Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, April 30, 2018

Mafhum-e-hadith: Bina soche samjhe kuch bhi bolne se bachna chahiye kyunki....




Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith: Bina soche samjhe kuch bhi bolne se bachna chahiye kyunki....
-----
Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu nafrat karta hai tad-tad bolne wale aise mardo se jo apni zuban ko harkat dete rahte hain  jaise gaay (ghas khane mein) apni zuban ko harkat karti rahti hai (yani bina soche samjhe jo jee mein aata hai bak jate hain)
Sunan Abu dawud, Jild 3,1568-Sahih
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اللہ  سبحانه نفرت کرتا  ہے تڑتڑ بولنے والے ایسے  مردوں سے جو اپنی زبان کو حرکت دیتے رہتے ہیں جیسے گائے  ( گھاس کھانے میں ) اپنی زبان کو حرکت کرتی رہتی ہے
(یعنی بے سوچے سمجھے جو جی میں آتا ہے بک جاتے ہے ۔)
سنن ابی داؤد جلد ٣ حدیث ١٥٦٨-صحیح  
-------
रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया अल्लाह सुब्हानहु नफरत करता है तड़-तड़ बोलने वाले ऐसे मर्दों से जो अपनी ज़ुबान को हरकत देते रहते हैं  जैसे गाय (घास खाने में) अपनी जुबान को हरकत देती है यानि बिना सोचे समझे 
जो जी में आता है बक जाते हैं
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1568 - सही 
-------
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said Allah Subhanahu hates the eloquent one among men who moves his tongue round (among his teeth), as cattle do.
(it means the one who speak anything without thinking)
Sunan Abu Dawud, Book 42, 4987-Sahih

Sunday, April 29, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 419❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 419❗


Dono sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiyega AB / CD

Sawal : Saleh Alaihi Salam ki qaum ko Allah ke azab ke aane ki khabar kitne din pahle de di gayee thi ?


A. 1 din pahle

B. 7 din pahle

C. 3 din pahle

D. 40 din pahle

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Us azab ke aane se pahle ki kya nishani unhe batayee gayee thi ?


A. Unke chehro ka rang badalne laga

B. Aasman puri tarah siyah ho gaya

C. Un par tiddi aur juwo ka azab aaya

D. Unke peene ka pani khoon ban gaya

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
------------------------------------------
Kindly reply two questions like this CE / BD

Quiz 1 : How many days before the people of saleh alaihi salam were informed regarding the punishment of Allah ?


A. Before 1 days

B. Before 7 days

C. before 3 days

D. Before 40 days

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2 : What kind of sign was shown to them before punishment ?


A. The color of thier faces getting change

B. The sky turned in to black color

C. The locust and lies were sent

D. The drinking water turn into blood

E. None of the above

F. I want to know


Sahih Jawab CA
------------
✦ Al Quran: (Saleh Alaihi Salam ne kaha) Eh meri qaum ye Allah ki oontni tumhare liye nishani hai , isliye isko chorh do taaki ye Allah ki zameen mein khati rahe aur isko burayee se chuna nahi warna tumhe bahut jald azab aa pakdega, phir unhone uske (oontni ke) paanw kaat diye tab unhone (saleh Alaihi salam ne) kaha 3 din tak apne gharo mein fayda utha lo ye waada hai jo jhootha na hoga
Surah Hud(11), 64-65

✦ Saleh Alaihi salam ne unki Qaum ko azab se pahle aane wali nishaniya bata di ke pahle din unke chehre peele dusre din laal aur teesre din kaale padh jayenge ,Qaum e samud jab pahli subah uthi to unke chehre peele they, jaise ki unke chehre par haldi laga do gayee ho aur sham hote hi sab cheekhne lage ki hii ek din guzar gaya aur azab qareeb pahuch gaya.



✦ jab dusre din sokar uthe to unke chehre surkh (lal) ho gaye they jaise kisi ne unke chehre par khoon laga diya ho ,aur sham hote hi sab cheekhne lage ki hii ek do din guzar gaye aur azab qareeb pahuch gaya.

✦ teesre din jab uthe to un sabke chehre kaale ho gaye jaisa unke chahre par tarkol laga diya ho aur wo cheekhne lage ki azab sir par aa gaya aur ab unsabko yakeen ho gaya ki ab to azab jarur aakar rahega to unhone apne jismo par kafan lapet liya aur khushbu laga li aur zameen par so kar apne aage peeche upar neeche dekhne lage ki azab kaha se aayega aazman se nazil hoga ya zameen se. phir jab chotey din ki subah huyee to aasman se zordar aawaz aayee jis se unke deel seeno mein phat gaye
Tarikh At Tabri, Jild 1 , Page 162

✦ Al Quran : Aur Samud Sakht haibat naak cheekh se halaq kar diye gaye - Surah Haqqa(69), Aayat 5
-------------
Answer CA
---------------
✦ Al Quran : (Saleh Alaihi Salam said) And O my people! This she-camel of Allah is a sign to you, so leave her to feed (graze) in
Allah's land, and touch her not with evil, lest a near torment should seize you.But they killed her. So he said: yourselves in your
homes for 3 days. This is a promise that will not be belied.
Surah Hud(11), 64-65

✦ Tafsir: Salih Alaihi salam said The sign of the punishment is that on the first day your faces will become yellow in the morning, on the second day they will become red, and on the third day black." When they awoke in the morning, their faces were yellow as if daubed with saffron-young and old, male and female. When evening came they all shouted togehter, "Woe! One day of the term has passed and the punishment has come upon us.

✦ When the second day dawned, their faces were red as if dyed with blood. They shouted and clamored and wept, and knew that this was their punishment. When the evening came they all cried out together, "Two days of the term have passed and the punishment had befallen us."

✦ When they rose on the third morning, their faces were black as if painted with pitch. They all shouted, "Woe! The punishment has befallen us! They wrapped themselves in shrouds and embalmed themselves for the grave. Their embalming consisted of aloes and acid, while their shrouds were leather mats."' Then they threw themselves to the ground and began looking back and forth between heaven and earth, not knowing from whence their punishment would come to them-whether from above them in the heavens or from beneath their feet , from the ground, humbled and separated.

✦ When they awoke on the fourth day, they heard a clamor from heaven which was as loud as every thunderbolt and the noise of everything on earth that makes a sound all together. Their hearts stopped in their breasts and they fell down prostrate
in their homes.
Tarikh At Tabri, Vol 2, page 44-45

✦ Al Quran : As for Thamud, they were destroyed by the awful cry! - Surah Haqqa(69), Aayat 5

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 418❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 418❗ 



Dono sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiyega AB / CD

Sawal 1 : Wo kausa kuwa (well) hai jisko kuhdwa kar Musalmano ke liye waqf karne wale ke liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne jannat ki khushkhabri di thi ?


A. Nadwa ka kuwa

B. Banu Quraiza ka kuwa

C. Ruma ka kuwa

D. Zarrar ka kuwa

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 :Wo kuwa kisne khudwaya tha ?

A. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu

B. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu

C. Uthman Radi Allahu Anhu

D. Abu bakr Radi Allahu Anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------------------------

Kindly reply two questions like this CE / BD


Quiz 1 : What is the name of that well for which Prophet Sal-Allahu alaihi wasalam said Whoever will (buy and) dig the well will be granted Paradise ?


A. The well of Nadwa

B. The well of Banu quraiza

C. The well of Ruma

D. The well of Zarrar

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2 : Who dug that well ?


A. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu

B. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu

C. Uthman Radi Allahu Anhu

D. Abu bakr Radi Allahu Anhu

E. None of the above

F. I want to know


Sahi jawab CC
-----------
Abu Abdur-Rahman radi allahu anhu se rivayat hai ki jab hazrat Uthman radi Allahu anhu muhasre mein liye gaye to (apne ghar ke)upar chad kar aapne baagiyo se farmaya tumko Allah ki kasam dekar puchta hu aur sirf Nabee Sal-Allahu alaihi wasallam ke ashab se puchta hu ki kya aap logo ko malum nahi ki jab Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs bair-e-ruma (yani ruma ke kuwey) ko khodega aur usko musalmano ke liye waqf kar dega to usko jannat ki basharat hai to maine hi us kuwey ko khoda tha
Sahih al-Bukhari 2778 (Part)
-------------
Abu 'Abdur-Rahman Radi allahu anhu narrated When 'Uthman (ra) was circled (by the rebels), he looked upon them from above and said, "I asked you by Allah, I ask nobody but the Companions of the Prophet (ﷺ), dont you know that Allah's Messenger (ﷺ) said, 'Whoever will (buy and) dig the well of Ruma will be granted Paradise, and I (bought and) dug it
Sahih Bukhari, Book 51, Hadith 38 (Part)

❗Only-Quran-Hadith Quiz 417❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 417❗


Allah subanahu ne farmaya "Wa Qalu Hasbunallah Wa Naimal Wakeel"
"Aur wo kahne lage Humko Allah kafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai"


Sawal 1 : Quran ke hisab se ye Alfaz kisne kahe they ?


A. Nooh Alaihi Salam

B. Ibrahim Alaihi salam

C. Adam Alaihi Salam

D. Musa Alaihi Salam

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar


Sawal 2 : Us aayat ke hisab se unhone ye Alfaz kis waqt kahe they


A. Jab Nooh Alaihi salam kishti mein sawar ho gaye

B. Jab Ibrahim salam ko aag mein dala gaya tha

C. jab Adam Alaihi Salm ko zameen par bhej diya gaya

D. jab Musa Alaihi salam firuan ke darbar mein gaye

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar
-----------------------------
Quiz 1 : According Quran who said this
"Hasbunallah Wa Naimal Wakeel"
"Allah (Alone) is Sufficient for us, and He is the Best Disposer of affairs"


A. Nooh Alaihi Salam

B. Ibrahim Alaihi salam

C. Adam Alaihi Salam

D. Musa Alaihi Salam

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2 : At which time it was being said?


