❗ Only-Quran-Hadith Quiz 353❗
❗Dono sawalo ke jawab saath mein dijiyega is tarah BGHIJ / DKLMN
Sawal 1 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Yemen mein Yahud aur Nasara ko Islam ki dawat dene ke liye kaunse sahabi ko bheja tha ?
A. Usama bin zain Radi allahu anhu
B. Muaaz bin jabal Radi allahu anhu
C. Saad bin Muadh Radi allahu anhu
D. Musaib bin umair Radi allahu anhu
E. Inemin se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
Sawal 2. Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne jab un sahabi ko yemen mein yahud aur nasara ke pass deen ki dawat ke liye bheja to unhe inmein se kaun kaunsi baato ki dawat dene ko kaha ?
G. Is baat ki gawahi dena ke Allah ke siwa koi ibdat ke layaq nahi
H. Is baat ki gawahi dena ke Muhammad Sal-Allahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain
I. Bait Allah ka Hajj karna
J. Ramzan ke roze rakhna
K. Paanch waqt ki namaz padhna
L. Zina nahi karna
M. Waldein ki farmabardari karna
N. Zakat ada karna
O. Sood na lena
P. Jadu na karna
-----------
❗KIndly reply both quiz together like this BGHIJ / DKLMN
Quiz 1 : What is the name of that sahabi to whom Prophet Sal-Allahu Alahi Wasallam sent to Yemen to invite jews and chritians towards Islam ?
A. Usama bin zain Radi allahu anhu
B. Muaaz bin jabal Radi allahu anhu
C. Saad bin Muadh Radi allahu anhu
D.Musaib bin umair Radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know
Quiz 2 : When the Prophet Sal-Allahu Alahi Wasallam sent that sahabi to yemen, he Advised him to invite the jews and Christians towords some things what are those things ?
G. to testify that none has the right to be worshipped but Allah
H. Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam is the Apostle of Allah
I. Perform Hajj of BaitAllah
J. Fasting of Ramzan
K. To Pray five prayers daily
L. Not to commit Adultery
M. Obey the parents
N. To Pay Zakat
O. Dont take riba (interest)
P. Dont do Magic
Sahi jawab
BGHKN
--------------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Muadh Radi Allahu Anhu ko yemen bheja to farmaya ki main tumko ek aisee qaum ki janib bhej raha hu jo ahl e kitab hain (yani yahud aur nasara) aur jab tum unke paas pahucho to unko bula kar kahna ki wo gawahi de de ki Allah ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain, agar wo tumhara hukm tasleem kar le to to phir unse kahna ki Allah subhanahu ne un par din raat mein paanch waqt ki namazein farz ki hain agar wo isko bhi maan le to unse kahan ki Allah subhanahu ne un par zakat bhi farz kiya hai jo ki unke ameero se liya jayega aur gareebo mein taqseem kiya jayega Agar wo isko bhi qubul kar le to unke achche maal lene se bacho aur mazlum ki baddua se bachte rahna kyunki us ke aur Allah ke darmiyan koi rukawat nahi hoti
Sahih Bukhari, Jild 2, 1496
✦ Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said to Muadh when he sent him to Yemen, "You will go to the people of the Scripture ( Jews and christians) . So, when you reach there, invite them to testify that none has the right to be worshipped but Allah, and that Muhammad is His Apostle. And if they obey you in that, tell them that Allah has enjoined on them five prayers in each day and night. And if they obey you in that tell them that Allah has made it obligatory on them to pay the Zakat which will be taken from the rich among them and given to the poor among them. If they obey you in that, then avoid taking the best of their possessions, and be afraid of the curse of an oppressed person because there is no screen between his invocation and Allah.
Sahih Bukhari, Book 24, Hadith 573
No comments:
Post a Comment