Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 454❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 454❗ 


Sawal : Wo kaunse Sahabi hain jinko Rasool-Allah Sal-Alahu alaihi wasallam ne farmaya ki Farishte tumhari tilwat sunne ke liye aaye they aur agar tum padhte rahte to 

log un farishto ko dekh lete ? 

A. Ubai bin Kaab Radi Allahu Anhu 

B. Usaid Ibn Hudair Radi Allahu Anhu 

C. Abdulah bin Masood Radi Allahu Anhu 

D. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu 

E. inmein se koi nahi 

F. Sahi jawab ka intezar 
--------------------- 
Quiz : who is that Sahabi (campanion) to whom Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasllam said that Angel came down to listen your recitation and If you would continue the 

people would have seen them ? 


A. Ubai bin Kaab Radi Allahu Anhu 

B. Usaid Ibn Hudair Radi Allahu Anhu 

C. Abdulah bin Masood Radi Allahu Anhu 

D. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu 

E. None of the above 

F. I want to know 


 Sahi Jawab B 
------------ 
✦ Hazrat Abu Saeed khudri rivayat karte hain ki hazrat Usaid bin Hudair Radi Allahu Anhu ek raat apne khajuro ke khalihan mein Quran majid padh rahe they ki unkaghodha bidakne laga , Aapne phir padha wp phir bidakne laga , Aapne phir padha aur phir bidka , hazrat Usaid kahte hain ki main darr gaya ki kahi wo Yahya (jo unke bete they) ko kuchal na daale.Main uske paas jakar khada ho gaya aur maine dekha ki ek saayban ki tarah mere sir par hai aur wo chirago se roshan hai , wo upar ki 
taraf chadhne laga yaha tak main usko phir dekh na saka. 

✦ Maine Subah ko Rassol-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke pass aaya aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam raat ke waqt main apne khalihan mein Quran majid padh raha tha ki achanak mera ghodha bidakne laga to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha , Ibn hudair ne kaha ki main padhte raha tha magar mere ghorha phir se bidakne laga, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha , Ibn hudair ne kaha ki main padhte raha tha magar mere ghorha phir se bidakne laga, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir se (teesri baar) farmaya Eh Ibn Hudair tumhe padhte rahna chahiye tha 

✦ is par ibn hudair na kaha ki main padhkar jab farig hua to yahya uske kareeb tha mujhe darr laga ki kahi wo usko kuchal na dale aur maine ek saayban ki tarah dekha ki usmein chirag se roshan they jo upar ki taraf jaane laga yaha tak ki main phir usko nahi dekh saka , to is par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Wo Farishte they jo tumhara Quran sun rahe they aur agar tum padhte rahte subah log unko dekh lete aur wo logo se chupe huye na rah paate 
Sahih Muslim , Jild 1, 1859 
--------------
 Corrrect Answer B 
---------------------- 
✦ Abu Sa'id al-Khudri told of Usaid bin Hudair saying that one night he recited the Qur'an in his enclosure, when the horse began to jump about. He again recited and (the horse) again jumped. He again recited and it jumped as before. Usaid said: I was afraid lest it should trample (his son) Yahya. I stood near it (the horse) and saw something like a canopy over my head with what seemed to be lamps in it, rising up in the sky till it disappeared. 

✦ I went to the Messenger of Allah (ﷺ) on the next day and said: Messenger of Allah, I recited the Qur'an during the night in my enclosure and my horse began to jump.
Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) said: You should have kept on reciting, Ibn Hudair. He (Ibn Hudair) said: I recited. It jumped (as before). Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) again said: You should have kept on reciting, Ibn Hudair. He (Ibn Hudair) said: I recited and it again jumped (as before). The Messenger of Allah (ﷺ) again said: You should have kept on reciting, Ibu Hudair. 

✦ He (Ibn Hudair) said: (Messenger of Allah) I finished (the recitation) for Yahya was near (the horse) and I was afraid lest it should trample him. I saw something like a canopy with what seemed to be lamps in it rising up in the sky till it disappeared. Upon this the Messenger of Allah (ﷺ) said: Those were the angels who listened to you; and if you had continued reciting, the people would have seen them in the morning and they would not have concealed 
themselves from them 
Sahih Muslim,Book 6, 287

No comments:

Post a Comment