Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, October 31, 2018

Azkar Gif Gallery-4

  1. To Download Gif from mobile 
    • Wait for loading All gifs....
    • Touch Any Image for 3 Second 
    • Click on Dowload Image / Save Image
    • Wait for sometime it will come in your mobile gallery
  2. To Download gif from PC
    • Right click on gif 
    • Click Save Image As

Hadith: Salam mein bukhl Karne wala Sabse bada bakhil hai





Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Salam mein bukhl Karne wala Sabse bada bakhil hai
---------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya logo mein Sabse bada Aajiz (bebas ya Majbur) wo hai Jo dua Karne se Aajiz ho aur salam mein bukhl Karne wala Sabse bada bakhil hai
Al-Silsila-As-Sahiha 262
-------
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم نے فرمایا لوگوں میں سب سے بڑا عاجز وہ ہے جو دعا کرنے سے عاجز ہواور سلام میں بخل کرنے والا سب سے بڑا بخیل ہے۔
السلسلہ صحیحہ ٢٦٢  
-----
✦ रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया लोगों में सबसे बड़ा आजिज़ (बेबस या मजबूर) वो है जो दुआ करने से आजिज़ हो और सलाम में बुखल करने वाला सबसे बड़ा बखील है 
अल सिलसिला अस सहीहा  , 262
-----
Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported The Messenger of Allah  Sallallahu Alaihi Wasallam  said, Verily the most helpless of people are those unable to supplicate. The most miserly of people are those who are miserly with the greeting of peace.
Al-Silsila-As-Sahiha 262

Tuesday, October 30, 2018

Gair Muslim mardo aur aurto se kabhi nikah na karna






Bismillahirahmanirrahim

✦ Gair Muslim mardo aur aurto se kabhi nikah na karna
---------
✦ Al Quran : Aur Momino mushrik aurton se tab tak Nikah na Karna jab tak Imaan na laye kyunki mushrik aurat chahe tumko kitni bhi achchi lage us se imaan wali gulam aurat behtar hai aur esee tarha mushrik mard (hindu , murtipuja karne wale ya shirk karne wale) se bhi tab tak nikah na karna jab tak iman na laye  kyunki mushrik mard chahe tumko kitna bhi achcha lage us se imaan wala Gulam mard behtar hai. ye mushrik log dozakh ki tarf bulate hain aur Allah Subhanahu apni mehrbani se Jannat aur bakhshis ki tarf bulata hain aur apne hukm logo se khol khol Kar bayan karta hai taaki nasihat hasil karen
Surah Al Baqarah(2) , 221
---------
 القرآن : اور مشرک عورتیں جب تک ایمان نہ لائیں ان سے نکاح نہ کرو اورمشرک عورتوں سے ایمان دار لونڈی بہتر ہے گو وہ تمہیں بھلی معلوم ہو اور مشرک مردوں سے نکاح نہ کرو یہاں تک کہ وہ ایمان لائیں اور البتہ مومن غلام مشرک سے بہتر ہے اگرچہ وہ تمہیں اچھا ہی لگے یہ لوگ دوزخ کی طرف بلاتے ہیں اور الله جنت اور بخشش کی طرف اپنے حکم سے بلاتا ہے اور لوگوں کے لیے اپنی آیتیں کھول کر بیان کرتا ہے تاکہ وہ نصیحت حاصل کریں
سورة البقرة (٢) آیت ٢٢١ 
---------
✦ अल क़ुरान : और मोमीनों मुशरिक औरतों से तब तक निकाह ना करना जब तक ईमान ना लाए क्यूंकी मुशरिक औरत चाहे तुमको कितनी भी अच्छी लगे उस से ईमान वाली गुलाम औरत बेहतर है और इसी तरह मुशरिक मर्द (हिंदू , मूर्तीपूजा करने वाले या शिर्क करने वाले ) से भी तब तक निकाह ना करना जब तक ईमान ना लाए  क्यूंकी मुशरिक मर्द चाहे तुमको कितना भी अच्छा लगे उस से ईमान वाला गुलाम मर्द बेहतर है. ये मुशरिक लोग दोज़ख़् की तरफ़ बुलाते हैं और अल्लाह सुबहानहु अपनी मेहरबानी से जन्नत और बख्शिश की तरफ़ बुलाता हैं और अपने हुक्म लोगों से खोल खोल कर बयान करता है ताकि नसीहत हासिल करें
सुराह अल बक़रा  (2) , 221
---------
✦ Al Quran : And do not marry Al-Mushrikat (idolatresses) till they believe (worship Allah Alone). And indeed a slave woman who believes is better than a (free) Mushrikah (idolatress), even though she pleases you. And give not (your daughters) in marriage to Al-Mushrikun till they believe (in Allah Alone) and verily, a believing slave is better than a (free) Mushrik (idolater), even though he pleases you. Those (Al-Mushrikun) invite you to the Fire, but Allah invites (you) to Paradise and Forgiveness by His Leave, and makes His verses clear to mankind that they may remember.
Surah Al Baqarah(2) , 221