A. When the Nooh laihi salam set on his ship

B. When Ibrahim Alaihi salam was being thrown in fire

C. When The Adam Alaihi salm sent to the earth

D. When Musa Alaihi salam went to firaun

E. None of the above

F. I want to know



Sahi Jawab EE
-----------------------
Quran ke hisab se ye alfaz Sahaba radi allahu ahuma ne kahe they
--------------
الَّذِينَ اسْتَجَابُوا لِلَّهِ وَالرَّسُولِ مِن بَعْدِ مَا أَصَابَهُمُ الْقَرْحُ ۚ لِلَّذِينَ أَحْسَنُوا مِنْهُمْ وَاتَّقَوْا أَجْرٌ عَظِيمٌ

الَّذِينَ قَالَ لَهُمُ النَّاسُ إِنَّ النَّاسَ قَدْ جَمَعُوا لَكُمْ فَاخْشَوْهُمْ فَزَادَهُمْ إِيمَانًا وَقَالُوا حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ

Al Quran : Jin Logon ne Allah aur uske Rasool ka hukm mana , iske bawajud ke unhe (ghazwa e Uhad mein) zakhm lage huye they , jo unmein se neik aur parhaizgar huye unke liye bada ajar hai , Jinhe (munafiq)logo ne kaha ki (logo) ne tumahare muqable ke liye saman jama kiya hai , isliye tum unse daro to unka imaan aur zyada ho gaya aur wo kahne lage ki Humko Allah kafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai
Surah Aal-e-imran , Aayat 172-173
--------------
Answer EE:

According Quran the companions (sahaba) of Prophet Sal-Allahu alaihi wasalam said
-------------------
Al Quran : Those who answered (the Call of) Allah and the Messenger after being wounded (in battle of uhad); for those of them who did good deeds and feared Allah, there is a great reward.Those (believers) unto whom the people (hypocrites) said, "Verily, the people (pagans) have gathered against you (a great army), therefore, fear them." But it (only) increased them in Faith, and they said: "Allah (Alone) is Sufficient for us, and He is the Best Disposer of affairs (for us). "
Surah Aal-e-imran , Aayat 172-173

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 416❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 416 ❗


Dono sawalo ke sawab saath mein is tarah dijiyega AB / CD


Sawal : Wo kaunse Ghazwa ka lashkar tha jiske liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo bhi is lashkar ke liye saman ka intezam usko jannat ki khushkhabri hai ?


A. Ghzwa e Hunain

B. Ghzwa e Banu Quraiza

C. Ghzwa e Khandaq

D. Ghazwa e Badr

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Us Ghazwa ke lashkar ke liye saman ka intezam kisne kiya tha ?


A. Saad bin maaz Radi Allahu Anhu

B. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu

C. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

D. Uthman Radi Allahu Anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
---------------------------------------
Kindly reply two questions like this CE / BD


Quiz 1 : What is the name of that Ghazwa (battle) for which the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam said whoever will be equip that army , he will be granted paradise ?


A. Ghzwa e Hunain

B. Ghzwa e Banu Quraiza

C. Ghzwa e Khandaq

D. Ghazwa e Badr

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2: Who equipped that army ?

A. Saad bin maaz Radi Allahu Anhu

B. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu

C. Abu Bakr Radi Allahu Anhu

D. Uthman Radi Allahu Anhu

E. None of the above

F. I want to know



❗Sahi jawab ED❗
-----------
Abu Abdur-Rahman radi allahu anhu se rivayat hai ki jab hazrat Uthman radi Allahu anhu muhasre mein liye gaye to (apne ghar ke)upar chad kar aapne baagiyo se farmaya tumko Allah ki kasam dekar puchta hu aur sirf Nabee Sal-Allahu alaihi wasallam ke ashab se puchta hu ki kya aap logo ko malum nahi ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha jaish Usrat (Ghazwa e tabuk par jane wale lashkar) ke liye jo shakhs saman ka intezam karega to usko jannat ki basharat hai to maine hi wo intezam kiya tha
Sahih Bukhari 2778 (Part)
-------------
Abu 'Abdur-Rahman Radi allahu anhu narrated When 'Uthman (ra) was circled (by the rebels), he looked upon them from above and said, "I asked you by Allah, I ask nobody but the Companions of the Prophet (ﷺ), dont you know that Allah's Messenger (ﷺ) said, Whoever equip the army of 'Usra (Tabuk's Ghazwa) will be granted Paradise,' and I equipped it.
Sahih Bukhari, Book 51, 38 (Part)

❗Only-Quran-Hadith Quiz 415❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 415❗

Sawal : Qayamat ke din jis momeen ko sabse kam noor diya jayega us noor ki miqdar (quantity) kitni hogi ?


A. Anguthey ya ungli ke barabar

B. Uske chehre ke barabar

C. uski peshani ke barabar

D. Uske Qad (size) ke barabar

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar


Quiz : What will be quantity aur size of Noor (light) for that believer who will get the least Noor on the day of Qayamah ?


A. Equal to thumb or finger

B. Equal to his face

C. Equal to his forhead

D. Equal to his height

E. None of the above

F. I want to know


Sahi jawab A
-----------
Hazrat Abdulah bin masood radi allahu anhu farmate hain ki Musalmano ko neik aamal ke mutabiq noor milega jo Qayamat ke din unke saath saath rahega unmein se kuch ka noor pahado ke barabar hoga aur kuch ka khajuro ke darkhat ke barabar hoga aur kuch ka khade huye insaan ke qad ke barabar , sabse kam noor jis gunahgar momeen ka hoga uske pair ke anguthe ya ungli ke barabar noor hoga jo kabhi chamkega aur kabhi bujh jayega
Tafseer Ibn kathir , Surah Hadid, Aayat 13, Page 452
---------
Abdullah bin Masud Radi allahu anhu said that believer will get light running forward before them according to the level of their good deeds he said, "They will pass over the Sirat according to their deeds. Some of them will have a light as large as a mountain, some as a date tree, some as big as a man in the standing position. The least among them has a light as big as his thumb or index finger, it is lit at times and extinguished at other times.
Tafseer Ibn kathir , Surah Hadid, Verse 13

❗Only Quran Hadith Quiz 414❗


❗Only Quran Hadith Quiz 414❗


Sawal : Quran ke hisab se Gassaq kya hai ?

A. Qayamat

B. jannatiyo ko pilaya jane wala pani

C. Dozakhiyo ko khilaya jane wala khana

D. Dozakh ki khayee

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------------

Quiz : According Quran what is Gassaq?


A. Qayamah

B. The drink for the people of Paradise

C. The food for the people of Hell

D. The Pit of Hell

E. None of the above

F. I want to know



Sahi jawab E
----------
Bismillahirrahmanirrahim

21 إِنَّ جَهَنَّمَ كَانَتْ مِرْصَادًا

22 لِّلطَّاغِينَ مَآبًا

23 لَّابِثِينَ فِيهَا أَحْقَابًا

24 لَّا يَذُوقُونَ فِيهَا بَرْدًا وَلَا شَرَابًا

25 إِلَّا حَمِيمًا وَغَسَّاقًا
--------------
Beshak Dozakh ghaat mein hai,
Sarkasho (hadd se badne walo ka) ka wahi thikana hai,
Us mein wo muddato padhe rahenge,
Waha na thandak ka maza chakhnege aur na (kuch)peena naseeb hoga siwaye Hameem (Garam pani) Aur Gassaq (bahti peep)ke.
Surah An Naba (78), 21-25
------------
Truly, Hell is a place of ambush A dwelling place for the Taghun (those who transgress the boundary limits set by Allah),
They will abide therein for ages. Nothing cool shall they taste therein, nor any drink. Except boiling water, and dirty wound discharges
Surah An Naba(78), 21-25

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 413❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 413❗

Teeno sawalo ke saath mein is tarah dijiyega ACD / BCE

Sawal 1 : Wo kaunse sahabi hain jinse Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne khud farmaya ki Aap mujhe Quran padhkar sunao ?

Sawal 2 : Wo kaunse sahabi hain jinka Name lekar Allah subanahu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se farmaya ki Aap unko Quran sunaeeye ?

A. Abdullah Bin Abbas Radi Allahu anhu

B. Saad bin Maaz Radi Allahu anhu

C. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

D. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

E. Abdullah Bin Masood Radi Allahu anhu

F. Abu Bakr Radi Allahu anhu

G. Inmein se koi nahi


Sawal 3 : Wo kaunsi surah thi jisko un sahabi ko sunane ke hukm Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko Allah subhanahu ne diya tha ?


H. Surah Al-Bayyina

I. Surah Fateh

J. Surah Baqarah

K. Surah Alaq

L. Inmein se koi nahi

M. Sahi jawab ka intezar hai

------------------------------
Kindly reply All three questions like this ACD / CDE

Quiz 1 : What is the name of that Sahabi to whom Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said Recite Quran to me ?



Quiz 2 : What is the name of that Sahabi for whom Allah ordered to Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam that recite (Quran) to him ?


A. Abdullah Bin Abbas Radi Allahu anhu

B. Saad bin Maaz Radi Allahu anhu

C. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

D. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

E. Abdullah Bin Masood Radi Allahu anhu

F. Abu Bakr Radi Allahu anhu

G. None of the above


Quiz 3 : Whats is the name of that surah which was ordered to Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam to recite to that sahabi ?


H. Surah Al-Bayyina

I. Surah Fateh

J. Surah Baqarah

K. Surah Alaq

L. None of the above

M. I want to know


Sahi Jawab ECH
--------
Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne mujhse farmaya mujhe Quran padh kar sunao maine arz kiya kya main Aapko Quran padh kar sunahh jabki Aap Sal-Allahu Alaihi wsallam par to Quran nazil hota hai to Aap Sal-Allahu Alaihi wsallam ne farmaya ki mujhe kisi aur se sunna bhi pasand hai
Sahih Bukhari, Jild 6, 5056

Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Ubai Ibn Kaab Radi Allahu Anhu se farmaya ki ALlah subhanahu ne mujhe hukm diya hai ki main tumhe Surah Lam Yakunillazina kafru (Surah Bayyina) Padhkar sunuu to is par Ubai ibn kaab ne arz kiya ki kya Allah Subhanahu ne mera naam bhi liya tha to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Haan ye sunkar Ubai ibn kaab radi allahu anhu rone lage
Sahih Bukhari, 4959
--------------
Narrated Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) said to me, Recite Qur'an to me. I said to him. Shall I recite (it) to you while it has been revealed to you ? He said, I like to hear it from another person.
Sahih Bkhari, Book 61, Hadith 576

Narrated Anas bin Malik Radi Allahu Anhu
The Prophet (ﷺ) said to Ubai (bin Ka`b). "Allah has ordered me to recite (Quran) to you:--Lam yakunillazina kafru (Those who disbelieve among the people of the Scripture and among the idolators are not going to stop - Surah 98) Ubai said, "Did Allah mention me by name?" The Prophet (ﷺ) said, "Yes." On that, Ubai wept.
Sahih Bukahri,Book 60, Hadith 483


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 412❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 412❗


Dono sawalo ke jawab is tarah dena AB / CD


Sawal 1 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki walida ki wafat ke waqt Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki umar kitni thi?


A. 2

B. 3

C. 6

D. 8

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Wo kaunsi jagah thi jaha Aap Sal-alllahu alaihi wasallam ki walidah Aminah ki wafat huyee ?


A. Makka

B. Habsha

C. Yathrab

D. Abwa

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
---------------------------------
Kindly reply both Questions liks this CD / AB


Quiz 1: What was the age of the Prophet sal-alllahu alaihi wasallam while his mother Aminah died ?


