Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, October 29, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 573❗


  Only-Quran-Hadith Quiz 573


*Dusre sawal mein jawab ek se zyada hain*

*Badr ki jung ke Qaidi jab Rasool-Allah   ke samne laye gaye to aapne dekha ki unke chacha bhi unmein shamil hai jinke badan par kapda nahi tha.*

*Sawal 1 : Us waqt unko kisne apni kameez di thi ?*

A. Ubai ibn kaab
B. Abdullah bin Masood
C. Maaz bin Jabal
D. Abdullah Ibn Abbas
E. Saad bin Maaz Radi
(Radi Allahu Anhuma)
F.  Inmein se koi nahi
G. Sahi Jawab ka intezar hai

*Sawal 2 : Us ke badle Rasool-Allah   ne us kameez dene wale ka ehsan uski maut ke baad kaise chukaya ?*

A. Uski namaz e janaza padhayee
B. Apna kurta usko pahnaya
C. Apna Luaab e dahan uske munh mein daala
D. Usko Apne haatho se Qabr mein utara
E. Usko jannat al baqi mein dafnaya
F.  Uske gharwalo ko 70 oont inaam mein diye
G. Sahi Jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

*The second question has more than one answer*

*On When the day of the battle of Badr, when the prisoners of war were brought infront of the prophet , one of his uncle was also among them and he was undressed.*

*Quiz 1 : That time who gave his shirt to him ?*

A. Ubai ibn kaab
B. Abdullah bin Masood
C. Maaz bin Jabal
D. Abdullah Ibn Abbas
E. Saad bin Maaz Radi
(Radi Allahu Anhuma)
F.None of the above
G. I want to know

*Quiz 2 : How did the prophet pay back his favor after that person's  death ?*

A. Prayed his funeral prayer
B. Clothed him in his own shirt
C. Threw some of his saliva in his mouth
D. He buried him with his own hand
E.  Let him buried in jannat Al Baqi
F.  Gave 70 camels to his family
G. I want to know

*Sahi jawab F ABC* 💐
--------------
Hadith 1 : Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayt hai ki  badr ki ladayee se qaidilaaye gaye. Jin mein hazrat Abbas (Radi Allahu Anhu) bhi they. un ke badan par koi kapda nahi tha. Rasool-Allah   ne unke liye kameez talaash karwai.(woh lambay qad ke thay) isliye Abdullah bin Ubai(jo munafiq tha) ki kameez hi un ke badan par aa saki aur Aap   ne inhen woh Kameez pahna di. Rasool-Allah  w ne (Abdullah bin Ubai ki mout ke baad) Apni kameez utaar kar usay pahnayee thi.Ibn Ayna ne kaha ke Rasool-Allah par jo is ka Ehsaan tha wo Aap ne chaha ke usay ada kar den
Sahih Bukhari 3008
--------------
Hadith 2 : Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayt hai ki Rasool-Allah tashreef laye aur Abdullah Bin Ubai (Munafiq) jo ki uski Qabar mein dala ja chuka tha. Aap ke irshad par usko Qabr se nikaal liya gaya. Phir aap ne usko Ghutnon par rakh kar Luaab  dahan is ke mun mein dala aur apna kurta usay pehnaya
Sahih bukhari 1350
--------------
Hadith 3 : Jab Abdullah bin Ubai(munafiq) ki mout huyee to uska beta (Abdullah jo Sahabi they) Nabi kareem ki khidmat mein aaye aur arz ki ke ya Rasool-Allah mere waalid ke kafan ke liye Aap apni kameez inayat frmaeeye aur un ki namaz janaza bhi padh dijiye aur maghfirat ki dua bhi kar dijiye. To Aap ne apni kameez inayat farma di aur farmaya ke mujhe batana mein namaz e janaza padhunga. Abdullah Radi allahu anhu ne khabar bhijwayi.
Jab Aap namaz padhane ke liye aage badhe to Umar Radi Allahu anhu ne Aap Aap   ko peechay se pakad liya aur arz kya ke kya Allah Subhanahu ne  Aap   ko munafiqeen ki namaz e janaza padhne se mana nahi famaya  hai? Aap ne farmaya ke mujhe ikhtiyar diya gaya hai jaisa ke irshad baari hai "Aap un ke liye astaghfar kare ya na kare aur agar Aap 70 martaba bhi Astighfar karenge to bhi Allah subhanahu inhen hargiz maaf nahi kere ga"Phir Aap ne uski namaz e janaza parha di. Us ke baad ye Aayat nazil ho gayee "kisi bhi munafiq ki maut par uski namaz e janaza kabhi na padhana"(9: 84)
Sahih Bukhari 1269

*Answer F ABC* 💐
--------------
Hadith 1 : Narrated Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu  When it was the day (of the battle) of Badr, prisoners of war were brought including Al-Abbas who was undressed. The Prophet () looked for a shirt for him. It was found that the shirt of Abdullah bin Ubai would do, so the Prophet () let him wear it. That was the reason why the Prophet () took off and gave his own shirt to `Abdullah. (The narrator adds, He had done the Prophet () some favor for which the Prophet
liked to reward him.)
Sahih Bukhari,Book 52, Hadith 252
--------------
Hadith 2 : Narrated Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu  Allah's Messenger () came to Abdullah bin Ubai (a hypocrite) after his death and he has been laid in his pit (grave). He ordered (that he be taken out of the grave) and he was taken out. Then he placed him on his knees and threw some of his saliva on him (in his mounth) and clothed him in his (the Prophet's) own shirt.
Sahih Bukhari, Book 23, Hadith 433
--------------
Hadith 3 : Narrated Ibn Umar Radi Allahu Anhu When Abdullah bin Ubai (the chief of hypocrites) died, his son came to the Prophet () and said, "O Allah's Messenger ()! Please give me your shirt to shroud him in it, offer his funeral prayer and ask for Allah's forgiveness for him." So Allah's Messenger ()  gave his shirt to him and said, "Inform me (When the funeral is ready) so that I may offer the funeral prayer." So, he informed him and when the Prophet intended to offer the funeral prayer, Umar Radi Allahu Anhu took hold of his hand and said, "Has Allah not forbidden you to offer the funeral prayer for the hypocrites? The Prophet () said, "I have been given the choice for Allah says: '(It does not avail) Whether you (O Muhammad) ask forgiveness for them (hypocrites), or do not ask for forgiveness for them. Even though you ask for their forgiveness seventy times, Allah will not forgive them. (9.80)" So the Prophet () offered the funeral prayer and on that the revelation came: "And never (O Muhammad) pray (funeral prayer) for any of them (i.e. hypocrites) that dies."
(9: 84)
Sahih Bukhari, Book 23, Hadith 359

No comments:

Post a Comment