Mafhum e Hadith: Bahut zyada baat karna dilo ko Sakht Bana deta hai






Bismillahirahmanirrahim

Mafhum e Hadith: Bahut zyada baat karna dilo ko Sakht Bana deta hai
---------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke zikr ke siwa bahut zyada batein karne se bacho isliye ke Allah subhanahu ke zikr ke siwa zyada bolna dil ko sakht bana deta hai aur logo mein Allah Subhanahu se Sabse zyada door sakht dil wala hoga
Jamia Tirmaizi, Jild 2, 298-Hasan
----
 रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह के ज़िक्र के सिवा बहुत ज़्यादा बातें करने से बचो क्यूंकि अल्लाह के ज़िक्र  के सिवा ज्यादा बात करना दिल को सख़्त बना देता है और लोगो में अल्लाह सुबहानहु से सबसे ज़्यादा दूर  सख़्त दिल वाला होगा
जामिया तिरमिज़ी , जिल्द 2, 298-हसन 
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا الله کے ذکر کے سوا بہت زیادہ بات کرنے  بچو  کیونکی الله کے ذکر کے سوا زیادہ بات کرنا  دل کو سخت بنا دیتا ہے اور لوگوں میں اللہ سبحانه سے سب سے زیادہ دور سخت دل والا ہو گا۔ 
جامع ترمذی جلد ۲ ، حدیث ٢٩٨ -حسن
----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Do not talk too much without remembrance of Allah. Indeed excessive talking without remembrance of Allah hardens the heart. And indeed the furthest of people from Allah is the harsh-hearted. 


Jamia Tirmaizi, Book 10, 2411

Monday, October 29, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 600❗


Only-Quran-Hadith Quiz 600

*Sawal : wo kaunsa gunah hai jiski wajah se koi insan aisa ho jata hai jaise ki us ke pass sari duniya thi aur wapas le li gayee ho ?*

A. Ramzan ka ek roza jaanbujh kar chorh dena
B. Sharab ka aadi ho jana
C. Apne tijarat mein sood ko shamil kar lena
D. Apne maal mein yateem ka maal shamil kar lena
E. Apni biwi ka mahar kha jana
F. Kisi Bidati ki uske bidat ke kaam mein madad kar dena
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

*Quiz : What is that sin , if somebody commit he will be like the one who had whole world and has been taken back from him ?*

A. Leaving the fast of Ramazan
B. Drinking too much wine
C. Including Riba (usuary) in the business
D. Including the property of Orphan falsely in the business
E. Not paying the Mahr of his wife
F. Helping to a innovator in his innovation
G. None of the above
H. I want to know



