are the (only) heirs, the mother has a third; (1/3 or 33.33%)
If the deceased left brothers (or sisters), the mother has a sixth.
(The distribution in all cases is) after the payment of legacies he may have bequeathed or (after paying) debts.
You know not which of them, whether your parents or your children, are nearest to you in benefit;
(these fixed shares) are ordained by Allah Subhanhu. And Allah is Ever All-Knower, All-Wise.
Surah An-Nisa (4) Verse 11
----------
*Note : The share of the inheritance for the wife or husband has been described in another verse (12) of this surah.*

No comments:

Post a Comment