A. 2

B. 3

C. 6

D. 8

E. None of the above

F. I want to know

Quiz 2 : What is the name of that place where the Prophet sal-alllahu alaihi wasallam mohter got dead ?


A. Makka

B. Habsha

C. Yathrab

D. Abwa

E. None of the above

F. I want to know


Sahi jawab CD
----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam jab 6 saal ke they tab Aapki walida Aaminah aapko lekar banu adi ibn al najjar qabile mein tashreef layee thi taaki Aap sal-alllahu alaihi wasalam ke mamu se aapki mulaqat ho jaye aur wapsi mein makka aur madina ka darmiyan muqam e Abwa mein unka inteqal ho gaya
Seerat ibn hisham, Jild 1, Page 170
------------
When Muhammad sal-alllahu alaihi wasalam was six years old, his mother aminah died at Abwa ( aplace between makka and madina) when he took him to visit his maternal uncle banu adi ibn al najjar, she died on her return to makkah
Seerat ibn hisham, Page 24

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 411❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 411❗


❗ jawab ek se zyada hain


Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne isnmein se kinke liye ye farmaya ki unse Quran sikho ?



A. Abdullah Bin Abbas Radi Allahu anhu

B. Saad bin Maaz Radi Allahu anhu

C. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

D. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

E. Abdullah Bin Masood Radi Allahu anhu

F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------------------

❗ Answers are more than one


Quiz : For whom The prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said that learn Quran from them ?



A. Abdullah Bin Abbas Radi Allahu anhu

B. Saad bin Maaz Radi Allahu anhu

C. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

D. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

E. Abdullah Bin Masood Radi Allahu anhu

F. I want to know



✔Sahi jawab CDE ❗
---------
Masruq radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Quran chaar aadmiyo se sikho
Abdullah Bin Masood Radi Allahu anhu,

Abu huzaifa ke gulam Salim Radi allahu anhu se,
Maaz bin jabal Radi Allahu anhu se aur
Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu se
Sahih Bukhari, 3808
-------------------
Narrated Masruq radi allahu anhu Abdullah (bin Mas`ud) was mentioned before Abdullah bin Amr. The latter said, "That is a man I continue to love because I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying, ' Learn the recitation of the Qur'an from (any of these) four persons:
Abdullah bin Masud,
Salim the freed slave of Abu Hudhaifa,
Ubai bin Ka`b, and
Mu`adh bin Jabal.
Sahih Bukhari,Book 57, Hadith 103


❗Only-Quran-Hadith Quiz 410❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 410❗


Sawal : Inmein se shirk e Asgar(chote darje ka shirk)kaunsa hai?

A. Riyakari karna

B. Takabbur karna

C. Allah ke siwa kisi aur ki ibadat karna

D. Shohar ki Nashukri krna

E. Inn mai se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar

-------------
Quiz : What is the lesser shirk among below ?

A. Showing off

B. To be Arrogant

C. Worship other besides Allah

D. To be undutiful of husband

E. None of the above

F. I want to know



✔ Sahi jawab A
------
وَعَنْ مَحْمُودِ بْنِ لَبِيدٍ ‏- رضى الله عنه ‏- قَالَ: قَالَ رَسُولُ اَللَّهِ ‏- صلى الله عليه وسلم ‏-{ إِنَّ أَخْوَفَ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ اَلشِّرْكُ اَلْأَصْغَرُ: اَلرِّيَاءُ } أَخْرَجَهُ أَحْمَدُ بِسَنَدٍ حَسَنٍ.‏‏
----------
Mahmud bin labid radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya bohut ziada khoufnaak cheez hai jis se tumhe darata hum shirk e asghar ( chotay darjay ka shirk) (jo) Riyakaari (hai)
Masnad Ahmed, 1946-Hasan
-------
https://www.sunnah.com/urn/2117940
--------
Mahmud bin Labid radi allahu anhu narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“The thing I fear most for you is the lesser shirk (polytheism), showing-off (of good deeds).
Masnad Ahmed, 1946-Hasan

❗Only-Quran-Hadith Quiz 409❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 409❗


Sawal : Inmein se wo kaun hai jiski mayyat ko farishto ne gusal diya ?


A. Hazrat Saad bin maaz radi allahu anhu

B. Hazrat Jafar Radi allahu anhu

C. Hazrat Hamza Radi Allahu Anhu

D. Adam Alaihi Salam

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

--------------------------
Quiz : Who is among below whose body was washed by angles after his death ?


A. Hazrat Saad bin maaz radi allahu anhu

B. Hazrat Jafar Radi allahu anhu

C. Hazrat Hamza Radi Allahu Anhu

D. Adam Alaihi Salam

E. None of the above

F. I want to know



Sahi Jawab D
-----------
Hazrat Abi bin kaab radi allahu anhu se rivayat hai ki Jab Adam Alaihi salam ki wafat ka waqt kareeb aaya to Allah subhanahu ne unke liye jannat se kafan aur hanut bheja aur jab farishte wo lekar aaye to hazrat hawa ne farishto ko dekha to wo adam alaihi salam ki taraf chali taaki farishto se pahle un tak pahuch jaye magar Adam alaiahi salam ne hawa se kaha ki mujhe aur mere RAB ke farishto ko akela chorh do, tumhari hi wajah se mujhe wo museebat pahuchi thi (jannat se nikal jane ki), Jab Adam alaihi salam ki rooh Qabz kar li to farishto ne unhe beri ke patto aur pani ke saat gusal diya aur ohir unke liye Qabr banayee gayee aur unhe dafan kiya gaya aur kaha ki inke baad unki aulad mein bhi yahi tareeqa rahega.
Tarikh At Tabri Jild 1, 111
Masnad Ahmed 5 /135 –Hasan
Al Hakim -Hasan
------------
Narrated by Abi Ibn Kaab Radi allahu anhu When Adam Alaihi salam was about to die, God sent him his embalming materials and shroud from Paradise. When Eve saw the angels, she went in to Adam in order to prevent them from entering (dunahum). Adam said: Leave me and the messengers of my Lord alone! It was you who caused the
experience I suffered, and it was in connection with you that the misfortune befell me. When Adam was dead, the angels washed
him separately (several times) with sidr and water and dressed him in separate layers of shrouds. Then they prepared a grave
and buried him. They then said: This (shall be) the custom of the children of Adam after him.
Tarikh At Tabri , Volume 1, 333
Masnad Ahmed 5 /135-Hasan
Al Hakim -Hasan

❗Only-Quran-Hadith Quiz 408❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 408❗


Sawal : Ek shakhs Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke pass aakr kahne laga ki Islam ke ahkam bahut zyada ho gaye hain , Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu to us waqt Aap sallallahu alaihi wasallam ne kya farmaya ?


A. Kabhi Jhooth mat bolo

B. Apne Maa Baap ki khidmat apne upar lazim kar lo

C. Apne Haath aur zuban se kisi musalman ko takleef na pahuchao

D. Apni Zuban ko Allah ke zikr se har waqt tar rakho

E. Inn mai se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar

---------------------
Quiz : A man said to Prophet sallallahu alaihi wasallam the legislated acts of Islam have become too much for me, so inform me of a thing that I should stick tothat time What Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said ?


A. Never tell a lie

B. Dont associates anything with Allah

C. Dont hurt any believer with your hand and toungue

D. Let not your tongue cease to be moist with the remembrance of Allah

E. Be dutiful to your parents

F. I want to know



❗Sahi Jawab D❗
----------
Hadith: Abdullah bin Busr Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Ek shakhs ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se arz kiya Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Islam ke ahkam bahut zyada ho gaye hain , Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1299-Hasan
-----------
Hadith: Abdullah bin Busr Radhi allahu anhu narrated that: A man said: “O Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam indeed, the legislated acts of Islam have become too much for me, so inform me of a thing that I should stick to.” He sallallahu alaihi wasallam said: “Let not your tongue cease to be moist with the remembrance of Allah.
Jamia Tirmidhi Book 45, # 3375-Hasan

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 407 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 407 ❗


❗Teeeno sawalo ke sawab saath mein is tarah dijiyega ABC / CDE

Sawal 1 : inme se Isa Alaihi Salam kinke jaise dikhte hain ❓

Sawal 2 : Ibrahim Alaihi Salam kinke jaise dikhte hain ❓

Sawal 3 : Jibril Alaihi Salam kiske jaise dikhte hain ❓


A. Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam

B. Abdullah bin Rawaaha Radi Allahu anhu

C. Dihya bin Khalifa Radi Allahu anhu

D. Ubai ibn Kaab Radi Allahu anhu

E. Al Miqdad bin Al Aswad Radi Allahu anhu

F. Musaib bin Umair Radi Allahu Anhu

G. Talha bin Ubaidullah Radi Allahu anhu

H. Urwah bin Mas'ud Radi Allahu anhu

I. Inmein se koi nahi

J. Sahi jawab ka intezar hai
----------------------------

❗Kindly reply All three questions like this CDE / ABD


Quiz 1 : Isa alaihi salam resembles to whom ❓

Quiz 2 : Ibrahim alaihi salam resembles to whom ❓

Quiz 3 : Jibril alaihi salam resembles to whom ❓

A. Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam

B. Abdullah bin Rawaaha Radi Allahu anhu

C. Dihya bin Khalifa Radi Allahu anhu

D. Ubai ibn Kaab Radi Allahu anhu

E. Al Miqdad bin Al Aswad Radi Allahu anhu

F. Musaib bin Umair Radi Allahu Anhu

G. Talha bin Ubaidullah Radi Allahu anhu

H. Urwah bin Mas'ud Radi Allahu anhu

i. None of the above

J. I want to know



Sahi jawab HAC
-----------
Hazrat Jabir (Radi'Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ke Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne Farmaya:
Mere samne Ambiya-E-Kareem laye gaye , to Musa alaihi salam aise they jaise shanwa (qabile ke) log hote hain
Aur maine Isa Bin Mariam (Alaihi Salaam) Ko Dekha Jo Ke Urwah Ibn Masud (Radi Allahu Anhu) ki tarah they,
Aur Mein Ne Ibrahim (Alaihi Salaam) Ko Dekha Aur Un Se Sab Se zyada Main Milta Hoon (Yani Huzoor Sall'Allahu Alaihi Wasallam Khud)Aur Mein Ne Jibril (Alaihi Salaam) Ko Dekha. Woh Dihyah Ibn Khalifah (Radi Allahu Anhu) ki tarah dikhte they
Sahih Muslim, Jild 1, 423
------------
It is narrated on the authority of Jabir that the Messenger of Allah (ﷺ) said:There appeared before me the apostles, and Moses was among men as if he was one of the people of Shanu'a, and I saw Jesus son of Mary (peace be upon him)
and I saw nearest in resemblance with him was 'Urwa b. Mas'ud, and I saw Ibrahim (blessings of Allah be upon him) and I see your companions much in resemblance with him, i. e. his personality, and I saw Gabriel (peace be upon him) and I saw Dihya nearest in resemblance to him; but in the narration of Ibn Rumh it is Dihya b. Khalifa.
Sahih Muslim, Book 1, Hadith 321

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 406❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 406❗


Sawal : Agar kisi Musalman ki apne paida honi ki jagah ke alawa kisi aur jagah ya shahar mein maut ho jaye to usko kya ajar milega ?