*Sahi jawab G-Inmein se koi nahi* 💐
*Kyunki Wo gunah hai Nashe ki wajah se ek namaz chorh dena*
-------------
Abdullah bin umar radi allahu anhuma se rvayat hai ki RasoolAllah SallAlalahu alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne nashe ki wajah se ek namaz chorh di to wo aisa hai jaise ki duniya aur uska sara saman is ka tha aur us se wapas cheen liya gaya.aur jis shakhs ne nashe ki wajah se char baar namaz corh di to Allah subhanahu par lazim hai usko Teenat-Al-Khabal peelaye ,pucha gaya ki Ya Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam Teenat-Al-Khabal kya cheez hai  to Aapne farmaya Ahl-e-jahannam ki Peep
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732
---------
Comments : Jab Nashe ki wajah se namaz chorh dene ki itni badi saza hai to zara gaur kijiye jo log nashe mein nahi hote aur sirf apne job ya tijarat ke liye jaanbujh kar namaz chorh dete unka kya hashr hoga.
-------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرٍوعَنْ رَسُولِ اللهِ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌أَنَّهُ قَالَ مَنْ تَرَكَ الصَّلَاةَ سُكْرًا مَرَّةً وَاحِدَةً فَكَأَنَّمَا كَانَتْ لَهُ الدُّنْيَا وَمَا عَلَيْهَا فَسُلِبَهَا وَمَنْ تَرَكَ الصَّلَاةَ سُكْرًا أَرْبَعَ مَرَّاتٍ كَانَ حَقًّا عَلَى اللہِ عَزَّ وَجَلَّ أَنْ يَسْقِيَهُ مِنْ طِينَةِ الْخَبَالِ قِيلَ وَمَا طِينَةُ الْخَبَالِ؟ يَا رَسُولَ اللهِ قَالَ عُصَارَةُ أَهْلِ جَهَنَّمَ.

*Answer G- None of the above* 💐
*Because that sin is, leaving a prayer due to drunk*
----------
Narrated by Abdullah ibn umar radi Allahu anhuma RasoolAllah SallAlalahu alaihi wasallam said whoever gets drunk and leave a salah (prayer) then he will be like the one who had whole world and  whatever in it ,and has been taken back from him and whoever leaves four prayer due to drunk , then it is binding on Allah that he will give him to drink Teenat-Al-Khabal , The people asked Ya Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam what is Teenat-Al-Khabal ,  he said the discharge of wounds, flowing from the people of Hell.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732
---------
Comments : Just think , because of the drink if anybody neglect prayer then he will get this much punishment ,
what about those , who left prayer intentionally just because of their job or business or any other reason.
---------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرٍوعَنْ رَسُولِ اللهِ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌أَنَّهُ قَالَ مَنْ تَرَكَ الصَّلَاةَ سُكْرًا مَرَّةً وَاحِدَةً فَكَأَنَّمَا كَانَتْ لَهُ الدُّنْيَا وَمَا عَلَيْهَا فَسُلِبَهَا وَمَنْ تَرَكَ الصَّلَاةَ سُكْرًا أَرْبَعَ مَرَّاتٍ كَانَ حَقًّا عَلَى اللہِ عَزَّ وَجَلَّ أَنْ يَسْقِيَهُ مِنْ طِينَةِ الْخَبَالِ قِيلَ وَمَا طِينَةُ الْخَبَالِ؟ يَا رَسُولَ اللهِ قَالَ عُصَارَةُ أَهْلِ جَهَنَّمَ.

