Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Saturday, October 27, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 567❗


  Only-Quran-Hadith Quiz  567

*Do Sawal hain*

*Ek sahabi  Rasool-Allah    ki wafat ke baad se behal aur udas rahne lage they, us waqt ke khalifa ne samjha ki unki wajah se wo naraz hain, isliye unse unke udas rahne ka sabab pucha gaya to unhone ek wajah batayee.*

*Sawal 1 : Us sahabi ne unki udasi ka sabab kya bataya?*

A. Rasool-Allah  se wo ek hadith puchna bhul gaye they
B. Rasool-Allah  ka unke ghar tashreef lane ka silisila ruk gaya
C. Rasool-Allah  ki wirasat mein unko hissa chahiye tha
D. Rasool-Allah  ne unhe agle khalifa ka naam nahi bataya
E. Hajjatul wida mein wo Rasool-Allah  ke saath nahi ja sake
F.  Inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai

*Sawal 2 : Wo kaunse sahabi they jo udas rahte they ?*

A. Jabir bin Abdullah Radi Allahu anhu
B. Umar bin Khattab Radi Allahu anhu
C. Ali Radi Allahu anhu
D. Talhah bin Ubaidullah Radi Allahu anhu
E. Muawiya Radi Allahu anhu
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

*There are two question in this quiz*

*One of the companion of prophet used to be unkempt , dusty and upset since the Messenger of Allah passed away, the caliph of that time thought that he is unhappy because of his caliphate (Khilafah) so he asked the reason to him for being upset.*

*Quiz 1 : What reason he said for being upset ?*

A. He forget to ask a hadith to the Prophet 
B. The Prophet  used to come his home and now its stopped
C. He wanted a share in the Inheritance of the prophet
D. The prophet    didnt tell him the name of next caliph
E. he coudn't went to perform Last hajj with the prophet
F.  None of the above
G. I want to know


*Quiz 2 : What is the name of that sahabi who was upset ?*

A. Jabir bin Abdullah Radi Allahu anhu
B. Umar bin Khattab Radi Allahu anhu
C. Ali Radi Allahu anhu
D. Talhah bin Ubaidullah Radi Allahu anhu
E. Muawiya Radi Allahu anhu
F.  None of the above
G. I want to know



Sahi Jawab AD💐

-------------
Hazrat Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ek martaba meine Hazrat Umar Farooq Radi Allahu Anhu Ko Hazrat Talha Radi Allahu Anhu se ye farmate huye suna kya baat hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat ke baad se Aap behal aur gubar Aalud (udas) rehne lage hai ? Kya aap ko apne chacha zaad bhai ki Yani meri Khilafat achi Nahi lagi, Unhone farmaya Allah Subhanahu ki panah ! Mujhe to Kisi Surat aisa Nahi krna chahaye, asal baat ye hai ke Maine Nabi Sallallahu Alahai Wasallam ko ye farmate huye suna hai ki Mein ek aisa Kalma janta hu ager koi Shaks Naza ki halat mein (yani maut ke waqt) wo Kalma keh le to Uske liye rooh nikalne Mai sahulat paida ho jaye aur Qayamat ke din wo Uske liye Noor ka sabab ban jaye, mujhe afsos hai ke Maine Nabi Sallallahu Alahai Wasallam se us kalme ke bare mein nahi puch saka aur khud Nabi Sallallahu Alahai Wasallam ne bhi nahi bataya, bas main isee wajeh se Pareshan hu.

