Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 391 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 391 ❗


❗Dono sawalo ke jawab saath mein dena

❗Sawal 1 : Rasool-Allah Sal-Allahau Alaihi Wasallam ko ek baar dikhaya gaya ki kuch log hain jinke jism ka aadha hissa to bahut khubsurat hai aur dusra aadha bahut badsurat hai un logo ka kya gunah tha ?


A. Wo log soodkhor they

B. Wo namaz to padhte lekin zakat nahi dete

C. Wo achche aur burey dono aamal karte they

D. Wo musalmano mein ladayee lagwate they

E. Wo munafiq they

F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Waha ek nahar thi Unse kaha gaya ki usmein kud jao to wo log usmein kud gaye , uske baad unki haalat kya ho gayee ?


A. Unka sara badan khubsurat ho gaya

B. Unka aadha badan jal gaya

C. Unka aadha badan paani mein bah gaya

D. Us nahar mein dusre gunahgaro ne unko pakad liya

E. In mein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai

-------------
❗Kindly reply both questions together


Quiz 1 :Once the Propeht Sal-Allahu alaihi wasallam was shown that there are few men with one side of their bodies very good and other side were ugly , what is the sin of those men ?

A. They were riba eater

B. They used to pray but not give charity

C. They used to do good and bad deeds

D. They used to create misunderstanings between muslims

E. They were hypocrites

F. I want to know


Quiz 2 : There were a river , it was said to them to get into river and those people get into this , after that what happen to them ?


A. Their All body became very good

B. Their half body burnt in river

C. Their half body parts flow away in river

D. The other sinners catch them in river

F. None of the above

G. I want to know



Sahi Jawab
CA
----------
Samurah bin jundab Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ek subah farmaya ki kal rata mere paas do aane wale aaye unhone mujhe uthaya aur mujhs ekaha ki hamare saath chalo main unke satah chal diya ..........hum ek Azeem-Asshan baag tak pahuchey maine itna bada aur khubsurat baag kabhi nahi dekha un dono ne kaha ki is par chadiye hum us par chadey to ek aisa shahar dikhayee diya jo is tarah bana tha ki uski ek eent sone ki thi aur ek eent chandi ki hum shahar ke darwaze par aaye to humne usko khulwaya , Humne usmein aise logo se mulaqat ki jinke jism ka aadha hissa bahaut khubsurat tha aur baqi ka aadha bahut badsurat , mere un dono saathiyo ne unse kaha ki jao aur is nahar mein kood jao , ek nahar samne bah rahi thi jiska paani bahut safed tha wo log gaye aur usmein kud gaye aur phir hamare paas laut kar aaye to unka pahla aib ja chuka tha (yani unka sara badan ab khubsurat ho gaya)........... jab pucha gaya ki wo kaun log they to bataya ki ye wo log they jinhone achche amal ke saath burey amal bhi kiye they ,Allah subahanhu ne unke gunaho ko bakhs diya
Sahi Bukhari, Jild 6, 7047
----------
Narrated Samura bin Jundub Radi allahu anhu
The Prophet (ﷺ) said, "Last night two persons came to me (in a dream) and woke me up and said to me, 'Proceed!' I set out with them ....
The Prophet (ﷺ) added, "So we ascended till we reached a city built of gold and silver bricks and we went to its gate and asked (the gatekeeper) to open the gate, and it was opened and we entered the city and found in it, men with one side of their bodies as handsome as the handsomest person you have ever seen, and the other side as ugly as the ugliest person you have ever seen. My two companions ordered those men to throw themselves into the river. Behold, there was a river flowing across (the city), and its water was like milk in whiteness. Those men went and threw themselves in it and then returned to us after the ugliness (of their bodies) had disappeared and they became in the best shape..........
The Prophet (ﷺ) added, "My two companions added, 'The men you saw half handsome and half ugly were those persons who had mixed an act that was good with another that was bad, but Allah forgave them.'"
Sahih Bukhari, Book 87, Hadith 171

No comments:

Post a Comment