Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 376❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 376❗


❗Sawal : inmein se kaunse sahabi ke paas Kaba sharif ke darwaze ki kunji (key) rahti thi ?


A. Talha bin Uthman Radi Allahu anhu

B. Uthman bin Afwan Radi Allahu anhu

C. Usama bin zaid Radi Allahu anhu

D. Uthman bin Talha Radi Allahu anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
------------
Quiz : Among below, Who keep the key of the gate of the Kabah ?


A. Talha bin Uthman Radi Allahu anhu

B. Uthman bin Afwan Radi Allahu anhu

C. Usama bin zaid Radi Allahu anhu

D. Uthman bin Talha Radi Allahu anhu

E. None of the above

F. I want to know


Sahi jawab D
---------------
Uthman bin Talha Radi Allahu anhu
------------------
✦ Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam fateh makka ke din apni sawari par makka mein dakhil huye , Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu aapki sawari par aapke peeche sawar they , aapke saath Bilal Radi Allahu Anhu aur kaba ke hajib (yani jiske paas kaba shahrif ki kunji {key} rahti thi) Usman bin talha Radi Allahu Anhu bhi they.Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne apne oont ko masjid ke karib bithaya aur bait Allah ki kunji lane ka hukm diya phir Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam bait Allah ke andar dakhil huye aapke saath Usama bin zaid, Bilal aur uthman bin talha Radi Allahu Anhuma bhi they, Aap andar kafi der tak thahre aur jab bahar tashrif laye to log jaldi se aage badhe , Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu sabs epahle andar jaane walo mein se the, unhone bait Allah ke darwaze ke peeche hazrat bilal Radi Allahu Anhu ko khade huye dekha aur unse pucha ki Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne kaha namaz padhayee thi unhone wo jagah batayee jaha Aapne namaz ada ki thi
Sahih Bukhari, Jild 5, 4289
---------------------
✦ Narrated Abdullãh bin Umar Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) entered Makkah through its upper part and he was riding his she-camel. Usãma bin Zaid was his Companion-rider behind him (on the same she-camel). In his company were Bilãl and 'Uthmãn bin Talha, who was one of the Al-Hajabah (who keep the key of the gate of the Ka'bah). When he made his she-camel kneel down in the Mosque (i.e., Al-Masjid al-Haram), he ordered him (i.e., 'Uthman) to bring the key of the Ka'bah. Then Allah's Messenger (ﷺ) entered the Ka'bah along with 'Usãma bin Zaid, Bilãl and 'Uthmãn bin Talha, and he stayed in it for a long period and then came out. The people rushed (to get in) and `Abdullãh bin 'Umar was the first to enter and he found Bilãl standing behind the door. Ibn `Umar asked Bilãl, "Where did Allah's Messenger (ﷺ) offer the Salat (prayer)?" Bilãl showed him the place where he (ﷺ) had offered Salat (prayer).
Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 584

No comments:

Post a Comment