Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗Only-Quran-Hadith Quiz 420❗


❗Only-Quran-Hadith Quiz 420❗


❗ Dono sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiyega AB / CD

Sawal 1 : Sabse pahle Quran ki aayato ko talash karke jama karne ki zimmedari kisko di gayee ?

Sawal 2 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam par jo wahi nazil hoti usko kaun likha karta tha ?



A. Hazrat Abu Bakr Radi Allahu

B. Hazrat Zaid Radi Allahu

C. Hazrat Ali Radi Allahu

D. Hazrat Abdullah bin masood Radi Allahu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi Jawab ka intezar hai

----------

❗ Kindly reply two questions like this CE / BD


 Quiz1 : First of All who was being assigned the task to collect the scripts of the Quran and write it (in tne Book) ?


Quiz 2 : Who used to write down the Revelation for the Messenger of Allah as the Qur'an was revealed. ?


A. Hazrat Abu Bakr Radi Allahu

B. Hazrat Zaid Radi Allahu

C. Hazrat Ali Radi Allahu

D. Hazrat Abdullah bin masood Radi Allahu

E. None of the above

F. I want to know



Sahi jawab
BB. Hazrat Zaid Radi Allahu
-----------
Zaid radi allahu anhu ka bayan hai ke Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kaha ki tum aqalmand jawan ho, hum tum par kisi qism ka shuba nahi karte aur tum Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke liye wahi likha karte they, is liye quran ko talaash karo aur is ko jama karo, Zaid ka bayan hai ke Allah ki qisam agar mujhe kisi pahad ko ek jagah se doosri jagah uthane ki takleef di jati to yeh is jama quran ki takleef se ziyada wazni nah hoti, jo mujhe di gayi thi.Maine kaha ke tum dono kis tarah aisa kaam karogay, jis ko Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne nahi kya, Hazrat Abu Bakr Radi Allahu anhun ne kaha ke Allah ki qasam yahi behtar hai phir barabar mujhe is par amaada karte rahe, yahan tak ki Allah ne mera seena is cheez ke liye khol diya jis ke liye hazrat Abu Bakr aur Umar Radi Allahu Anhuma ka seena khol diya tha, aur maine bhi is mein yahi munasib khayaal kiya, iske baad main quran talaash karne laga, aur is ko khajoor ke pattoun, khaalon, aur chaote kankaro aur logon ke seenon se jama karne laga
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1026-Sahih
-----------
Zaid Radi Allahu Anhu said: Abu Bakr said You are a young wise man, and we have no suspicions of you. You used to write down the Revelation for the Messenger of Allah as the Qur'an was revealed." He (Zaid) said: 'By Allah! If they had ordered to move one of the mountains it would have been lighter on me than that.

I said: How will you do something which was not done by the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ?" Abu Bakr said: "By Allah! It is something good. Abu Bakr and 'Umar continued trying to convince me, until Allah opened up my chest for that, just as He had opened their chests, the chest of Abu Bakr and the chest of 'Umar. So I began searching for Qur'anic material from parchments, leaf stalks of date-palms and Al-Likhaf - meaning stones - and the chests of men.
Jamia Tirmizi, Book 44, 3103-Sahih

No comments:

Post a Comment