A. janant mein usko utni jagah milegi jitni in dono jagah ke darmiyan thi

B. Qabr mein usko azab nahi diya jayega

C. Qayamat ke din usko Deen ki dawat dene walo ke saath khada kiya jayega

D. Wo apne gharwalo mein se 7 logo ki sifarish kar sakega

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai

-------------
Quiz : If a muslim dies somewhere other than his birthplace then what benifit he will get ?


A. A space will be measured for him in Paradise

from the place where he was born to the place where he died.

B.He will be saved from the punishment of grave

C. On Qayamah, He will be raised with the people who give dawah for islam

D. he will be able to to intercede 7 members of his family

E. None of the above

F. I want to know



❗Sahi jawab A
---------
Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek sahib ki madina mein maut huyee aur uki paidayeesh bhi madina mein huyee thi , phir Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne unka janaza padhne ke baad farmaya , kaash wo apne paida hone ki jagah par na mar kar kisi aur mulk ya shahar mein marta , ek shaksh ne arz kiya Kyu ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ? Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab koi shaksh apne paidayeesh ke muqam par na mar kar kisi aur jagah mar jaye to usko apne paidayeesh ke muqam se lekar maut ke muqam tak ke faasle ki jagah Jannat mein di jayegi
Sunan Ibn majah,Jild 1,1614-hasan
Sahih Ibn Hibban, 3010
------------
It was narrated that Abdullah bin Amr said A man died in Al- Madinah, and he was one of those who were born in Al-Madinah. The Prophet (ﷺ) offered the funeral prayer for him and said: Would that he had died somewhere other than his birthplace.” A man among the people said: “Why, O Messenger of Allah?” He said: “If a man dies somewhere other than his birthplace, a space will be measured for him in Paradise (as big as the distance) from the place where he was born to the place where he died.
Sunan Ibn majah,Book 6,1614-Hasan
Sahih Ibn Hibban, 3010

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 405❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 405❗


Dono sawalo ke jawab is tarah de AB /CD


Sawal : Allah Subhanhu ne Quran mein farmaya Shaitan unke liye gotey (غوطے) maarte they , is aayat ke hisab se shaitan kiske liye gotey maarte they ?



A. Farishto ke liye

B. Jadugaro ke liye

C. Nujumiyo ke liye

D. Sahaba ke liye

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Shaitan Kyu gotey maarte they ?


A. Aasman se khabre lane ke liye

B. Samundar se moti,jawahrat nikalne ke liye

C. Kishti ko ek jagah se dusri jagah le jane ke liye

D. Unke dushmano se ladne ke liye

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
---------------------

Reply both quiz together like this AB /CD


Quiz 1 : Allah subhanahu says in Quran The Shayatin (devils from the jinn) were some who dived for him / them

According this verse Shayatin used to dive for whom ?



A. For the Angels

B. For the Magician

C. For the Astronomers

D. For the Sahaba (Companion)

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 2 : Why Shayatin used to dive ?


A. To get the news from sky

B. To retrieve pearls, jewels from the sea

C. To take the ship from one place to another place

D. To fight with his enemy

E. None of the above

F. I want to know




Sahi Jawab EB
-------
Al Quran : Aur humne tez hawa Sulaimn Alaihi Salam ke zer e farman kar di thi jo unke hukm se us mulk ein chalti thi jisme humne barkat di thi(yani mulk e sham) aur hum har cheez par qadir hai, aur shaitano (Shaitan jinno) mein se baaz unke liye gotey (dive) maarte they aur iske siwa aur bhi kaam karte they aur hum unke nigehbaan they
Surah Anbiya, Verse 81-82

Aur Shaitan unke liye gotey (dive) maarte they yani wo sulaiman alaihi salam ke liye samundar se moti aur jawaharat nikal kar laya karte they
Tafseer ibn kathir, Surah Anbiya, Verse 81-82
----------
Al Quran : And to Sulaiman (Solomon) (We subjected) the wind strongly raging, running by his command towards the land which We had blessed. And of everything We are the All-Knower.
And of the Shayatin (devils from the jinn) were some who dived for him, and did other work besides that; and it was We Who guarded them.
Surah Anbiya, Verse 81-82

(And of the Shayatin were some who dived for him,) means, they dived into the sea to retrieve pearls, jewels, etc., for him.
Tafseer ibn kathir, Surah Anbiya, Verse 81-82

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 404❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 404❗


❗ jawab ek se zyada hain


Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne isnmein se kinke liye ye farmaya ki unse Quran sikho ?



A. Saad bin Maaz Radi Allahu anhu

B. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

C. Abdullah Bin Zubair Radi Allahu anhu

D. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
-----------------------------

❗ Answers are more than one

Quiz : For whom The prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said that learn Quran from them ?


A. Saad bin Maaz Radi Allahu anhu

B. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

C. Abdullah Bin Masood Radi Allahu anhu

D. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

E. None of the above

F. I want to know



Sahi Jawab BCD
-----------
Masruq radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Quran chaar aadmiyo se sikho Abdullah Bin Masood Radi Allahu anhu, Abu huzaifa ke gulam Salim Radi allahu anhu se, Maaz bin jabal Radi Allahu anhu se aur Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu se
Sahih Bukhari, 3808
---------
Narrated Masruq radi allahu anhu Abdullah (bin Mas`ud) was mentioned before Abdullah bin Amr. The latter said, "That is a man I continue to love because I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying, ' Learn the recitation of the Qur'an from (any of these) four persons: Abdullah bin Masud, Salim the freed slave of Abu Hudhaifa, Ubai bin Ka`b, and Mu`adh bin Jabal." I do not remember whether he mentioned Ubai first or Mu`adh.
Sahih Bukhari,Book 57, Hadith 103

Saturday, April 28, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 403❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 403❗


Sawal : Wo kaunse sahabi hain jo Quran ko usee tarah tilawat farmate they jis tarah Quran nazil hua tha ?


A. Abu bakr Radi Allahu anhu

B. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

C. Abdullah Bin Zubair Radi Allahu anhu

D. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai



Quiz : What is the name of that sahabi (companion) who used to recite the Quran as it was revealed ?


A. Abu bakr Radi Allahu anhu

B. Ubay Bin Kaab Radi Allahu anhu

C. Abdullah Ibn Abbas Radi Allahu anhu

D. Maaz bin jabal Radi Allahu anhu

E. None of the above

F. I want to know



Sahi jawab E
---------
Abdullah bin Masud Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Hazrat Abu bakr aur umar radi allahu anhuma ne unko khushkhabri di ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh ye pasand karta ho ki Quran ko bilkul usee tarah tilawat kare jis tarah se nazil hua tha to usko chahiye ki isko Ibn Umm Abd (yani Abdullah bin masood Radi allahu anhu) ki tarah tilawat kare
Sunan Ibn majah,Book 1, Hadith 138-Sahih
---------------
It was narrated from Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu that Abu Bakr and Umar Radi Allahu Anhuma gave him the glad tidings that the Messenger of Allah had said: Whoever would like to recite the Qur'an as fresh as when it was revealed, let him recite it like Ibn Umm 'Abd.(means Abdullah bin masud)
Sunan Ibn majah,Book 1, Hadith 138-Sahih

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 402 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 402 ❗


❗ Teeno sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiye CAB / DEF

Allah subhanhu ne Quran mein farmaya

"Aur jab humne un (ke saron) par phaad lakar khada kar diya jaise ki koi saayban ho aur unhone khyaal kiya ki wo un par gir padhega ?

Sawal 1: . Wo kaunse Nabee ki Qaum thi jinke siro par pahaad lakar khada kar diya tha ?


A. Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam

B. Musa Alaihi Salam

C. Saleh Alaihi Salam

D. Nooh Alaihi Salam

E. Yunus Alaihi salam

F. Hood Alaihi Salam


Sawal 2 : Wo kaunsa phaad tha jo us qaum par lakar khada kar diya gaya tha ?


A. Jabal-e-Judi

B. Jabal-e-Thor (sor)

C. Jabal-e-Noor

D. Jabl-e-Uhad

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai



Sawal 3 : Wo phaad us qaum ke siro par kyu khada kiya gaya tha ?


A. Wo Qaum naap taul mein kami karti thi

B. Wp Qaum betio ko zinda dafan kar deti thi

C. Wo Qaum Sood khor thi

D. Unhone Allah ke hukmo ko maanne se inkar kar diya tha

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------------
❗ Kindly reply all three quiz together like this CAB / DEF


Allah subhanahu says in Quran "And (remember) when We raised the mountain over them as if it had been a canopy (or dark cloud), and they thought that it was going to fall on them. "



Quiz 1 : Those people belong to which prophet ?


A. Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam

B. Musa Alaihi Salam

C. Saleh Alaihi Salam

D. Nooh Alaihi Salam

E. Yunus Alaihi salam

F. Hood Alaihi Salam


Quiz 2 : What is the name of that mountain ?


A. Jabal-e-Judi

B. Jabal-e-Thor (Sor)

C. Jabal-e-Noor

D. Jabl-e-Uhad

E. None of the above

F. I want to know


Quiz 3 : Why the mountain was raised over them ?


