Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, May 2, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 425❗


❗ Only-Quran-Hadith Quiz 425❗

❗ Teeno sawalo ke jawab saath mein is tarah de ABD / CDE

Quran ke hisab se ye jumle (setences) kisne kis se kahe ?

Sawal 1 . Mujh par dushmano ko na hansao aur mujhe gunahgaro mein na milao

Sawal 2 : Tumne mere baad badi hi galat harkat ki hai

Sawal 3 : Mujhe khauff hai ki kahi wo mujhe maar na dale

A. Musa Alaihi Salam ne apni qaum se

B. Jalut ne apni fauj se

C. Musa Alaihi Salam ne Allah se

D. Lut Alaihi salam ne farishto se

E. Ibrahim Alaihi salam ne apne walid (ajar) se

F. Aajar ne Ibrahim Alaihi Salam se

G. Inmein se koi nahi

H. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------------------------

❗ Kindly reply three questions like this CDE / BDE

According Quran who said bellow sentences ?

Quiz 1 : Make not the enemies rejoice over me, nor put me amongst the people who are Zalimun (wrong-doers).

Quiz 2 : What an evil thing is that which you have done during my absence.

Quiz 3 : I fear that they will kill me.


A. Musa Alaihi Salam said to his people

B. Jalut said to his army

C. Musa Alaihi salam said to Allah

D. Lut Alaihi salam said to angels

E. Ibrahim Alaihi salam said to his father Ajar

F. Ajar said to Ibrahim Alaihi salam

G. None of the above

H. I want to know


Sahi jawab GAC
------------------
1. Mujh par dushmano ko na hansao aur mujhe gunahgaro mein na milao
(G. Harun Alaihi Salam ne Musa Alaihi Salam se kaha) 

2. Tumne mere baad badi hi galat harkat ki hai
(A. Musa Alaihi Salam ne apni qaum se)

3. Mujhe khauff hai ki kahi wo mujhe maar na dale
(C. Musa Alaihi Salam ne Allah se)
-----------
Al Quran : Aur jab musa Alaihi salam apni qaum ki taraf gusa aur ranj mein bhare huye wapas aaye to farmaya tumne mere baad badi hi galat harkat ki hai kya tumne apne RABB ke hukm se pahle hi jald bazi kar li aur takhtiya phenk di aur apne bhai (Harun alaihi salam) ka sir pakad kar unhe apni taraf kheechne lage to unhone (Harun Alaihi salam ne) kaha eh meri maa ke bete logo ne mujhe kamzor samjha aur wo mujhe maar daalne wale they isliye mujh par dushmano ko na hansao aur mujhe gunahgaro mein na milao
Surah Al-A'raaf(7), 150

Unhone (Musa Alaihi Salam ne) kaha eh mere RABB maine unke ek admi ko Qatl kiya hai , Mujhe khauff hai ki kahi wo mujhe maar na dale
Surah Al Qasas (28),33
----------------
Answer GAC
-----------
1. Make not the enemies rejoice over me, nor put me amongst the people who are Zalimun (wrong-doers).
(G. Harun Alaihi Salam said to Musa Alaihi Salam)

2. What an evil thing is that which you have done during my absence.
(A. Musa Alaihi Salam said to his people)

3. I fear that they will kill me.
(C. Musa Alaihi salam said to Allah)

Al Quran : And when Musa (Moses) returned to his people, angry and grieved, he said: "What an evil thing is that which you have done (i.e. worshipping the calf) during my absence. Did you hasten and go ahead as regards the matter of your Lord (you left His worship)?" And he threw down the Tablets and seized his brother by (the hair of) his head and dragged him towards him. Harun (Aaron) said: "O son of my mother! Indeed the people judged me weak and were about to kill me, so make not the enemies rejoice over me, nor put me amongst the people who are Zalimun (wrong-doers)."
Surah Al-A'raaf(7), 150

He (Musa alaihi salam) said: "My Lord! I have killed a man among them, and I fear that they will kill me.
Surah Al Qasas (28),33

No comments:

Post a Comment