Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗Only-Quran-Hadith Quiz 453❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 453❗

jawab ek se ziyada hain

Sawal 1 : Inmein se Wo kaunse azkar hain jiske liye Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki wo bahut aasan hai aur uske karne wale bahut kam hain magar jo is par rozana amal karega wo jannat mein jayega ?


A.
Har namaz ke baad padho 


10 baar SubhanAllah,
10 baar ALhamdulillah
20 baar Allahu Akbar

B.
Har namaz ke baad padho 

33 baar SubhanAllah,
33 baar Alhamdulillah
34 baar Allahu Akbar


C.
Raat ko sone se pahle padho

10 baar SubhanAllah,
10 baar Alhamdulillah
20 baar Allahu Akbar

D.
Raat ko sone se pahle padho

33 baar SubhanAllah,
33 baar Alhamdulillah
34 baar Allahu Akbar.

E.
Har namaz ke baad padho

10 baar SubhanAllah,
10 baar Alhamdulillah
10 baar Allahu Akbar

F.
Sahi Jawab ka intezar hai
-------------------------------------
Answers are more than one

Quiz : Whats is that Azkar for which The prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said that whoever will do it continuesly he will go in jannah and he also said that they are easy, and those who act upon them are few. ?



A.
After every prayer say

10 times SubhanAllah,
10 times Alhamdulillah
20 times Allahu Akbar


B.
After every prayer say

33 times SubhanAllah,
33 times Alhamdulillah
34 times Allahu Akbar

C.
When go to bed say

10 times SubhanAllah,
10 times Alhamdulillah
20 times Allahu Akbar


D.
When go to bed say

33 times SubhanAllah,
33 times Alhamdulillah.
34 times Allahu Akbar.


E.
After every prayer say

10 times SubhanAllah,
10 times Alhamdulillah
10 times Allahu Akbar

F.
I want to know

Sahi Jawab DE
----------
✦ Abdullah bin Amr Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya do aadatein aisee hain ki agar koi musalman isko ikhtiyar kar le to wo jannat mein jayega wo dono aasan hain magar us par amal karne wale bahut kam musalman hain, pahli ye ki har namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe , ravi kahte hain ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo zuban par 150 (Yani 5 waqt ki namaz ke baad 5x30=150) aur meezan par 1500 hain

✦ dusri aadat ye bayan farmayee ki jab tum sone ke liye jao to (33 baar) SubhanAllah , (33 baar) Alhamdulillah aur (34 baar) Allahu Akbar kaho.ye zuban poar to 100 hain magar meezan par 1000 hain.Aap Sal-Alalahu alaihi Wasallam ne farmaya ki tum mein se kaun hain jo din raat mein 2500 buraeeya karta hai? (kyunki neki burayee ko mita deti hai)

✦ Sahaba Radi allahu anhu ne farmaya hum kaise iska khayal nahi rakhenge , to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum namaz mein hote ho to shaitan tumhare pass aata hai aur kahta hai ki falah cheez yaad karo , falah cheez yaad karo , yahan tak ki wo (banda) namaz se farig ho jata hai aur us ko nahi karta , aur isse tarah jab koi sone ke liye bistar par jata hai to shaitan waha bhi aa jata hai aur usko sulata rahta hai yahan tak ki wo so jata hai
Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1335-Hasan

✦ Correct Answer DE
--------------------
✦ Abdullah bin Amr [may Allah be pleased with both of them] said: The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: There are two characteristics over which a Muslim man does not guard, except that he enters Paradise. And indeed, they are easy, and those who act upon them are few:
He glorifies Allah at the end of every prayer 10times (saying Subḥān Allāh)
and praises Him 10times saying (Al-Ḥamdulillāh)
and extols His greatness 10 times (saying Allāhu Akbar).
He said: And I have seen the Messenger of Allah counting them with his hand.
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said said: So this is 150 (After every prayer 5 x 30 =150) with the tongue, and 1500 on the Scale.

✦ When you go to bed, you glorify Him (Say 33 times SubhanAllah), extol His greatness (Say 33 times ALhamdulillah), and praise Him (Say 34 times Allahu Akbar) so this is 100 with the tongue and 1000 on the Scale. Which of you perform 2500 evil deeds in a single day and night?
(because good deeds removes evild deeds)

✦ They said: How could we not guard over them?’ He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Shaitan comes to one of you when he is in his Salat and says: Remember such and such, remember such and such” until he turns perhaps he will not do it. And he comes to him and he is lying down and makes him sleepy until he falls asleep.’”
Jamia Tirmizi,Book 45, 3410-Hasan

1 comment:

  1. You information is really good. I really impressed for this please check it once
    https://faizanquranacademy.com/quran-academy/
    learn quran online with tajweed

    ReplyDelete