A. They used to give less in measure and weight

B. They used to bury alive their daughters

C. They used to take riba (interest)

D. They didn't accept the order of Allah

E. None of the above

F. I want to know


Sahi Jawab
BED
---------
وَرَفَعْنَا فَوْقَهُمُ الطُّورَ بِمِيثَاقِهِمْ
Aur logo par Tur utha kar unse ahad liya
An-Nisaa (4) |Aayat 154

وَإِذْ نَتَقْنَا الْجَبَلَ فَوْقَهُمْ كَأَنَّهُ ظُلَّةٌ وَظَنُّوا أَنَّهُ وَاقِعٌ بِهِمْ
Al Quran : Aur jab humne un (ke saron) par phaad lakar khada kar diya jaise ki koi saayban ho aur unhone khyaal kiya ki wo un par gir padhega
Surah Aaraf (7) , Aayat 171
-------
Hazrat ibn Abbas radi Allahu anhu ka bayan hai ki jab musa alaihi salam banee israeel ko muqaddas zameen ki taraf le gaye aur gussa utar jane ke baad takhtiya utha li aur unmein jo ahkam they wo unhe sunaye to unki quam ko wo sakht malum huye aur unhone isko maane se saaf inkar kar diya, to Allah ke hukm se farishto ne unke siro par pahaad (Tur) lakar khada kar diya , phir Musa alaihi salam ne farmaya bolo ab mante ho ya Allah tum par phaad girakar tumhe

fana kar de us waqt sabke sab maare khauff ke sazde mein gir gaye lekin bayee aankh sazde mein thi aur dayee aankh se upar dekh rahe they ki kahi pahad gir na padhe
Tafseer Ibn Kathir,Surah Aaraf(7),Aayat 171
Tafseer Ibn Kathir,An-Nisaa(4), Aayat 154

Answer BED
--------------------
وَرَفَعْنَا فَوْقَهُمُ الطُّورَ بِمِيثَاقِهِمْ
And for their covenant, We raised over them the Mount Tur
An-Nisaa (4), Aayat 154

وَإِذْ نَتَقْنَا الْجَبَلَ فَوْقَهُمْ كَأَنَّهُ ظُلَّةٌ وَظَنُّوا أَنَّهُ وَاقِعٌ بِهِمْ
And (remember) when We raised the mountain over them as if it had been a canopy(or dark cloud), and they thought that it was going to fall on them.
Surah Aaraf (7) , Aayat 171

Ibn Abbas Radi allahu anhu said when Musa alaihi salam proceeded with them (bani israeel) to the Sacred Land. He took along the Tablets, after his anger subsided, and commanded them to adhere to the orders that Allah ordained to be delivered to them. But these orders became heavy on them and they did not want to implement them until Allah raised the mountain over them, (as if it had been a canopy or a dark cloud), that is, when the angels raised the mountain over their heads. Musa alaihi salam said either you accept the order of Allah or he will let fall this mountain over you, after seeing this they all fall down in prostration, their left eyes was in prostration and with right eye they were seeing mountain out of fear that it may fall down
Tafseer Ibn Kathir,Surah Aaraf(7), Aayat 171
Tafseer Ibn Kathir,An-Nisaa(4), Aayat 154

❗Only Quran Hadith Quiz 401❗


❗Only Quran Hadith Quiz 401❗ 


Sawal : Quran ke hisab se

Al-Hameem kya hai ?


A. Jannatiyo ko khilaya jane wala khana

B. jannatiyo ko pilaya jane wala pani

C. Dozakhiyo ko khilaya jane wala khana

D. Dozakhiyo ko pilaya jane wala paani

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

------------------

Quiz : According Quran what is Al-Hameem?


A. The food for the people of Paradise

B. The drink for the people of Paradise

C. The food for the people of Hell

D. The drink for the people of Hell

E. None of the above

F. I want to know



Sahi jawab D

----------
Bismillahirrahmanirrahim

51 ثُمَّ إِنَّكُمْ أَيُّهَا الضَّالُّونَ الْمُكَذِّبُونَ

52 لَآكِلُونَ مِن شَجَرٍ مِّن زَقُّومٍ

53 فَمَالِئُونَ مِنْهَا الْبُطُونَ

54 فَشَارِبُونَ عَلَيْهِ مِنَ الْحَمِيمِ

55 فَشَارِبُونَ شُرْبَ الْهِيمِ

56 هَـٰذَا نُزُلُهُمْ يَوْمَ الدِّينِ
--------------
Al Quran : Phir Eh jhothlane wale gumraho,
(tum) thoohar ke darakht khaoge aur isee se pet bharoge
Aur is par Al-Hamim (kholta hua pani) peeoge
aur peeoge bhi is tarah jaise pyase oont peete hain
Jaza ke din ye unki zayafat hogi
Surah Al-Waaqia (56), 51-56
------------
51 "Then moreover, verily you the erring-ones, the deniers (of Resurrection)!

52 "You verily will eat of the trees of Zaqqum.

53 "Then you will fill your bellies therewith,

54 "And drink Al-Hamim (boiling water) on top of it.

55 "And you will drink (that) like thirsty camels!"

56 That will be their entertainment on the Day of Recompense!
Surah Al-Waaqia (56), 51-56

Thursday, April 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 400❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 400❗

❗ Teeno sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiye CAB / DEF

- Ek Zalim Aisa tha jiski maut ke waqt ek farishta uske munh mein mitti ya keechad daal raha tha

Sawal 1 : Wo Zalim kaun tha ?

A. Abu Jahal

B. Abu Lahab

C. Firuan

D. Namrood

E. Inmein se koi nahi


Sawal 2 : Wo mitti dalne wala farishta kaun tha ?

A. Jibril Alaihi salm

B. MIkaeel Alaihi salam

C. Mitti ka farishta

D. malik Al Maut

E. Inmein se koi nahi


Sawal 3 : Wo mitti kyu daal raha tha ?

A. Taaki uski maut jaldi ho

B. kyunki wo jaadu wale kalimat padh raha tha

C. is darr se ki kahi Allah ki rahmat use gher na le

D. Kyunki wo marte waqt Allah ki shan mein gustakhi kar raha tha

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

------------------
❗ Kindly reply all three quiz together like this CAB / DEF

There was one tyrant, when he was about to die , a angel was putting mud in his mouth

Quiz 1 : Who was that tyrant ?

A. Abu Jahal

B. Abu Lahab

C. Firuan

D. Namrood

E. None of the above

Quiz 2 : Who was that angel, the one who was putting mud in his mouth ?

A. Jibril Alaihi salm

B. Mikaeel Alaihi salam

C. The Angel of dust

D. Malik Al Maut (Angel of death)

E. None of the above


Quiz 3 :Why he was putting mud in his mouth ?

A. So that he may die faster

B. He was speaking Magic Word Spells

C. To stop the mercy of Allah to reaching him

D. because he was using bad words for Allah

E. None of the above

F. I want to know



Sahi jawab CAC
----------
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏
‏ لَمَّا أَغْرَقَ اللَّهُ فِرْعَوْنَ قَالَ آمَنْتُ أَنَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ الَّذِي آمَنَتْ بِهِ بَنُو إِسْرَائِيلَ
فَقَالَ جِبْرِيلُ يَا مُحَمَّدُ فَلَوْ رَأَيْتَنِي وَأَنَا آخُذُ مِنْ حَالِ الْبَحْرِ
فَأَدُسُّهُ فِي فِيهِ مَخَافَةَ أَنْ تُدْرِكَهُ الرَّحْمَةُ ‏
--------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab Allah subhanahu ne firaun ko samundar mein garq kiya to wo kahne laga main imaan laya ki Allah ke siwa koi mabud nahi , jis par bani israeel imaan laye,jibril Alaihi salam ne farmaya Eh Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam kaash us waqt aap mujhko dekhte jab main us waqt uske munh mein samudar ki mitti (keechad) daal raha tha , wo isliye ki kahi Allah ki rahmat usko gher na le ( Aur Allah kahi usko maaf na kar de)
jamia Tirmizi, Jild 2,1031-Hasan
Al-Silsila-tus-Sahiha ,Hadees # 1363
----------------
Narrated Ibn 'Abbas Radi Allahu Anhu :
that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "When Allah drowned Fir'awn he said: 'I believe that there is no god except the One that the children of Isra'il believe in.' So Jibrail said: 'O Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam ! If you could only have seen me, while I was taking (the mud) from the sea, and filling his mouth out of fear that the mercy (of Allah) would reach him.'"
jamia Tirmizi, Jild Book 44, Hadith 3107-hasan
Al-Silsila-tus-Sahiha, Hadees # 1363

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 399 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 399 ❗


❗ Teeno sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiye CAB / DEF

Sawal 1 : Dajjal kaunsi jagah se niklega ?

Sawal 2 : Wo kaunsi jagah hai jaha se 70,000 Yahudi Dajjal ke saath ho jayenge ?

Sawal 3 : Dajjal ko jis jagah Qatl kiya jayega wo jagah aaj kaha hain ?

A. Isfahan

B. Khurasan

C. israel

D. Iraq

E. Damishq

F. Inmein se koi nahi

G . Sahi jawba ka intezar hai
------------------------
❗ Kindly reply all three quiz together like this CAB / DEF

Quiz 1 : From which place the Dajjl will come out ?

Quiz 2 : From which place the 70,000 jews will join to Dajjal ?

Quiz 3 : Where is that place now , the Dajjal will be killed ?


A. Isfahan

B. Khurasan

C. israel

D. Iraq

E. Damishq

F. Palestine

F. None of the above

G. I want to know


Sahi jawab BAC
---------------
1. Abu bakr Siddiq Radi allau anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Dajjal mashriq ki ek zameen se niklega jisko khurasan kaha jata hai unke saath aise chehre honge jinke chehre dhaalon ki tarah chapte honge
Jamia Tirmizi, Book 7, 2237-Hasan
Masnad Ahmed , Jild 1, 12-Sahih

2. ✦ Anas Bin Malik Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Isfahan (jo iran mein hai ) ke 70,000 Yahudi Siyah chadar (Persian shawls) ode huye Dajjal ke saath ho jayenge
Sahih Muslim, Vol 6,7392

3. Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Eesa Alaihi salam dajjal ko talash karenge yahan tak ke us ko Baab-e-lud(Tel Aviv, israel) par pakad karusko qatl kar denge.
Note : 1400 saal pahle Mulk e sham mein Syria, Palestine israel, jordan ye sabhi shamil they magar ab partition ke baad sab alag alag name se jaane jate hain, isee wajah se bab e lood ab israel mein aata hai.
Sahih Muslim, Vol 6, 7373
-----------------
1. Abu Bakr As-Siddiq Radi Allahu Anhu said The Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Said The Dajjal will come out from a land in the east called Khurasan. He is followed by a people whom appear as if their faces are shields coated with leather.
Jamia Tirmizi, Book 7, 2237-Hasan
Masnad Ahmed , Vol 1, 12-Sahih

2. Anas bin Malik radi allahu reported that Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi wasallam said: The Dajjal would be followed by seventy thousand Jews of Isfahan (which is in iran) wearing Persian shawls.
Sahih Muslim, Book 41, Hadith 7034

3.The Prophet Sal-Allahu Alaihi wasalam Eesa Alaihi Salam would search for Dajjal until he would catch hold of him at the gate of Ludd (Tel Aviv, israel) and would kill him
Note : Before 1400 years Syria, Jordan , Palestine , isarel used to be one country as mulk e sham but after partition it has been seprated, so the gate of ludd is now in israel.

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 398 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 398 ❗


❗Sawal 1 : Ye dua kab padhna sunnat hai ?


Alhamdulillahillazi At'amni haza wa razaqnihi min gairi haulin minni wa la Quwwatin


A. Bazar mein dakhil hote waqt

B. naya kapda pahante waqt

C. Bistar par jaate waqt

D. Beemar ki ayadat par

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

❗Sawal 2 : Wo kaunsi dua hai jisko padhne se insan ke pichle sare gunah maaf ho jate hain ?


