Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 393 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 393 ❗


❗ Dono sawalo ke jawab saath mein dena


❗ Sawal : Wo kaunsa aasman hai jis par Mairaj ki raat Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki mulaqat do nabiyo se huyee ?


A. Dusra aasman

B. Teesra Aasman

C. Chotha Aasman

D. Panchwa aasman

E. chata aasman


❗Sawal 2 : Inmein se wo kaun kaun se nabee hain jinko Mairaj ki raat Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek hi aasman par ek saath dekha tha ?


F. Eesa Alaihi salam

G. Musa Alaihi salam

H. Yahya alaihi salam

I. Harun alaihi salam

J. Ibrahim Alaihi Salam

K. Adam Alaihi salam

L. Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------
❗ Kindly reply both Quiz together


❗ Quiz : On the night of mairaj (Journey ),the prophet Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam met two proptes on same heaven , where was that heaven



A. 2nd heaven

B. 3rd heaven

C. 4th heaven

D. 5th heaven

E. 6th heaven


Quiz : On the night of mairaj (Journey ),the prophet Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam met two proptes on the same heaven , who were those two prophets ?


F. Eesa Alaihi salam

G. Musa Alaihi salam

H. Yahya alaihi salam

I. Harun alaihi salam

J. Ibrahim Alaihi Salam

K. Adam Alaihi salam

L. Waiting for the right answer



Sahi Jawab
AFH
-------
Abbas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Malik bin Sasaa Radi Allahu Anhu ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse mairaj ka waqya bayan karte huye farmaya ………………………uske baad Jibril alaihi salam (pahle aasman se) upar ki tarah chade aur mujhe dusre aasman par le gaye Waha bhi darwaza khulwaya aur aawaz aayee kaun sahib hain bataya gaya ki jibril alaihi salam) pucha gaya ki aapke saath koi aur sahab bhi hain kaha Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam, pucha gaya kya aapko unhe bulane ke liye bheja gaya tha ? unhone jawab diya haan phir aawaz aayee unhe khush aamdeed , kitne achche aane wale hain wo phir darwaza khula aur main andar gaya waha Yahya aur Eesa alaihi salam mojud they, ye dono khala zaad bhai hain, Jibril alaihi salam ne farmaya ye Eesa alaihi salam aur yahya alaihi salam hain inhe salam kijiye maine salam kiya aur unhone mere salam ka jawab diya aur farmaya khush aamdeed neik nabi aur neik bhai ………………
Sahih Bukhari, Jild 5, 3887 (part)
-----------
Complete Hadith
http://sunnah.com/bukhari/63/113
----------
Narrated `Abbas bin Malik: Malik bin Sasaa said that Allah's Messenger (ﷺ) described to them his Night Journey saying, …………………Then Gabriel ascended with me till we reached the second heaven. Gabriel asked for the gate to be opened. It was asked, 'Who is it?' Gabriel answered, 'Gabriel.' It was asked, 'Who is accompanying you?' Gabriel replied, 'Muhammad.' It was asked, 'Has he been called?' Gabriel answered in the affirmative. Then it was said, 'He is welcomed. What an excellent visit his is!' The gate was opened. When I went over the second heaven, there I saw Yahya (i.e. John) and `Isa (i.e. Jesus) who are cousins (both’s mother are sisters of each other) ( of each other. Gabriel said (to me), 'These are John and Jesus; pay them your greetings.' So I greeted them and both of them returned my greetings to me and said, 'You are welcomed, O pious brother and pious Prophet.' Then Gabriel ascended
with me to the third heaven
Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 227 (Part)

No comments:

Post a Comment