Hazrat Umar Radi Allahu Anhu ne farmaye ke mein wo Kalma janta hu, Hazrat Abu Talha Radi Allahu Anhu ne  Allhamdullilah keh Ker pucha ke wo kya Kalma hai ? Farmaya wahi Kalma Jo Nabi Sallallahu Alahai Wasallam ne Apne chacha (Abu talib) ke samne pesh kiya tha
Yani La ilaha illAllah, Hazrat Talha Radi Allahu Anhu farmane lage aap ne sach farmaya.
Masnad Ahmed , Jild 1, 182-Sahih
------------
Note : Is waqye se humko ye malum chalta hai ki Sahaba Radi allahu anhu ki nazar mein ek ek hadith ki kitni zyada qeemat thi, aur kitni mehnato ke baad ye deen ham tak pahucha hai isliye humko is deen ki aisee qadar karni chahiye jaisa ki iska haq hai.
------------
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ نُمَيْرٍ عَنْ مُجَالِدٍ عَنْ عَامِرٍ عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ سَمِعْتُ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ يَقُولُ لِطَلْحَةَ بْنِ عُبَيْدِ اللَّهِ مَا لِي أَرَاكَ قَدْ شَعِثْتَ وَاغْبَرَرْتَ مُنْذُ تُوُفِّيَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَعَلَّكَ سَاءَكَ يَا طَلْحَةُ إِمَارَةُ ابْنِ عَمِّكَ قَالَ مَعَاذَ اللَّهِ إِنِّي لَأَجْدَرُكُمْ أَنْ لَا أَفْعَلَ ذَلِكَ إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ إِنِّي لَأَعْلَمُ كَلِمَةً لَا يَقُولُهَا أَحَدٌ عِنْدَ حَضْرَةِ الْمَوْتِ إِلَّا وَجَدَ رُوحَهُ لَهَا رَوْحًا حِينَ تَخْرُجُ مِنْ جَسَدِهِ وَكَانَتْ لَهُ نُورًا يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَلَمْ أَسْأَلْ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْهَا وَلَمْ يُخْبِرْنِي بِهَا فَذَلِكَ الَّذِي دَخَلَنِي قَالَ عُمَرُ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ فَأَنَا أَعْلَمُهَا قَالَ فَلِلَّهِ الْحَمْدُ فَمَا هِيَ قَالَ هِيَ الْكَلِمَةُ الَّتِي قَالَهَا لِعَمِّهِ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ قَالَ طَلْحَةُ صَدَقْتَ


Answer AD
-----------
It was narrated that Jabir bin Abdullah Radi Allahu anhu said: I heard 'Umar bin al-Khattab Radi Allahu anhu say to Talhah bin 'Ubaidullah Radi Allahu anhu : Why do I see you looking unkempt and dusty since the Messenger of Allah passed away ? Perhaps you were upset about your cousin becoming caliph
(means Umar bin khattab himself) ? He said: Allah forbid ! I am the most unlikely among you to feel like that. I heard the Messenger of Allah said : I know a word which, if a man says it when dying, his soul will find rest and provision when it comes out from his body and it will be light for him on the Day of Resurrection. I could not ask the Messenger of Allah about it and he did not tell me it. This is what has been upsetting me.
Umar Radi Allahu anhu said: I know what it is. He said:  Alhamdulillah (To Allah be praise) ! What is it ? He said: It is the word that prophet said to his uncle:
La ilaha illAllah,  Talhah Radi Allahu anhu said: You are right.
Masnad Ahmed , Jild 1, 182-Sahih
------------
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ نُمَيْرٍ عَنْ مُجَالِدٍ عَنْ عَامِرٍ عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ سَمِعْتُ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ يَقُولُ لِطَلْحَةَ بْنِ عُبَيْدِ اللَّهِ مَا لِي أَرَاكَ قَدْ شَعِثْتَ وَاغْبَرَرْتَ مُنْذُ تُوُفِّيَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَعَلَّكَ سَاءَكَ يَا طَلْحَةُ إِمَارَةُ ابْنِ عَمِّكَ قَالَ مَعَاذَ اللَّهِ إِنِّي لَأَجْدَرُكُمْ أَنْ لَا أَفْعَلَ ذَلِكَ إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ إِنِّي لَأَعْلَمُ كَلِمَةً لَا يَقُولُهَا أَحَدٌ عِنْدَ حَضْرَةِ الْمَوْتِ إِلَّا وَجَدَ رُوحَهُ لَهَا رَوْحًا حِينَ تَخْرُجُ مِنْ جَسَدِهِ وَكَانَتْ لَهُ نُورًا يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَلَمْ أَسْأَلْ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْهَا وَلَمْ يُخْبِرْنِي بِهَا فَذَلِكَ الَّذِي دَخَلَنِي قَالَ عُمَرُ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ فَأَنَا أَعْلَمُهَا قَالَ فَلِلَّهِ الْحَمْدُ فَمَا هِيَ قَالَ هِيَ الْكَلِمَةُ الَّتِي قَالَهَا لِعَمِّهِ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ قَالَ طَلْحَةُ صَدَقْتَ



No comments:

Post a Comment