❗ Only-Quran-Hadith Quiz 549❗
Sawal : Janaze
ki namaz ke tareeqe ko pahle se baad ke hisab se tartib (se likhiye aur aur
jawab is tarah dijiye ...BACDAH / AEADA
Note : inmein se agar kuch dohraya jata
hai to aap usko do baar likh sakte
A. Taslim (As salamu alaikum warahmatullahi
wabarkatahu)
B. Takbir (Allahu Akbar)
C. Ruku
D. Sajda
E. Janaze ki dua (Allahummagfirli
lihayyatna wamayytna)
F. Tashahhud (Attahiyat)
G. Durud Ibrahim
H. Surah fatiha
i. Sahi Jawab ka intezar hai
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
*Quiz : Kindy arrange the process of
funeral prayer from start till end and if anything is being repeated then you
can mention two times reply like this ...BACDAH / AEADA*
A. Taslim (As salamu alaikum warahmatullahi
wabarkatahu)
B. Takbir (Allahu Akbar)
C. Ruku (Bowing)
D. Sajda (prostration)
E. Supplication for Funeral (Allahummagfirli lihayyatna wa mayyatna)
F. Tashahhud (Attahiyat)
G. Durud Ibrahim
H. Surah fatiha
i. I want to know
✔💯Sahi jawab
BH-BG-BE-BA
----------------
*Namaz e janaza ka tareeqa-Hadith ki roshni
mein*
----------------
1. *Janaze ki namaz 4 takbir se ada ki jati
hai*
Abu huraira radi allahu anhu se rivayat hai ki jis din najashi ki wafat
huyee Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne
uski khabar di aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam sahaba ke saath musalla (namaz padhne ki
jagah) tashrif le gaye aur saf banwayee aur chaar (4) takbirein kahi
Sahih Bukhari, Vol 2, 1333
2. *Pahli Takbir ke baad Surah fatiha padhni
chahiye*
Abu Umamah radi allahu anhu ne farmaya ki
namaz e janaze mein pahli takbeer ke baad surah Fatiha ahista se padhni chahiye
Sunan Nasaii, Vol. 1,1993-Sahih
3. *Phir dusri takbir kahi jaye aur Durud e
Ibrahim padhna chahiye*
4. *Phir teesri takbir kahi jaye aur ye dua
padhni chahiye*
Abu Ibrahim Al-Ansari apne walid se rivayat
karte hain ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam namaz e janaza mein ye
dua farmate
Allahummighfir lihayyina wa mayyitina wa
shahidina wa gha'ibina
wadhakarina (wazakrina) wa unthana ( wa
unsana) wa saghirina wa kabirina
Tarjumah : Ya Allah maghfirat farma hamare zindo ki aur hamare murdo ki aur
hamare hazir ki aur hamare gayab ki
aur hamare mardo ki aur hamari aurato ki
aur hamare choto ki aur hamare bado ki.
Sunan Nasaii, Vol. 1,1990-Sahih
5. *Phir chothi takbir kahi jaye aur ek
taraf (dahini taraf) salam pher diya jaye*
✔💯Answer : BH-BG-BE-BA✔
-------------------
*Process of Funeral Prayer in the light of
Sahih Ahadith*
1. *Funeral prayer has four takbir*
Narrated Abu Huraira radi allahu anhu
Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam
informed about the news of the death of An-Najash on the day he died. He
went out with us to the Musalla and we aligned
in rows and he said four Takbirs for
An-Najashi's funeral prayer.
Sahih Bukhari, Vol. 2, Book 23, Hadith 417
2. *Pronounce the first Takbir and recite
Surah fatiha*
It was narrated that Abu Umamah radi allahu
anhu said: Its Sunnah, when offering the funeral prayer, is to recite Umm
Al-Quran (Surah Al fatiha) quietly in the first Takbir'
Sunan Nasaii, Vol. 3, Book 21, 1991-Sahih
3. *Pronounce the second Takbir and recite
Durud e Ibrahim*
4. *Pronounce the third Takbir and recite
below dua*
It was narrated from Abu Ibrahim Al-Ansari,
from his father radi allahu anhuma that:
he heard the Prophet Sallallahu alaihi
wasallam said, when offering the funeral prayer for one who had died:
Allahummighfir lihayyina wa mayyitina wa
shahidina wa gha'ibina wadhakarina wa unthana wa saghirina wa kabirina
(O Allah, forgive our living and our dead,
those who are present among us and those who are absent, our males and our
females, our young and our old).
Sunan Nasaii, Book 21, 1988-Sahih
5. *After completing this dua (supplication),
pronounce the fourth Takbir and Say Taslim (Salam on right side) immediately
after pronouncing fourth Takbir*
No comments:
Post a Comment