Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 374❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz374❗


❗ Jawab ek se zyada hain

❗Inmein se bade (kabira) gunah kaun kaunse hain

A. Sharab peena

B. Juaa khelna (gambling)

C. Yateemo ke maal ko kha jana

D. Waaldein ki nafarmani karna

E. Jhoothi gawahi dena

F. Padosi ki biwi se zina karna

G. Apne Waldein par laanat bhejna

H. Chori karna

I. Sahi Jawab ka intezar hai
--------------
❗ Answers are more than one


Quiz : What are great sins ?


A. Drink alcohol (liquor)

B. Gambling

C. Devour (eat) Orphan's substance

D. To be undutiful to parents

E. to give a false witness.

F. illegal intercourse with the neighbor's wife

G. Curse the own parents

H. Stealing something

i. I want to know


Sahi Jawab
--------------
ABCDEFG
---------
✦ Badey gunah (Kabira Gunah)
--------
✦ Al Quran : Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke bare mein puchte hain kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch fayde bhi hain magar unka Gunah unke fayde se bahut bada hai
Surah Al-Baqara, (2), Verse 219

✦ Al Quran : Aur Yateemo ko unke maal de do aur napak ko paak se na badlo aur un ke maal apne maal ke saath mila kar kha na jaya karo , ye bada gunah hai
Surah An-Nisa , Aayat 2


✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se badey (kabira) gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
1. ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna, 
2. Waaldein ki nafarmani karna,
3. Kisi ki (nahaq) jaan lena ,4. aur Jhooti gawahi dena.
Sahih Bukhari, Vol 4,2653

✦ Abdulllah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya yakeenan kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi apney waldein par laanat bhejey (logo ne pucha) ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam koi shakhsh apney hi waldein par laanat kaisey bhejega to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi shakhs dusro ke walid ko bura kahaega to dusra bhi uskey walid aur maa ko bura kahega (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega)
Sahih Bukhari,Vol 7, 5973

✦ Abdullah bin Mas'ud Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine pucha ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunsa gunaah sabse bada hai? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna halanki usi ne tumhe paida kiya ha., maine pucha iske baad ? ,
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Apni Aulad ko is khauff se maar dena ki wo tumhare saath tumhare khane mein sharik hogi. maine pucha uske baad ?
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki apne padosi ki biwi se zina karna.
Sahih Bukhari, Vol8, 6811

✦ Al Quran: Agar tum Un Bade Gunahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya to hum tumhare (chote) gunaah maaf kar denge aur tumhey Ezzat ke Maqam mein dakhil karenge
Surah An-Nisa (4) Aayah 31
---------------
Answer
----------
ABCDEFG
-------------
✦ Al Quran : They ask you concerning alcoholic drink and gambling. Say: In them is a great sin, and (some) benefit for men, but the sin of them is greater than their benefit.
Al Quran, Al-Baqara (2), Verse 219

✦ Al Quran : And give unto orphans their property and do not exchange (your) bad things for (their) good ones; and devour (eat) not their substance (by adding it) to your substance. Surely, this is a great sin.
Surah An-Nisa (4), Aayat 2

✦ Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam was asked about the great sins He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "
They are
1.To join others in worship with ALLAH,
2.To be undutiful to one's parents.
3.To kill a person
4.and to give a false witness."
Sahih Bukhari, Book 48, No. 821:

✦ Narrated Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said. It is one of the greatest sins that a man should curse his parents." It was asked (by the people), "O Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam ! How does a man curse his parents?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "'The man abuses the father of another man and the latter abuses the father of the former and abuses his mother."
Sahih Bukhari, Book 73, Hadith 4

✦ Narrated 'Abdullah bin Mas'ud Radhi Allahu Anhu, I said, "O ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! Which is the biggest sin?" He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "To set up rivals to ALLAH by worshipping others though He alone has created you."
I asked, "What is next?"
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "To kill your child lest it should share your food."
I asked, "What is next?"
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "To commit illegal sexual intercourse with the wife of your neighbor."
Sahih Bukhari, Book 82, Number 802

✦ Al Quran : If you avoid the great sins which you are forbidden to do, We shall expiate from you your (small) sins, and admit you to a Noble Entrance (i.e. Paradise).
Surah An-Nisa (4), Verse #31

No comments:

Post a Comment