A. Dua e Qunut

B. Khane ke baad ki dua

C. Sone se pahle ki dua

D. Bazar mein dakhil hone ki dua

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
------------------------
❗Please reply both questions together like this CD / BA

Quiz 1 : When reciting this supplication (Dua) is sunnah ?


Alhamdulillahillazi At'amni haza wa razaqnihi min gairi haulin minni wa la Quwwatin

A. While enterting in market

B. While wearing new cloth

C. While going to bed

D. While visiting sick

E. None of the above

F. I want to know

Quiz 2 : What is that supplication (Dua) if a person read , his past sins will be forgiven.?


A. Supplication of Witr

B. Supplication after eating

C. Supplication before sleeping

D. Supplication to enter in market

E. None of the above

F. I want to know

Sahi jawab EB
------
Sahl bin Muadh Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs khana khane ke baad ye dua padhega to uske tamam pichle gunah maaf kar diye jayenge

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ ‏‏

Alhamdulillahillazi Atamni haza wa razaqnihi min gairi haulin minni wa la Quwwatin

(tamam tarifein us Allah ke liye hai jisne mujhe ye khana khilaya aur meri kudrat aur taqat na hone ke bawjud ye ata farmaya)
jamia Tirmizi,Jild 2,1383-Hasan
----------
Sahl bin Muadh narrated that
The Messenger of Allah (ﷺ) said: Whoever eats food and says this (supplication) his past sins shall be forgiven.
(Alhamdulillahillazi Atamni haza wa razaqnihi min gairi haulin minni wa la Quwwatin)
‘All praise is due to Allah who fed me this and granted it as provision to me, without any effort from me nor power,
Jamia Tirmizi, Book 45, 3458-Hasan

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 397❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 397❗


Dono sawalo ke jawab saath mein de Cd / CB

Sawal 1 : Inmein se wo kaunsi surah hai jo ek hi baar mein puri nazil huyee ?


A. Surah Baqarah

B. Surah Aal e Imran

C. Surah Anam

D. Surah Al Mulk

E. Surah Yaseen

F. Inmein se koi nahi

G. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2: Inmein se wo kaunsi surah jiske nuzul ke waqt 70,000 farishte uske saath Allah ki tasbeeh bayan karte huye nazil huye they


A. Surah Yaseen

B. Surah Al Mulk

C. Surah Fatiha

D. Surah Baqarah

E. Surah AL-Kauther

F. Inmein se koi nahi

G. Sahi Jawab ka intezar hai
-----------------
Quiz 1 : What is the name of that surah which was revealed completely in a night ?

A. Surah Baqarah

B. Surah Aal e Imran

C. Surah Anam

D. Surah Al Mulk

E. Surah Yaseen

F. None of the above

G. I want to know

Quiz 2 : What is the name of that surah which revealed accompanied by 70,000 angels ?

A. Surah Yaseen

B. Surah Al Mulk

C. Surah Fatiha

D. Surah Baqarah

E. Surah AL-Kauther

F. None of the above

G. I want to know



Sahi Jawab CE
------
Surah anaam ki tafseer mein Ibn Abas Radi Allahu anhu farmate hain ki ye puri surah ek hi ,martaba ek saath mein hi makka sharif mein nazil huyee thi, uske charo aur 70,000 farishte they jo tasbeeh padh rahe they, mustadrak hakim mein hai ki is surat ke nazil hone par Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya is mubarak surat ko pahuchane ke liye itne farishte aaye they ki aasman ke kinare dikhayee nahi dete they. Ibn Mardawaih mein ye bhi hai ki farishto ki us waqt ki tasbeeh ne ek gunj paida kar di thi zameen gunj rahi thi aur Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam 
SubhanAllahil Azeem SubhanAllahil azeem padh rahe they
Tafseer Ibn Katheer, Surah Anaam, Page 147
---------------------
At-Tabarani recorded that Ibn `Abbas Radi Allahu anhu said, "All of Surat Al-An`am was revealed in Makkah at night, accompanied by seventy thousand angels, raising their voices in glorification of Allah' As-Suddi said that Murrah said that `Abdullah Radi Allahu anhu said, "Surat Al-An`am was revealed in the company of seventy thousand angels.
It is mentioned In the Hadeeth of Mustadrak hakim that when the Surah An’aam was revealed,Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam said so many angels came to convey this Surah that the corners of the heavens became covered with their great numbers.
Tafseer Ibn Katheer, Surah Anaam,The Virtue of Surat Al-Anam

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 396 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 396 ❗


Hadith mukammal kijiye

Sawal : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya wo ghar wale bhukhe nahi rahenge jinke paas ................ho


A. Aalim

B. Hafiz

C. Zaitun

D. Anjeer

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz : Complete the below hadith

The Prophet ﷺ Said A family which has ..............will not be hungry

A. Scholar

B. Hafiz (The own who learnt Quran by heart)

C. Olive

D. Fig

E. None of the above

F. I want to know


Sahi jawab E
Khajurein
------
 Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya wo ghar wale bhukhe nahi rahenge jinke paas khajurein ho
Sahih Muslim, Jild 5, 5336
----------
✦ Aisha Radi Allahu Anha reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying A family which has dates will not be hungry.
Sahih Muslim, Book 23, Hadith 5078

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 395❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 395❗


❗Sawal 1 : Yusuf Alaihi Salam ke kitne sage bhai they ?


A. 0

B. 1

C. 11

D. 12

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Sawal 2 : Yusuf Alaihi Salam ke sage bhai ka kya naam tha ?

A. Unka koi saga bhai nahi tha

B. Yahuda

C. Shamun

D. BinYaseen

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
-----------------------------
❗Quiz : How many real or full brother Yusuf alaihi salam had ?


A. 0

B. 1

C. 11

D. 12

E. None of the above

F. I want to know

Quiz : What was the name of real brother of yusuf alaihi salam ?

A. He had no real brother

B. Yahuda

C. Shamun

D. BinYaseen

E. None of the above

F. I want to know


❗Jawab BE
-------------
Hazrat Yusu Alaihi salam ke ek hi maa se ek aur bhai tha jiska naam BinYamin tha baqi bhai dusri maa se they jo ye kaha karte they ki wallah abba jaan humse zyada in dono ko chahte hain, tajjub hai ye hum jamat par unko tarjeeh dete hain jo ki sirf do hain
Tafseer ibn kathir, Surah Yusuf, Aayat 7-8
----------
Yusuf alaihi salm had one full brother his name was binyamin and rest all brother was step brothers. (When his step brothers said: "Truly, Yusuf and his brother are dearer to our father than we...'') They swore, according to their false thoughts, that Yusuf and his brother Binyamin (Benjamin),
Yusuf's full brother, (dearer to our father than we, while we are ` Usbah.) meaning, a group. Therefore, they thought, how can he love these two more than the group, (Really, our father is in a plain error.) because he preferred them and loved them more than us.
Tafseer ibn kathir, Surah Yusuf, Aayat 7-8

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 394❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 394❗

❗ Dono sawalo ke jawab is tarah de AB / CD


❗ Sawal : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Muaaz bin jabal Radi allahu anhu ko deen ki dawat dene ke ke liye kaunsi jagah bheja tha?


A. Mulk e sham

B. Habsha

C. Madina

D. Yemen

E. Iraq

F. Sahi jawab ka intezar hai


❗ Sawal 2 : Jaate waqt unko inme se kis baat ki naseehat di gayee thi ?


A. Aurto aur bachcho ko Qatl na karna

B. Jo zakat na de unse jung karna

C. Mazlum ki baddua se bachte rahna

D. Jo Islam na laye unse jaziya lena

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------
❗ Kindly reply both questions together like this AD / CD


❗ Quiz 1 : Where did he Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam send Muaaz bin jabal Radi allahu anhu to call the people towards Islam ?


A. Mulk e sham

B. Habsha

C. Madina

D. Iraq

E. Yemen

F. I want to know


❗ Quiz 2 : While he was sent what kind of special advice he was given ?


A. Dont kill women and children

B. Fight with those who dont give charity

C. Be afraid of the curse of an oppressed person

D. The one who dont accept islam then take jaziya (tax)

E. None of the above

F. I want to know


Sahi Jawab AC
-------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Muadh Radi Allahu Anhu ko yemen bheja to farmaya ki main tumko ek aisee qaum ki janib bhej raha hu jo ahl e kitab hain (yani yahud aur nasara) aur jab tum unke paas pahucho to unko bula kar kahna ki wo gawahi de de ki

Allah ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain, agar wo tumhara hukm tasleem kar le to to phir unse kahna ki Allah subhanahu ne un par din raat mein paanch waqt ki namazein farz ki hain agar wo isko bhi maan le to unse kahan ki Allah subhanahu ne un par zakat bhi farz kiya hai jo ki unke ameero se liya jayega aur gareebo mein taqseem kiya jayega, Agar wo isko bhi qubul kar le to unke achche maal lene se bacho aur mazlum ki baddua se bachte rahna kyunki us ke aur Allah ke darmiyan koi rukawat nahi hoti
Sahih Bukhari, Jild 2, 1496
-------
✦ Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said to Muadh when he sent him to Yemen, "You will go to the people of the Scripture ( Jews and christians) . So, when you reach there, invite them to testify that none has the right to be worshipped but Allah, and that Muhammad is His Apostle. And if they obey you in that, tell them that Allah has enjoined on them five prayers in each day and night. And if they obey you in that tell them that Allah has made it obligatory on them to pay the Zakat which will be taken from the rich among them and given to the poor among them. If they obey you in that, then avoid taking the best of their possessions, And be afraid of the curse of an oppressed person because there is no screen between his invocation and Allah.
Sahih Bukhari, Book 24, Hadith 573

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 393 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 393 ❗


❗ Dono sawalo ke jawab saath mein dena


❗ Sawal : Wo kaunsa aasman hai jis par Mairaj ki raat Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki mulaqat do nabiyo se huyee ?


A. Dusra aasman

B. Teesra Aasman

C. Chotha Aasman

D. Panchwa aasman

E. chata aasman


❗Sawal 2 : Inmein se wo kaun kaun se nabee hain jinko Mairaj ki raat Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek hi aasman par ek saath dekha tha ?


F. Eesa Alaihi salam

G. Musa Alaihi salam

H. Yahya alaihi salam

I. Harun alaihi salam

J. Ibrahim Alaihi Salam

K. Adam Alaihi salam

L. Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------
❗ Kindly reply both Quiz together


❗ Quiz : On the night of mairaj (Journey ),the prophet Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam met two proptes on same heaven , where was that heaven



A. 2nd heaven

B. 3rd heaven

C. 4th heaven

D. 5th heaven

E. 6th heaven


Quiz : On the night of mairaj (Journey ),the prophet Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam met two proptes on the same heaven , who were those two prophets ?


