Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, October 21, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 560❗


Only-Quran-Hadith Quiz  560


Jab Rasool-Allah ke Kisra ko khat likh kar islam ki dawat di thi to usne us khat ke tukde kar diye they to  Rasool-Allah ne uske liye ye baddua ki thi ki Eh Allah uske bhi tukde tukde kar de. Kisra ne uske baad do qasid madina bhijwaye ,  jab wo dono Rasool-Allah ki khidmat mein Kisra ka paigam lekar hazir huye to un dono ko  Rasool-Allah ne Allah Subhanahu ka paigam sunaya

Sawal  : Wo Paigam kya tha ?

A. Kisi par zulm na karne ka
B. Qaidi ko aazad karne ka
C. Dadhi badhane aur mooncho ko tarashne ka
D. Khana khilane ka
E. Maa baap ke saath achcha suluq karne ka
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

Once The Prohet sent a letter to kisra with the Invitation of islam but he not only rejected it,  but also tore that letter into pieces. The Prohet   invoked Allah to tear him into pieces. After that Kisra sent two person towards  Prophet ,  when that two person came to prophet, The Prophet told them one message of Allah what was that message ?

A. Don't oppress anybody
B. Set the captives free
C. Leave beard and clip mustache
D. Feed the poor
E. Be dutiful to parents
F.  None of the above
G. I want to know

💯 *Sahi Jawab C*
----------------
Abdullah bin Abbas Radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah SalAllahu Alaihi Wasallam ne Kisra ko (Islam ki taraf dawat ka) khat bheja aur apne qasid  ko hukm diya ki isko bahrain ke governer ko de dena wo kisra tak pahucha dega jab kisra ne wo khat padha to usko phaad diya , Saeed bin musaib Radi Allahu ne farmaya ki phir Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam ne uske liye baddua ki ke Allah uske bhi tukde tukde kar de
Sahih Bukhari, 7264

Yazid bin Abi habib se rivayat hai ki Kisra ne yemen ke governer Badhan ko khat likha ki tum do mazboot aadmi Hijaz bhejo aur jo us shakhs ko girafatar karke mere pass le aaye, usne kisra ke kahne par do irani ko madina bheja aur unke haatho ek khat Rasool-Allah SalAllahu Alaihi Wasallam ko bheja jismein likha tha Aap inke saath kisra ki khidmat mein hazir ho jao  ye dono Aapki khidmat mein is tarah hazir huye ki dadhi saaf aur moonche badhi huyee thi Aapne pahle to unki taraf nazar hi nahi ki phir unki taraf dekh kar pucha ye kya shakal hai , kisne iska hukm diya hai , unhone kaha hamare parwardigar yani kisra ne,  to Aap Sal-Alalahu Alaihi wasallam ne farmaya magar mere RABB ne mujhe dadhi chorh dene aur mooncho ko tarashne ka hukm diya hai phir Aapne farmaya aaj tum jao kal phir aana.
*Tarikh At Tabri, Jild 2, 271*

✔💯*Answer C*
------------
Narrated by Yazid bin Abi habib Kisra then wrote to Badhan, who was governor of Yemen, saying, "Send two strong men of yours after this man in the Hijaz, and have them bring him to me." So Badhan sent two Persian and  He wrote a letter to be taken by them to the Messenger of God, commanding him to go back with the two men to Kisra. 

Now the two men had come before the Messenger of Allah having shaved their beards but left their mustaches , so that he disliked looking at them. He turned to them and said, "Alas, who ordered you to do this?" They said, "Our lord"-meaning Kisra "ordered us to do it." The Messenger of Allah said, "But my Lord has ordered me to leave my beard and clip my mustache." Then he said to them, "Go away, and come to me tomorrow."
Tarikh At Tabri, Vol 8, 113



No comments:

Post a Comment