❗ Only-Quran-Hadith Quiz 397❗
Dono sawalo ke jawab saath mein de Cd / CB
Sawal 1 : Inmein se wo kaunsi surah hai jo ek hi baar mein puri nazil huyee ?
A. Surah Baqarah
B. Surah Aal e Imran
C. Surah Anam
D. Surah Al Mulk
E. Surah Yaseen
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi Jawab ka intezar hai
Sawal 2: Inmein se wo kaunsi surah jiske nuzul ke waqt 70,000 farishte uske saath Allah ki tasbeeh bayan karte huye nazil huye they
A. Surah Yaseen
B. Surah Al Mulk
C. Surah Fatiha
D. Surah Baqarah
E. Surah AL-Kauther
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi Jawab ka intezar hai
-----------------
Quiz 1 : What is the name of that surah which was revealed completely in a night ?
A. Surah Baqarah
B. Surah Aal e Imran
C. Surah Anam
D. Surah Al Mulk
E. Surah Yaseen
F. None of the above
G. I want to know
Quiz 2 : What is the name of that surah which revealed accompanied by 70,000 angels ?
A. Surah Yaseen
B. Surah Al Mulk
C. Surah Fatiha
D. Surah Baqarah
E. Surah AL-Kauther
F. None of the above
G. I want to know
Sahi Jawab CE
------
Surah anaam ki tafseer mein Ibn Abas Radi Allahu anhu farmate hain ki ye puri surah ek hi ,martaba ek saath mein hi makka sharif mein nazil huyee thi, uske charo aur 70,000 farishte they jo tasbeeh padh rahe they, mustadrak hakim mein hai ki is surat ke nazil hone par Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya is mubarak surat ko pahuchane ke liye itne farishte aaye they ki aasman ke kinare dikhayee nahi dete they. Ibn Mardawaih mein ye bhi hai ki farishto ki us waqt ki tasbeeh ne ek gunj paida kar di thi zameen gunj rahi thi aur Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam SubhanAllahil Azeem SubhanAllahil azeem padh rahe they
Tafseer Ibn Katheer, Surah Anaam, Page 147
---------------------
At-Tabarani recorded that Ibn `Abbas Radi Allahu anhu said, "All of Surat Al-An`am was revealed in Makkah at night, accompanied by seventy thousand angels, raising their voices in glorification of Allah' As-Suddi said that Murrah said that `Abdullah Radi Allahu anhu said, "Surat Al-An`am was revealed in the company of seventy thousand angels.
It is mentioned In the Hadeeth of Mustadrak hakim that when the Surah An’aam was revealed,Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam said so many angels came to convey this Surah that the corners of the heavens became covered with their great numbers.
Tafseer Ibn Katheer, Surah Anaam,The Virtue of Surat Al-Anam
No comments:
Post a Comment