❗
Only-Quran-Hadith Quiz 556❗
*Dusre sawal mein jawab ek se zyada hain*
*Sawal : Wo kaunse Nabee they jinhone apni
qaum ke liye aasman se Maida nazil karne ki dua ki ?*
A. Ibrahim Alaihi
Salam
B. Musa Alaihi
salam
C. Eesa Alaihi
Salam
D. Nooh Alaihi
salam
E. Yunus Alaihi
Salam
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi Jawab ka
intezar hai
*Sawal 2 : us dua
ke baad unki qaum ke liye aasman se kya kya nazil hua ?*
A. Rotiya
B. Mann
C. Salwa
D. Machliya
E. Baarish
F. Phal (fruits)
G. Sahi Jawab ka
intezar hai
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
*Second Question
has more than one answers*
*Quiz 1 . Which
Prophet asked Allah to send Maida from the heaven for his people ?*
A. Ibrahim Alaihi
Salam
B. Musa Alaihi
salam
C. Eesa Alaihi
Salam
D. Nooh Alaihi salam
E. Yunus Alaihi
Salam
F. None of the above
G. I want to know
*Quiz 2 : After that supplication , what
kind of things send down from heaven ?*
A. Breads
B. Mann
C. Salwa
D. Fishes
E. Rain
F. Fruits
G. I want to know
✔💯 Sahi Jawab CAD ✔
--------------
Al Quran : Eesa ibn maryam Alaihi salam ne
dua ki eh hamare RABB hum par aasman se bhara hua khwan (Maida) nazil farma jo
hamare agle aur pichle sabke liye eid ho aur teri taraf se nishani ho aur humko
rizq ata farma , tu hi sabse behtar rizq ata farmane wala hai
Surah Maeda (5) Aayat 114
--------------
*قَالَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا أَنزِلْ عَلَيْنَا
مَائِدَةً مِّنَ السَّمَاءِ تَكُونُ لَنَا عِيدًا لِّأَوَّلِنَا وَآخِرِنَا
وَآيَةً مِّنكَ ۖ وَارْزُقْنَا وَأَنتَ خَيْرُ الرَّازِقِينَ*
--------------
Ibn Abbas Radi Allahu farmate hain ki
Hazrat Eesa Alaihi salam se bani israeel
ne kaha ki Aap Allah se ek bhare huye khwan (Maida) ki aasmano se utarne ki
dua kijiye. Hazrat Eesa Alaihi salam ne
pahle to unhe samjhaya lekin unki neik niyyati ke izhar par Allah subhanahu se
dua ki to Allah subhanahu ne farishto ke haatho aasman se dastarkhwan
(Maida) utara jis par *saat machliya thi
aur saat rotiya thi* wo sab baith gaye aur baith bhar kar kha liya unko ye hukm diya ki ismein khayanat na karna aur dusre din ke liye na le
jana magar unhone hukm ki tameel nahi ki aur le bhi gaye aur chura bhi liya
jiski wajah se wo dastarkhwan band ho gaya ( aur ek rivayat mein hai ki wo
bandar ban gaye)
*Tafsir ibn kathir, Surah Maeda (5) Aayat
114*
✔💯Answer CAD✔
--------------
*قَالَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا أَنزِلْ عَلَيْنَا
مَائِدَةً مِّنَ السَّمَاءِ تَكُونُ لَنَا عِيدًا لِّأَوَّلِنَا وَآخِرِنَا
وَآيَةً مِّنكَ ۖ وَارْزُقْنَا وَأَنتَ خَيْرُ الرَّازِقِينَ*
--------------
Al Quran : Isa (Jesus), son of Maryam
Alaihi Salam, said: "O Allah, our Lord! Send us from the heaven a table
spread with food (Maida) that there may be for us - for the first and the last
of us - a festival and a sign from You; and provide us sustenance, for You are
the Best of sustainers.
--------------
Explanation : Ibn Abi Hatim recorded that
Ibn Abbas said, They said to `Isa, son of Maryam, Supplicate to Allah to send
down to us from heaven, a table spread with food. He also said, So the angels
brought the table down containing seven fish and seven pieces of bread and
placed it before them. So the last group of people ate as the first group
did.'' Ibn Jarir recorded that Ishaq bin `Abdullah said that the table was sent
down to `Isa son of Maryam having seven pieces of bread and seven fish, and
they ate from it as much as they wished. But when some of them stole food from
it, saying, "It might not come down tomorrow,'' the table ascended.
Tafsir ibn kathir, Surah Maeda (5) Aayat
114
No comments:
Post a Comment