F. Eesa Alaihi salam

G. Musa Alaihi salam

H. Yahya alaihi salam

I. Harun alaihi salam

J. Ibrahim Alaihi Salam

K. Adam Alaihi salam

L. Waiting for the right answer



Sahi Jawab
AFH
-------
Abbas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Malik bin Sasaa Radi Allahu Anhu ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse mairaj ka waqya bayan karte huye farmaya ………………………uske baad Jibril alaihi salam (pahle aasman se) upar ki tarah chade aur mujhe dusre aasman par le gaye Waha bhi darwaza khulwaya aur aawaz aayee kaun sahib hain bataya gaya ki jibril alaihi salam) pucha gaya ki aapke saath koi aur sahab bhi hain kaha Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam, pucha gaya kya aapko unhe bulane ke liye bheja gaya tha ? unhone jawab diya haan phir aawaz aayee unhe khush aamdeed , kitne achche aane wale hain wo phir darwaza khula aur main andar gaya waha Yahya aur Eesa alaihi salam mojud they, ye dono khala zaad bhai hain, Jibril alaihi salam ne farmaya ye Eesa alaihi salam aur yahya alaihi salam hain inhe salam kijiye maine salam kiya aur unhone mere salam ka jawab diya aur farmaya khush aamdeed neik nabi aur neik bhai ………………
Sahih Bukhari, Jild 5, 3887 (part)
-----------
Complete Hadith
http://sunnah.com/bukhari/63/113
----------
Narrated `Abbas bin Malik: Malik bin Sasaa said that Allah's Messenger (ﷺ) described to them his Night Journey saying, …………………Then Gabriel ascended with me till we reached the second heaven. Gabriel asked for the gate to be opened. It was asked, 'Who is it?' Gabriel answered, 'Gabriel.' It was asked, 'Who is accompanying you?' Gabriel replied, 'Muhammad.' It was asked, 'Has he been called?' Gabriel answered in the affirmative. Then it was said, 'He is welcomed. What an excellent visit his is!' The gate was opened. When I went over the second heaven, there I saw Yahya (i.e. John) and `Isa (i.e. Jesus) who are cousins (both’s mother are sisters of each other) ( of each other. Gabriel said (to me), 'These are John and Jesus; pay them your greetings.' So I greeted them and both of them returned my greetings to me and said, 'You are welcomed, O pious brother and pious Prophet.' Then Gabriel ascended
with me to the third heaven
Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 227 (Part)

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 392 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 392 ❗


❗dusre sawal mein ek se zyada jawab hain


❗Sawal 1 : Rasool-Allah Sal-Allahau Alaihi Wasallam ko ek baar dikhaya gaya ki kuch log hain jinke jism ka aadha hissa to bahut khubsurat hai aur dusra aadha bahut badsurat hai un logo ka kya gunah tha ?


A. Wo log soodkhor they

B. Wo namaz to padhte lekin zakat nahi dete

C. Wo achche aur burey dono aamal karte they

D. Wo musalmano mein ladayee lagwate they

E. Wo munafiq they


Sawal 2 : Waha ek nahar thi Unse kaha gaya ki usmein kud jao to wo log usmein kud gaye , uske baad unki haalat kya ho gayee ?


F. Unka sara badan khubsurat ho gaya

G. Unka aadha badan jal gaya

H. Unka aadha badan paani mein bah gaya

I. Us nahar mein dusre gunahgaro ne unko pakad liya

J. Allah ne unko maaf kar diya

K. Wo nahar se bahar nikalte hi phir se badsurat ho jate hain

L. Isee tarah unko azab hota rahega

M. Sahi Jawab ka intezar hai
-----------------------
❗Second answer has more than one answers


Quiz 1 :Once the Propeht Sal-Allahu alaihi wasallam was shown that there are few men with one side of their bodies very good and other side were ugly , what is the sin of those men ?


A. They were riba eater

B. They used to pray but not give charity

C. They used to do good and bad deeds

D. They used to create misunderstanings between muslims

E. They were hypocrites


Quiz 2 : There were a river , it was said to them to get into river and those people get into this , after that what happen to them ?


F. Their All body became very good

G. Their half body burnt in river

H. Their half body parts flow away in river

I. The other sinners catch them in river

J. Allah forgave them

K. As soon as them came out they become ugly again

L.they will be punished like this

M. I want to know


Sahi Jawab
CFJ
----------
Samurah bin jundab Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ek subah farmaya ki kal rata mere paas do aane wale aaye unhone mujhe uthaya aur mujhs ekaha ki hamare saath chalo main unke satah chal diya ..........hum ek Azeem-Asshan baag tak pahuchey maine itna bada aur khubsurat baag kabhi nahi dekha un dono ne kaha ki is par chadiye hum us par chadey to ek aisa shahar dikhayee diya jo is tarah bana tha ki uski ek eent sone ki thi aur ek eent chandi ki hum shahar ke darwaze par aaye to humne usko khulwaya , Humne usmein aise logo se mulaqat ki jinke jism ka aadha hissa bahaut khubsurat tha aur baqi ka aadha bahut badsurat , mere un dono saathiyo ne unse kaha ki jao aur is nahar mein kood jao , ek nahar samne bah rahi thi jiska paani bahut safed tha wo log gaye aur usmein kud gaye aur phir hamare paas laut kar aaye to unka pahla aib ja chuka tha (yani unka sara badan ab khubsurat ho gaya)........... jab pucha gaya ki wo kaun log they to bataya ki ye wo log they jinhone achche amal ke saath burey amal bhi kiye they ,Allah subahanhu ne unke gunaho ko bakhs diya
Sahi Bukhari, Jild 6, 7047
---------
Narrated Samura bin Jundub Radi allahu anhu
The Prophet (ﷺ) said, "Last night two persons came to me (in a dream) and woke me up and said to me, 'Proceed!' I set out with them ............
The Prophet (ﷺ) added, "So we ascended till we reached a city built of gold and silver bricks and we went to its gate and asked (the gatekeeper) to open the gate, and it was opened and we entered the city and found in it, men with one side of their bodies as handsome as the handsomest person you have ever seen, and the other side as ugly as the ugliest person you have ever seen. My two companions ordered those men to throw themselves into the river. Behold, there was a river flowing across (the city), and its water was like milk in whiteness. Those men went and threw themselves in it and then returned to us after the ugliness (of their bodies) had disappeared and they became in the best shape..........
The Prophet (ﷺ) added, "My two companions added, 'The men you saw half handsome and half ugly were those persons who had mixed an act that was good with another that was bad, but Allah forgave them.'"
Sahih Bukhari, Book 87, Hadith 171

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 391 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 391 ❗


❗Dono sawalo ke jawab saath mein dena

❗Sawal 1 : Rasool-Allah Sal-Allahau Alaihi Wasallam ko ek baar dikhaya gaya ki kuch log hain jinke jism ka aadha hissa to bahut khubsurat hai aur dusra aadha bahut badsurat hai un logo ka kya gunah tha ?


A. Wo log soodkhor they

B. Wo namaz to padhte lekin zakat nahi dete

C. Wo achche aur burey dono aamal karte they

D. Wo musalmano mein ladayee lagwate they

E. Wo munafiq they

F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Waha ek nahar thi Unse kaha gaya ki usmein kud jao to wo log usmein kud gaye , uske baad unki haalat kya ho gayee ?


A. Unka sara badan khubsurat ho gaya

B. Unka aadha badan jal gaya

C. Unka aadha badan paani mein bah gaya

D. Us nahar mein dusre gunahgaro ne unko pakad liya

E. In mein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai

-------------
❗Kindly reply both questions together


Quiz 1 :Once the Propeht Sal-Allahu alaihi wasallam was shown that there are few men with one side of their bodies very good and other side were ugly , what is the sin of those men ?

A. They were riba eater

B. They used to pray but not give charity

C. They used to do good and bad deeds

D. They used to create misunderstanings between muslims

E. They were hypocrites

F. I want to know


Quiz 2 : There were a river , it was said to them to get into river and those people get into this , after that what happen to them ?


A. Their All body became very good

B. Their half body burnt in river

C. Their half body parts flow away in river

D. The other sinners catch them in river

F. None of the above

G. I want to know



Sahi Jawab
CA
----------
Samurah bin jundab Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ek subah farmaya ki kal rata mere paas do aane wale aaye unhone mujhe uthaya aur mujhs ekaha ki hamare saath chalo main unke satah chal diya ..........hum ek Azeem-Asshan baag tak pahuchey maine itna bada aur khubsurat baag kabhi nahi dekha un dono ne kaha ki is par chadiye hum us par chadey to ek aisa shahar dikhayee diya jo is tarah bana tha ki uski ek eent sone ki thi aur ek eent chandi ki hum shahar ke darwaze par aaye to humne usko khulwaya , Humne usmein aise logo se mulaqat ki jinke jism ka aadha hissa bahaut khubsurat tha aur baqi ka aadha bahut badsurat , mere un dono saathiyo ne unse kaha ki jao aur is nahar mein kood jao , ek nahar samne bah rahi thi jiska paani bahut safed tha wo log gaye aur usmein kud gaye aur phir hamare paas laut kar aaye to unka pahla aib ja chuka tha (yani unka sara badan ab khubsurat ho gaya)........... jab pucha gaya ki wo kaun log they to bataya ki ye wo log they jinhone achche amal ke saath burey amal bhi kiye they ,Allah subahanhu ne unke gunaho ko bakhs diya
Sahi Bukhari, Jild 6, 7047
----------
Narrated Samura bin Jundub Radi allahu anhu
The Prophet (ﷺ) said, "Last night two persons came to me (in a dream) and woke me up and said to me, 'Proceed!' I set out with them ....
The Prophet (ﷺ) added, "So we ascended till we reached a city built of gold and silver bricks and we went to its gate and asked (the gatekeeper) to open the gate, and it was opened and we entered the city and found in it, men with one side of their bodies as handsome as the handsomest person you have ever seen, and the other side as ugly as the ugliest person you have ever seen. My two companions ordered those men to throw themselves into the river. Behold, there was a river flowing across (the city), and its water was like milk in whiteness. Those men went and threw themselves in it and then returned to us after the ugliness (of their bodies) had disappeared and they became in the best shape..........
The Prophet (ﷺ) added, "My two companions added, 'The men you saw half handsome and half ugly were those persons who had mixed an act that was good with another that was bad, but Allah forgave them.'"
Sahih Bukhari, Book 87, Hadith 171

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 390❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 390❗


❗Sawal : Insano mein se aag ka sabse pahla pujari kaun tha ?


A. Jadugar Samri

B. Amr bin Luhai

C. Qabil

D. Namrud

E. Firaun

F. Inmein se koi nahi

G. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Quiz : Who was the first worshipper of fire among human ?

