❗ Only-Quran-Hadith Quiz 387 ❗
Sawal : Rasool-Allah Sal-Alllahu alaihi wasallam ne kaunse Nabi ko Bin Nabi Allah , Bin Nabi Allah, Bin Khalil Allah kaha ?
A. Yusuf Alaihi Salam
B. Ishaq Alaihi Salam
C. Yaqub Alaihi Salam
D. Ismaeel Alaihi Salam
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz : For which Prophet , the Rasool-ALlah Sal-Allahu Alaihi wasallam said he was Bin Nabi Allah , Bin Nabi Allah, Bin Khalil Allah (the son of Allah's Prophet, The son of Allah's Prophet the son of Allah's Khalil )
A. Yusuf Alaihi Salam
B. Ishaq Alaihi Salam
C. Yaqub Alaihi Salam
D. ismaeel Alaihi Salam
E. None of the above
F. I want to know
Sahi Jawab A - Yusuf alaihi salam
----------
Hazrat Abu hurairah radi allahu ne arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sal-Alllahu alaihi wasallam sabse zyada sharif kaun hai to Aap Sal-Alllahu alaihi wasallam ne farmaya jo sabse zyada parhezgar hai Sahaba ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Alllahu alaihi wasallam hum iske mutalliq nahi puch rahe , phir Rasool-Allah Sal-Alllahu alaihi wasallam ne farmaya phir Allah ke Nabee Yusuf Alaihi Salam bin Nabee Allah ( yani unke walid bhi nabee they) , bin Nabi Allah (Yani yusuf alaihi salam ke dada bhi nabi they , Bin khalil Allah (Yani unke dada ke walid Khalil ALlah they), Sahaba ne pucha ki hum iske mutalliq bhi nahi puch rahe , Aap Sal-Allaahu alaihi wasallam ne farmaya ki achcha tum arab ke khandano ke baare mein puch rahe ho to suno jo jahiliya mein sharif they wo islam mein bhi sharif hain jab deen ki samajh unhe aa jaye
Sahih Bukhari, 3353
--------------
Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu The people said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Who is the most honorable amongst the people (in Allah's Sight)?" He said, "The most righteous amongst them." They said, "We do not ask you, about this. " He said, "Then Yusuf, Allah's Prophet, Bin Nabi Allah , Bin Nabi Allah, Bin Khalil ALlah (the son of Allah's Prophet, The son of Allah's Prophet the son of Allah's Khalil )." They said, "We do not want to ask about this," He said' "Then you want to ask about the descent of the Arabs. Those who were the best in the pre-lslamic period of ignorance will be the best in Islam provided they comprehend the religious knowledge."
Sahih Bukhari,Book 55, Hadith 572
No comments:
Post a Comment