Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, October 21, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 557❗


Only-Quran-Hadith Quiz  557

Quiz mein do sawal hain

*Ek sahabi ne khwab mein dekha ki farishte unko aag ki taraf le ja rahe hain  Jab Rasool-Allaah ko is khwab ke baare mein bataya gaya to Aap ne us khwab ki tabir mein ek baat ki naseehat farmayee*

*Sawal 1 : Uski tabir mein Rasool-Allaah kis baat ki naseehat farmayee ?*

A. Rishtedaro ke saath achcha suluq karne ki
B. 13,14,15 ke roze rakhne ki
C. Zyada Sadqa karne ki
D. Zyada  Astigfar karne ki
E. Tahajjud ki namaz padhne ki
F.  Inmein se koi nahi
G. Sahi Jawab ka intezar hai

*Sawal 2 : Wo khawab kauns esahabi ne dekha tha ?*

A. Salim radi Allahu anhu
B. Abu Lubaba radi Allahu anhu
C. Abdullah ibn umar radi Allahu Anhu
D. Hatib ibn Abu batla radi allahu anhu
E. Alqama radi Allahu anhu
F.  Inmein se koi nahi
G. Sahi Jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

There are two questions

*Once a sahabi (companion) of prophet saw in his dream that angels are taking him towards fire, when that dream was mentioned to prophet ,The prophet advised a thing to do in the explanation of this dream.*

*Quiz 1 :  What advice was given in the  in the explanation of that dream ?*

A. To deal good with relatives
B. to fast of 13,14,15
C. To give more charity
D. To ask more forgiveness of Allah
E. To Pray Tahajjud
F.  None of the above
G. I want to know

*Quiz 2 : Who was that sahabi (companion)?*

A. Salim Radi Allahu anhu
B. Abu Lubaba Radi Allahu anhu
C. Abdullah ibn umar Radi Allahu anhu
D. Hatib ibn Abu batla radi allahu anhu
E. Alqama Radi Allahu anhu
F.  None of the above
G. I want to know

✔💯*Sahi Jawab EC*
-----------
Abdullah ibn umar radi allahu ne bataya ki Rasool-Allah ki zindagi mein jab koi khwab dekhta to wo Aap se bayan karta ,mere bhi dil mein khwahish paida huyee ki main koi khwab dekhu aur Aap se bayan karu , main abhi naujawan tha aur Aap ke zamane mein masjid mein sota tha , maine khwab mein dekha ki do farishte mujhe pakad kar dozakh (ki aag) ki taraf le gaye maine dekha ki dozakh par kuwe ki tarah bandish (yani munder or boundary) bani huyee hai aur uske do janib they, maine dozakh mein bahut se aise logo ko dekha jinko main pahchanta tha, main kahne laga ki dozakh se Allah ki panah , phir mujhe ek farishta mila aur kaha ki daro nahi.
Ye khwab maine (apni bahan) Hazrat Hafsha radi Allahu anha ko sunaya aur unhone Rasool-Allah ko bataya to Aap ne tabir mein farmaya ki Abdullah (bin umar) bahut achcha ladka hai , kaash wo raat mein namaz (tahajjud) padha karta , iske baad Abdullah bin umar raat mein bahut kam soya karte they (yani uth kar  tahajjud padha karte they)
Sahih Bukhari Jild 2, 1121

✔💯 Answer EC *
-----------------------
Narrated Salim's father ( Abdullah bin Umar) Radi Allahu anhu  In the lifetime of the Prophet () whosoever saw a dream would narrate it to Allah's Messenger (). I had a wish of seeing a dream to narrate it to Allah's Messenger ()  I was a grown up boy and used to sleep in the Mosque in the lifetime of the Prophet. I saw in the dream that two angels caught hold of me and took me to the (hell) Fire which was built all round like a built well and had two poles in it and the
people in it were known to me. I started saying, "I seek refuge with Allah from the Fire." Then I met another angel who told me not to be afraid.
I narrated the dream to (My sister) Hafsa Radi allahu anha who told it to Allah's Messenger (). The Prophet said ( in the explanation) , "Abdullah is a good man. I wish he prayed Tahajjud." After that Abdullah (Salim's father) used to sleep but a little at night. (used to pray tahajjud)
Sahih Bukhari, Book 21, 222

No comments:

Post a Comment