Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 384 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 384 ❗


❗ Dono sawalo ke jawab saath mein is tarah dena AC / DA


Sawal 1 : Wo kaunsi jung thi jismein bahut sare Quran ke Qari shaheed ho gaye they aur uske baad Quran ko jama karne ka khayal aaya?


A. Jung e Hunain

B. Jung e Tabook

C. Jung e jamal

D. Jung e Yamamah

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Sabse pahle Quran ki aayato ko jama karne ki naseehat kisne di ?


A. Hazrat Abu Bakr Radi Allahu anhu

B. Hazrat Umar Radi Allahu anhu

C. Hazrat Zaid Radi Allahu anhu

D. Hazrat Uthman Radi Allahu anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
-----------
❗ Kindly reply two questions together like this AC / DB

Quiz 1 : What is the name of that battle in which many Quran reciters got martyr and after that it was decided that we should collect the Quranic verses as a book?

A. Jung e Yarmook

B. Jung e Tabook

C. Jung e jamal

D. Jung e Yamamah

E. None of the above

F. I want to know

Quiz 2 : First of All who gave the advice to collect the scripts of the Quran and make as a book?

A. Hazrat Abu Bakr Radi Allahu anhu

B. Hazrat Umar Radi Allahu anhu

C. Hazrat Zaid Radi Allahu anhu

D. Hazrat Uthman Radi Allahu anhu

E. None of the above

F. I want to know


Sahi Jawab DB
-----------
Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu se rivayet hai ki Abu bakr Radi Allahu Anhu ne maqtal Yamama mein mere paas ek aadmi bhej kar bulwaya, us waqt Hazrat Umar Radi Allahu taala Anhu bhi mojood they, Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kaha ki mere paas Umar aaye aur kehte hain ke Yamama wale din bahut sare Qari Shaheed ho gaye hain aur mujhe darr hai ki tamam jaghon mein kaseer tadaad mein Qariyo ke qatal se Quran ka kaseer hissa zaya na hojaye. is liye mein munasib samjhta hu ke aap quran jama karne ka hukm de, Mein ne kaha ke mein kyun aisa kaam karoon jis ko Nabi Sal-Alllahu alaihi wasallam ne nahi kya, Umar Radi Allahu Anhu kahne lage ki Allah ki kasam yahi behtar hai aur Umar Radi Allahu Anhu mujh se lagatar kahte rahe lage yahan tak ki Allah subhanahu ne mera seena is ke liye khol diya jis ke liye Umar razi Allah taala anho ka seenah khol diya tha (yani Quran ko jama karne ke liye), aur maine bhi is ke mutaliq wo hi khayaal kiya jo Umar razi Allah taala anho ne khayaal kiya.
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1026-Sahih
-----------
Narrated Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu said: 'Abu Bakr As-Siddiq sent for me - (regarding) those killed at Al-Yamamah - and 'Umar bin Al-Khattab was with him. He (Abu Bakr) said: "'Umar came to me and said: The fighting inflicted many casualties among the reciters of the Qur'an on the Day of Al-Yamamah, and I fear that there will be more casualties among the reciters in other parts of the land, such that much of the Qur'an may be lost. In my view, you should order that the Qur'an be collected.'" Abu Bakr said to 'Umar: "How can I do something which was not done my the Messenger of Allah (ﷺ)?" 'Umar said: 'By Allah! It is something good.' 'Umar continued trying to convince me until Allah opened up my chest to that which He had opened the chest of 'Umar, and I saw it as he saw it."
Jamia Tirmizi, Book 44, 3103-Sahih

No comments:

Post a Comment