Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, October 9, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 536 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz  536

Jawba ek se zyada hain

Sawal : inmein se kaunse aamal ki wajah se aasman ke darwaze khol diye jate hain ya khol diye jayenge?

A. Har namaz ke baad Aayat Al kursi padhne se

B. Allahu Akbar kabira Wa Al-hamdu Lillahi kasira, Wa Subhan-Allahi bukratan wa Asila padhne se

C. Wuzu ke baad Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu padhne se

D. ikhlas ke saath La ilaha illallah padhne se

E. Zuhar se pahle ek salam se 4 rakat padhne se

F. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

Quiz : By which deeds the gates of heaven are opened or will be opened?

Answers are more than one

A. By reciting Aayat al kursi after every prayer

B. By saying Allahu Akbar kabira Wa Al-hamdu Lillahi kasira, Wa Subhan-Allahi bukratan wa Asila

C. By saying after wuzu Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu padhne se

D. By saying sincerely  La ilaha illallah

E. Praying 4 rakat before the noon prayer with no taslim (salam)

F. I want to know

✔💯 Sahi Jawab BCDE
--------------
Ibn Umar Radi Allahu anhu se rivayat hai ki hum log Rasool-Allah ke saath namaz mein mashgul they ki ek shaksh ne kaha
اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً
Allahu Akbar kabira Wa Al-hamdu Lillahi kathira, Wa Subhan-Allahi bukratan wa Asila
Rasool-Allah ne sunkar farmaya ki kisne ye kalimat padhe us shaksh ne kaha ki maine, to Aap ne farmaya is kalme ki wajah se aasman ke darwaze khol diye gaye Ibn umar Radi allahu anhu ne farmaya us din ke baad se maine is kalimat ko kabhi nahi chorha jis waqt se Rasool-Allah ne ye irshad farmaya tha
Sunan Nasaii, Jild 1, 889-Sahih

Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh achchi tarah wudhu karey aur phir kahe ki Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu (Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam) Allah ke bande aur Rasool hain) Aise shaksh ke liye jannat ke 8 darwaze khol diye janyege aur wo shaksh jannat ke jis darwaze se chahe dakhil ho jaye
Sunan nasaii, Jild1, 150 -Sahih


Abu hurairah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki jo shaksh bhi ikhlas ke saath la ilaha illallah kahta hai to uske liye aasman ke darwaze khol diye jate hain
Jamia tirmizi, jild 2, 1513- Hasan

Abu Ayyub Ansari se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi ne farmaya Zuhar ki Namaz se pahle chaar rakaah padhe jismein darmiyan mein Salam na ho to uskey liye Aasaman ke darwazey khol diye jate hain -
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1257 -Hasan

✔💯Answer BCDE
--------------
It was narrated that Ibn Umar said "While we were praying with the Messenger of Allah (), a man among the people said: 'Allahu Akbar kabira, wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan was asila
 (Allah is Most Great and much praise be to Allah and glorified be Allah at the beginning and end of the day).' The Messenger of Allah () said: 'Who is the one who said such and such?' A man among the people said: 'I did, O Messenger of Allah.' He said: ' I like it,' and he said words to the effect that the gates of the Heavens
had been opened for it." Ibn Umar said: "I never stopped saying it since I heard the Messenger of Allah () say that."
Sunan Nasaii,Book 11, 887-Sahih

It was narrated that 'Umar bin Al-Khattab may ALLAH be pleased with him said: "The Messenger of Allah peace be upon him said: whoever performs Wudhu well, then says: Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu (I bear witness that there is no God except Allah, and I bear witness that Muhammad is the slave and Messenger of Allah Then eight gates of Paradise will be opened for him, and he may enter through whichever one he wishes
Sunan nasaii, Vol1, 148-Sahih

Abu Hurairah Radi Allahu anhu narrated that the Messenger of Allah () said: Any worshipper who say sincerely La ilaha illallah means  None has the right to be worshipped but Allah ,the gates of heaven are opened for it.
Jamia tirmizi,Book 46, 3590-Hasan

Narrated AbuAyyub Radi Allahu Anhu: The Prophet (peace_be_upon_him) said: The gates of heaven are opened for four rak'ahs containing no taslim (salutation) before the noon prayer.
Sunan Abu Dawud, Book 4, 1265 -Hasan

No comments:

Post a Comment