Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 379❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 379❗

❗ Dusre sawal mein Jawab ek se ziyada hain

❗ Sawal 1 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasllam ke is duniya se chale jane ke baad Khalifa Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu ke paas se Aap Sal-Allahu Alaihi wasllam ki wirasat mein hissa lene kaun aaya tha ?

A. Hazrat Ali Radi Allahu Anha

B. Hazrat Fatima Radi Allahu Anha

C. Hazrat Aisha Radi Allahu Anha

D. Hazrat Hasan Radi Allahu Anhu

E. Hazrat Hussain Radi Allahu Anhu

F. Sahi Jawab ka intezar hai

❗ Sawal 2 : Abu Bakr radi allahu anhu ne unko wirasat mein se kuch bhi nahi diya aur farmaya ki?


G. Nabee ki wirasat maal e ganimat mein shamil hoti hai

H. Nabi jo chorh kar jaate hain wo sadqa hota hai

i. Nabeeyo ke maal par sirf Allah ka haq hai

J. Nabiyo ka koi waris nahi hota

K. Nabiyo ke maal par unki biwiyo ka haq hota hai

L. Sahi Jawab ka intezar hai
--------------------------
❗ In the second question , answers are more than one

❗ Quiz 1 : After the Prophet Sal-Allaahu alaihi wasallam passed away , who came to Ask the share of inheritance from the Prophet's Property ?

A. Hazrat Ali Radi Allahu Anha

B. Hazrat Fatima Radi Allahu Anha

C. Hazrat Aisha Radi Allahu Anha

D. Hazrat Hasan Radi Allahu Anhu

E. Hazrat Hussain Radi Allahu Anhu

F. I want to know

❗ Quiz 2 : The Khalifa Abu Bakr Radi Allahu Anhu didnt give anything and said ....

G. The Property of Prophets are the war booty (Maal e ganimah)

H. Whatever Prophets leave is Sadaqa

I. Only Allah has the right over Prophet's Property

J. The Prophet's Property will not be inherited

K. Only Prophet's wives has the rights over his property

L. I want to know


Sahi Jawab BHJ
---------
Ummul Momenin Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ke Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki Sahebzadi Fatima Radi Allah anha ne Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke is duniya se chale jane ke baad hazrat Abu Bakr siddiq Radi allahu anhu se mutalba kiya tha ki Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki wirasat mein se un ki meeras ka hissa dilaya jaye jo Allah Subahanhu ne Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko fay (maal e ganimat) ki soorat mein diya tha. Abu Bakr Radi Allahu anhu ne Hazrat fatima Radi Allahu anhu se kaha ke Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne (Apni hayaat mein) farmaya tha ke hamara (Nabiyo ka) virsa taqseem nahi hota, (yani nabiyo ka koi waris nahi hota) , hamari wirasat sadqa hai. Fatima Radi ALlahu Anha ye sun kar gussa ho gayeen aur Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu se mulaqaat abnd kar di aur wafaat tak un se na mili. Woh Rasool Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke baad 6 mahine zinda rahi thee. Hazrat Aisha Radi allahu anha ne kaha ki Fatima Radi allahu anha ne Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khaibar aur fadak aur madine ki wirasat ka mutaliba kiya tha aur ABu bakr radi allahu anhu ne isko dene se inkar kar diya tha aur farmaya tha ki main kisi bhi aise amal ko nahi chorh sakta jisko Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam apni zindagi mein karte they
Sahih Bukhari, 3092
----------------
Answer BHJ
-----------
Narrated Aisha Radi allahu anha: (mother of the believers) After the death of Allah 's Apostle Fatima the daughter of Allah's Messenger (ﷺ) asked Abu Bakr As-Siddiq to give her, her share of inheritance from what Allah's Messenger (ﷺ) had left of the Fai (i.e. booty gained without fighting) which Allah had given him. Abu Bakr said to her, "Allah's Apostle said, '*Our property will not be inherited, whatever we (i.e. prophets) leave is Sadaqa (to be used for charity)*." Fatima, the daughter of Allah's Messenger (ﷺ) got angry and stopped speaking to Abu Bakr, and continued assuming that attitude till she died. Fatima remained alive for six months after the death of Allah's Messenger (ﷺ). She used to ask Abu Bakr for her share from the property of Allah's Messenger (ﷺ) which he left at Khaibar, and Fadak, and his property at Medina (devoted for charity). Abu Bakr refused to give her that property and said, "I will not leave anything Allah's Messenger (ﷺ) used to do, because I am afraid that if I left something from the Prophet's tradition, then I would go astray."
Sahi Bukhari,Book 53, Hadith 325

No comments:

Post a Comment