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 599❗


Only-Quran-Hadith Quiz 599

*Jawab ek se ziyada hain*

*Sawal : Inmein se wo kaunse do amal ya khubiya hain jo karne mein bahut halke aur tarazu mein bahut bhari hain ?*

A. SubhanAllah kahna
B. Husn e Akhlaq
C. Allahu Akbar kahna
D. La ilaha illAllah kahna
E. Sila rahmi karna
F.  Zyada Khamosh rahna
G. Alhamdulillah kahna
H. Salam karna
I. Raasto se takleef dene wali cheeze hatana
J. Sahi jawab ka intezar hai

*Only-Quran-Hadith Quiz*

*Answers are more than one*

*Quiz : What are those two deeds which are very easy to do and very heavy in scale (meezan) ?*

A. Saying SubhanAllah
B. Good character
C. Saying Allahu Akbar
D. Saying La ilaha illAllah
E.  keeping good relations with relatives
F.  Long silence
G. Saying Alhamdulillah
H. Spreading Salam
I. Removing an obstacle from the road
J. I want to know

*Sahi jawab BF
----------
Anas radi Allahu anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Abu Dharr Radi Allahu anhu se mile aur farmaya Eh abu dharr kya main tumhe do khubiyan na batauu jo karne mein bahut halki hain aur tarazu mein bahut bhari hain unhone kaha kyu nahi Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam
(Jarur bataeeye),  Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum apne upar achcha akhlaq aur zyada khamosh rahna lazim kar lo , kasam hai us zaat ki jiske hatah mein meri jaan hai makhluq ka koi dusra amal unke barabar nahi
Al-Silsila-tus-Sahiha, Hadees # 202
----------
عن أنس قال: لقي رسول الله  صلی اللہ علیہ وسلم أبا ذر، فقال: يا أبا ذر، أَلا أَدُلُكَ عَلَى خَصْلَتَينِ هُمَا أَخَفُ عَلَى الظَهَر، وَأَثْقَلُ فِي المِيزَانِ مِن غَيرِهما؟ قَالَ: بَلَى، يَا رَسول الله قَال: «عَلَيكَ بحُسنِ الخُلُقِ، وَطُولِ الصَمْتِ، فَوالذي نَفْسِي بِيَدِهِ مَا عَمِلَ الخَلَائِقُ بِمِثْلِهِما.

*Answer BF* 💐
----------
Narrated by Anas radi Allahu anhu  once RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam met to Abu Dharr Radi Allahu anhu and said  Oh Abu dharr Shall I not tell you two deeds which are very easy to do and very heavy in scale (meezan) , he said why not Ya RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam, (please do tell me),  Adhere (stick on) Good character and long silence , By Him in Whose Hand my life is, there are no other deeds of the creations is equal to them.
Al-Silsila-tus-Sahiha, Hadees # 202
----------
عن أنس قال: لقي رسول الله  صلی اللہ علیہ وسلم أبا ذر، فقال: يا أبا ذر، أَلا أَدُلُكَ عَلَى خَصْلَتَينِ هُمَا أَخَفُ عَلَى الظَهَر، وَأَثْقَلُ فِي المِيزَانِ مِن غَيرِهما؟ قَالَ: بَلَى، يَا رَسول الله قَال: «عَلَيكَ بحُسنِ الخُلُقِ، وَطُولِ الصَمْتِ، فَوالذي نَفْسِي بِيَدِهِ مَا عَمِلَ الخَلَائِقُ بِمِثْلِهِما.

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 598 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz 598

Jawab ek se ziyada hain

*Sawal : Inmein se kis kis ke khandan ko Allah subhanahu ne sare jahan ke logo mein se chun liya tha ?*

A. Adam Alaihi salam
B. Musa alaihi salam
C. Nooh Alaihi Salam
D. Ibrahim Alaihi Salam
E. Imran Alaihi salam
F.  Yusuf Alaihi Salam
G. Yunus Alaihi salam
H. Yaqub Alaihi salam
i. Sahi jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 

*Answers are more than one*

*Quiz : To which family Allah chose over the worlds ?*

A. Adam Alaihi salam
B. Musa alaihi salam
C. Nooh Alaihi Salam
D. Ibrahim Alaihi Salam
E. Imran Alaihi salam
F.  Yusuf Alaihi Salam
G. Yunus Alaihi salam
H. Yaqub Alaihi salam
i. I want to know

