❗ Only-Quran-Hadith Quiz 418❗
Dono sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiyega AB / CD
Sawal 1 : Wo kausa kuwa (well) hai jisko kuhdwa kar Musalmano ke liye waqf karne wale ke liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne jannat ki khushkhabri di thi ?
A. Nadwa ka kuwa
B. Banu Quraiza ka kuwa
C. Ruma ka kuwa
D. Zarrar ka kuwa
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
Sawal 2 :Wo kuwa kisne khudwaya tha ?
A. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu
B. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Abu bakr Radi Allahu Anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------------------------
Kindly reply two questions like this CE / BD
Quiz 1 : What is the name of that well for which Prophet Sal-Allahu alaihi wasalam said Whoever will (buy and) dig the well will be granted Paradise ?
A. The well of Nadwa
B. The well of Banu quraiza
C. The well of Ruma
D. The well of Zarrar
E. None of the above
F. I want to know
Quiz 2 : Who dug that well ?
A. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu
B. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Abu bakr Radi Allahu Anhu
E. None of the above
F. I want to know
Sahi jawab CC
-----------
Abu Abdur-Rahman radi allahu anhu se rivayat hai ki jab hazrat Uthman radi Allahu anhu muhasre mein liye gaye to (apne ghar ke)upar chad kar aapne baagiyo se farmaya tumko Allah ki kasam dekar puchta hu aur sirf Nabee Sal-Allahu alaihi wasallam ke ashab se puchta hu ki kya aap logo ko malum nahi ki jab Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs bair-e-ruma (yani ruma ke kuwey) ko khodega aur usko musalmano ke liye waqf kar dega to usko jannat ki basharat hai to maine hi us kuwey ko khoda tha
Sahih al-Bukhari 2778 (Part)
-------------
Abu 'Abdur-Rahman Radi allahu anhu narrated When 'Uthman (ra) was circled (by the rebels), he looked upon them from above and said, "I asked you by Allah, I ask nobody but the Companions of the Prophet (ﷺ), dont you know that Allah's Messenger (ﷺ) said, 'Whoever will (buy and) dig the well of Ruma will be granted Paradise, and I (bought and) dug it
Sahih Bukhari, Book 51, Hadith 38 (Part)
No comments:
Post a Comment