❗ Only-Quran-Hadith Quiz 385 ❗
Sawal : Inmein se wo kaun kaun hai jiski namaz Qubul nahi hoti ?
A. Bhaga hua Gulam jab tak wapas na laut jaye
B. Aisee aurat jis se uska shohar raat bhar naraz raha
C. Aisa mard jo apni biwi ko gair mahram se baat karne se na roke
D. Aisa imam jisko log napasand karte ho
E. Aisa shakhs jo namaz mein surah fatiha ke saath koi surah na padhe
F. Aisee aurat jo kisi ke shohar ke khilaf jhuthi bate bayan kare
G. Aisa shaksh jo Maidan e Jung se peeth pher kar bhag jaye
H. Sahi jawab ka intezar hai
--------------
Quiz : Who are among below whose Salah (prayer) does not accepted ?
A. The runaway slave until he returns
B. A woman who spends a night while her husband is angry with her
C. A man who does not prohibit his wife to talk with non mehram
D. A People's Imam whom they dislike.
E. A man who doest not recite any surah with surah fatiha in prayer
F. A woman who create rumors against the husband of someone
G. A man who runaway from the battlefield
H. I want to know
Sahi Jawab ABD
-----------
✦ Abu Umamah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya teen tarah ke logo ki namaz unke kaano se aage nahi badhti (yani Qubul nahi hoti), bhaga hua gulam jab tak ki wapas na aa jaye, aisee aurat jo is halat mein raat guzare ki uska shohar us se naraz ho, aur logo ka aisa imam jisko wo napasand karte ho
Jamia Tirmizi, Jild 1,340-Sahih
------------
✦ Abu Umamah Radi Allahu Anhu narrated that Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi wasallam said: "There are three whose Salat would not rise up beyond their ears (means not accepted) The runaway slave until he returns, a woman who spends a night while her husband is angry with her, and a people's Imam whom they dislike.
Jamia Tirmizi, Book 2, 360-Sahih
E
ReplyDeleteE
ReplyDelete