❗Only-Quran-Hadith Quiz 408❗
Sawal : Ek shakhs Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke pass aakr kahne laga ki Islam ke ahkam bahut zyada ho gaye hain , Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu to us waqt Aap sallallahu alaihi wasallam ne kya farmaya ?
A. Kabhi Jhooth mat bolo
B. Apne Maa Baap ki khidmat apne upar lazim kar lo
C. Apne Haath aur zuban se kisi musalman ko takleef na pahuchao
D. Apni Zuban ko Allah ke zikr se har waqt tar rakho
E. Inn mai se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar
---------------------
Quiz : A man said to Prophet sallallahu alaihi wasallam the legislated acts of Islam have become too much for me, so inform me of a thing that I should stick tothat time What Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said ?
A. Never tell a lie
B. Dont associates anything with Allah
C. Dont hurt any believer with your hand and toungue
D. Let not your tongue cease to be moist with the remembrance of Allah
E. Be dutiful to your parents
F. I want to know
❗Sahi Jawab D❗
----------
Hadith: Abdullah bin Busr Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Ek shakhs ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se arz kiya Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Islam ke ahkam bahut zyada ho gaye hain , Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1299-Hasan
-----------
Hadith: Abdullah bin Busr Radhi allahu anhu narrated that: A man said: “O Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam indeed, the legislated acts of Islam have become too much for me, so inform me of a thing that I should stick to.” He sallallahu alaihi wasallam said: “Let not your tongue cease to be moist with the remembrance of Allah.
Jamia Tirmidhi Book 45, # 3375-Hasan
No comments:
Post a Comment