Sahi jawab DE 💐
-------------
*إِنَّ اللَّهَ اصْطَفَىٰ آدَمَ وَنُوحًا وَآلَ إِبْرَاهِيمَ وَآلَ عِمْرَانَ عَلَى الْعَالَمِينَ*

Al Quran : Allah subhanhu ne Adam Alaihi salam aur Nooh alaihi salam aur Khandan e Ibrahim alaihi salam aur khandan e Imran alaihi salam ko tamam jahan ke logo mein se chun liya tha
Surah Aal-e-Imran (3) ,  Aayat 33
-------------
Note : Sawal ye nahi tha ki kis kis ko chuna tha , sawal ye tha ki kis kis ke khandan ko chuna tha isliye Adam alaihi salam aur Nooh alaihi inmein shamil nahi hain kyunki Allah ne unhe chuna tha unke khandan ko nahi.
-------------
*Tafsir Ibn kathir:*
Khandan e Ibrahim Alaihi salam  Ko Allah Subhanahu ne Alaa Maqam Inayat farmayee isee Khandan Mai Sayyad ul bashar Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam hain aur dusra  Imran Alaihi salam Ke khandan ko bhi isee Mai Shamil Kar liya jo ki Maryam Alaihi salam ke Walid they

*Answer DE* 💐
-------------
Al Quran : Allah chose Adam Alaihi salam, Nuh (Noah) Alaihi salam , *the family of Ibrahim (Abraham) Alaihi salam and the family of Imran Alaihi salam* over the worlds
Surah Aal-e-Imran (3) ,  Aayat 33
-------------
Note : That was not the question to whom Allah chose ? 
the exact question was to which family Allah chose ?  so ans will not include the Adam alaihi salam and Nooh alaihi salam because Allah chose both pof them not to their family.
-------------
Explanation : Tafsir Ibn Kathir
*The Chosen Ones Among the People of the Earth*
----------
Allah chose Adam, created him with His Hand and blew life into him. Allah commanded the angels to prostrate before Adam, taught him the names of everything and allowed him to dwell in Paradise, but then sent him down from it out of His wisdom. 
Allah chose Nuh and made him the first Messenger to the people of the earth, when the people worshipped idols and associated others with Allah in worship.
Allah also chose the *family of Ibrahim alaihi salam*, including the master of all mankind, and the Final Prophet, Muhammad, peace be upon him who was from the family of Ibrahim Alaihi salam.
Allah also chose the *family of Imran, the father of Marym Alaihi salam*.
Tafsir Ibn Kathir, Surah Aal-e-Imran (3) ,  Aayat 33

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 597❗


Only-Quran-Hadith Quiz 597

*Jawab ek se ziyada hain*

*Sawal : Ismein se kaun kaun munafiq hain ya kaunsi nishaniya munafiq ki hain ?*

A. Burey kaam karne ko kahne wale
B. Neik kaamo se rokne wale
C. namaz mein der karne wale
D. Zina karne wale mard
E.  Khula lene wali aurtein
F.  Naqli baal lagane wali aurtein
G. Apne husn ko zahir karne wali aurtein
H. Allah ki raah mein kharch nahi karne wale
I. Apne imamo ko qatl karne wale
J. Sahi jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 

Answers are more than one

Quiz  :Who are the hypocrites or which characteristics belong to hypocrites ?

A. The one who enjoin what is wrong
B. The one who forbid what is right
C. The one who delayed his prayers
D. The one who commit illegal intercourse
E. The women who seek a Khul (divorce)
F.  The women who lengthens hair artificially
G. The women who shows their beauty
H. The one who does not spend in Allah's way
I.  The one who kill their Imam
J.  I want to know

Sahi jawab ABEH💐
-----------
Al Quran : Munafiq mard aur munafiq aurtein ek dusre ke hum jins hain (yani ek jaise hain) wo *burey kaam karne ko kahte hain aur neik kaamo se mana karte hain aur (kharch karne se) haath band kiye rahte hain* , unhone Allah ko bhula diya to Allah ne unko bhula diya beshak munafiq nafarman hain
Surah At-tawba (9) , 67

Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya *khula (talaq) lene wali aurtein munafiq hain* .Jo aurtein apne shohar se bina kisi wajah se khula (talaq) leti hain wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakegi
Jamia Tirmizi, Jild 1 , #1188, 1189-Sahih

*Answer ABEH
-----------
Al Quran : The hypocrite men and hypocrite women are of one another. *They enjoin what is wrong and forbid what is right and close their hands. (spending in Allah's Cause)* They have forgotten Allah, so He has forgotten them [accordingly]. Indeed, the hypocrites - it is they who are the defiantly disobedient
Surah At-tawba (9) , 67

Thawban Radi Allahu anhu narrated that The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: *The women who seek a Khul (divorce) are hypocrites.* Whichever woman seeks a Khul (divorce) from her husband without harm (cause), then the scent of Paradise will be unlawful for her."
Jamia Tirmizi,Book 8, #1186, 1187-Sahih

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 596 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 596 

*Sawal : ismein se kaunsi makhluq ko paida karne ke baad Allah subhanahu ne ye farmaya ki tumhe mera hukm manna hai chahe ismein tum razi ho ya na ho ?*

A. Samundar
B. Insan
C. Zameen
D. Jinn
E. Pahad
F.  Farishte
G. Haiwanat
H. Rooh
I. Inme se koi nahi
J. Sahi jawab ka intezar hai

*Only-Quran-Hadith Quiz*

*Quiz : After creating , to which creation Allah subhanahu said that you have to respond My command willingly or unwillingly ?*


A. Ocean
B. Human
C. Earth
D. Jinn
E. Mountain
F.  Angels
G. Animals
H. Soul
I.  None of the above
J. I want to know


✅ *Sahi jawab C* 💐
------------
Bismillahirrahmanirrahim
*ثُمَّ اسْتَوَىٰ إِلَى السَّمَاءِ وَهِيَ دُخَانٌ فَقَالَ لَهَا وَلِلْأَرْضِ ائْتِيَا طَوْعًا أَوْ كَرْهًا قَالَتَا أَتَيْنَا طَائِعِينَ*
------------
Al Quran : Phir wo (Allah) aasman ki taraf mutwajja huye aur wo dhuwa tha to us ne us se aur zameen se farmaya ki dono khushi se aao ya na khushi se , unhone kaha ki hum khushi se aate hain
Surah Fussilat (41), Aayat 11
Tafsir ibn kathir : Ibn Abbas Radi Allahu ahuma is aayat ki tafseer mein farmate hain ki aasmano ko ye hukm hua ki suraj, chand, sitare tulu kare, zameen se farmaya gaya ki apni nahrein jari kar apne phal wagirah uga , dono farmabardari ke liye razi khushi tayyar ho gaye aur arz karne lage hum un tamam makhluq ke saath jisko tu banane wala hai tera hukm maante hain
*Surah Fussilat (41), Aayat 11*

 Answer C
------------
Bismillahirrahmanirrahim

*ثُمَّ اسْتَوَىٰ إِلَى السَّمَاءِ وَهِيَ دُخَانٌ فَقَالَ لَهَا وَلِلْأَرْضِ ائْتِيَا طَوْعًا أَوْ كَرْهًا قَالَتَا أَتَيْنَا طَائِعِينَ*
------------
Al Quran : Then He (Allah) rose over (Istawa) towards the heaven when it was smoke, and said to it and to the earth: "Come both of you willingly or unwillingly." They both said: "We come willingly."
Surah Fussilat (41), Aayat 11