A. Magician Samri

B. Amr bin Luhai

C. Qabil (cain)

D. Namrud

E. Firaun

F. None of the above

G. I want to know


Sahi Jawab C. Qabil
----
Ibn Jarir likhte hai ki ek Rivayat ke mutabiq jab Qabil ne Habil ko Qatl kar diya aur apne walid se chup kar yemen ki taraf bhag gaya to uske paas shaitan aaya aur kaha ki Habil ki Qurbani ko aag ne isliye kha liya tha kyunki wo aag ki khidmat aur ayadat karta tha isliye tum bhi apni aur apne aulad ke ibadat ke liye Aap ko lagatar roshan rakho is baat par Qabil ne aatish qada (fire temple) roshan kiya aur wo aag ka pahla pujari ban gaya
Tarikh At-Tabri, Jild 1, 114
-----------------
According Ibn Jarir It has been mentioned that when Cain (Qabil) killed Abel (habil) and fled from his father to the Yemen Iblis came and said to him: Abel's fering (sacrifice) was accepted and consumed by fire only because he used to serve and worship fire . So, you, too, set up a fire for yourself and your descendants ! Cain (Qabil) thus built a fire temple . He was the first to set up and worship fire.
Tarikh At-Tabri, Volume 1 , page 337

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 389❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 389❗

Sawal : Wo kaunse sahabi hain jinhone Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke saath khana khate waqt suna ki khana bhi tasbeeh padh raha hai ?


A. Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu

B. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu

C. Umar bin khattab Radi Allahu Anhu

D. Anas bin malik Radi Allahu Anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------------
Quiz : What is the name of that sahabi who heard that the meal glorifying Allah, when it was being eaten by Prophet Sal-Allahu alaiahi wasallam ?

A. Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu

B. Khalid bin waleed Radi Allahu Anhu

C. Umar bin khattab Radi Allahu Anhu

D. Anas bin malik Radi Allahu Anhu

E. None of the above

F. I want to know


✦ Sahi Jawab
-------------------------------
A. Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu
----------
✦ Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke saath ek safar mein they aur pani taqreeban khatam ho gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo kuch bhi pani bach gaya hai usey talash karo , phir log ek bartan mein thoda sa pani laye , aapney apna haath bartan mein daal diya aur farmaya barkat wala pani le lo aur barkat to Allah subhanahu ki taraf se hoti hai maine dekha ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallamki ungliyon ke darmiyan se pani fawwarey ( fountain) ki tarah phoot raha tha aur hum Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein khate waqt khane ki tasbeeh bhi suna karte they. yani khana Allah ki paaki bayan karta
Sahih Bukhari, Vol 5, 3579
-------------
✦ Narrated by Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu Once we were with Propeht Sallallahu Alaihi Wasallam on a journey, and we ran short of water. He said, "Bring the water remaining with you." The people brought a utensil containing a little water. He placed his hand in it and said, "Come to the blessed water, and the Blessing is from Allah." I saw the water flowing from among the fingers of Propeht Sallallahu Alaihi Wasallam , and no doubt, we heard the meal glorifying Allah, when it was being eaten (by him).
Sahih Bukhari, Book 56, Hadith 779


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 388 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 388 ❗


❗Dono Sawalo ke jawab is tarah dijiyega AC / BD

❗Sawal 1 : Ibrahim Alaihi Salam ke liye jab aag jala di gayee to wo itni zyada thi ki us tak pahuchna sabke liye mushkil ho gaya us waqt ek shaksh ne ye mashwara diya ki Ibrahim alaaihi salam ko ek jhoole mein bitha kar usmein daal do, wo mashwara dene wale ka kya naam tha ?


A. Keeran

B. Hayzan

C. Labi

D. Namrud

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Sawal 2 : Allah subhanahu ne us shaksh ko kya saza di ?

A. Uske upar bijli gira di gayee

B. Qayamat tak zameen mein dhasta rahega

C. Wo usee aag ke sholo mein jal kar tabah hua

D. EK machchar ke jariye uski maut huyee

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Quiz 1 : When the fire was set for Ibrahim alaihi salam, it was so huge , nobody was able to reach there so one person suggest that time to put Ibrahim, alaihi salam, into a catapult and throw him in fire , what is the name of that person who suggested this ?


A. Keeran

B. Hayzan

C. Labi

D. Namrud

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai

❗Quiz 2: What kind of punishment that person got from Allah after his suggetion ?

A. The lightening was sent over him

B. He will remain sinking into earth until Qayamah

C. He got burned in that fire

D. He got killed by a mosquito

E. None of the above

F. I want to know

Answer BB
...................
Ibrahim alaihi salam ki quam ne unko aag mein dalne ke liye ek bahut bada aur gahra gadhdha khoda aur usmein lakdiya daali aur us par aisee aag jalayee ki zameen par is se pahle aisee aag kabhi nahi dekhi gayee , jab aag ke shole bahut tez ho gaye aur unke paas jana mushkil ho gaya to sab ghabrane lage ki Ibrahim alaihi salam ko aag mein kaise dale aakhir mein ek Farsi shakhs ke mashware se jiska naam HAYZAN tha ek jhoola (ya manjneeq jo gulel ki tarah hota hai) tayyar kiya gaya jismein bitha kar unko phenka jaye Shuayb Al-Jabai rivayat mein bayan karte hain ki us shaksh (HAYZAN ko) ko Allah subhanahu ne usee waqt zameen mein dhansa diya aur Qayamat tak wo andar utarta jata hai
Tafseer ibn kathir, Surah Anbiya, Aayat 68-70
----------
The people of Ibrahim alaihi salam gathered together a huge amount of wood. Then they made a hole in the ground and set it aflame, and it burned with huge sparks and immense flames. There had never been a fire like it. They put Ibrahim, peace be upon him, into a catapult, at the suggestion of a nomadic Kurdish man from Persia.'' Shuayb Al-Jaba'i said, "His name was Hayzan, and Allah caused the earth to swallow him up, and he will remain sinking into it until the Day of Resurrection
Tafseer ibn kathir, Surah Anbiya, Aayat 68-70

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 387 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 387 ❗


Sawal : Rasool-Allah Sal-Alllahu alaihi wasallam ne kaunse Nabi ko Bin Nabi Allah , Bin Nabi Allah, Bin Khalil Allah kaha ?


A. Yusuf Alaihi Salam

B. Ishaq Alaihi Salam

C. Yaqub Alaihi Salam

D. Ismaeel Alaihi Salam

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz : For which Prophet , the Rasool-ALlah Sal-Allahu Alaihi wasallam said he was Bin Nabi Allah , Bin Nabi Allah, Bin Khalil Allah (the son of Allah's Prophet, The son of Allah's Prophet the son of Allah's Khalil )


A. Yusuf Alaihi Salam

B. Ishaq Alaihi Salam

C. Yaqub Alaihi Salam

D. ismaeel Alaihi Salam

E. None of the above

F. I want to know


Sahi Jawab A - Yusuf alaihi salam
----------
Hazrat Abu hurairah radi allahu ne arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sal-Alllahu alaihi wasallam sabse zyada sharif kaun hai to Aap Sal-Alllahu alaihi wasallam ne farmaya jo sabse zyada parhezgar hai Sahaba ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Alllahu alaihi wasallam hum iske mutalliq nahi puch rahe , phir Rasool-Allah Sal-Alllahu alaihi wasallam ne farmaya phir Allah ke Nabee Yusuf Alaihi Salam bin Nabee Allah ( yani unke walid bhi nabee they) , bin Nabi Allah (Yani yusuf alaihi salam ke dada bhi nabi they , Bin khalil Allah (Yani unke dada ke walid Khalil ALlah they), Sahaba ne pucha ki hum iske mutalliq bhi nahi puch rahe , Aap Sal-Allaahu alaihi wasallam ne farmaya ki achcha tum arab ke khandano ke baare mein puch rahe ho to suno jo jahiliya mein sharif they wo islam mein bhi sharif hain jab deen ki samajh unhe aa jaye
Sahih Bukhari, 3353
--------------
Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu The people said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Who is the most honorable amongst the people (in Allah's Sight)?" He said, "The most righteous amongst them." They said, "We do not ask you, about this. " He said, "Then Yusuf, Allah's Prophet, Bin Nabi Allah , Bin Nabi Allah, Bin Khalil ALlah (the son of Allah's Prophet, The son of Allah's Prophet the son of Allah's Khalil )." They said, "We do not want to ask about this," He said' "Then you want to ask about the descent of the Arabs. Those who were the best in the pre-lslamic period of ignorance will be the best in Islam provided they comprehend the religious knowledge."
Sahih Bukhari,Book 55, Hadith 572

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 386 ❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 386 ❗


Sawal : Allah subhanahu ne kiske liye ye farmaya ki "Jis din wo paida huye , jis din wafat payenge aur jis din zinda karke uthaye jayenge, un par salam aur rahmat hai ?


A. Zakriya Alaihi Salam

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Yahya Alaihi Salam

D. Idris Alaihi Salam

E. Yaqub Alai Salam

F. Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------
Quiz : For whom Allah subhanahu says in Quran "And Salam (peace) be on him the day he was born, and the day he dies, and the day he will be raised up to life (again)"


A. Zakriya Alaihi Salam

B. Ibrahim Alaihi Salam

C. Yahya Alaihi Salam

D. Idris Alaihi Salam

E. Yaqub Alai Salam

F. I want to know


Sahi jawab C
----------------
Bismillahirahmanirrahim
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
--------
12 يَا يَحْيَىٰ خُذِ الْكِتَابَ بِقُوَّةٍ ۖ وَآتَيْنَاهُ الْحُكْمَ صَبِيًّا 

13 وَحَنَانًا مِّن لَّدُنَّا وَزَكَاةً ۖ وَكَانَ تَقِيًّا

14 وَبَرًّا بِوَالِدَيْهِ وَلَمْ يَكُن جَبَّارًا عَصِيًّا

15 وَسَلَامٌ عَلَيْهِ يَوْمَ وُلِدَ وَيَوْمَ يَمُوتُ وَيَوْمَ يُبْعَثُ حَيًّا
-----------
Al Quran : Eh Yahya (Alaihi Salam) hamari kitab ko zor se pake raho aur humne unko ladakpan mein danayee ata farmayee thi, Aur apne paas se shafqat aur pakeezgi de di thi aur parhezgar they , aur ma baap ke saath neki karne wale they aur sarkash aur nafarman nahi they. jis din wo paida huye , jis din wafat payenge aur jis din zinda karke uthaye jayenge, un par salam aur rahmat hai
Surah Maryam, 12-15
---------
Al Quran : O Yahya (John)! Hold fast the Scripture [the Taurat (Torah)]." And We gave him wisdom while yet a child. And (made him) sympathetic to men as a mercy (or a grant) from Us, and pure from sins [i.e. Yahya (John)] and he was righteous, And dutiful towards his parents, and he was neither arrogant nor disobedient (to Allah or to his parents). And Salam (peace) be on him the day he was born, and the day he dies, and the day he will be raised up to life (again)!
Surah Maryam, 12-15