❗Only-Quran-Hadith-Quiz 429❗
Sawal : Jab ek sahabi ne Rasool-Allah Sal-Alalahu alaihi wasallam se pucha ki Qayamat ke din main aapko sabse pahle kaunsi jagah talash karu to Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne sabse pahle kaha talash karne ko kaha aur phir uske baad kaha aur sabse aakhir mein kaha ? un jagaho ko tarteeb dijiye aur jawab is tarah dena ACD / BCE
A. Pool sirat
B. Meezan
C. Hauz e kauther
D. Jannat ke darwaze par
E. jannat ke andar
F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------------------------
Quiz : Once A Sahabi (companion) asked to the Prophet Sal-Alalahu alaihi wasallam , on the Day of Judgement the first of all where shall I seek (search) you? that time where Prophet Sal-Alalahu alaihi wasallam Said to look for him first of All , and after that and after that ..arrange that order and reply liks this ACD / CDE
A. Pool Sirat
B. Mizan
C. Hawz e kauther
D. On the door of jannah
E. Inside the Jannah
F. I want to know
Sahih jawab ABC
---------------------
Anas bin malik Radhi allahu anhu apne walid se rivayat karte hain ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se Qayamat ke din apni shafaat ki darkhast ki to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya main karunga, maine arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam main aapko (Qayamat ke din) kaha talash karunga to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya sabse pahle mujhe pool sirat par talash karna , maine arz ki ke agar main aapko pul sirat par na pauu to ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir mujhe meezan ke paas talash karna maine arz ki agar main waha bhi na paa saku to ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir mujhe hauz e kauther par dekh laena kyunki main in teeno jagah ke alawa kahi nahi jauunga
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 324-Hasan
---------------------------
Anas bin Malik narrated from his father who said: "I asked the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam to intercede for me on the Day of Judgement. He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 'I am the one to do so.'" [He said:] "I said: 'O Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Then where shall I seek you?' He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: ' Seek me, the first time you should seek me is on the pool Sirat.'" "I said: 'If I do not meet you upon the Sirat?' He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 'Then seek me at the Mizan.' I said: 'And if I do not meet you at the Mizan?' He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 'Then seek me at the Hawz (Al kauther), for indeed I will not me missed at these three locations.'
Jamia Tirmidhi Book 11, Hadith 2433-Hasan
No comments:
Post a Comment