Tafsir ibn kathir : (Then He rose over (Istawa ila) towards the heaven when it was smoke,) i.e., steam which arose from it when the earth was created and said to it and to the earth: "Come both of you willingly or unwillingly.'') meaning, `respond to My command and be subjected to this action, willingly or unwillingly.'(They both said: "We come willingly.'') meaning, `we will respond to You willingly and everything that You want to create in us -- angels, Jinn and men -- will all be obedient to You
Surah Fussilat (41), Aayat 11

❗Only-Quran-Hadith Quiz 595 ❗


 Only-Quran-Hadith Quiz 595

*Sawal : Sabse pahle Jinno ko kis waqt ye malum hua ki unko gaib ka ilm nahi diya gaya hai ?*

A. Adam Alaihi salam ki takhleeq ke baad
B. RasoolAllah ki paidayeesh ke baad
C. Sulaiman Alaihi salam ki wafat se
D. Surah Jinn ke nuzool ke baad
E. Aasman se jab unki taraf aag ka shola aaya uske baad
F.  inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

*Quiz : First of All, At which time Jinn came to know that they are not having the knowledge of unseen ?*

A. At the time of the creation of Adam alaihi salam
B. After the birth of RasoolAllah
C. After the death of Sulaiman Alaihi salam
D.  After the revelation of Surah Al-Jinn
E. When they got flaming fires from the heavens
F.  None of the above
G. I want to know



 Sahi Jawab C
--------------------
Bismillahirrhamanirrahim
--------
*فَلَمَّا قَضَيْنَا عَلَيْهِ الْمَوْتَ مَا دَلَّهُمْ عَلَىٰ مَوْتِهِ إِلَّا دَابَّةُ الْأَرْضِ تَأْكُلُ مِنسَأَتَهُ ۖ فَلَمَّا خَرَّ تَبَيَّنَتِ الْجِنُّ أَن لَّوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ الْغَيْبَ مَا لَبِثُوا فِي الْعَذَابِ الْمُهِينِ*
--------
Al Quran : Phir jab humne unke (Sulaiman Alaihi salam ke) liye maut ka hukm de diya to kisi cheez se unka marna malum nahi hua , magar ek keede se (deemak se) jo unke (lakdi ke) asa ko khata raha , phir jab Asa gir padha tab Jinno ko malum hua (aur kahne lage) ki agar wo gaib ko jante hote to is zillat ke azab mein na padhe rahte
*Surah Saba (34) , Aayat 14*

Hazrat Sulaiman Alaihi Salam Ki Maut ki kaifiyat bayan hui Aur Jab Ke Jinnat unke farman ke Tahat Kaam kaj Mai masruf they, unko unki Maut ka ilm hi nahi hua. Wo inteqal Ke bad bhi lakdi ke tek ki wajah se khade hi rahe aur yeh innhein zinda samjhte hue sar Jhukaye apne sakht kamo Mai mashgul rahe, Andazan Saal bhar isee tarha guzar Gaya Jis lakdi ke Sahare Aap khade they Jab Usey dimak Chaat gayee aur wo khokli ho gayee toh Sulaiman Alaihi Salam gir padhe
*tab Jinnat aur insano ko Aap ki Maut Ka pata chala phir na sirf Insano ko balke jinnat ko bhi yaqeen ho gaya ke unn Mai se koi bhi gaib Ka ilm wala Nahi*
Tafsir Ibn kathir, Surah Saba (34) , Aayat 14

*Answer  C
--------
Bismillahirrhamanirrahim
--------
*فَلَمَّا قَضَيْنَا عَلَيْهِ الْمَوْتَ مَا دَلَّهُمْ عَلَىٰ مَوْتِهِ إِلَّا دَابَّةُ الْأَرْضِ تَأْكُلُ مِنسَأَتَهُ ۖ فَلَمَّا خَرَّ تَبَيَّنَتِ الْجِنُّ أَن لَّوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ الْغَيْبَ مَا لَبِثُوا فِي الْعَذَابِ الْمُهِينِ*
--------------
Al Quran : Then when We decreed death for him [Sulaiman (Solomon)], nothing informed them (jinn) of his death except a little worm of the earth, which kept (slowly) gnawing (eating) away at his stick. So when he fell down, the jinn saw clearly that if they had known the Unseen, they would not have stayed in the humiliating torment.
Surah Saba (34) , Verse 14

