❗Only-Quran-Hadith-Quiz 534❗
Jawab ek se zayda hai
Sawal: Inmein se wo kaun kaun se gunah hai
jiske liye Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne humko khabar di ki uski
wajah se bande ko Qabr mein azab hua tha ?
A. Namaz Waqt par
na padhna
B. Quran ki tilawat na karna
C. Bina paaki ke namaz padhna
D. Padosi ki biwi
se zina karna
E. Peshab ke cheento se na bachna
F. Mazloom ki madad na karna
G. Geebat karna
H. Sahi Jawab ka Intezaar?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Quiz : What are the sins among below which
caused for the punishment in graves for some people and Prophet Sal-Allahu
Alaihi Wasallam informed us ?
Answers are more than one
A. Not praying on time
B. Not reciting the Quran
C. Praying Salah without purification
D. Having illegal intercourse with the wife
of neighbor
E. Being soiled with the urine
F. Not Helping the oppressed
G. Backbiting
H. I want to know
✔💯 Sahi Jawab CEFG✔
--------
Hadith 1 :
عَنِ ابْنِ مَسْعَودٍ ، عَنِ النَّبِيﷺ أَنَّه قال : أَمَر بِعَبْد مِّنْ عِبَادِ الله أَن يُّضْرَبَ في قَبْرِه مِائَة جَلْدَة ، فَلَم يَزَل يَسْأَل وَيَدْعُو حَتَّى صَارَت جَلْدَة وَاحِدَة ،
فَجُلِد جَلْدَةً وَّاحِدَة ،
فَامْتَلَأَ قَبْرُه عليه نَـارًا ، فَلَمَّا ارْتَفَـعَ عَنْـه وأفـاق قال
عَلَامَ جَلَدتُمُوني ؟ ، قَالُوا :
إِنَّكَ صَلَّيْتَ صَلَاةً واحِدَةً بِغَيْر طَهُورٍ ، وَمَرَرْتَ عَلَى مَظْلُومٍ
فَلَم تَنْصُرُه
Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se
riyata hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek Allah ke ek
bande ke bare mein Hukum diya gaya ke usko Qabr mein mein sau (100) kode maaray
jayen. wo(is azab ko kam karne ki) ilteja aur duayen karta raha yaha tak ki ek
koda rah gaya. Jab ye koda usko lagaya gaya to uski Qabr aag se bhar
gayee, jab us saza ka asar khatam ho
gaya aur usko hosh aa gaya to usne farishto se pucha tum ne kis wajah se mujhe
koda mara hai? Farishton ne kaha tum ne ek namaz bina paaki (tahatart) ke padi
thi, aur dusra ye ki tu ek mazloom ke paas se guzra tha lekin tune uski madad
nahi ki thi
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 554
------------------
Hadith 2 : Hazrat Ibn Abbas Radhi allahu
anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam madina
munawwara ke ek baag se tashreef laye to
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne do insano ki aawaz suni jinhe unki Qabro mein
azab diya ja raha tha phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya inhe azab
ho raha hai wo bhi kisi bade gunah ki wajah se nahi bulki inmein se ek shaks
peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha , phir App
Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne khajur ki ek hari shaakh mangwayee aur usko do
hisso mein tod diya aur ek tukda ek ki Qabr par aur dusra dusre ki Qabr par
gaad diya, phir farmaya ki shayad inke azab mein
us waqt tak kami kar di jaye jab tak ki ye
sukh na jaye
Sahih Bukhari, Jild 7, 6055
💯✔Answer CEFG✔
-------------
عَنِ ابْنِ مَسْعَودٍ ، عَنِ النَّبِيﷺ أَنَّه قال : أَمَر بِعَبْد مِّنْ عِبَادِ
الله أَن يُّضْرَبَ في قَبْرِه مِائَة جَلْدَة ، فَلَم يَزَل يَسْأَل وَيَدْعُو
حَتَّى صَارَت جَلْدَة وَاحِدَة ، فَجُلِد جَلْدَةً وَّاحِدَة ، فَامْتَلَأَ
قَبْرُه عليه نَـارًا ، فَلَمَّا ارْتَفَـعَ عَنْـه وأفـاق قال عَلَامَ
جَلَدتُمُوني ؟ ، قَالُوا : إِنَّكَ صَلَّيْتَ صَلَاةً واحِدَةً بِغَيْر طَهُورٍ ،
وَمَرَرْتَ عَلَى مَظْلُومٍ فَلَم تَنْصُرُه
A person was ordered to be lashed a times in his grave he continuously asked
Allah to decrease his punishment until only one lash remained , when he was
lashed his grave was totally filled by fire when the fire was removed and he
regain consciousness he asked Why was I lashed ? ( what is the reason behind
this punishment) he was told You offered a prayer once without proper
purification and you passed by an oppressed but you did not help him
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 554
----------------
Hadith 2 : Narrated Ibn Abbas Radhi allahu
anhuma Once the Prophet Sal-Allahu
Alaihi Wasallam went through the
grave-yards of Medina and heard the voices of two humans who were being
tortured in their graves. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "They are being punished, but they
are not being punished because of a major sin, yet their sins are great. One of
them used not to save himself from (being soiled with) the urine, and the other
used to go about with calumnies ( Means he was backbiter) ." Then the Prophet Sal-Allahu Alaihi
Wasallam asked for a green palm tree leaf and split it into two pieces and
placed one piece on each grave, saying, "I hope that their punishment may
be abated as long as these pieces of the leaf are not dried."
Sahih Bukhari, Book 73, Hadith 81
No comments:
Post a Comment