Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 380❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 380❗

❗ Jawab ek se ziyada hain

❗ Ek Baar Rasool-Allah Sal-ALlahu Alaihi Wasallam Madina ke ek baag mein tashreef farma they aur waha unhone ek sahabi ke jariye 3 sahaba ko jannat ki khushkhabri di thi



Sawal 1 : Wo 3 khushnaseeb sahabi kaun they jinko waha jannat ki khsuhkhabri di gayee?


A. Umar Radi Allahu Anhu

B. Ali Radi Allahu anhu

C. Uthman Radi allahu anhu

D. Jafar Radi ALlahu ANhu

E. Abu Bakr Radi ALlahu ANhu

F. Abu Talha Radi allahu anhu

G. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Wo sahabi kaun they jinhone un teeno sahaba ko jannat ki khushkhabri di ?


H. Abu Hurairah Radi allahu anhu

i. Muaaz bin jabal Radi allahu anhu

J. Abu Musa Al-Ashari Radi allahu anhu

K. Abu Talha Radi allahu anhu

L. Abu Bakr Radi allahu anhu

M. Inmein se koi nahi

N. Sahi jawab ka intezar hai
------------------------
❗ Answers are more than one

❗ Once The Prophet ﷺ went out to one of the gardens of Medina and their he told to a sahabi to give good news to 3 sahaba for entering Paradise?

Quiz 1 : Who were that 3 sahaba ?

A. Umar Radi Allahu Anhu

B. Ali Radi Allahu anhu

C. Uthman Radi allahu anhu

D. Jafar Radi ALlahu ANhu

E. Abu Bakr Radi ALlahu ANhu

F. Abu Talha Radi allahu anhu

G. Sahi jawab ka intezar hai


Quiz 2 : This good news was given by whom ?


H. Abu Hurairah Radi allahu anhu

i. Muaaz bin jabal Radi allahu anhu

J. Abu Musa Al-Ashari Radi allahu anhu

K. Abu Talha Radi allahu anhu

L. Abu Bakr Radi allahu anhu

M. None of the above

N. I want to know

----
Sahi jawab
ACE
J
----------
Abu Musa Al-Ashari Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-ALlahu Alaihi Wasallam Madina ke baagaat mein kisi baag ki taraf apni kisi zaroorat ke liye tashreef le gaye, mein bhi aap ke peeche peeche gaya. jab Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam baagh mein daakhil huye to main iske darwaze par baith gaya aur apne dil mein kaha ke aaj mein hazrat ka darbaan(gatekeeper) banuga halaanki Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam ne mujhe is ka hukum nahi diya tha. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam andar chale gaye aur apni haajat poori ki. phir aap kunwein ki mundair par baith gaye aur apni dono pindliyon ko khol kar inhen kunwein mein latka liya. (yani aapke pair kuwe ke andar ki taraf latka diye) phir Abu Bakr Radi Allahu Anhu aaye aur andar jaane ki ijazat chahi. Maine unse kaha ke Aap yahin rahen, Main aap ke liye ejazat le kar aata hon. woh khadey rahay aur maine Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir ho kar arz kya Ya Rasool-ALlah Sal-ALlahu Alaihi Wasallam ! Abu Bakr Radi Allahu Anhu aap ke paas aane ki Ejazat chahte hain. farmaya ke inhen ejazat de do aur inhen jannat ki khushkhabri suna do. Phir woh andar aa gaye aur Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam ki dahini janib aa kar unhon ne bhi apni pindliyon ko khol kar kunwein mein latka liya.itne mein Umar Radi Allahu anhu tashreef laye. Maine kaha thahr jao, main Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam se ijazat le lu (aur maine andar jakar Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam se ejazat le li) Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam ne farmaya unko bhi ijazat de do aur Jannat ki khushkhabri bhi. phir woh bhi aa gaye aur usi kunwein ki mundair par Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam ke bayein janib baith gaye aur Apni pindliya khol kar kunwein mein latka di aur kunwein ki mundair bhar gayi aur wahan jagah na rahi. phir usmaan Radi Allahu Anhu Aaye aur maine un se bhi kaha ke intezar kijiye main Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam se ijazat maang lon. Aap Sal-ALlahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke inhen bhi ijazat do aur jannat ki khushkhabri de do aur inke saath ek aazmayeesh hai jo inhen puhanchegi. phir woh bhi daakhil hue, unke saath baithne ke liye koi jagah nah thi. chunancha woh ghoom kar un ke samne kunwein ke kinare par aa gaye.
Sahi Bukhari, Jild 8, 7097
------------
Answer
ACE
J
-----------
Narrated Abu Musa Al-Ash`ari RAdi Allahu anhu The Prophet (ﷺ) went out to one of the gardens of Medina for some business and I went out to follow him. When he entered the garden, I sat at its gate and said to myself, "To day I will be the gatekeeper of the Prophet though he has not ordered me." The Prophet (ﷺ) went and finished his need and went to sit on the constructed edge of the well and uncovered his legs and hung them in the well.In the meantime Abu Bakr came and asked permission to enter. I said (to him), "Wait till I get you permission." Abu Bakr waited outside and I went to the Prophet (ﷺ) and said, "O Allah's Prophet! Abu Bakr asks your permission to enter." He said, "Admit him, and give him the glad tidings of entering Paradise." So Abu Bakr entered and sat on the right side of the Prophet (ﷺ) and uncovered his legs and hung them in the well. Then `Umar came and I said (to him), "Wait till I get you permission." The Prophet (ﷺ) said, "Admit him and give him the glad tidings of entering Paradise." So `Umar entered and sat on the left side of the Prophet and uncovered his legs and hung them in the well so that one side of the well became fully occupied and there remained no place for any-one to sit. Then `Uthman came and I said (to him), "Wait till I get permission for you." The Prophet (ﷺ) said, "Admit him and give him the glad tidings of entering Paradise with a calamity which will befall him." When he entered, he could not find any place to sit with them so he went to the other edge of the well opposite them and uncovered his legs and hung them in the well. I wished that a brother of mine would come, so I invoked Allah for his coming. (Ibn Al-Musaiyab said, "I interpreted that (narration) as indicating their graves. The first three are together and the grave of `Uthman is separate from theirs.")
Sahi Bukhari, Book 88, Hadith 217

No comments:

Post a Comment