Explanation : Allah tells us how Sulayman, peace be upon him, died and how Allah concealed his death from the Jinn who were subjugated to him to do hard labor. He remained leaning on his stick, which was his staff, as Ibn `Abbas may Allah be pleased with him, Mujahid, Al-Hasan, Qatadah and others said. He stayed like that for a long time, nearly a year. When a creature of the earth, which was a kind of worm, ate through the stick, it became weak and fell to the ground. Then it became apparent that he had died a long time before. *It also became clear to Jinn and men alike that the Jinn do not know the Unseen as they (the Jinn) used to imagine and tried to deceive people*
Tafsir Ibn kathir, Surah Saba (34) , Verse 14

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 594 ❗


  Only-Quran-Hadith Quiz 594

Sawal : Allah subhanahu ki taraf se duniya mein momeeno par bheji jane wali aag kaunsi hai ?*

A. Zalzala
B. Aandhi
C. Bijli
D. Bukhar
E. Tawoon
F.  inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai

❗ Only-Quran-Hadith Quiz  

*Quiz : What is the fire of Allah  which he send for the  believers in this world ?

A. Earthquake
B. Strong wind
C. Thunder
D. Fever
E. tawoon (abdominal disease)
F.  None of the above
G. I want to know

*Sahih jawab  D
---------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai RasoolAllah Sal-Allahu Alahai Wasallam ek baar Bukhar ke ek mariz ki  ayadat le liye tashrif le gaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath Abu Huraira Radi Allahu Anhu bhi they Rasool-Allah SaliAllahu Alaihi Wasallam ne farmaye Khush ho jao Allah Subhanahu farmate hai Ye Meri Aag hai Mein isse Apne Momeen bande per iss duniya Mai islye Musallat kerta hu taake Wo akhirat ki aag Ka badl ban jaye
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees  3213
---------------
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ عَنْ رَسُولِ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم قَالَ: أَنَّهُ عَادَ مَرِيضًا وَمَعَهُ أَبُو هُرَيْرَةَ مِنْ وَعْكٍ كَانَ بِهِ فَقَالَ لَه رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : أَبْشِرْ إِنَّ اللهَ يَقُولُ: هِيَ نَارِي أُسَلِّطُهَا عَلَى عَبْدِي الْمُؤْمِنِ فِي الدُّنْيَا لِيَكُونَ حَظَّهُ مِنَ النَّارِ فِي الْآخِرَةِ.
---------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet () visited a sick person  due to an illness that he was suffering from and Abu Hurairah was with him. (that person was having fever) The Messenger of Allah () said: “Be of good cheer, for Allah says: ‘It is My fire which I have causes to overwhelm My believing slave in this world, to be his share of the Fire in the Hereafter.”
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3213

 Answer  D
---------------
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ عَنْ رَسُولِ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم قَالَ: أَنَّهُ عَادَ مَرِيضًا وَمَعَهُ أَبُو هُرَيْرَةَ مِنْ وَعْكٍ كَانَ بِهِ فَقَالَ لَه رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : أَبْشِرْ إِنَّ اللهَ يَقُولُ: هِيَ نَارِي أُسَلِّطُهَا عَلَى عَبْدِي الْمُؤْمِنِ فِي الدُّنْيَا لِيَكُونَ حَظَّهُ مِنَ النَّارِ فِي الْآخِرَةِ.
---------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet () visited a sick person  due to an illness that he was suffering from and Abu Hurairah was with him. (that person was having fever) The Messenger of Allah () said: “Be of good cheer, for Allah says: ‘It is My fire which I have causes to overwhelm My believing slave in this world, to be his share of the Fire in the Hereafter.”
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3213