Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 394❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 394❗

❗ Dono sawalo ke jawab is tarah de AB / CD


❗ Sawal : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Muaaz bin jabal Radi allahu anhu ko deen ki dawat dene ke ke liye kaunsi jagah bheja tha?


A. Mulk e sham

B. Habsha

C. Madina

D. Yemen

E. Iraq

F. Sahi jawab ka intezar hai


❗ Sawal 2 : Jaate waqt unko inme se kis baat ki naseehat di gayee thi ?


A. Aurto aur bachcho ko Qatl na karna

B. Jo zakat na de unse jung karna

C. Mazlum ki baddua se bachte rahna

D. Jo Islam na laye unse jaziya lena

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------
❗ Kindly reply both questions together like this AD / CD


❗ Quiz 1 : Where did he Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam send Muaaz bin jabal Radi allahu anhu to call the people towards Islam ?


A. Mulk e sham

B. Habsha

C. Madina

D. Iraq

E. Yemen

F. I want to know


❗ Quiz 2 : While he was sent what kind of special advice he was given ?


A. Dont kill women and children

B. Fight with those who dont give charity

C. Be afraid of the curse of an oppressed person

D. The one who dont accept islam then take jaziya (tax)

E. None of the above

F. I want to know


Sahi Jawab AC
-------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Muadh Radi Allahu Anhu ko yemen bheja to farmaya ki main tumko ek aisee qaum ki janib bhej raha hu jo ahl e kitab hain (yani yahud aur nasara) aur jab tum unke paas pahucho to unko bula kar kahna ki wo gawahi de de ki

Allah ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain, agar wo tumhara hukm tasleem kar le to to phir unse kahna ki Allah subhanahu ne un par din raat mein paanch waqt ki namazein farz ki hain agar wo isko bhi maan le to unse kahan ki Allah subhanahu ne un par zakat bhi farz kiya hai jo ki unke ameero se liya jayega aur gareebo mein taqseem kiya jayega, Agar wo isko bhi qubul kar le to unke achche maal lene se bacho aur mazlum ki baddua se bachte rahna kyunki us ke aur Allah ke darmiyan koi rukawat nahi hoti
Sahih Bukhari, Jild 2, 1496
-------
✦ Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said to Muadh when he sent him to Yemen, "You will go to the people of the Scripture ( Jews and christians) . So, when you reach there, invite them to testify that none has the right to be worshipped but Allah, and that Muhammad is His Apostle. And if they obey you in that, tell them that Allah has enjoined on them five prayers in each day and night. And if they obey you in that tell them that Allah has made it obligatory on them to pay the Zakat which will be taken from the rich among them and given to the poor among them. If they obey you in that, then avoid taking the best of their possessions, And be afraid of the curse of an oppressed person because there is no screen between his invocation and Allah.
Sahih Bukhari, Book 24, Hadith 573

No comments:

Post a Comment